Showing posts with label aansoo.... Show all posts
Showing posts with label aansoo.... Show all posts

Tuesday, December 23, 2008

aansoo aaye....


woh mila tab bhi aankhon main aansoo aaye
woh juda hua tab bhi aankhon main aansoo aaye
woh shakhs hi kuch aajeeb tha, shayad mere dil ke bahut kareeb tha
isliye usse milate-juda hote mere aankhon main aansoo aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, August 27, 2008

Aansoo...

(*)
Dekho Mere Aansoo Yahi Karte Hai Pukar,
Aao Chale Aao Mere Sanam, Mere Yaar,
Poochane Aansoo Mere Kya Nahi Aaoge Tum,
Kab Tak Begunah Par Sitam Dhaoge Tum!
(*)

#Romil

देखो मेरे आँसू यहीं करते है पुकार,
आओ चले आओ मेरे सनम, मेरे यार,
पोछने आँसू मेरे क्या नही आओगे तुम,
कब तक बेगुनाह पर सितम ढाओगे तुम...

#रोमिल

Thursday, August 14, 2008

Aansoo

Har Aansoo Ki Apni Ek Kahani Hoti Hai
Kisi Ki Zindagi Khushi Ke Saath, Kisi Ki Gum Ke Naam Hoti Hai!
***
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, August 11, 2008

Aansooyon Ka Samundar...



Duniya-e-Jahan Ne Mera Gum Nahi Dekha,

Sab Ne Mere Hoonton Ki Khushi Dekhe,

Kisi Ne Mere Aankhon Mein Chupe Aansooyon Ka Samundar Nahi Dekha!
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, August 9, 2008

Aansoo...

Yeh Aansoo Nahi Mere,
Meri Wafaon Ki Kahani Hai,
Har Aansoo Mein Ek Armaan Hai,
Tere Laut Aane Ki Kahani Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, August 8, 2008

Tum Pardesh Main.....

Sanam...Tum Pardesh Mein Mujhe Soch Kar Tanha Mat Hona...

Khawabon, Khayalon Mein, 
Mera Chehara Mat Dhundhana...

Chalte-Chalte Raahon Mein, 
Jo Mera Khayal Aaye,
Sanam...Aasmaan Par Chand Ko Mat Dekhana...

Beh Na Jaye Kahe Khawab Toote,
Isliye Aansoo Ko Mat Behne Dena...


Okay Sanam...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 17, 2008

Aansoo aur Yaadein....



Bachpan Ke Aansoo Bhi Kitne Aache Hote The,
Jab Hum Jee Bhar Kar Ro Liya Karte The,
Jawani Ke Aansoo To Dil Ko Dhukha Dete Hai!


Tumhare Yaadein Humko Bheed Main Tanhai Ka Ehsaas Karati Hai,
Jab Hum Tanha Hote Hai, Bahut Muskurate Hai,
Tumhare Bewafai Humko Muskurahat Ka Ehsaas Karate Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, July 4, 2008

Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai.....

Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai,
Jab milne ki dua karo yeh aankhon mein chale aate hai,
Muskurate hue, behkate hue, lehrate hue,
Yeh har gum mein bandhan nibhate hai,
Yeh aansoo bhi kitne wafadaar hote hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 20, 2008

"Aansoo Mere"

"Aansoo Mere"

Aansoo Mere Kabhi Zaya Na Jaye,
Aye Mere Rab Jiske Liye Maine Mangi Ho Ardas Woh Kabool Ho Jaaye...

Lakh Sahi Woh Mera Dushman Ho,
Chahe Usmein, Mujhpar Lakhon Sitam Hai Dhaye Ho,
Aye Mere Rab Jiske Liye Maine Mangi Ho Ardas Woh Kabool Ho Jaye,
Aansoo Mere Kabhi Zaya Na Jaye....

Har Kisi Ke Zakhmon Par Main Lagau Marham,
Rab Kare Woh Marham Mujhe Mil Jaye,
Aye Mere Rab Jiske Liye Maine Mangi Ho Ardas Woh Kabool Ho Jaye,
Aansoo Mere Kabhi Zaya Na Jaye....

Kaantein Ho Chahe Meri Rahoon Mein,
Sholon Par Mujhe Chalana Padh Jaye,
Na Dukh Dena Usko Aye Mere Rab,
Jiske Liye Yeh Mann, Hamesha Ardas Lagaye,
Aye Mere Rab Jiske Liye Maine Mangi Ho Ardas Woh Kabool Ho Jaye,
Aansoo Mere Kabhi Zaya Na Jaye....
Aansoo Mere Kabhi Zaya Na Jaye....
[written by romil arora - copyright reserved]