Monday, December 28, 2009

Behti hawa sa tha woh...



Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Behti hawa sa tha woh
Udti patang sa tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...

Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...


Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh..

Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...


 Sulagti dhoop mein chaaon ke jaisa
Raigistaan mein gaaon ke jaisa
Mann ke ghav pe marham jaisa tha woh...


Hum sehme se rehte kooein mein
 Woh nadiya mein gotey lagata
Ulti dhara cheer ke tairta tha woh...

Baadal awara tha woh
Yaar humara tha woh
Kahan gaya usse dhoondo...


Humko to raahein thi chalati
Woh khud apni raah banata
Girta sambhalta masti mein chalta tha woh...

Humko kal ki fikar sataati
Woh bus aaj ka jashn manaata
Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh...


Kahan se aaya tha woh
Choo ke humare dil ko
Kahan gaya usse dhoondo...
[NOT WRITTEN BY ME]

No comments: