Showing posts with label Maa. Show all posts
Showing posts with label Maa. Show all posts

Saturday, May 19, 2018

Yeh alag-alag dharm ka alag-alag dress code kyon hota hai...

Ammi kehti thi...

Bhalu...

Jitni zarurat hoti hai parinde utna hi bada ghosala banate hai...
Chentiyaan sanjokar khana rakhti hai...

Suraj bina ruke-thake jalta rehta hai...
Kiske aadesh ka palan kar raha hai...

Bailon-Gayon ke kadmo ki dhool Saanjh hote hi udne lagti hai...
Dudh mein ghee-malai-makhan kaha chhupa hota hai...

Kaise subah ki pehli kiran ki aahat se phool khil uthate hai...
Yeh indradhanush kyon itne rangon se range hote hai...

Jangal mein ped-paude-phoolon ki rakhwali kaun karta hai...
Yeh alag-alag dharm ka alag-alag dress code kyon hota hai...

Is ghumati hui dunia mein insaan umarbhar ghumata hi kyon rehta hai...
Sambhalkar baith kyon nahi jata hai...

#Romil Raj

Kajal ka chhota sa tika tere maathe pe laga dun...

Ammi kehti thi...

Bhalu... Kajal ka chhota sa tika tere maathe pe laga dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Goad mein sar rakh le...
Tujhe sukun wali neend dila dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Garm Ghee-Cheeni sang tujhe roti khilwa dun...
Matke ke thande pani mein nimboo-shakkar mila shikangi bana dun...
Chandani se bheege khule thande aasman mein tere liye pateeli bhar Kheer rakh dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

Mango-Shake piyega ya fir burf fhodke Lassi bana dun...
Kulfi khayega ya thanda-thanda rooh-afza bana dun...
Thandai to piyega hi... Sang mein Badam-Kaju Shake bhi bana dun...
Aa tujhe maa wala pyar dun...

#Romil Raj

Friday, May 18, 2018

Dheere-Dheere hi asar karega...

Ammi kehti thi...

Bhalu... Tu na meethi dava ki goli sa hai...
Dheere-Dheere hi asar karega...

Elachi sa hai tu...
Zindagi mein mehak bharega...

Ghee mein chupadi Roti sa hai...
Mathani se madi hui Lassi sa hai...
Silbatte pe pise hue Masale sa hai...
Martbaano mein rakha hua purana Aachar sa hai...
Okhali mein peesi teekhi Lal Mirchi sa hai...
Rasoi si aati Halwe ki khushboo sa hai...
Tu rooh mein utarkar dastak to karega...

Asar karega... Dheere-Dheere hi asar karega...

#Romil Arora

Sabse pehla davaikhana apni Rasoi hoti hai...

Ammi kehti thi...

Ise pavitra, sudh, saaf-suthara rakho...
Sabse pehla davaikhana apni Rasoi hoti hai...

Ismein thodi si mishri rakho...
Juban meethi rahe to hi aachi lagti hai...

Yeh koi mazboori ka samjhauta nahi hai...
Sar dhaka rahe to Surat sohni lagti hai...

Hamesha aachi kitabon se dil lagaye rakho...
Rooh ke liye yeh khuraak jaroori lagti hai...

Neki... Khidmat-pasandagi... Ebadat... Naam ki Kamai... Haq-halal ki kamai...
Inke bina zindagi ik mrityun si lagti hai...

#Romil Arora

Thursday, May 17, 2018

Jao use khushboo ki kitab de aao...

Ammi kehti thi....

Jao use khushboo ki kitab de aao...
Use ik gulab de aao...

Yunh na likho baar-baar uska naam kaagazon pe...
Utho jao use sorry ka greeting card de aao...

Chaurahe pe jao Chai piyo...
Use bun-makhan khilao...
Gurudware le jao... Mattha tika aao...
Kuch dair wahi baithkar Gurbani bhi sun aao...

Lautate hue uski pasand ki Sabji lete aana...
Bana dungi...
Raat hote hi Kheer sang Sabji uske ghar de aao...

Ab utho bhi...
Ghar mein lete-lete manusiyat mat pehlao...

Jao...

#Romil Raj

Tuesday, May 8, 2018

Manjhi ko akele hi toofano se kasti ubharni padti hai...

Maa kehti thi...

Bhalu... Chhote se deep ki lau...
Milo ke andhere ko haraa deti hai...

Jhoot ki raat kitni bhi kaali kyon na ho...
Sach ke Suraj ke samne tik nahi sakti hai...

Log tumhe darayenge... Darr dikhayenge...
Dhamkayenge....
Tumhare raste mein kaantein bichayenge...
Sach ki raah ke liye bhut gehri keemat chukani padti hai...

aur

Hamesha jeet tumhari ho yeh jaruri nahi...
Kabhi-Kabhi gir kar chhot bhi khani padti hai...

aur

Tere saath koi nahi... is baat ka dil mein malal na rakhna...
Manjhi ko akele hi toofano se kasti ubharni padti hai...

#Romil

माँ कहती थी...

भालू.... छोटे से दीप की लौ...
मीलों के अँधेरे को हरा देती है...

झूठ की रात कितनी भी काली क्यों ना हो... 
सच के सूरज के सामने टिक नहीं सकती है... 

लोग तुम्हें डराएंगे... 
डर दिखाएंगे... धमकाएंगे... 
तुम्हारे रास्ते में कांटे बिछाएंगे... 
सच की राह के लिए बहुत गहरी कीमत चुकानी पड़ती है... 

और 

हमेशा जीत तुम्हारी हो यह जरूरी नहीं... 
कभी-कभी गिरकर चोट भी खानी पड़ती है... 

और 

तेरे साथ कोई नहीं... इस बात का दिल में मलाल ना रखना.... 
मांझी को अकेले ही तूफानों से कश्ती उभारनी पड़ती है...

#रोमिल

Monday, May 7, 2018

Jannat bhi utar aayegi tere makaan mein...

Ammi kehti thi...

Jannat bhi utar aayegi tere makaan mein...
Tu dil se Rab ki ibadat karke to dekh...

Ghar ki ent-ent bhi bolegi Khuda-Khuda...
Tu Bani ko mann se padhkar to dekh...

Rooh jo tadpe KulMaalik ko khabar ho jaye...
Tu Rooh ko uske Simran mein laga ke to dekh...

aur

Yeh Jism bhi Mehak uthega Khushboo se...
Tu Maula ka Naam juban se laga ke to dekh...

#Romil Raj

Saturday, May 5, 2018

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...

Ammi kehti thi...

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...
Rukhi-Sukhi jo mile... Rab ka sukrana kar kha leni chahiye...

Rab na jaane kab Mohre idhar se udhar kar de...
Kabhi bhi kisi garib ki garibi ka mazaak nahi udana chahiye...

Na jaane kab badal jaye Taqdeer ke piyade...
Raheesi sar chhadkar nahi bolni chahiye...

aur

Kothiyan kahi ban jaye na khandar...
Khandan ke naam se Inki Pehchaan honi chahiye...

aur

Toot to chuka hai Shehansha-e-Saltanat-Akbar ka bhi Abhimaan...
Pagadi chahe jitni ucchi ho, Sufi-Fakeeron ki Dargah pe jhuk jaani chahiye...

#Romil Raj

Dekhana Khuda Tumhein khud apne saath lene aayega...

Ammi kehti thi...

Imandari se badi koi Jageer nahi hoti...
Kitabon se sacchi koi Saheli nahi hoti...
Lakeeron se nahi jeeti jaati zindagi...
Qismat to unki bhi hoti hai jinki hatheli nahi hoti...

Un kothiyon se chali jaati hai raunake...
Jin mein bujurgon ki izzat nahi hoti...
Gulab ki tarah tamam haseen hai chehre...
Par har kisi ke liye dil-e-ibadat nahi hoti...

Dhan-Daulat... Shaan-o-Shauqat sab yahi dhara ka dhhara reh jaata hai...
Khuda ke ghar mein inki jarurat nahi hoti...
Aksar Bimari mein kaam aati hai Betiya...
Beton mein itni khidmat-pasandagi nahi hoti...

aur

Chhote se Diye ki roshani cheer deti hai milo andheron ko
Burai mein itni taaqat nahi hoti...

aur

Tooti-Fhooti Jhopadi mein bhi Suraj utar aayega...
Chand bhi in aankhon ke dariya mein huzu karne aayega...
Tum namazon ka silsila jaari rakhna...
Dekhna Khuda tumhein khud apne saath lene aayega...

- Romil Arora

Tuesday, April 3, 2018

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...

Patharon mein bhi Zindagi bana deta hai...
Khuda bhi hone ke kya-kya Saboot deta hai...

aur

Andhiyan sab kuch lapet ke chali jayengi...
Par mujhse meri himmat nahi le payengi...
Khuda apne Bandon ko musibatein bhi unke hisab se deta hai...

Ammi meri kehti thi...

04th April...

#Romil Arora

Monday, April 2, 2018

Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche..

Bujurgon ki rivayat hai meri khuddari ke peeche...
Teri mohabbat wajah hai meri bekari ke peeche...

aur

Ammi kehti thi...

Karm us Kul Malik ka hi to hai...
Jo aaye the Beparda is jahan mein...
Saj Sawar ke band-baajee ke saath pahuche kabristan mein...

4th April...

#Romil Raj 

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ammi kehti thi...

Bandishe do tarah ki hoti hai...

Ik insaan ko bigaad deti hai...
Dusari insaan ko sawaar deti hai...

04th April

#Romil Arora

Sunday, April 1, 2018

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...

4th April... Maa ka Birthday...

Ammi kehti thi...

Gar hum udne ke liye pankh dete hai to...
Pankh katarna bhi jante hai...

Humko kamzor aakna tumhari galatfehmi sabit hogi...
Hum khandani log hai...
Isliye apna mizaz nurm rakhte hai...

aur

Bachane aayenge Faristee unko...
Jo apne ghar mein Quran rakhte hai...

#Romil Raj

Sunday, August 18, 2013

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

Maa kehti thi...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho
Bhor mein, Suraj se pehle jaagna seekho
Har pal chechahate-gungunate rehna seekho
Din bhar mehnat karna - ucchai par udna seekho
Jhund mein rehna - Sabke saath milkar kaam karna seekho
Sandhiya hote hi, waqt se ghar laut aana seekho
Khud apne liye ghosala banana seekho
Apne bacchon ko dana-roti kheelana seekho
Waqt se so jaana seekho...

Beta, Chidiyon se jeevan-kala seekho.

#Romil Raj

Thursday, September 10, 2009

Maa kuch pal sirhane baith jao...

maa kuch pal sirhane baith jao
mujhe neend aa jaye...
*
zaraa sa haath pher do
mere sar par
aankhein band kar lene do
khawab mujhe sone nahi dete
maa kuch pal sirhane baith jao mujhe neend aa jaye...
*
khawab mujhe darate hai
kaano mein, mere zor-zor se chillate hai
anjane chehre band aankhon ke saamne aa jate hai
maa kuch pal sirhane baith jao
mujhe neend aa jaye...
*
thak chuka hu main
roz-roz yeh khawab tootane ke gum se
haqiqat se ladte-ladte haar gaya hu main
maa kuch pal sirhane baith jao mujhe neend aa jaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, March 1, 2009

Maa ki goad chahiye sone ke liye...

mUddat ho gai mujhe chain se soye hue Romil
mUjhe bhi Maa ki goad chahiye sone ke liye...
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 26, 2009

ammi meri kehti hai...

ammi meri kehti hai...
subah ka suraj khushiyali lekar aata hai
hawaa ka jhoka zindgani lekar aata hai
yeh phoolon ki khushboo dekho kitne rang bekherati hai
panchi ki aawazein madhur sangeet sunati hai
sab allah ka karam hai
sab allah ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
jhooth se hamesh door raho
har insaan se insaniyat karo
sabme hai rab ka noor dekho
rab ke darbar mein arziyan do
sab rab ka karam hai
sab rab ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
koi na soye bhukha yeh dua karo
har koi prem se rahe yeh dua karo
sabko mile shanti yeh dua karo
fir na jale yeh bastiya yeh dua karo
sab bhagwan ka karam hai
sab bhagwan ka noor hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 20, 2009

Woh boodha pedh...

Woh boodha pedh
jo apni kahani kehta hua
apni beeti hui jawani ki dastaan sunata hua...
***
kitna khush hota tha
jab main uski baahon mein jhula, jhula karta tha
uski goad mein sota tha...
***
kitna khush hota tha
woh mujhe khush dekh kar
jab shararat karte hue, uski daali se main gir jata tha
gusse mein fir usko pathar marta tha
tab bhi woh mujhko dekhte hue muskurata rehta tha...
~
dheere-dheere main uski chaav mein jawan hota gaya
aur woh boodha hota gaya
jaise meri MAA hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, June 22, 2008

Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Suna kar pariyon ki kahani, Baache ko bhukha sula deti hai, Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai..... 

Bataa kar chand, taaron ko khilauna, Baache ka dil behla deti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai... 

Aankhon mein bhare ho aansoo, hooton par woh muskaan khila deti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...

Jab na mile gum mein koi sahara,
Goad mein bhar kar seene se laga leti hai, 
Aisi ada sirf MAA ke pass hoti hai...
[written by romil arora - copyright reserved]