Sunday, April 18, 2010

Yahaan Main Ajnabi Hoon


Kabhi… Pahale Dekhaa… Nahin Yeh… Samaan
Yeh Main… Bhoole Se Aa Gayaa… Hoon Kahaan
*
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
Main Jo Hoon Bas Vahi Hoon - 2
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Kahaan Shaam-O-Sehar Yeh
Kahaan Din-Raat Mere
Bahut Rusavaa Hue Hain
Yahaan Jazbaat Mere
*
Nayi Tehzeeb Hai Yeh
Naya Hai Ye Zamaana
Magar Main Aadmi Hoon
Wahi Sadiyon Puraanaa
*
Main Kya Jaanuun Yeh Baatein
Zara Insaaf Karna
Meri Gustaakiyon Ko
Kudaaraa Maaf Karanaa

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Teri Bahoon Mein Dekhoon
Sanam Gairon Ki Baahein
Main Launga Kahaan Se
Bhala Aisi Nigaahein
*
Yeh Koi Raqs Hoga
Koi Dastuur Hoga
Mujhe Dastuur Aisa
Kahaan Manzuur Hoga
*
Bhala Kaise Yeh Mera Lahoo Ho Jaaye Paani
Main Kaise Bhool Jaauun Main Hoon Hindustaani

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Mujhe Bhi Hai Shikayat
Tujhe Bhi To Gila Hai
Yahi Shikave Hamaari
Mohabbat Ka Silaa Hain
*
Kabhii Magarib Se Mashariq
Mila Hai Jo Milega
Jahaan Ka Phool Hai Jo
Vahin Pe Vo Khilega
*
Tere Unche Mahal Mein Nahin Mera Guzaara
Mujhe Yaad Aa Rahaa Hai Woh Chhota Saa Shikaara
*
Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
*
Main Jo Hoon Bas Wahi Hoon - 2

Yahaan Main Ajnabi Hoon - 2
[NOT WRITTEN BY ME]

No comments: