Showing posts with label Maa. Show all posts
Showing posts with label Maa. Show all posts

Monday, July 16, 2018

Kul-Maalik janta hai hamare liye kya behtar hai...

ammo kehti thi...

Bhalu... Kul-Maalik janta hai hamare liye kya behtar hai...
Bas tum khawabon pe pabandagi mat lagana...

Chahe kar lo saara jahan apni mutthi mein,
Par is jahan se, is jahan ki kisi cheez se Dil na lagana...

Jab Janna ho khud ko...
Kuch pal khud ke saath ekaant mein beetana...

Prem, Khud ko khokar dusare ka ho jaana... hota hai...
bada kathin hota hai...
Sita ki tarah hona, Ram ki tarah ho paana...

#Romil Arora

Saturday, July 14, 2018

khuda thodi na ho tum...

ammo kehti thi...

bhalu... kis-kis ke gunaho ka hisaab lete rahoge tum...
khuda thodi na ho tum...

ek din to tumko bhi marna hai...
fir itna shor-sharaba kyon?
khuda thodi na ho tum...

honi ki maar se na Ram bache na Sita...
fir kyon itna darte ho tum...
khuda thodi na ho tum...

aur

koi saath phere leta hai,
koi chaar phere,
koi anghuthiyan badalta hai,
koi sirf qabool hai, kehta hai...

par umr bhi kam pad jaati hai,
ek dusare ko samjhane mein,
samjhauton mein...
khuda thodi na ho tum...

#Romil Arora

Friday, July 13, 2018

Jubaan ka vaar, talvaar ke vaar se jyada gehra hota hai...

ammo kehti thi...

bhalu... jubaan ka vaar, talvaar ke vaar se jyada gehra hota hai...

kam bolo to lafzon ka jyada mol hota hai...

aur

dhyan rahe... juban  vardaan rahe tumhare liye, kabhi abhishaap na banne paye...

khayal rahe... lafz heere-motiyon se jyada keemati hote hai, kabhi inki keemat na lagai jaaye...

#Romil Arora

Wednesday, June 20, 2018

Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...

Amma koi kahani sunao... neend aa jaye...
Apni goad mein litao, baalon pe haath fher kar halka-halka sehlao... ki neend aa jaye...

"Suno ek Rani ki kahani jo thi ek Raja ki diwani...
dono mein beshumaar mohabbat thi...
dono ki zindagi thi suhani...

Jitni Rani thi Sushil, Guni...
Utna hi Raja tha Sahasi-Prakrami...

Poore Rajya mein dono ki amar thi prem kahani...
Bacchon-baachon ke mooh pe thi...unki kahani...

Door desh ke ek Yodha ka Rani pe Dil as gaya...
Woh usko haasil karne ke liye Shadyantra pe Shadyantra rachata raha...

kabhi daulat ka lalach diya...
kabhi koi rajya, raja ko tohfa mein diya...
kabhi daraya, dhamkaya...
ant mein Yudh ka niyota diya...

Yudh kai mahino tak chalta raha...
Yudh mein woh jeet na saka Raja se.. to
dhoke se usne Raja ko zehar dekar marwa diya... Uske saathiyon ko apne saath kar liya...

Raja ke rajya, sena pe fir us Yodha ne kabza kar liya....
Chala woh Yodha fir Rani ko kabzaane...

Rani ne bhi thaan liya...
Marr jayenge... Par Raja ke siwa kisi ke na soyenge sirhaane...

Mandir ka darwaza band kar liya Rani ne...
Sher pe sawaar Durga ko fir pranaam kiya...
Singhaar kiya khud ka... Khud ko dulhan ki tarah sajaya...
Pooja ki... aarti utari  Durga ki...
Bade se kund mein agni ka aahavaan kiya...
Agni ki lapton mein lagi khud ko jalane...

Charon taraf dhua ka khoob guwaar utha...
Chand lal ho utha...
Aasman nira kaala rang sa ho gaya...

Mar ke bhi apni preet amar kar hai,
Apni laash ko bhi Agni mein daah kar gai...

Dono Raja-Rani fir swarg mein mile...
Rab ke ghar mein ek-dusare ke hokar rahe...

Yodha sab kuch jeet ke bhi haar gaya...
Rani-Raja haar kar bhi apni preet amar kar gaye...

#Romil Arora

Tuesday, June 19, 2018

mitti ke dhele ko mitti mein mil jaana hai...

Maine uske diye RadhaKrishna ko
Apne mandir mein saja rakha hai...

Baat chhoti hai magar sochane ko mann karta hai...

#Romil Arora

Ammo kehti thi...

mitti ke dhele ko mitti mein mil jaana hai,
tumhe bhi khuda ke paas jaana hai, humein bhi khuda ke paas jaana hai...

hum husn ko pardon mein rakhte hai...
daulat beshkeemati hai...
chor-dacait zamana hai...

aur

Bhalu... alfhazon mein dard tere hai bahut,
bas be-dard zamana hai...

Bhalu... duniya samajh mein aai magar dair se tere,
samundar mein kashti ka dubna, sahil pe tamashbeeno ka mazma lagna, purana hai...

#Romil Arora

Thursday, June 14, 2018

Lajjaton mein mat bharma, Kul Maalik mein dhyan lagaa...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Lajjaton mein mat bharma,
Kul Maalik mein dhyan lagaa...

Har ek cheez mein ek sabak chhupa hai akhirat ke liye...

Agar koi andha na hota,
To tumhein kaise in aankhon na mulya pata hota...

Agar koi haath-pairon-buddhi se kam na hota,
To tumhein kaise in haath-pairon-vivek ki keemat ka andaza hota...

Qaynaat ke logon ke sabak ke liye hi yeh fark hai sirf.
Logon ko to unsab ka sukriya ada karna chahiye...

Farishtee sab dekha karte hai...
aur likhate rehte hai...
Kaise tum in logon ke saath vyavhaar karte ho, bartaav karte ho...
Kaise inke saath shabdon ka upyog karte ho...
Kaise inko equality dete ho... Barabari ka samman dete ho...

aur kitni behtareem tarah se apni zindagi ko Khuda aur jannat ke liye taiyaar karte ho...

#Romil Arora

Tuesday, June 12, 2018

Ammo kehti thi... Bhalu...

Ammo kehti thi...

Yeh Bhalu koi seedha-sadha nahi hai...
Piyo hai duja...
Pran Nath hai...
Kisi din maar-kaat kar dalega...
Tum log dekh lena...

Dekho kitna sateer hai Bhalu...
Maa ko paise bhijwata hai to maa se sign. karwa leta hai...
Sateer hai chhota...

aur

Mere liye to sabhi rishtedaar mar chuke hai...
Bhalu.... Tumhare saamne zindagi padi hai...
Tum nibha sakte ho to nibhana...

aur

Beta... Mere pas to fhooti-kudi nahi hai...
Jo aaj tak kamaya... Tum logon pe hi kharcha kar diya... khud ka to ek bhi shauk poora nahi kiya...
Tu apne liye kuch Paisa jod-jama kar le...
Bada Bhai, Pani nahi puchane wala hai tujhe...
Akele aise hi meri tarah kamre mein marr jayega...

#Romil Arora

Ammo kehti thi... Bhalu...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Dahej to humne manga nahi tha,
Izzat mangi thi...
Woh bhi nahi mili..

Mahino Tiffin lagwakar diya,
Naye-Naye Suits khareedwa kar diye...
Par parai ladki to nikali parai...

aur

Dusara Gogi hai yeh marzana...
Jee chahta hai Bade wale ki maa-behan sek dun...
Biwi ke isharon pe naach raha hai kamina...

Gogi ne mere maa-bhai ko sataya hai...
Main to mar-khap jayungi...
Magar aasheeshein nahi, baddua dekar jayungi....
Bhugtega jaroor woh bhi marzana...

aur

Bhalu... Apne liye khud ladki pasand kar lena,
Mera dimaag mat khana....
Bade wale ka dekh, bhugat chuki hun,
Tum khud hi laavan-phere daal aana...
Mujhse mat kehna...

#Romil Arora

Saturday, June 9, 2018

Chhoto-Chhoto...

Ammo kehti thi...

Bhalu... ko Chhoto-Chhoto bola karta hai...

"Nadaan logon ko Suraj bhi chhoto so laage...
Par woh hi saare jag mo prakash fhelaave"

"Chhoto so naav...
Saare samundar pe apno raj chalave"

"Chhoto so chenti bhi...
Bado so bado haathi ko chit kar aave"

"Chhoto so sui...
Woh kar jaave... Jo talvar na kar paave"

aur

Main to marr-khap jayungi...
Bada Bhai toko do-roti bhi na khilave...
Apno vaste...
"Chhoto-Chhoto punji joda kar,
Bura waqat mo Chhoti Punji bhi badi kaam aave"

#Romil Arora

Friday, June 8, 2018

Irade buland ho to manzil qadmo tak aa hi jaati hai...

Ammo kehti thi...

Bhalu... Irade buland ho to manzil qadmo tak aa hi jaati hai...

aur

Jo insaano se mohabbat nahi kar sakta...
Woh Allah se mohabbat kya karega...

Arsh aur fharsh ke chakkar mein rahoge to zindagi bhar beech mein latakna padega...

Deeni kitabein padne ke saath-saath samajhana bhi padega...

Andhera door bhagana itna aasan nahi hai
Khud Deep ki tarah jalna padega...

#Romil Arora

Duniya ka ilm bhi seekho...

Ammo kehti thi...

Bhalu... yeh mujhe mazhabi baatein mat sikhaya kar...
"Deen ke elm ke saath...
Duniya ka ilm bhi seekho...
Log aankhon se kaajal chura le jaate hai...
Apne chashme se duniya ko dekhna seekho..."

aur

Bhalu... Kitabi hidayat nahi, khud Krishna bano, khud Rama bano...
"Jab kisi chhoti si masoom bacchi ke saath galat hove,
To na HanumanJi Gadha leke prakat hove,
Na Khuda, aasman se dori latka ke neeche zameen pe aave...
Khud Ram bano, Raavan ko maro,
Khud Krishna ban Dropadi ka cheer badana hove"

aur

Jab apna hi sikka khota hove...
Dusare ki ladki ko bolkar kya fayda hove...

aur

Baap, Bhai, Pati na Beta...na Behane...
Mera to koi bhi Saga nahi nikla...
"Tu Bhalu, apni soch,
Paise jama karna seekh,
Yahan to bina paise ke koi laash bhi na fhuke"

#Romil Arora

Wednesday, June 6, 2018

Jab Chhota tha to Do Nivale Roti ke...

Ammi kehti thi...

Jab Chhota tha to Do Nivale Roti ke khane ke liye poore ghar ke chakkar lagwa deta tha...
Ab bada ho gaya hai to akele hi kha leta hai Maa ko puchhata bhi nahi...

aur

Joru ke aate hi Rang badal gaye Bete ke,
Ganda khoon to asar dikhata hi hai na...

aur

Yeh rishteedar mere sage nahi hue
Bete ke sage ban rahe hai...
Dekhna ek din Beta bhi dhokha khayega... Tab iske samaj mein aayega...

aur

Beton se wafaa na mil saki to Meri Maa ne Kutta rakh liya...

#Romil Arora

Tuesday, June 5, 2018

Tu kuch jyada hi Khara hai...

Ammi kehti thi....

Bhalu... Tu kuch jyada hi Khara hai...
"Khara Pani piya na jaave,
Meetha ho to gale ke neeche utar paave"

Bhalu... Tu na Chabi wale Khilauna jaisa hai...
"Chabi wala Khilauna, Chabi bharte hi Dauda jaave,
Na dekhe Deewar, na dekhe Rasta,
Bas jake Bhid hi jaave"

Bhalu... Sab baatein Dil pe nahi lete hai...
"Sabki besir-pair ki baaton se Dil ko kyon dukhave,
Deep jale to Keede-Makode bhi to aave"

aur

Bhalu... Thoda paisa jama kar le apne liye...
"Bure waqt pe apna hi joda hua paisa kaam aave,
Jab na chale haath-pair, padh jave khatiya pe to...
Koi na do-june ki Roti khilave"

#Romil Raj

Monday, June 4, 2018

Khandaro mein...

Maa kehti thi...

In Khandaro mein bhi kitno ka ghar hota hai...

Kahi kisi toote enton ke surakhon mein Chidiya, bacchon sang ghosala bana kar rehti hai...
Kahi kisi kone mein Kabootaro ka joda premalingan mein mashroof rehta hai...

Keechad bhari ghaas mein koi Kutta loat-poat kar raha hota hai...
Kisi purane Ped ki khokhli ho chuki shakhao par koi Gilheri uchal-kud kar rahi hoti hai....

Kahi tooti footi deewar pe baithkar Kauwa, 
kauw-kauw karte kisi ke aane ka niyota de raha hota hai...
na jaane in khandaro mein kisko bula raha hai...

#Romil

माँ कहती थी...

इन खंडरों में भी कितनो का घर होता है...

कही किसी टूटे ईंटों के सुराखों में चिड़िया, बच्चों संग घोंसला बनाकर रहती है...
कहीं किसी कोने में कबूतर का जोड़ा प्रेमालिंगन में मशरूफ़ रहता है...

कीचड़ भरी घास में कोई कुत्ता लोट-पोट कर रहा होता है...
किसी पुराने पेड़ की खोखली हो चुकी शाखाओं पर कोई गिलहरी उछल-कूद कर रही होती है...

कही टूटी-फूटी दीवार पे बैठकर कौवा,
काँव-काँव करते किसी के आने का न्यौता दे रहा होता है...
ना जाने इन खंडरों में किसको बुला रहा है...

#रोमिल

Sukrana...

Ammi kehti thi...

Khana khane se pehle Thali ko dono haath jodhkar Rab ka sukrana kiya karo...

Raat mein bistar pe sone se pehle ''Jai Mata Di' bol kar soya karo...

Subah uthate hi sabse pehle dono haath jodhkar Khuda ka sukriya kiya karo...

Ghar se nikalte waqt Waheguru ka naam lekar nikla karo...

Sandhiya ko Bulb, Tubelight jalate samay Kul-Malik ko dhannewaad kiya karo. Yaad Kiya Karo...

#Romil Arora

Sunday, June 3, 2018

Har baat Dil pe nahi lagani chahiye...

Ammi kehti thi...

Bhalu, Har baat Dil pe nahi lagani chahiye...
Kuch baatein Rab pe bhi chhod deni chahiye...

Hum mehanti log hai...
Saagar se darr kaisa?
Apni Kashti Sagar ko cheerati hui nikalni chahiye...

Kul-Malik ka sukrana sada juban pe rahe...
Haq-Halal ki kamai se Rasoi ka Chula jale...
Sar pe kabhi bhi Paap ki Ghathariya nahi dhhoni chahiye...

Sajjan insaan ko hamesha raah mein mushkile hi naseeb hoti hai...
Log use tang karte hai...
Sangharsh ki kadi pariksha deni hoti hai...
In sab se darna nahi chahiye...
Rab pe Atoot Vishwas hona chahiye...

#Romil Raj

Alhad, Anpadh si Amma...

Alhad, Anpadh si Amma,
Roj savere ghar aati thi...

Mere saath khel khelati,
Mujhpar khoob Sneh, dulaar lutati thi...

Padna-Likhna to aata nahi tha usko,
Par khana khoob aacha banati thi...

Lekar mujhko apni godi mein woh khana khilati thi,
Itna swaad hota tha us khane mein, main uski ungaliyaan tak chat kar jaata tha...
Anpadh, Gawaar thi Amma
Par khana khub swadisth banati thi...
Utne hi karine se khana sajati thi...
Utne hi pyar se khana khilati thi...

Har Roz ik hi saree mein lipti Amma,
Anpadh Gawaar si Amma...
Khana khoob gazab ka banati thi...

#Romil Raj

Monday, May 28, 2018

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Ammi kehti thi...

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...
Bhukhmari, Kangaali nahi di hai...

Kabhi bhookha nahi sulaya,
Kabhi kisi ke aage haath fhelane nahi diya...
Izzat kabhi nilaam nahi hone di hai...
Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Garibi bhi uski Rehmat se milti hai...
Kyonki Garibi mein insaan Ahankaari nahi hota hai...
Dusaron pe Krodh, Apshabd kehne se bachata hai...
Roti ka kabhi Anadar nahi karta hai...
Dusare Garib ke dukh-dard ko samajhata hai... Dil mein karuna ka bhaav rakhta hai...
Khuda ki bandagi mein rehta hai, uski dargah mein jholi fhelaye rehta hai...
Cheezon ki kadr karna seekhata hai...
Thode mein hi Sukhi rehta hai...
Santosh se Jeevan jeena seekhata hai...

Badi Naseeb se Fakiri milti hai...
Jo Dherya, Shanti ke saath Garibi ko jee jata hai, woh Safal ho jaata hai...

Kuch le ke to na Sikandar gaya tha is jahan se na Akbar...

#Romil Raj

Friday, May 25, 2018

Sirf zindagi-e-safar nahi... Yeh daud-e-jannat hai...

Maa kehti thi...

Sirf zindagi-e-safar nahi...
Yeh daud-e-jannat hai...
Itni jaldi nahi thamegi...

Saat fhere lekar... Saat janm saath nibhane ka vaada karte hai...
Budhapa aate-aate moksha mangane lagte hai...

Kise pata kaha Jannat, kaha Jehannum basaya hai Rab ne...
Sab kitabon mein likhi baatein kiya karte hai...

aur

Har roj ho jaati hai kitni Betiya vehshat ka shikaar...
Jab dekho satsang mein Krishna-Draupadhi ka kissa hi bakhaan kiya karte hai...

#Romil

माँ कहती थी...

सिर्फ ज़िन्दगी-ए-सफर नही...
यह दौड़-ए-जन्नत है...
इतनी जल्दी नही थमेगी...

साथ फेरे लेकर... सात जन्म साथ निभाने का वादा करते है...
बुढ़ापा आते-आते मोक्ष माँगने लगते है...

किसे पता कहाँ जन्नत, जहाँ जहन्नुम बसाया है रब ने...
सब किताबों में लिखी बातें किया करते है...

और

हर रोज हो जाती है कितनी बेटियाँ वहशत के शिकार...
जब देखो सत्संग में कृष्ण-द्रौपदी का किस्सा ही बखान किया करते है...

#रोमिल

Yeh Zikr-e-Parwardigaar hai... Rooh mein utrega to sukoon dega..

Ammi kehti thi...

Bhalu... Thodi dair Satsang mein baitho...
Yeh Zikr-e-Parwardigaar hai
Rooh mein utrega to sukoon dega...

Haq-Halal ki kamai se ghar chalana...
Khuda teri aamdani mein barqatein dega...

Naam ke prakash se hoga zindagi mein ujiyala...
Kul-Maalik mera garib nawaaz hai tujhe bhi nawaaz dega...

aur

Dil khol ke padha karo Rab ki naimatein...
Woh Suraj-Chand bhi teri hatheli pe rakh dega...

#Romil Raj