Showing posts with label Bhakti Sangeet. Show all posts
Showing posts with label Bhakti Sangeet. Show all posts

Tuesday, September 30, 2008

Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa...


Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
~*~
Mahima Teri Badi Nirali,
Tu Hai Sherowali Maa, Jyotawali Maa,
Vishnu, Brahma, Shiv Ji Ne Gurgaan Tera Gaaya Hai!
Tera Deedar Jisne Kiya Maa,
Usne Apna Jeevan Paar Lagaya Hai!
~*~
Mujhe Bhi Do Bhakti Ka Vardaan,
Daya Ab Karo Maa, Rakho Apne Balak Ka Dhyan!
Ho Asha Poori Meri Maa,
Bas Mann Mein Rahe Teri Murat Maa!
~*~
Veenati Karo Manjoor Maa,
Dedo Bhakti Ka Daan Maa,
Tumhare Charno Mein Rahu Mein Hamesha,
Rakhna Apne Balak Ka Dhyan Maa!
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Sunday, September 14, 2008

Jo Kuch Bhi Karo Shyam Tum Karo


Chahe Aabad Karo,
Chahe Barbad Karo,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
~*~
Chahe Sukh Do,
Chahe Dukh Do,
Jo Kuch Bhi Do, Shyam Tum Do!

~*~
Chahe Yahaan Rakkho,
Chahe Wahan Rakkho,
Jahan Bhi Rakkho, Bas Shyam Apni Nazron Ke Saamne Rakkho!
~*~
Jeevan Do,
Chahe Jeevan Lo,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
~*~
Jo Ho Tumhari Marzi,
Shyam Tum Wohi Karo,
Sab Kuch Tumko Samarpith Hai,
Bas Prathana Itni Hai,
Jo Kuch Bhi Karo, Shyam Tum Karo!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 13, 2008

Mujhe Aisa Vardan De...




~*~Mere Waheguru~*~

Dena Hai To Mujhe Aisa Vardan De...

"Saada Sach Bolu"
"Saada Sachai Ke Raste Par Chalu"
"Saada Imandar Rahu"
"Saada Tera Gurgan Karu"
"Saada Dusaron Ki Madad Karu"
"Jarurat Se Jyada Kisi Bhi Vastu Ka Upyog Na Karu"
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 7, 2008

Mere Allah... Gunah Na Ho Mujhse



Mere Allah...

Gunah Na Ho Mujhse
Aisa Karam Mujhpar Kar Allah.
~*~
Insaniyat Ka Karam Karu,
Aisi Rehmat Mujhpar Kar Allah.
~*~
Baksh Meri Har Khata,
Apna Banda Mujhe Bana Allah.
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 6, 2008

Om Jai Jai Jai Shri Ganesh!




Dukh Harta,
Sabka Palanhara,
Sabko Sukh-Shanti Deta,
Om Jai Jai Jai Shri Ganesh!



Mata Parvati,
Pita Shiva,
Modak Ka Bhog Lagta,
Muse Ki Sawari Jise Pasand,
Om Jai Jai Jai Shri Ganesh!



Mann Se Vandan Jiska Sab Karte,
Subh Karmo Mein Jiska Naam Sab Japte,
Ghar-Ghar Jiski Pooja Hoti,
Om Jai Jai Jai Shri Ganesh!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 22, 2008

Aaja Re Aaja Kanhaiya,




Aaja Re Aaja Kanhaiya,
Aaja Re Aaja Kanhaiya,
Brij Mein Gopiya Akele-Akele Ghume,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!



Brindavan Ki Galiyaan Tum Bin Suni-Suni Lage,
Nis Din Tumhari Yaad Mein Aakhiyan Roye Lage,
Ab Na Pucho Kanhaiya Kya Haal Hai Hamre,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!


Tum Bin Koi Na Jamuna Ke Pass Basuri Bajaye,
Na Hi Koi Gopiyo Ke Saath Raas Rachaye,
Hamare Ghar Mein Bhi Koi Na Makhan Churaye,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!


Ab To Daras Dikhajaa Natkhat,
Ab Kya-Kya Tumko Apni Peeda Hum Sunaye,
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
Aaja Re Aaja Kanhaiya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Janmo-Janmo Re Kanhaiya...



Janmo-Janmo Re Kanhaiya,
Natkhat Sa Kanhaiya Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!


Sabko Darash Dekhane Aaya,
Murli Ki Dhun Sunane Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!


Bharat Ka Rakhwala Aaya,
Geeta Ka Vachan Sunane Aaya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!

Yasodha Ka Lal Aaya,
Hari Ka Swaroop Laya,
Aaya Aaya Re Kanhaiya Aaya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Sun Re Kanhaiya Ki Maiya...



Ohh. Sun Re Kanhaiya Ki Maiya...



Chota Sa, Pyara Sa,
Baada Natkhat Hai,
Tera Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Hum Kya Kare Yasodha Maiya...



Chheed Kar Humko,
Jaane Kahan Chup Jata Hai,
Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Hum Kya Kare Yasodha Maiya...




Makhan Churaye,
Sabko Kheelaye,
Matki Hamari Fhood Jaye,
Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,

Hum Kya Kare Yasodha Maiya...


Sabka Pyara,
Jag Ka Dulara,
Kyon Hai Itna Natkhat Kanhaiya,
Tu Hi Samjha Humko,
Kyon Hai Itna Natkhat Kanhaiya...
Ohh. Kanhaiya Ki Maiya... Tu Hi Samjha Humko.
[written by romil arora - copyright reserved] 

Krishna Kanhaiya...



Chota Sa, Re Pyara Sa 
Krishna Kanhaiya,
Sabki Aankhon Ka Tara
Krishna Kanhaiya,
Jag Ka Dulara
Krishna Kanhaiya!

Sabka Rakhwala, 
Krishna Kanhaiya,
Yasodha Ka Ladla 
Krishna Kanhaiya,
Radha Ka Deewana
Krishna Kanhaiya!

Mohani Surat Wala
Krishna Kanhaiya,
Moor Mukhat Dharak
Krishna Kanhaiya
Sabko Apni Bansuri Ki Dhun Par Nachaye 
Krishna Kanhaiya!
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, May 29, 2008

BASURIYA DEDE MOHE!

BASURIYA DEDE MOHE!

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kahe chupaye!

Basuri ke bin to main hu re aadhura,
Kya beegade meri basuriya, teri Radha
Mohe tu bataye!

(Radha) 
Kaise main de du, basuri tujhko re Kahna,
Yeh basuri to meri saaut si kehlaye!

Teri basuri ki dhun mein,
main shud-bhud bhul jayun,
chhodkar sab kaam-kaaz,
tere pass kheechi chali aau!

(Kahna)
Meri basuri to keval prem ki dhun sunaye,
kisi ko bhi tanik si chot na pahuchaye,
meri gaayein (cow) to bhi basuri sun – sun, dhumak - dhumak chali aaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kaahe chupaye!

(Radha)
Kaisi yeh sautan meri tujhe, mujhse bhi jyada bhaye,
nahi dungi basuri tujhe Kahna,
tohe diyo bataye.

(Kahna) 
Kaahe sataye, Kaahe ko rulaye,
Dede meri basuriya,
Radha, Kaahe chupaye!
[written by romil arora - copyright reserved]

Oh Radhey, Oh Radhey, Kaise Utarunga Tera Udhar



"Oh Radhey, Oh Radhey, Kaise Utarunga Tera Udhar"


Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,
Oh Radhey, Oh Radhey,
Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,

Jag ka main rakhwala bansi bajaiya,
meri bansuri ki dhun par naache saara jag Ta-Ta-Thaiya,

Jag ko main dene wala, par,
bas tera hi ek main udhari,
kaise utarunga tere pyaar ki udhari.

Oh Radhey, Oh Radhey, Radhey, Radhey..........

Kahe kare hai to itna re pyar re,
mere intezar mein hai kyon re beqarar re,
mere hi yaadon ko yaad kar kyon mujhko saataiye re,
kaahe ko mujh par itna prem dekhaiye re,

Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,

Udhav ko maine bhejha, tohe samjhane,
par tu to itni ziddi,
baat uski na samajh paye,
usko re tune he ulta diya prem samjhaye,

Oh Radhey, Oh Radhey,
Kaise utarunga tera udhar,
Kaise utarunga tera pyar...
written by romil arora - copyright reserved

MAIYA MOHE RADHA DILA DE

"MAIYA MOHE RADHA DILA DE" 

 Maiya mohe Radha dila de, 
dila de re, 
Maiye mohe Radha dila de. 
 
Gori - Gori Radha ke nayan kajrare,
Dekh-Dekh mohe par doore daale, 
Uski re preet mein, main khoya rahu, 
sudh-budh bulkar bas Radha - Radha kahu.... 
Tujhse bas yahi mangu, 
mohe Radha dila de, 
Ohhhhhh Maiya 
mohe Radha dila de, 
dila de re.....
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, May 28, 2008

Hame To Lagi Lagan, Prabhu Aapko Bulane Ki

"Hame To Lagi Lagan, Prabhu Aapko Bulane Ki"

Hame to lagi lagan, 
prabhu aapko bulane ki, 
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...

tumhi ne to dropadhi ko bachaya tha, 
sabha ke bech uska cheer fir badaya tha, 
dair fir ki nahi thi laaj ko bachane mein,
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...
 
Hame to lagi lagan,
prabhu aapko bulane ki, 
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki...

tumhi ne to prehaladh ko bachaya tha, 
sabha ke bech narshingh roop lekar tu aaya tha,
dair fir ki nahi thi jaan ko bachane mein,
daya ho jaye prabhu ek baar aane ki... 

Rab hi ek hi saccha, rab hai.
 ek hi naam, rab se bada na koi duja, 
japle bandhe iska naam, 
bolo waheguru, waheguru, waheguru, satnaam waheguru, satnaam waheguru
[written by romil arora - copyright reserved]