Thursday, June 21, 2018

Radio... Sheharon ki galiyon mein jab andhera hota hai... Chura hai tumne Dil ko... Thoda hai thode ki jarurat hai...

Oye Bawarchi.... Khamsha...
Coffee nahi pilaoge Kya? Aaj tumhara turn tha...
(tumne kahan tha)

(maine bola tha)
Tumhe coffee ki padi hai... Yahan ghar mein chori ho gai hai...

(tumne jawab diya tha....)
Chori... aisa kya loot-putt gaya... mujhe to sab cheezein barobar nazar aa rahi hai...

(maine zor se kahan tha)
Radio... Tumko dikh nahi raha... Radio chori ho gaya hai...

(tumne turant jawab diya)
Fir yeh kaho Chori nahi Daaka pada hai... Daaka... Daku loot le gaye tumhari amanat ko...

Main coffee bana ke laati hun...
Tum gaana gaate hue kitchen mein ghus gai...

"jab andhera hota hai...
aadhi raat ke baad...
ek chor nikalta hai kaali si sadak pe...
tab yeh aawaz aati hai...
Chor... Chor... Chor...
sheharon ki galiyon mein jab andhera hota hai..."

(main bola tha)
Nahi peeni tumhari coffee... Mujhe to chor ghar ka hi koi lag raha hai...

(tumne jhatak se bola)
Matlab Kya hai tumhara? Yahan hum dono ke siwa teesara rehta kaun hai? Be-matlab ka shaq mat karo... Main us fatichar Radio ka kya karungi...

pehle dhundhoo fir ilzaam lagana...

tum gaana gungunati hui room mein aa gai aur boli aaj to Sunday hai full day aaram se TV dekhungi...

"Chura liya hai tumne jo dil ko...
Nazar nahi churana sanam...
Badal ke meri zindagani...
Kahi badal na jaana sanam..."

(Maine) poore ghar ki talashi le li... Par Radio kahi na Mila... Aakhir mein tumhare samne haath jodne pe (tumne kahan)...

Agar tum evening mein mujhe bahaar le-jakar mere pasandeeda snacks khilaoge to bata sakti hun...

(Maine tumhari Shart maante hue haami bhar di...)

(Tumne kahan...)
Kitchen meim aate ke peepe ke andar rakha hai tumhara Radio...

Fir radio start karte hi ek surila geet nikal pada...

"thoda hai... thode ki jarurat hai...
zindagi fir bhi yahaan khoobsurat hai...

thoda hai... thode ki jarurat hai..."

- raj

No comments: