Saturday, May 30, 2009

baadi ajeeb si baat hain...

Jis-Jisko humne apna samjha
woh hi dhokhebaaz nikala
baadi ajeeb si baat hain...
~*~
Laboon par rakhate hain mohabbat ke bole
aur wohi hi hamari peeth par khanjhar se vaar karate hain
baadi ajeeb si baat hain...
~*~
Jisko mangate rahe hum duaoon main
Woh shakh kisi aur ko bin maange hi mil gaya
baadi ajeeb si baat hain...
~*~
Jiske liye choda tha humne yeh jahaan
Woh hi humko tanha chod gaya
baadi ajeeb si baat hain...
~*~
Jo chala gaya mujhe chod kar
woh kehta hain aaj bhi hum tumhare saath hain
baadi ajeeb si baat hain...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Friday, May 29, 2009

tum theek hi kehti ho...

tum mujhe qayar kehti ho
tum theek hi kehti ho... 
~ 
jo pal humne saath beetaye woh zaaya gaye 
tum theek hi kehti ho... 
~ 
main to hun taqdeer ke haatho ka khilauna 
tum theek hi kehti ho... 
~ 
jaisa jisne chaha sajne ke liye main waisa saj gaya
jo khane ko mila wahi kha liya jahan kaha sone ke liye main wahi par so gaya 
mera khud ka koi rang-roop nahi
tum thik hi kehti ho... 
~
jo cheez main chahu woh pa nahi sakta hu
apni mohabbat ka izhaar bhi sar-e-baazar nahi kar sakta hu
na meri koi aarzoo hai
na mera koi sapna hai 
main to ek khilauna hu jo jitni chabhi bhare main utna hi chalta hu 
tum theek hi kehti ho... 
main to ek qayar hu 
tum theek hi kehti ho.... 
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 28, 2009

"yeh lamha na kabhi beethe"

band kamrein main machalati garm saasein aur humtum

sakht baahon main machalate naazuk badan aur humtum

chedate hue ungaliyoon se chehare aur humtum

chusate hue pyase hoonton ko aur humtum

bas yahi dua karte hue

"yeh lamha na kabhi beethe"

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

mujhpar ehsaan karta hain...

teri kheriyat mujhe batati hain
yeh haawan mujhpar ehsaan karti hain...
~*~
tere chehare ka noor dekhata hain
yeh chand mujhpar ehsaan karta hain...
~*~
tera dil aaj fhir khushi se paagal hain, yeh batata hain
yeh phoolon ki mehak mujhpar ehsaan karta hain...
~*~
tune aaj fhir naadi kinare baith kar mera intezaar kiya, yeh batata hain
yeh naadi ka paani mujhpar ehsaan karta hain...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Wednesday, May 27, 2009

aahistaa-aahistaa.

mohabbat ka safar hain kahin gir na jaana

chalo sambhal kar zaara aahistaa-aahistaa.

~*~

raat nasheeli hain kahin fhisal na jaana

mehboob ki baahon main jayo zaara aahistaa-aahistaa.

~*~

jaan na nikal jaye aaj isse gulshan-e-bistar par

maire badan ko pyar karo zaara aahistaa-aahistaa.

~*~

chadata ja raha hain tere husn ka suroor maire naazaron main

phoolon ko toodho zaara aahistaa-aahistaa.

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Tuesday, May 26, 2009

ek ladka...

baimaano ki bastiyoon main
rehta sharafat se
ek ladka...
~
bola-bhala, seedha-saada
dil ki baatein sunne wala
ek ladka...
~
dosti jo nibhata
sabka sukh chahta
sari duniya ko aacha samjhe
ek ladka...
~
mohabbat par hain yakeen jisko
mehboob ko jo khuda maane
ek ladka...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Monday, May 25, 2009

main soch raha tha....

apne bistan par baita main soch raha tha
woh is waqt kiski baahon main hogi.
neend to mujhe aati nahi
woh is waqt kaise chain se so rahi hogi.
mere baahein ko khali hain
woh aangadaiyaan lekar kisse lipath rahi hogi.
zulfein uski kiske chehare ko dhak rahi hogi
uske kaan ka jhumka kiski jaib main hoga...
~*~
rooz subah ki tarah usne apni zulfoon ko bhandha hoga
pyar bhari naazaron se suraj ki taraf dekha hoga
paani ki boondein jhataki hongi apne gulab se chehare par
choodiyoon ki khankhanat se usne kisko jagaya hoga...
~*~
apne bistar par baitha main yeh raat bhar soch raha tha
ki kya ek baar bhi usse mera khayal nahi aaya hoga?
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

kaun kiska hota hain...

kaun kiska hota hain...
suukh jaye agar phool to paid bhi gira deta hain
kaun kiska hota hain...
~~~
jaane wala to duniya chod kar chala jaata hain
rooney wala do din baad bhul jaata hain
kaun kiska hota hain...
~~~
yeh jawani bhi do-char ghadi saath daite hain
fhir bhudhape ke dehleez par dum toodh daite hain
kaun kiska hota hain...
~~~
jab tak dil bhelana ho to log ishq karte hain
jab dil bhar jaata hain to saath chod daite hain
kaun kiska hota hain...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Sunday, May 24, 2009

talKING POINT...

talKING POINT...
Romil Arora on TalKING Point - Baaton ka Badshah...

tu mann ki bahut sundar...


tu mann ki bahut sundar

re biwi maire

tu mann ki bahut sundar...

~*~

jiski biwi itni sundar

woh kyon dusari kisi ko chedhe

re biwi maire

tu mann ki bahut sundar...

~*~

din bhar main to naukari karu re

raat bhar taire sewa karu main

kahan maire pass waqt jo karu main chedachedi...

tu mann ki bahut sundar...

~*~

yeh sakhiyaa sab tujhse jaale re

jhoote ilzaam re mujhpe maade re

tu to apne pati ko jaane

re biwi maire

tu mann ki bahut sundar...

~*~

main to bahut seedha-saada

tere siwa kisi aur ko na chahta

mann main maire bas taire hi ek moorat

re biwi maire

tu mann ki bahut sundar...

jiski biwi itni sundar

woh kyon kisi ko chedhe

re biwi maire

tu mann ki bahut sundar...

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Saturday, May 23, 2009

kuch is tarah

tum, tum nahi main hu
main, main nahi tum ho.
kuch is tarah mile hum
na main janu main kaun hu,
na tum jano tum kaun ho!

#Romil

तुम, तुम नही मैं हूँ
मैं, मैं नही तुम हो. 
कुछ इस तरह मिले हम
ना मैं जानूँ मैं कौन हूँ,
ना तुम जानो तुम कौन हो!

#रोमिल

Friday, May 22, 2009

Meri Kahani

kitni mohabbat ki thi maine na pucho mujhse
saari hadein paar kar di thi na pucho mujhse
uske liye mein ban gaya tha diwana
uske liye choda tha yeh zamana
kitna kiya hai maine uska intezar na pucho mujhse...
~~~
Jaane kyon hue hum juda
yeh nahi hai mujhko pata
kya thi meri khata
yeh nahi hai mujhko pata
kitna roya hu is judai mein yeh na pucho mujhse...
~~~
ab kya karunga
kahan main jaunga
kaise zindagi uske bina bitaunga yeh na pucho mujhse...
kitni mohabbat hain aaj bhi mujhe usse yeh na pucho mujhse...

#Romil

कितनी मोहब्बत की थी मैंने ना पूछो मुझसे 
सारी हदें पार कर दी थी ना पूछो मुझसे 
उसके लिए मैं बन गया था दीवाना 
उसके लिए छोड़ा था यह जमाना 
कितना किया है मैंने उसका इंतजार ना पूछो मुझसे 

जाने क्यों हुए हम जुदा 
यह नहीं है मुझको पता 
क्या थी मेरी ख़ता 
यह नहीं है मुझको पता 
कितना रोया हूं इस जुदाई में यह न पूछो मुझसे

अब क्या करूंगा 
कहां मैं जाऊंगा 
कैसे जिंदगी उसके बिना बिताऊंगा यह न पूछो मुझसे... 
कितनी मोहब्बत है आज भी मुझे उससे यह न पूछो मुझसे...

#रोमिल

Thursday, May 21, 2009

tum

meri kabr par jab aana tum
aansoo mat bahana tum
dekh kar chand ko muskurana tum
bhari mehfil main tanha mat rehna
doston ke saath gungunana tum
jeena apni zindagi maire zindagi samaj kar
har pal khushi manana tum
main har kadam saaya ban kar tumhare saath rahunga
kabhi khud ko akela mat samajhana tum...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 20, 2009

jo chala gaya woh chala gaya...

jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
naye zindagi ko tumhara intezaar hain
naye sapne bunne ke liye dil beqarar hain
naye bandhan banne ke liye taiyaar hain
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
jo nahi tha naseeb main woh nahi mila
tujhe jo mila usse main zindagi beeta
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apne aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
purani baaton ko yaad karke na dukh maana
na khud ko tanhaiyoon ka libaas pehna
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
~*~
zaaraa sa to khawab tha jo guzar gaya
ab na khawabon ko apna baana
jo chala gaya woh chala gaya...laut kar nahi woh aane wala...
tum kyon apna aaksh bheeghoti ho...jo chala gaya woh chala gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, May 18, 2009

nahi bhule...

Hum aaj bhi aankhen ladana nahi bhule
Aashiqui ka zamana nahi bhule...
~*~
Tum rukh se naaqab mat hatana
Hum aaj bhi behoshi ka aalam nahi bhule...
~*~
Ek umar hue tumko apni baahon main bhare hue
Hum aaj bhi aag main jalana nahi bhule...
~*~
Yeh baat alag hain, tum ab maire nahi ho
Hum aaj bhi teri tasveer banana nahi bhule...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, May 17, 2009

Jawaab-e-Shayari...

Naya show jawaab-e-shayari...Saawal aapke...magar andaaz shayarana...
Aaj ka Saawal -

Aankhon par kuch sunaiye?
Jawaab -
"yeh sach hain uski aankhon main, main chupa rehta hu

magar yeh aur baat hain main usse nazare milane se darta hu..."
===
"mujhe rimjhim barsaat pasand hain
isliye woh pagali dhoop main haste-haste roo padati thi..."
===
"nahi hain mujhe hosh kisi bhi baat ka
main teri aankhon main is tarah khoya rehta hu"
[written by romil arora - copyright reserved]

tu chahe jitni bhi...

tu chahe jitni bhi aandhiya chala de
main mohabbat ka diya jala kar rahunga....
==**==
tu chahe jitna bhi toofan khade kar de
main mohabbat ki naav paar karke rahunga....
==**==
tu chahe jitni bhi bijliyaa gira de
main mohabbat ka aashiana bana kar rahunga....
==**==
tu chahe jitni bhi nafrat uske dil main paida kar le
main uske mann main mohabbat jaaga kar rahunga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 16, 2009

nadaan-e-dil

nadaan-e-dil tu kyon uska khayal baar-baar lata hai...
jo juda hua woh kab apna tha yeh to mujhe bata...
[written by romil arora - copyright reseved]

dastak..

raat bhar darwaze par dastak deta raha koiye
main samjha mehboob hain, magar koiye aur nahi woh to pagal haawan thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Jawaab-e-Shayari...

Naya show jawaab-e-shayari...Saawal aapke...magar andaaz shayarana...
Saawal 1-
Kisi haseen ki nazaron ko dekh kar kya kahenge?
Jawaab 1-
"Mere Allah, barbaad hi karna tha to aur bhi bahane the
haseen ke nazaron se rubaru karwaya kyon"
*
Saawal 2-
Kisi haseen ke chehare ki taraf dekh kar kya kahenge?
Jawaab 2-
"Yeh chehare hain ya aaftab hain,
Sukr Allah ka hain, rukh par naqaab hain"
*
Saawal 3-
Kisi haseen ke chal ki taraf dekh kar kya kahenge?
Jawaab 3-
"Dekh kar chal uski, khud apni chal bhul gaye
yaad raha na kuch, hum apne ghar ka pata bhul gaye"*
Saawal 4-
Mohabbat-e-izhaar main kya kahenge?
Jawaab 4-
"Tum se hi sehar ho
Tum se hi shaam dhale
Tum se hi khushi ho
Tum se hi dhukh mile
Tum se hi har sapne ho
Tum se hi mohabbat ke suru silsiley ho
Tum se hi zindagi ki suruwat ho
Tum se hi yeh dhadkan chale
Tum se hi mera naam ho
Tum ho to main hu"
*
Saawal 5-
Apne Mehboob ke naam kuch sunaiye?
Jawaab 5-
Aarzoo hain ki mehboob ko sajau
haanton main chudiya pehnau
uske pairon main payal sajau
aankhon main kaajal lagau
hoonton ko chooyun apni machalati ungaliyoon se
uske maathe par teeka sajau
qaamar main qamarband bandhu
komal si ungaliyoon main anghuti pehnau
kaanoo main pehlau jhumake uske
naak main nathuni pehlau
uske baalon ko sajau
aarzoo hain ki mehboob ko sajau!
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Friday, May 15, 2009

talking point...

Romil Arora on TalKING Point - Baaton ka Badshah...
START....Choose...
Q 1. Amitabh Bachchan or Dilip Kumar
Ans. Dilip Kumar
Q 2. Shahrukh Khan or Aamir Khan
Ans. Aamir Khan
Q 3. Kajol or Rani
Ans. Kajol
Q 4. Manmohan Singh or Lal Krishna Advani
Ans. Manmohan Singh
Q 5. Congress or Bhartiya Janta Party
Ans. Congress

Q 6. R.D.Burman or A.R. Rehman
Ans. Both
Q 7. Lata Mangeshkar or Asha Bhosle
Ans. Both
Q 8. Nusrat Fateh Ali Khan or Kishore Kumar
Ans. Both

Q 9. Sourav Ganguly or Dhoni
Ans. Sourav Ganguly
Q 10. Mother India or Do Beegha Zameen
Ans. Both
Q 11. Sholay or Aag
Ans. Sholay

Q 12. Maggi or Pizza
Ans. Maggi
Q13. Chocolate or Sweet
Ans. Both

Q 14. Lucknow or London
Ans. Lucknow
Q 15. Spiderman or Krrish
Ans. Spiderman

jaise koiye baat hain...

kuch dino se...
udasi kuch is tarah mere saath hain
har baat par gussa aata hain
jaise kisi ki talaash hain
~*~
aankhen be-wajah hi narm ho jaate hain
darwaje ki taraf tak-takki laga kar dekhate hain
jaise kisi ka intezaar hain...
~*~
kisi se baat karne ka mann nahi karta
tanhai kuch is tarah khaas ho gaye hain
jaise koiye baat hain...
jaise koiye baat hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

qayamat

qayamat ka din kab aayega yeh mujhe pata to nahi...

magar itna jarur janta hu ki 
yaar ka bicharana kisi qayamat se kam hota nahi...

#Romil

कयामत का दिन कब आएगा यह मुझे पता तो नहीं... 

मगर इतना जरुर जानता हूं कि यार का बिछड़ना छोड़ना किसी कयामत से कम होता नहीं... 

#रोमिल

thoda muskurao...

fiza bhuji-bhuji si hai thoda muskurao
yeh dil udaas hai thoda muskurao...
~*~
nahi umeed hai mujhe yaar ke aane ki
fir bhi deepak jalao, thoda muskurao...
~*~
aise mat dekho chand ko dil dhadakta hai
tamaam raat mehfil mein bitao, thoda muskurao...
~*~
pata nahi kabhi zindagi ki subah ho ya na ho
labo par abhi to muskaan lao, thoda muskurao...
[written by romil arora - copyright reserved]

yaadon...

kabr na banana kabhi meri Romil
bas yaadon main zinda rakho mujhe itna kaafi hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 14, 2009

intezaar

main karta raha intezaar yeh soch kar
tu aayegi kisi roz sab kuch chod kar...
~*~
baitha raha rasthe main tanha yeh soch kar
tu kabhi saath degi mera humsafar ban kar...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tamasha dekhne walon ne bhi...

Tamasha dekhne walon ne bhi khoob mazaa liya Romil
yahaan dil jal gaya aur woh kehte hai roshani nahi hui...
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat-e-saagar

kyon apni doobhi hue zindagi ka kinara talaste ho Romil
yeh mohabbat-e-saagar hain, yahan jo dubb jata hain fhir ubharata nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]

kyon fhir...

kyon fhir naya rishta hum banaiye
kyon fhir barbaad hone ke liye qadam uthaiye...
~~
kyon kare kisi se mohabbat hum
kyon fhir kisi ki bewafai mein jal jaye...
~~
kyon dekhe naye khawab hum
kyon fhir aankhon ki neend udaaye...
~~
kyon fhir hum dost banaiye
kyon fhir dosti mein daaga khaye....
~~
jab parwah nahi apno ko hamari
kyon fhir hum apno ki parwah mein aansoo bahaye...
~~
kyon fhir naya rishta hum banaiye
kyon fhir barbaad hone ke liye kadam uthaiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

aise hue naseeb ki kabhi mil na sakaa kinara...


kabhi maut ko pukara
kabhi tujhse maanga sahara
aise hue naseeb ki kabhi mil na sakaa kinara...
~*~
kabhi khushi ko pukara
kabhi gum ka liya sahara
aise hue naseeb ki kabhi mil na sakaa kinara...
~*~
do kadam hi saath chale the
ki chhut gaya saath tumhara
kabhi manzil ko pukara
kabhi raste par naam likha tumhara
aise hue naseeb ki kabhi mil na sakaa kinara...

[written by romil arora - copyright reserved]

tumko mujhse mohabbat hain...


tumko mujhse mohabbat hain...
"to chod do yeh duniya maire saath chalo
yeh saare gum mujhko de do
apne hoonton par muskaan ko saaza lo
aa jayo maire baahon main in aankhon se aansoo pooch lo"
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 12, 2009

dil se picture...


dil se picture....


patjhad ke baad...

patjhad ke baad baahar ke mausam aate hai
dard chahe jitna bhi gehra ho
do-char din ke baad bhar jaate hai...
!*!
nahi rukate hai to bas aansoo, aankhon mein
log to milte hai
fir bichad jaate hai...
!*!
is shehar mein aitbaar kis ka kare hum
yahan to log hadsa dekh kar, sar jhuka kar, chup-chap bagal se nikal jaate hai...
!*!
patjhad ke baad bahar ke mausam aate hai
dard chahe jitna bhi gehra ho
do-char din ke baad bhar jaate hai...


#Romil

पतझड़ के बाद बाहर के मौसम आते हैं 
दर्द चाहे जितना भी गहरा हो 
दो-चार दिन के बाद भर जाते हैं... 

नहीं रुकते हैं तो बस आंसू, आंखों में 
लोग तो मिलते हैं 
फिर बिछड़ जाते हैं... 

इस शहर में ऐतबार किसका करें हम 
यहां तो लोग हादसा देखकर, सर झुकाकर, चुपचाप बगल से निकल जाते हैं...

पतझड़ के बाद बाहर के मौसम आते हैं 
दर्द चाहे जितना भी गहरा हो 
दो-चार दिन के बाद भर जाते हैं...

#रोमिल

Monday, May 11, 2009

jab se aapse dosti hamari hue...

jab se aapse dosti hamari hue
yeh zindagi khoobsurat hamari hue
bhul gaye hum sab gum
aandheron main bhi roshani hue...
jab se aapse dosti hamari hue.......
~*~
laga machalane, dardon main bhi
laga moom sa pighalane
begano se bhi fhir dosti hone lagi
jab se aapki inayat hue...
yeh zindagi khoobsurat hamari hue

~*~
aapke baare main jab puch baita koiye
puchaiye na humse kya nadani hue
har raaz ki baat keh gaye hum
saari duniya dost hamari hue....
jab se aapse dosti hamari hue
yeh zindagi khoobsurat hamari hue
bhul gaye hum sab gum
aandheron main bhi roshani hue...
jab se aapse dosti hamari hue.......
[written by romil arora - copyright reserved]

ban kar aaye hain....

mausam main bhi kaisa naasha chaya hain
lagta hain barsaat bhi sharab pi kar aaye hain....
~*~
usko dekh kar kaisi hue badan main hararat
mehboob bhi kaise shabnam ban kar aaye hain....
~*~
yeh thik hain ki baadalon ke peeche chupa rahe chand aaj ki raat
lagta hain yeh raat aafat ban kar aaye hain....
~*~
nighao se baat na karo aaj tum
lagta hain yeh nighayen qayamat ban kar aaye hain....
[written by romil arora - copyright reserved]

rastha..

do kadam jo chal na sake humse haath chuda kar
kehte hain poore rastha tanha chalenge...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 9, 2009

Maa..

Maa ki mujhe har baat yaad aati hai
maathe par pyar se haat fherna
apni goad mein chain se sulana
meri har galti par mujhe samjhana...
Maa ki mujhe har baat yaad aati hai...
~
Woh haanton se bani makke ki roti
pyar se apne haathon se khilana
woh subah-subah dudh se bhara glass, badam sang pilana
Maa ki mujhe har baat yaad aati hai...
~

meri tabiyat kharab hone par
khud raat-raat bhar jagna
bukhar hone par
apne budhe haathon se mere maathe ki pattiya badalna
woh pyar ke saath davai khelana
Maa ki mujhe har baat yaad aati hai...
~
baade dular se mujhe school chod aana fir lekar aana
raaste mein mujhe ice cream, chocolate khilana
dhoop mein chalte hue apne dupatte ka aanchal mere sar par rakh dena
barsaat main bhegane par mere baalon ko pyar se ragadna
Maa ki mujhe har baat yaad aati hai...

#Romil

baaton-baaton main

baaton-baaton mein apna gulam kar gaya
zalim, sar-e-aam qatal-e-aam kar gaya!
~*~
de gaya dard-e-gum baaton se
yaadon ka mehmaan kar gaya!
~*~
mehfil mein kahi bhi koi apna na raha
woh aisa begana kar gaya!
~*~
yeh kis mod par aa gaye hai
woh har rasta hi wapas laut jaane ke band kar gaya!

#Romil

बातों-बातों में अपना ग़ुलाम कर गया
ज़ालिम, सर-ए-आम, क़त्ल-ए-आम कर गया...

दे गया दर्द-ए-ग़म बातों से
यादों का मेहमान कर गया...

महफ़िल में कहीं भी कोई अपना ना रहा
वो ऐसा बेगाना कर गया...

यह किस मोड़ पर आ गये है
वो हर रास्ता ही वापस लौट जाने के बन्द कर गया...

#रोमिल

main yaad aayunga.................

jab tanhaiyoon main dhoondhogi mujhe
jab saaya bhi durr hoga tumse
jab hoga udaas dil tera
yaad aayunga
tumko yaad aayunga
har pal yaad aayunga
main yaad aayunga.................
~~**~~
jab andheron se guzarongi tum
jab barsaat main bheegogi tum
jab dhoop main chalogi tum
yaad aayunga
tumko yaad aayunga
har pal yaad aayunga
main yaad aayunga.................

~~**~~
jab suraj ki kiran teri chokhat par aayegi
jab phoolon ki khushabu chaaron taraf pheli hogi
jab chand teri chaat par nigrani degi
yaad aayunga
tumko yaad aayunga
har pal yaad aayunga
main yaad aayunga.................
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 8, 2009

bahut hoor woh lagati hain...

Choti si kurti sang salwar pehne
honton par muskaan liye
bahut hoor woh lagati hain...
~*~
maathe par choti si bindi lagaye
apne laambe baalon ko ek chooti main sajaaye
bahut hoor woh lagati hain...
~*~
pairoon main payal pehane
haanton main mehandi rachaiye
chooriyoon ki khankhanat main
bahut hoor woh lagati hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

kaash tu bhi maire tarah barsaat main tanha hota....

Is mausami mausam main tu bhi ruswa hota
tu bhi barsaat main akela hota...
~*~
chalta rehta tanhaiyoon se bhaari sadak par
kabhi tera haath bhi akela hota...
~*~
bhehate rehti tere aankhon se aansoo
jab chand ko baadalon se gheera dekha hota...
~*~
tere mohabbat-e-kasti bhi saahil par aakar dubati
agar tujhe bhi maajhi par bharosa hota...
~*~
tu bhi aaj mohabbat-e-gum likh raha hota
agar kisi ne tujhe dhoka diya hota...
~*~
kaash tu bhi maire tarah barsaat main tanha hota....
[written by romil arora - copyright reserved]

Mohabbat


Mohabbat koiye khel nahi dil lagane ka
yeh to ek fhan hain rooh main utar jaane ka!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 7, 2009

kaash woh gair hota, apna na hota...

Jala diya tha maine aashiana kisi ke liye
kaash woh gair hota, apna na hota...
~~~
bheego li thi maine nazre kisi ke liye
kaash woh gair hota, apna na hota...
~~~
yeh dil na rota, yeh aankhon mein intezaar na hota
kaash woh gair hota, apna na hota...
~~~
main aise hi na kisi ko be-panah chahata
kaash woh gair hota, apna na hota...

#Romil

जला दिया था मैंने आशियाना किसी के लिए 
काश वो गैर होता अपना ना होता... 

भीगो ली थी मैंने नजरे किसी के लिए 
काश वो गैर होता अपना ना होता...

यह दिल ना रोता है, आंखों में इंतजार ना होता 
काश वो गैर होता अपना ना होता...

मैं ऐसे ही ना किसी को बेपनाह चाहता
काश वो गैर होता अपना ना होता...

#रोमिल

Wednesday, May 6, 2009

Mohabbat karti to kya baat hoti...

dillagi ki thi usne mujhse aye Romil
mohabbat karti to kya baat hoti...
~*~
baatein karna to uska shauk tha
dil humse lagati to kya baat hoti...
~*~

vaade, kasme to bahut khai thi usne
apne vaadon, kasmo par amal karti to kya baat hoti...
~*~
zindagi mere saath bitana chahti thi
do ghadi ka saath hi de jaati to kya baat hoti...

#Romil

दिल्लगी की थी उसने मुझसे ए रोमिल
मुहब्बत करती तो क्या बात होती...

बातें करना तो उसका शौक़ था
दिल हमसे लगाती तो क्या बात होती...

वादे, क़समें तो बहुत खाई थी उसने
अपने वादों, क़समों पर अमल करती तो क्या बात होती...

ज़िन्दगी मेरे साथ बिताना चाहती थी
दो घड़ी का साथ ही दे जाती तो क्या बात होती...

#रोमिल

Tuesday, May 5, 2009

vaada

aaj tak usne koi vaada nahi nibhaya tha Romil
magar alvida ka vaada dil se nibha gaya...

#Romil

आज तक उसने कोई वादा नहीं निभाया था रोमिल 
मगर अलविदा का वादा दिल से निभा गया... 

#रोमिल

shauk..


bahut marne ka shauk hain usse romil
dekhate hain hamare marne ke baad kaun chahta hain usse hamari tarah
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, May 2, 2009

meri BIWI kaise ho....

jiske zindagi ka laksya ho...
jo apni ek alag pehchan banana chahe...

fursat...


fursat jo mile kabhi tujhe yaad kar lena mujhe
hum chale aayenge haawaon par hokar saawar
tere pyar main hokar giraftar
fursat jo mile kabhi tujhe....
*~*
yaad kar lena woh beetein hue din
jab ek hichaki main bhi hum yaad aa jaya karte the
subah hote hi phoolon ki tarah dil main khil jaaya karte the
shaam hote hi panchi ki tarah dil ke ghosale main bas jaaya karte the
fursat jo mile kabhi tujhe yaad kar lena mujhe...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 1, 2009

meri BIWI kaise ho....

aaj se starting new topic...new masti...
"jo Pyar aur Parivar ke saath rahe"

be-reham...

suna hain uske paaoon main mooch aa gaye hain
be-reham ne baadi zor se mere dil par thokar maari thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch baat to jarur hogi...

kuch baat to jarur hogi ki woh bhulati nahi hain
har saans ke saath yaad aati hain...
~*~
koiye na koiye rishta to jarur hoga usse mera
aaise hi aankh kisi gair ke liye bhar jaati nahi hain....
kuch baat to jarur hogi ki woh bhulati nahi hain
har saans ke saath yaad aati hain...

~*~
har khushi main bas uska hi intezaar rehta hain mujhe
aaise hi khushi main koiye yaad aati nahi hain...
kuch baat to jarur hogi ki woh bhulati nahi hain
har saans ke saath yaad aati hain...
~*~

uski har baat kyun dil par lag jaati hain
uski liye kyon har pal dil main feekar rehti hain
uski khushi kyon rabb se yeh dil mangata rehta hain
aaise hi koiye rooh main nahi utar jaata hain....
kuch baat to jarur hogi ki woh bhulati nahi hain
har saans ke saath yaad aati hain...

[written by romil arora - copyright reserved]