Saturday, January 30, 2010

~Dil Se~

Rote-Rote hoonton par muskaan aa jaati hain Romil
jab kitabon main koiye sukha hua phool nazar aa jaata hain...
***
Koiye Allah se puch kar yeh bata de Romil
Beta hua waqt kis tarah wapas aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

~vaade~

Rona chahu, tab bhi ro nahi pata hu Romil,
Dosti ke vaade bhi kitne ajeeb hote hain.
[written by romil arora - copyright reserved]

waafa ka deepak...

waafa ka deepak woh aaj bhi jalaye baitha hain
chandani raaton ko apne intezaar ki roshani se sajaye baitha hain...
***
yakeen hain usko aaj bhi tum aayoge jarur
is yakeen par woh teri bewafai bhulaiye baitha hain...
***
mile jab koiye usse tera zikr chedh deta hain
woh toote rishtee ko aaj bhi jodhe baitha tha...
***
puch na le koiye usse tanhai ki wajah
isliye hoonton par muskaan sajaiye baitha hain...
***
tujhse durr hokar bhi hain usse apni ibadat ka khayal
woh tere khaton ko apni geeta, apna quran banaiye baitha hain...
***
waafa ka deepak woh aaj bhi jalaye baitha hain
chandani raaton ko apne intezaar ki roshani se sajaiye baitha hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

TUM

mann yeh kehta hai lakhon mein ek ho TUM
shraddha se pathar ko khuda bana dete ho TUM!

#Romil

मन यह कहता है लाखों में एक हो तुम 
श्रद्धा से पत्थर को खुदा बना देते हो तुम! 

#रोमिल

Friday, January 29, 2010

~ada~

Aaj tak nahi samaj paya hu uski yeh ada Romil
Jab bhi mehfil main milta hain to parday ke saath
Jab bhi khawabon main milta hain to sar-e-aam...
[written by romil arora - copyright reserved]

~ada~

Badi ada ke saath tooda hain usne mera seesha sa dil Romil,
ab fhir judane ka mann nahi karta!
[written by romil arora - copyright reserved]

mazaak...

kiski majaal thi hamara mazaak banaiye romil
yeh to hum khud hi mazaak ban gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

dil se nahi, dimaag se mohabbat karte hai...

dil se nahi, dimaag se mohabbat karte hai
is jahan mein aise bhi humsafar hote hai...
***
hum to unka dar apna mandir samajhate hai
woh to thokar maar kar humko alvida kaha karte hai...
***
tere shehar ke haakim bhi bade ajeeb hai
khud zakhm dete hai fir haal-chal pucha karte hai...
***
waqt ki aandhiya kya rok payegi mere intezar ke safar ko
hum to sadiyon se safar karte hai...
***
kya sunaye apna haal aye duniya walo
jise dost samjho woh hi dushman hua karte hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, January 28, 2010

Shikwa nahi hain...

Shikwa nahi hai Romil,
Bas dil mein ek malal sa hai
Jisse aabad hone ki hasrat thi
Usne barbaad kar diya!

#Romil

शिक़वा नही है रोमिल,
बस दिल में एक मलाल सा है...
जिससे आबाद होने की हसरत थी
उसने बर्बाद कर दिया...

#रोमिल

~aitbaar~


main is umeed se karta rehta hu uska intezaar romil,
uska mizaj-e-rukh kab badal jaye aitbaar nahi.
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat-e-faristaa

mujhse bichada aur uff tak na ki usne romil,
uska humsafar koi mohabbat-e-farista hi hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

jahan ko jagao...

allah ne kahan hain duniya walon samaj jao
saache bande ko mat satao...
***
kisi ki bewafai main itna mat ro romil
thoda sa dil apna pathar ka bhi banao...
***
kya hua jo romil, tumko nahi mili mohabbat zindagi main
logon ko mohabbat kya hoti hain yeh batao...
***
behate hain jo aansoo tere gum mat karo
kisi insaan ko hasana seekhao...
***
so raha hain saara jahaan madhosi main
romil, tum hi utho is jahan ko jagao...
[written by romil arora - copyright reserved]

bahut dino ke baad tu mujhko yaad aaya...


bahut dino ke baad tu mujhko yaad aaya...
pathjhad ke mausam main baharon ka din aaya...
***
fhir nikale aansoo, khushiyoon ka paigam aaya
mere andhere ghar main suraj ka salaam aaya...
***
puch raha hain har lamha mujhse hisaab
sukhe hue zakhm se kyon khoon aaya...
***
chalte rehna to muqaddar hain musafir ka 
fhir zindagi main kyon tehraav aaya...
***
dil kehta hain, keh du duniya-e-jahaan ko allah hafiz
magar meri NAAZ ka abhi nahi paigam aaya...
***
bahut dino ke baad tu mujhko yaad aaya...
pathjhad ke mausam main baharon ka din aaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, January 27, 2010

woh chahiye aur mujhe kuch bhi nahi...


bahut dhoondha us bewafa ke haaton main apni lakeer maine
uske haaton main gair ki mehandi ke siva kuch bhi nahi...
***
bahut pucha usse apni waafa ka sila maine
uske hoonton main alvida ke siva kuch bhi nahi...
***
bahut gidgidha main uske pairon main
uske pairon main, maire liye thokar ke siva kuch bhi nahi...
***
dil bhi na jaane kaise zid par adaa hua hain
kehta hain... woh chahiye aur mujhe kuch bhi nahi...
[written by romil arora - copyright reserved]

humko yunh begano ki tarah na dekha kejeiye...


humko yunh begano ki tarah na dekha kejeiye
hum aapke hain yeh humpar bharosa kejeiye...
***
thukura denge hum har khushi aapke liye
mere mehboob ek baar to hum par aitbaar kejeiye...
***
abhi shayad tumko mehfiloon se fursat nahi hain
jab aayega tanhai ka mausam tab hamare ghar aa jaya kejeiye...
***
romil, na mil sake tumko waafa ka sila
fhir bhi us bewafa ke liye dua kiya kejeiye...
***
maana tera-mera ab dard ka rishta na raha
mere humdum kabhi-kabhi haalchal to puch liya kejeiye...
***
humko yunh begano ki tarah na dekha kejeiye
hum aapke hain yeh humpar bharosa kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, January 26, 2010

ANKHIYON KE JHAROKHON SE...




[FEMALE]
ek din,
tum bahut bade banoge ek din
chand se chamak uthoge ek din
will you forget me then? - 2 
[MALE]
how i can, tell me how i can? - 2 
***
[FEMALE]
maan lo kahin ki sehzaadi
baithi ho tumhare liye aankhen bichaye
aur use yeh zid ho ki woh shaadi
kisi se na karegi tumhaare sivaaye
will you forget me then?
[MALE]
yes i can, if only you can
***
[MALE]
ek din, le gaya tumhe jo koiye ajnabi
gair ki jo ho gai yeh zindagi
will you forget me then?
[FEMALE]
gentleman, oh no gentleman
***
[MALE]
saans-saans mein tumhari kushaboo
kis tarah jiyunga bolo tumko bhula ke
dil pe jaan pe kar chuki ho jaadu
jaanti ho poochhati ho phir bhi sata ke
will you forget me then?
[FEMALE]
gentleman, sorry gentleman..

khuda kare hum khaakh ho jaye...


duniya karti rahe gunah,
sab maaf ho jaye
hum unka naam bhi le le,
gunehgaar ho jaye...
***
kyon hume duniya wale samajhate hain deewana
ek muddat hain dil main hum paagal ho jaye...
***
kahe ki mohabbat
kahe ki ibadat
jab khuda hi dil-e-duniya se durr ho jaye...
***
humko is mohabbat ne diya hi kya hain
pehle to toote the sirf
khuda kare ab hum khaakh ho jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 25, 2010

yaad aata hain...

woh kitaboon main
tera naam likhana
woh deewaron main
tera naam likhana
abhi bhi yaad aata hain...
***
woh nazare milana
nazare milakar, nazare churana
tere pehlu main masumiyat ke saath so jaana
tere jhoomke ke saath khelana
abhi bhi yaad aata hain... 
***
woh beeta hua pal
jis pal main sirf tum aur hum the
woh pal bahut yaad aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 18, 2010

usse bichade hai, ab na jaane kisse milenge...

usse bichade hai, ab na jaane kisse milenge
zindagi na jaane kis aor le jayegi...
royenge ya fir hum muskurayenge
taqdeer na jaane kaun sa khel dekhayegi...
***
do qadam chale aur koi haath tham le
aarzoo yeh apni dil mein hi reh jayegi...
ab chot lag jaye
fir bhi aansoo nahi aate
cheekhe na jaane kis din humko rulayenge...
***
dil yeh kehta hai parwana ban jayun
tab shama mujhko chalayegi
khuda mile to puchenge hum
maut hamari kis ghadi aayegi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, January 17, 2010

khuda ka shukr hain...


apni waafa na sahi, bewafai ka ilzaam to aaya
shukr hain, uske hoonton par mera naam to aaya...
***
kaantein chube haanton main koiye baat nahi
shukr hain, mere hisse main bhi gulab to aaya...
***
koiye baat nahi jo usne mujhe dekh kar raasta badal liya
shukr hain, usse meri badnaami ka khayal to aaya...
***
yaadon ne din-raat bahut rulaya, gum nahi
shukr hain, issi bahane mere laboon par har pal uska naam to aaya...
***
abaad nahi barbaad hi sahi
shukr hain, yeh mohabbat ka paagalpan kuch kaam to aaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

itna na ro ki pak ho jaye...

itna na ro ki pak ho jaye
be-gunah par dhaye hue gunaaho se maaf ho jaye
**
maut ka kya hai woh to aayegi ek din jaroor
itna na ho sarminda ki har din maut ke gulam ho jaye
**
bhai ka mann to chahega hamesha bhehan ki khushiyan
chahe jitna bhi rishta alag ho jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 16, 2010

NAAZ ke ehsaano ke samne...

ek toota hua ghar hain duniya mere samne
rabb bhi kuch nahi hain meri dosti ke samne...
***
kehne ko to sabne chehare par chehare laga rakhe hain
magar saare naqaab utar jaate hain mere samne...
***
kaun khareed sakta hain mujhse meri dosti
yeh qayanat bhi mitti hain mere samne...
***
chahat to itni hain aasmaan main NAAZ ka naam likh du
magar kuch nahi kar paya apni majbooriyoon ke samne...
***
aaise sau zindagi lauta sakta hu NAAZ ke liye
bahut choti si baat hain NAAZ ke ehsaano ke samne...
[written by romil arora - copyright reserved]

do pal...

do pal jo saath uska mila
tabiyat apni machal gaye...
hoonth the ya sharab ke pyale
chal apni badal gaye...
dekha jo noor-e-chehara
rooh apni machal gaye...
zulfein thi ya ghane baadal
raatein apni badal gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, January 15, 2010

Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...

Kal jo tha mera
Woh ab gair ka hain
Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...
***
Jiska daman tha mere haat main
Ab woh kisi gair ke haaton main hain
Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...
***
Dil-e-barbaad ho chuka hain ab
Is toote ghar main fhir bhi rehta koiye hain
Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...
***
Bichad kar kehta hain woh
Agale janam main milenge
Janam-janam ka us bewafa se naata kaisa hain
Mohabbat ka yeh kaisa daur hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

nazare...

do pal jo tujhko dekh le meri nazare
saare zamane ki utha jaati hain meri taraf nazare...
~*~
do pal ki kya dosti tumse kar li maine
saare zamane ki dushman ho gaye hain nazare...
~*~
do pal ka kya mila tera saath mujhko
bandh darwaazo main bhi mujhko jhakti hain zamane ki nazare...
~*~
mohabbat kar li tumse
ya gunah kar liya
qaatil ki nigaah se dekhati hain zamare ki nazare...
~*~
ab jayun to jayun kahan intezaar-e-safar se
maut tak bhi peecha nahi chodati zamane ki nazare...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, January 14, 2010

sanam bewafai to na kiye kejeiye...

jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
pehle se mere pass gum kam nahi hain
sanam aur na gum aata kiya kejeiye...
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
aapse hi hoti thi sehar apni
aapse hi zindagi roshan hai
meri zindagi ko andheron ka na ghulam kejeiye..
jaan chahte hain to meri  jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
yunh to mohabbat ke siwa aur bhi gum hain zamane main
baat to isme hain kis gum ko apna samajheiye
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiya kejeiye...
***
aap kahe to chod de hum tera shehar bhi
magar gair ke saath yunh na haans-haans kar mila kejeiye
jaan chahte hain to meri jaan le lejeiye
sanam bewafai to na kiye kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

dilwalon ki bhi suna kejeiye...


maana ki nahi hain hum aapke dost
ajnaabi samaj kar hi salam qabool kar lejeiye.
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
sadiyoon se khaye hain zakhm is dil ne
do pal isko qarar laine dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
do ghadi ke liye hi sahi batiye anjuman main aakar hamare
is banjar ko bhi mehka dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
chahane se to mil jaata hain khuda bhi
bas ek baar jo dil man thaan lejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
***
raat ho gaye hain be-naqaab na fhera karo chaat par
chand ko bhi logon ko dekh laine dejeiye
dilwalon ki bhi suna kejeiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, January 13, 2010

zindagi ke safar main chalte hain...

na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
***
tere baaton main khoya-khoya sa din betata hain
tere khaton ko kabhi padh kar haste hain
kabhi rote hain....
***
na fikar hain humko apni
na zamane ki fikar hum karte hain
khawabon main jeete hain
khawabon main marate hain...
***
kaun hain apna
kaun hain paraya
yeh sab beekar ki baatein hain
jo kehta hain salam usko salam keh daite hain
jo kehta hain khuda hafiz usko khuda hafiz keh daite hain...
na jeete hain aur na marate hain
hum to bas zindagi ke safar main chalte hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...

USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE
DIL ZAKHM KHATA GAYA UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
HUM JANTE NAHI THE ANJAAM-E-MOHABBAT YEH HOGA
AANKHON SE LAHOO GIRATE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
UMAR BHAR SAATH DENE KI QASME KHANE WALE
DO KADAM SAATH BHI CHAL NA SAKE
HUM TANHA CHALTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
***
GHUM KI DUNIYA MEIN WOH HUMKO CHHOD KAR
SAATH GAIR KE CHAL DIYE APNI KHUSHIYON KE LIYE
HUM ROZ JEETE-MARTE GAYE UNKA SUKRIYA KEHTE HUE
USNE HUMKO DHOKHE PAR DHOKHE DIYE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Tuesday, January 12, 2010

is saal...

is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
aankhon se girate rahe aansoo
khushi ka ek bhi pal na aaya.
is saal...
***
puchate rahe log haal-e-dil mera
kisi se magar yeh dil kuch keh na paya.
is saal...
***
kasoor kiska tha
mera ya
uska
yeh dil abhi tak samaj na paya.
is saal uski yaadon se bahut sataya
bahut rulaya
bahut tarfhaya
[written by romil arora - copyright reserved]

socho tumko kya karna hain...

socho tumko kya karna hain
highschool ki age main highschool pass karna hain
ya fhir 50 ki age main highschool pass karna hain.
socho tumko kya karna hain...
***
vibhishan ban kar rama ko pana hain
ya fhir raavan ban kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
roz-roz padh kar har test, exam main pass hona hain
ya fhir final exam main padh kar pass hona hain.
socho tumko kya karna hain...
***
sudama ban kar krishna ko pana hain
ya fhir kaansh ban kar krishna ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
rama-rama keh kar rama ko pana hain
ya maara-maara keh kar rama ko pana hain.
socho tumko kya karna hain...
***
mann se ishwar ka naam lena hain
ya fhir be-mann ishwar ka naam lena hain
socho tumko kya karna hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 11, 2010

Woh bata kar jaata to aacha hota...

Woh bata kar jaata to aacha hota
Hum intezaar mein raatein na bitate to aacha hota...
*
Yunh hi na jalta rehta diya meri dehlez par
Woh bhujha kar jaata to aacha hota...
*
Mere zakhmo ko nasur bana diya haawao ne
Woh haawao ko samjha kar jaata to aacha hota...
*
Duniya wale na kehte mujhe pagal
Agar woh mera saath nibha kar duniya se jaata to aacha hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

mann mein sharaddha bhar le...

woh pooja bhi kaisi pooja
jisme sharaddha na hoye
baade-baade mandir mein
bhakt na aaye koi...
***
roz-roz japta rahe ram ka naam
par ram ka darshan na hoye
mara-mara keh kar bhi likh di ramayan
valmiki ki sharaddha aisi hoye...
***
bin mandir bhi ghanshyam dekhe
meera thi aisi diwani.

bin aakhiyan ke krishna dikhe
surdas ke mann ki aankhen suhani.

bin guru-darshan hi dhanudhar bane
aklavya ki bhakti nirali.

mann mein sharaddha bhar le
prem-pooja ki yahi hai nishani...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 9, 2010

waafadar se bewafai karna galat hota hain...


waafadar se bewafai karna galat hota hain
is zamane main bahut kaam ke pass waafa ka hunar hota hain...
***
khushi to dikhati hain roshani ke maakano main
gum ka bhi apna aashiana hota hain...
***
yunh to bik jaate hain har rishtee is zamane main
magar kahan daulat se mohabbat ka sauda hota hain...
***
kehte hain zamane wale usko paagal
kahan sabko mohabbat ka rog pata hota hain...
***
tanha rehna to uska muqaddar hain
mehfilon se kahan dil ka behalna hota hain...
***
chod kar chal diya woh saath sabka
intezaar ka aakhir yahi sila hota hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 4, 2010

jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain


jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayaal aata hain
apna diwana pan yaad aata hain
unka husn yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain...
***
jalti hue aag ke samne
jalte hue do badan yaad aate hain...
kabhi unka nazarein jhukana yaad hain
kabhi nazaron se teer chalana yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
***
kehne ko to bahut baatein thi
magar laboon ka thar-tharana yaad aata hain
kabhi unka kuch kehte-kehte rukh jaana yaad aata hain
kabhi hamara mishri ki tarah baatein bolana yaad aata hain...
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
***
har lamha bahut tarfhata hain
pal-pal yaad dilata hain
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
chehare se zulfoon ko hatana yaad aata hain
sharam se pairon ko daaman main chupana yaad aata hain
makhmali haaton main churiyoon ka khan-khanana yaad aata hain
woh ungaliyoon se zameen par harkatein karna yaad aata hain..
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain
humko unka khayal aata hain...
apna diwana pan yaad aata hain
unka husn yaad aata hain.
jab-jab sardiyoon ka mausam aata hain...
[Written by Romil Arora - Copyright Reserved]

PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA...


PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA
APNA TO JEENA HI MOHAAL KIYA...
***
PEHLE SOYE REHTE THE HUM CHAIN-O-SUKOON SE
USNE TO HUMKO KHAWABON KA GHULAM KIYA...
***
HUMKO USSE BEWAFAI KI UMEEDH NA THI
MAGAR USNE BHI BEWAFAI KA KAAM KIYA..
***
NA-MUMKIN THA MERE CHEHARE PAR UDASI AANA
YEH KAAM BHI USNE AASAN KIYA...
***
BAADE NAAZ SE FHIRTE THE APNE SHEHAR MAIN
USNE TO HAMARA GHAR SE NIKALNA MOHAAL KIYA...
PUCHO NA MOHABBAT NE KAISA HAAL KIYA
APNA TO JEENA HI MOHAAL KIYA..
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Sunday, January 3, 2010

saahil ke kinare ek shaks...

saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga..
jab mohabbat ka zikr uske samne cheeda hoga
to saagar main bhi ek toofan utha hoga...
***
likh kar khat saagar main dal raha hoga
rait par kisi ka naam likh raha hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
***
jab nazaron ki taraf uske dekhoge
to saadiyoon ka intezaar jaise chipa hoga
sab to chale jaate honge saahil ko tanha chod kar
woh zameen par chand ke utarane ka intezaar karta hoga...
saahil ke kinare ek shaks
khoya-khoya sa tumko mila hoga...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 2, 2010

PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE...

PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE...
***
CHUP-CHUP KAR RONA CHAHA
TO ROSHANI NE RONE NA DIYA
UNKA NAAM LENA CHAHA
TO DUNIYA-WALON NE LENE NA DIYA
DIL TO CHAHATA RAHA KI MARR JAYE
MAGAR UNKE VAADE NE MARNE KA DIYA
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
***
NA KISI SE GILA
NA SHIKWA KISI SE KAR PAYE
GHUT-GHUT KAR ROZ MARATE RAHE
KISI SE FARIYAAD NA KAR PAYE
UNKI YAADEIN KAATON KI TARAH
DIL KO CHANNI KARTI RAHI
HUM UFF TAK NA KAR PAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE.
***
PAGAL KEHNE LAGE DUNIYA-WALE HUMKO
NAZARE TAK HUMSE LAGE CHURANE
JEENA ITNA MOHAAL KAR DIYA
KI SHEHAR MAIN REH NA PAYE.
PUCHO NA ISHQ NE KAISE-KAISE DIN DEKHAIYE
KUCH TO UNKI MOHABBAT NE BADNAAM KAR DIYA
KUCH TO SITAM APNO NE DHAYE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

ishq ka rog bhi aisa hota hai...

tanha-tanha firte rehte hai
dard mein bhi muskurate rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse dhokha mile usi ko dua dete rehte hai...
***
kehne ko to sab pagal kaha karte hai
woh dil ki baaton mein hi khoye rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse milti hai thokar usi ko sahara diya karte hai...
***
puccho to haal
kehte hai sab qaram mehboob ka hai
muflisi ki haalat mein bhi ameer bane rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse milti hai berukhi usi ko apna khuda kehte rehte hai...
***
ho jaate hai ruksat zamane se
mehboob ko badnaam nahi hone dete hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
janaza uthne tak mehboob ka intezar kiya karte hai...
tanha-tanha firte rehte hai
dard mein bhi muskurate rehte hai
ishq ka rog bhi aisa hota hai romil
jisse dhokha mile usi ko dua dete rehte hai...

#Romil

तन्हा-तन्हा फिरते रहते हैं 
दर्द में भी मुस्कुराते रहते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे धोखा मिले उसी को दुआ देते रहते हैं 

कहने को तो सब पागल कहा करते हैं 
वह दिल की बातों में ही खोए रहते हैं
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे मिलती है ठोकर उसी को सहारा दिया करते हैं

पूछो तो हाल
कहते हैं सब कर्म महबूब का है 
मुफ़्लिजी मुफ़्लिजी की हालत में भी अमीर बने रहते हैं
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिसे मिलती है बेरुखी उसी को अपना खुदा कहते रहते हैं... 

हो जाते हैं रुख़सत जमाने से 
महबूब को बदनाम नहीं होने देते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जनाजा उठने तक महबूब का इंतजार किया करते हैं
तन्हा-तन्हा फिरते रहते हैं 
दर्द में भी मुस्कुराते रहते हैं 
इश्क का रोग भी ऐसा होता है रोमिल 
जिससे धोखा मिले उसी को दुआ देते रहते हैं

#रोमिल