"Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna"
Bhookh Se Marr Raha Hu Main,
Aur Tum Ise Bimari Ka Bahana Dete Ho.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...
Garibi Se Khudkhushi Kar Raha Hai Kisan,
Aur Tum Ise Ghar ka Jhagada Batate Ho.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...
Mera Marna To Log Bhool Jayenge,
Kuch Pal Yeh Akhbaar Wale Mere Dukhi Jeevan Ko Dekhayenge,
Fir Kisi Khushi Mein Yeh Bhi Kho Jayenge.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...
Jab Log Tumse Is Khet Ka Marna Puchenge,
Kya Bataoge?
Kyon Bangar Pada Hai Yeh?
Kyon Ismein Fhashal Nahi Khilkhila Rahi?
Kyon Dharti Maa Ro Rahi?
Meri Maut To Chhupa Paoge.
Magar Kaise Chhupa Paoge Is Khet Ka Marna...
#Romil
No comments:
Post a Comment