Tuesday, June 19, 2018

Radio.. Chhai Chappa Chhai... Dil diyan gallan...tenu itna main pyar karaan...aapki aankhon mein...tere pass aakar...

Chhai Chappa Chhai...
Chappa ke Chhai...
Paniyon ke chheete udaati hui ladki...

"Radio ki Volume thodi low rakho Hero... Padosi bhi rehte hai...

Kapde parchatti pe fhelate hue" tum bol uthi thi...

"Khoobsurat lag rahi ho simple look mein... Sardarni... Kyon aaj office jakar kursi todne ka irada nahi hai..." Main coffee ka ghut peete bol utha tha...

"Nahi... Aaj evening mein koi movie chalenge, kuch South Indian khayenge... aaj Book ka final karna hi hai kisi bhi tarah..." tumne kahan tha...

"Dil diya gallan karange naal-naal beh ke, ank naal ank nu mila ke...
Dil diya gallan...

Radio apne poore shabab pe tha... Umas garmi se haal behaal sa hua pada tha... Pankha bhi mar-mar kar chal raha tha...

Kursi pe bethate hue tumne kahan tha...
"Yeh bucket, bathroom mein rakh do please aur mera lappi mujhe de do... Lunch mein kuch banana chaho to bana lo, warna tiffin mangwa lena... Breakfast ke liye fruits chaat hai hi, bread+butter+jam bhi hai... Juice bhi rakha hi hai... Wahi ho jayega...

Aaj to book ka final karna hi hai..." Tum laptop kholate hue boli thi...

Radio angdaiyaan lekar dusare track pe pahuch chuka tha...

"tenu itna main pyar karaan...
ek pal vich sau baar karaan...
tu jaave je mainu chhad ke maut da intezaar kara..."

Oye hero... Idhar aao... fruit chaat khaate hue tumne mujhe pukara tha...

"Cover page kaisa hai? Kya kuch changes required hai?  Meri taraf se to final hai...

Paper bhi final kar diya hai...grm., quality, bhi dekh liya hai...

Under ka design bhi final hai... Cover colorful rahega aur under black n white... 

Font... Font size sab check kar liya hai...

Yeh kuch sketches bhi banwaye hai... Jo content ke saath hi place honge... woh bhi final hai...

Publishers bhi final hai... Cost to humein hi lagani hai...

Bas Mata Rani ka ashirdwad lekar printing mein dalna hai... 

Radio apni dhun mein baj raha tha..

"Aapki aankhon mein kuch mehake hue se raaz hai....
Aapse bhi khoobsurat aapke andaaz hai..."

Maine kahan tha bread+butter lagate hue...

"tumhe kya lagta hai cost recovery ho payegi?... itna expenses karne ki kya jarurat hai?..."

Tum bread+butter khate hue bol uthi thi....
"mere pass marketing plan hai... No tension... Cost recover ho jayegi... Ab kahi na kahi se to tumko start dena hi padega na... Risk to lena hi padega...

Nahi to panne fhad-fhad ke rocket udayenge ya fir chapati-sabji rakh-rakh khayenge... hehehehe...

Accha coffee bana lao... Ab tumhari turn hai... evening ko meri turn...

Radio pe tarane-nagme baj rahe the...

"Humne tujhko pyar kiya hai jitna...
kaun karega utna...
Kaun karega utna..."

Main kitchen se coffee banate bol utha...
"Khichadi chalegi Lunch mein... Dahi ke saath..."

Tumne jawab diya tha... Haan... Par simple si... Koi Punjabi experiment mat karna khichadi mein... Simple sa tadka, nahi to main laga lungi... Tum Punjabi experiment mat karna...

Tumhari aur Radio ki awaaz mere kaano mein aa rahi thi...

"Tere pass aakar mera waqt guzar jaata hai...
Do ghadi ke liye gum jaane kidhar jaata hai..."

- raj

No comments: