Showing posts with label khud se RUBARU.... Show all posts
Showing posts with label khud se RUBARU.... Show all posts

Friday, May 15, 2009

talking point...

Romil Arora on TalKING Point - Baaton ka Badshah...
START....Choose...
Q 1. Amitabh Bachchan or Dilip Kumar
Ans. Dilip Kumar
Q 2. Shahrukh Khan or Aamir Khan
Ans. Aamir Khan
Q 3. Kajol or Rani
Ans. Kajol
Q 4. Manmohan Singh or Lal Krishna Advani
Ans. Manmohan Singh
Q 5. Congress or Bhartiya Janta Party
Ans. Congress

Q 6. R.D.Burman or A.R. Rehman
Ans. Both
Q 7. Lata Mangeshkar or Asha Bhosle
Ans. Both
Q 8. Nusrat Fateh Ali Khan or Kishore Kumar
Ans. Both

Q 9. Sourav Ganguly or Dhoni
Ans. Sourav Ganguly
Q 10. Mother India or Do Beegha Zameen
Ans. Both
Q 11. Sholay or Aag
Ans. Sholay

Q 12. Maggi or Pizza
Ans. Maggi
Q13. Chocolate or Sweet
Ans. Both

Q 14. Lucknow or London
Ans. Lucknow
Q 15. Spiderman or Krrish
Ans. Spiderman

Thursday, May 14, 2009

kyon fhir...

kyon fhir naya rishta hum banaiye
kyon fhir barbaad hone ke liye qadam uthaiye...
~~
kyon kare kisi se mohabbat hum
kyon fhir kisi ki bewafai mein jal jaye...
~~
kyon dekhe naye khawab hum
kyon fhir aankhon ki neend udaaye...
~~
kyon fhir hum dost banaiye
kyon fhir dosti mein daaga khaye....
~~
jab parwah nahi apno ko hamari
kyon fhir hum apno ki parwah mein aansoo bahaye...
~~
kyon fhir naya rishta hum banaiye
kyon fhir barbaad hone ke liye kadam uthaiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, February 24, 2009

Completed my 1000 posts

"koiye pal bhar ko jeeta hain zindagi
koiye saalon beetata hain
fhir bhi har insaan yahi puchata hain
zindagi kya hain
zindagi kya hain"
~~~~~
aaj maine apne blog http://www.sunny-raj.blogspot.com par 1,000 posts complete kar le hain..... bahut kuch lekha... kuch logon ko aacha laga hoga, kuch logon ko bura laga hoga....bas padane wale se itni ilteza hain
"yeh sher nahi hain
yeh meri zindagi hain
jo kalam se likhe gaye hain
chahata to baich sakta tha isko kitabo main band karke
magar koiye khareeddar mila nahi..."
~~~~~

iski suruwat kuch is tarah hue thi...

"aashiayana bana saku itni hasiyat nahi thi meri

tohfa main de saku, gali pata nahi thi uski

socha mohabbat ki kabr bana deta hu

roz uspar hi shayari ke phool chada diya karunga"

fhir socha ki phool chadana chod du...magar fhir naye log milate gaye, gum fhir apne hote gaye aur hum likhate gaye....allah haafiz.

Thursday, December 11, 2008

Mujhpar hasaa mat karo...

Meri zindagi ko majbooriyon ka ghar mat kaho
Yeh zindagi hai meri, ise sazaa mat kaho.
~
Chhod jaate hai sab mera saath, meri majbooriyon ki wajah se
Tumko khuda ki kasam hai kisi ko bhi bewafa mat kaho.
~
Hu apno ki nazar mein nikamma-nakara
Tu mere apno ko galat mat kaho.
~
Jo hasna hai mujhpar hans lo
Jo kehna hai mere saamne keh lo
Mere peeche mujhe bura mat kaho
Mujhpar hasaa mat karo...
Mujhpar hasaa mat karo...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 10, 2008

jeevan ek kala....

jis tarah ek baar waqt ke chale jaane ke baad woh waqt wapas nahi aata,
jis tarah paid se ek baar phal tooth jane ke baad wapas woh phal nahi lagta,
jis tarah naadi main ek baar pani beh jata hai fhir woh pani wapas nahi aata,
ussi tarah insaan bhi ek baar chale jaane ke baad woh wapas nahi aata...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 16, 2008

Na Main Badala!


Suraj Na Badala,
Chand Na Badala,
Na Yeh Fizaiye, Na Yeh Hawaiye Badale,
Na Romil Badala!

*
Na Roshani Badale,
Na Chandani Badale,
Na Rabb Ke Bandhe Ke Liye Bandagi Badale,
Na Romil Badala!
*

Na Baache Ke Hoonton Par Muskaan Badale,
Na Panchiyoon Ki Aawaz Badale,
Na Phoolon Main Khushboo Badale,
Na Romil Badala!

Na Main Badala!
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 8, 2008

aaj bhi main aisa hu!



Bachpan mein maa ki goad bheego deta tha,
Aaj maa ke aankhen bheego deta hu!

Bachpan mein bhai ko pareshan kiya karta tha,
Aaj bhai ko uljhan mein daal deta hu!

Bachpan mein doston se ladai kar liya karta tha,
Aaj doston ke dil toodh deta hu!

Shayad main bachpan se aisa tha,
Kisi ko koi Khushi nahi de sakta tha,
Kal bhi main aisa tha, aaj bhi main aisa hu!

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, May 27, 2008

"Agar main khuda hoota........"


"Agar main khuda hoota........"

"Dekho zara taqdeer banane wale tune kya insaaf kiya,
Kisi ke kismat main khushiya to kisi to gum diya"

"Agar main khuda hoota........
Agar main khuda hoota to sabki taqdeer ek banata,
kisi ko bhi bebas, lachar na banata,
har daal main khushi hote, gum ka ek bhi paudha na lagata,
Agar main khuda hoota.........
kisi ki bhi ankh main aanshu na hote,
sabke hooton main khushi lata,
na koi hota raja, na main praja banata,
Agar main khuda hoota.........

Har baache ko maa ka pyar milta, baap ka saath wo pata,
Jaati-paati ka khel mitata, sabke ek jaati banata,
Agar main khuda hoota.........

Na sarhad ki deewar hote, na main koi desh banata,
Na koi daaku hota aur na main koi seepahi banata,
Agar main khuda hoota.........

Har baccha muskuraha raha hota, sabke dil nekh banata,
Agar main khuda hoota to sabki taqdeer ek banata,
kisi ko bhi bebas, lachar na banata.
Agar main khuda hoota........."
[written by romil arora - copyright reserved]

"Maine Gandhi Ko Nahi Maara"




"Maine Gandhi Ko Nahi Maara"

Main Aaj Bhi Gandhi Ji Ke Vicharo Par Vichar Karta Hu,

Unke Bataiye Hue Zindagi Ke Mulyoo Par Chalane Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

Satya Bolta Hu,

Apne Mann Se Imandari Karta Hu,

Aahinsha Par Chalane Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

Dusaro Ke Dukho Ko Apna Dukh Samajhata Hu,

Satyagraha Par Vishwas Rakhata Hu,

Krodh Kam Karne Ki Koshish Karta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....


Unke Siddhanto, Vicharo, Aadarso Ko Ek Naya Roop Dena Chahta Hu,

Main Gandhi Ko Hamesha Zinda Rakhana Chahta Hu,

Maine Gandhi Ko Nahi Maara....

[written by romil arora - copyright reserved]