Friday, February 27, 2009

lafz...

"hum mohabbat-e-izhaar ke liye lafz hi dhundhate rahe Romil
aur woh dusare ka haath thamkar chale gaye..."

#Romil

हम मुहब्बत-ए-इजहार के लिए लफ्ज़ ही ढूंढते रहे रोमिल 
और वो दूसरे का हाथ थामकर चले गये...

#रोमिल

khabar...

khabar chapaane ka bahut shauq tha tumko
jab khud khabar bane to machal uthe...
[written by romil arora-copyright reserved]

fursat...


baada aacha woh waqt tha, jab humko gum se fursat thi Romil
ab dekho fursat meri, har kisi ke gum ko apna bana laite hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

aaye khuda tune mera naseeb yeh kaisa likha hai...

"aaye khuda tune mera naseeb yeh kaisa likha hai
mujhe jisse mohabbat ho woh mujhse juda ho jaata hai"
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 26, 2009

ammi meri kehti hai...

ammi meri kehti hai...
subah ka suraj khushali lekar aata hai
hawaa ka jhoka zindgani lekar aata hai
yeh phoolon ki khushboo dekho kitne rang bikherati hai
panchi ki aawazein madhur sangeet sunati hai
sab khuda ka karam hai
sab khuda ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
jhooth se hamesh door raho
har insaan se insaniyat karo
sabme hai rab ka noor dekho
rab ke darbar mein arziyan do
sab rab ka karam hai
sab rab ka noor hai...
~*~
ammi meri kehti hai...
koi na soye bhukha yeh dua karo
har koi prem se rahe yeh dua karo
sabko mile shanti yeh dua karo
fir na jale yeh bastiya yeh dua karo
sab khuda ka karam hai
sab khuda ka noor hai...

#Romil

अम्मी मेरी कहती थी... 
सुबह का सूरज खुशियाली लेकर आता है... 
हवा का झोंका ज़िंदगानी लेकर आता है... 
यह फूलों के खुशबू देखो कितने रंग बिखेरती है... 
पंछी की आवाज़ें मधुर संगीत सुनाती है... 
सब खुदा का करम है.. 
सब खुदा का नूर है.. 
~*~
अम्मी मेरी कहती थी... 
झूठ से हमेशा दूर रहो... 
हर इंसान से इंसानियत करो... 
सबमें है रब का नूर देखो 
रब के दरबार में अर्ज़ियाँ दो... 
सब रब का करम है.. 
सब रब का नूर है.. 
~*~
अम्मी मेरी कहती थी... 
कोई न सोये भूखा यह दुआ करो... 
हर कोई प्रेम से रहे यह दुआ करो... 
सबको मिले शांति यह दुआ करो... 
फिर न जले यह बस्तियाँ यह दुआ करो... 
सब ख़ुदा का करम है.. 
सब ख़ुदा का नूर है.. 

#रोमिल

~~dil ki kalam se~~

"woh dil behlaane ke liye aa jaate hain raaton main hamare kareeb romil
aur hum samajhate hain ki hamari dua kabool ho gaye"
~~~~**~~~~
"tasveer mangate-mangate main thak gaya tha romil baad main pata chala woh tasveer to
daulat ke baazar main beek rahe the"
[written by romil arora-copyright reserved]

itni bandagi pasand insaan tha main...

"itni bandagi pasand insaan tha main Sultan...
ki hamesha rab ki bandagi mein rehta tha...
uski bewafai ne, rab ko mera dushman bana diya"
[written by romi arora-copyright reserved]

kaash...

maine to socha tha ki woh har gum mein mera saath degi romil,
magar usne to chehare ki udasi ka bhi khayal nahi kiya...
~
kaash woh kabhi puch leta mujhse
ki beemar tera haal kaisa hai
main zindagi bhar beemar rehne ki dua karta...

#Romil

मैंने तो सोचा था की वो हर गम में मेरा साथ देगी रोमिल 
मगर उसने तो चेहरे की उदासी का भी ख्याल नहीं किया... 

काश वो कभी पूछ लेता मुझसे की बीमार तेरा हाल कैसा है 
मैं जिंदगी भर बीमार रहने की दुआ करता...

#रोमिल

muqaddar

dil kehta hain ki parinda ban jayun

chod du yeh shehar

kahin durr chala jayun...

fhir khayal aata hain

apni hi mitti main mil jana, parinde ka muqaddar hota hain...

[written by romi arora-copyright reserved]

Wafa...

"jab meri kismat mein mohabbat thi hi nahi
fir khuda ne mujhe dil kyon diya"

जब मेरी किस्मत मोहब्बत थी ही नहीं 
फिर खुदा ने मुझे दिल क्यों दिया...
~~
"Uske andar wafa ki aadat nahi thi 
fir usne bewafai kaise itni wafa se nibha li"

उसके अंदर वफा की आदत नहीं थी 
फिर उसने बेवफाई कैसे अपनी वफा से निभा ली...

#Romil
#रोमिल

Badnaam...

"Bahut aache tarah se jante hai shehar ke log mujhe,
uski aashiqui mein badnaam jo bahut hua hu"

#Romil

बहुत अच्छे से जानते हैं शहर के लोग मुझे, 
उसकी आशिकी में बदनाम जो बहुत हुआ हूँ...

#रोमिल

khuda...

is kadar mujhko na ujado khuda,
ki baad main basana muskil ho jaye...
[written by romi arora-copyright reserved]

aankhon..

aansoo aur mat bahao Romil
aankhon mein yaar ki tasveer hai mit jayegi

#Romil

आंसू और मत बहाओ रोमिल 
आंखों में यार की तस्वीर है मिट जाएगी...

#रोमिल

Waafa...


Beethoon Se Waafa Na Mil Saki To $ultan

Meri Maa Ne Kutta Khareed Liya...

[written by romi arora-copyright reserved]

Goan ke log...


Goan ke log kitne aache hote hain $ultan

Mitti ke ghar, dil sacche hote hain $ultan

Milti hain izzahat, sukh-shanti hoti hain $ultan

Neem ke paidh ki chao main zindagi katati hain $ultan...

[written by romi arora-copyright reserved]

Ki main laut kar wapas na aane pau...

Uski yaadon ne yeh kaisa tilism bana rakkha hai Romil 
Ki main khud mein hi khoya-khoya rehta hu...
_________________________
Kitni mohabbat se mujhe wapas bhej rahe hai yeh duniya wale
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil,
Itni mohabbat se meri kabr saaja rahe hai yeh duniya wale....
Ki main laut kar wapas na aane pau Romil
[written by romil arora-copyright reserved]

aakhiri khat

"Mera aakhiri khat dekhkar woh ajnabi ro pada hoga Romil
maine usko thik se khuda haafiz bhi nahi likha"

#Romil

मेरा आखिरी खत देखकर वो अजनबी रो पड़ा होगा रोमिल 
मैंने उसको ठीक से खुदा हाफिज भी नहीं लिखा...

#रोमिल

Wednesday, February 25, 2009

aankhein

aankhein meri kisi ke khawab mein khoi hui thi Romil
logon ne socha ki main is duniya se rukhsat ho gaya...

#Romil

आँखे मेरी किसी के ख़्वाब में खोई हुई थी रोमिल
लोगों ने सोचा की मैं इस दुनिया से रुख़सत हो गया...

#रोमिल

kya jawab dunga...

Sochata hoon ki us ajnabi ka naam hatheliyon mein likhwa lu Romil,
Agar yeh hatheli kisi aur ne tham li to us ajnabi ko kya jawab dunga...

#Romil

सोचता हूँ कि उस अजनबी का नाम
हथेलियों में लिखवा लूँ रोमिल,
अगर यह हथेली किसी और ने थाम ली, तो उस अजनबी को क्या जवाब दूंगा...

#रोमिल

khata

Shayad meri khata thi ki woh bewafa ho gayi Romil
kasoor mera tha, fir usko ilzam kyon doon...

#Romil

शायद मेरी खता थी कि वो बेवफा हो गई रोमिल 
कसूर मेरा था, फिर उसको इल्जाम क्यों दूं...

#रोमिल

tadap-tadap kar marr raha hu...

samundar mein doobkar maru
to khushnaseebi hogi Romil
gum to is baat ka hai ki
kinare par pyasa tadap-tadap kar marr raha hu...

#Romil

समुद्र में डूबकर मरूं तो खुशनसीबी होगी रोमिल 
ग़म तो इस बात का है कि किनारे पर प्यासा तड़प-तड़पकर मर रहा हूँ...

#रोमिल

dil se

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gai Romil
jab bani to baazar ki ho gai...

महबूब की तस्वीर बनाते-बनाते जवानी गुजर गई रोमिल 
जब बनी तो बाजार की हो गई...
~~~
Is tarah toota hai dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...

इस तरह टूटा है दिल मेरा मत पूछो 
की कांच को पत्थर से तोड़ा गया हो... 

#Romil
#रोमिल

daulat ke saath...

daulat ke saath mohabbat nahi hoti
samjhauton ke saath zindagi, zindagi nahi hoti
gum na ho to khushiya nahi hoti
doston ke saath dushmani nahi hoti
qafan mein bhi jeb nahi hoti...

#Romil

दौलत के साथ मोहब्बत नहीं होती 
समझौते के साथ ज़िन्दगी, ज़िन्दगी नहीं होती है 
ग़म ना हो तो खुशियां नहीं होती 
दोस्तों के साथ दुश्मनी नहीं होती 
कफ़न में भी जेब नहीं होती...

#रोमिल

nahi hote

phoolon ki mehfil main kya kaantee nahi hote?
chand ki mehfil main kya sitare nahi hote?
ameeron ki mehfil main fhir gareeb kyon nahi hote?
[written by romil arora-copyright reserved]

chalte-chalte

chalte-chalte kadmo mein chaale pad gaye Romil...
magar us ajnabi ka rasta na mila...
dekha haath to gumsum thi ungaliyaa
jo isko thaamne wala tha woh ajnabi na mila...

#Romil


चलते चलते कदमों में छाले पड़ गए रोमिल... 
मगर उस अजनबी का रास्ता ना मिला... 
देखा हाथ तो गुमसुम थी उंगलियां 
जो इसको थामने वाला था वो अजनबी ना मिला...

#रोमिल

mere naina...

mere naina
deedar ko pyase naina
intezaar mein vyakul naina
sapno se saji naina...
~***~
suraj re aaya re
choti-choti yaadon ke pankh pehlaye
mann mein khushiya sajaye
aansoo sang laye naina...
~***~
shaam se nami mein bhar jaate naina
yeh kiske khayal mein khoye naina...
~***~
ab to saare begane lagte hai yahan
hai nahi yahan fir bhi dekhaiye deta hai chehara
anjana chehara basakar rakhe naina...
~***~
mere naina
deedar ko pyase naina
intezaar main vyakul naina
sapno se saaji naina...

#Romil

मेरे नैना 
दीदार को प्यासी नैना 
इंतजार में व्याकुल नैना 
सपनों से सजी नैना... 

सूरज रे आया रे 
छोटी-छोटी यादों के पंख फैलाए 
मन में खुशियां सजाये 
आंसू संग लाये नैना... 

शाम से नमी में भर जाते नैना 
यह किसके ख़्याल में खोये नैना... 

अब तो सारे बेगाने लगते हैं यहां 
है नहीं यहां फिर भी दिखाई देता है चेहरा 
अंजाना चेहरा बसाकर रखे नैना...

मेरे नैना 
दीदार को प्यासी नैना 
इंतजार में व्याकुल नैना 
सपनों से सजी नैना...

#रोमिल

Tuesday, February 24, 2009

koi pal bhar ko jeeta hai zindagi...

"koi pal bhar ko jeeta hai zindagi
koi saalon bitata hai
fir bhi har insaan yahi puchata hai
zindagi kya hai
zindagi kya hai"
~~~~~
"yeh sher nahi hai
yeh meri zindagi hai
jo kalam se likhe gaye hai
chahata to baich sakta tha isko kitabo mein band karke
magar koi khareeddar mila nahi..."
~~~~~

iski shuruwat kuch is tarah hui thi...

"aashiyana bana saku itni hesiyat nahi thi meri

tohfa main de saku, gali pata nahi thi uski

socha mohabbat ki kabr bana deta hu

roz uspar hi shayari ke phool chada diya karunga"

fir socha ki phool chadana chod du... magar fir naye log milate gaye, gum fir apne hote gaye aur hum likhate gaye... khuda haafiz...

#Romil

rangeen zindagi...

duniya main gum bahut dekhe hain
bastiya ujadate hue bhi dekhi hain
aansoo, masoom ki aankhon se bhehate hue dekhe hain
chaaron taraf kaale andhere hi andhere hain
muskurakar, aaina lagakar woh bola
ab zindagi kitne rangeen lag rahe hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

jawani luta kar bola majnu, laila se

jawani luta kar bola majnu, laila se
jawani to tujh par luta de
bol budhapa kispar lutau...

#Romil

जवानी लूटाकर बोला मजनू लैला से 
जवानी तो तुझ पर लुटा दी बोल बुढ़ापा किस पर लुटाऊँ...

#रोमिल

ilzaam...

jaate-jaate sanam kuch to keh jaate
vaade nahi to ilzaam hi laga jaate...

#Romil

जाते-जाते सनम कुछ तो कह जाते
वादे नही तो इल्ज़ाम ही लगा जाते...

#रोमिल

Itni nafrat kyon di mujhe...

dariya tha mere pass
fhir bhi main pyasa raha
aaye khuda tune itni nafrat kyon di mujhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

kaash...

kaash woh hamara haal-chal puche
issi khayal mein hum umar par beemar rahe...

#Romil

क़ाश वो हमारा हाल-चाल पूछे 
इसी ख्याल में हम उम्र भर बीमार रहे...

#रोमिल

koiye to seekhe...


bewafao se wafa karna koiye to seekhe
andheroon main ujala karna koiye to seekhe...
[written by romil arora-copyright reserved]

intezaar

yeh rastay bhi dhundhla gaye hai
raat bhi hone ko hai
jaane wale yeh to bata de
main kab tak tera intezaar karta rahu...

#Romil

यह रास्ते भी धुंधला गए है
रात भी होने को है
जाने वाले यह तो बता दे
मैं कब तक तेरा इंतेज़ार करता रहूँ...

#रोमिल

shararat...

Aaise na dekhao ada mere mehboob
hum tareef karenge to shararat hogi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Hum dono apni-apni aadat se majboor hai...

teri aadat hai bewafai ki...apni wafa ki...
hum dono apni-apni aadat se majboor hai...

#Romil

तेरी आदत है बेवफाई की... अपनी वफा की... 
हम दोनों अपनी-अपनी आदत से मजबूर है...

#रोमिल

Badla nahi apna andaaz...

pehle muskurate the apne ishq par hum
ab apne haal-e-dil par muskurate hai...

badla nahi apna andaaz...

#Romil

पहले मुस्कुराते थे अपने इश्क़ पर हम
अब अपने हाल-ए-दिल पर मुस्कुराते है...

बदला नही अपना अंदाज़...

#रोमिल

dil ki kalam se...

aaina ka shauq bahut tha mujhko
ab haaton mein pathar lekar firta hu...

आईना का शौक बहुत था मुझको 
अब हाथों में पत्थर लेकर फिरता हूं...
~*~
kasthi mein baithkar samundar ko apna samajhata tha
jab toofan aaya tab Haqeeqat ka pata chala...

कश्ती में बैठकर समंदर को अपना समझता था 
जब तूफान आया तब हक़ीक़त का पता चला...
~*~
saare mausam mujhe ek se lagte they
meri nigaah mein aansoo kuch is tarah se bas gaye they...

सारे मौसम मुझे एक से लगते थे 
मेरी निगाह में आंसू कुछ इस तरह से बस गए थे...

#Romil
#रोमिल

Monday, February 23, 2009

sochata hu

shaam hui fir yaad teri aai
aansuon ki barsaat saath lai...
~
sochata hu ki dil laga lu fir kisi ajnabi se
par teri ruswai fir yaad aai...
~
sochata hu ki chhod du teri duniya
par teri bewafai fir yaad aai..

#Romil

शाम हुई फिर याद तेरी आई 
आंसुओं की बरसात साथ लाई... 

सोचता हूँ कि दिल लगा लूं फिर किसी अजनबी से 
पर तेरी रुसवाई फिर याद आई... 

सोचता हूं कि छोड़ दूं तेरी दुनिया 
पर तेरी बेवफाई फिर याद आई...

#रोमिल

aansoo bahayenge...

tumko bhoolkar kaise reh payenge
jab tumhari yaad aayegi
aansoo bahayenge...
~~~
hai apne muqaddar mein jab gum
fir khushiya kaise payenge
aansoo bahayenge...
~~~
kab tak saans degi saath hamara
ek din yeh duniya chhodkar chale jayenge
aansoo bahayenge...

#Romil

तुमको भूलकर कैसे रह पाएंगे 
जब तुम्हारी याद आएगी 
आंसू बहाएंगे... 

है अपने मुकद्दर में जब गम 
फिर खुशियां कैसे पाएंगे 
आंसू बहाएंगे... 

कब तक सांस देगी साथ हमारा 
एक दिन यह दुनिया छोड़कर चले जाएंगे
आंसू बहाएंगे...

#रोमिल

Sunday, February 22, 2009

kya...kyon...kab...

Roz jalta hu mom ki tarah
koi bata to de meri khata kya hai...
~
nazre kar-kar ke intezar pathar ho gai hai
koi bata to de yeh intezar kyon hai...
~
na jaane usko mujhpar taras kab aayega
mera mehboob mujhse khafa kab tak hai...
~~*****~~

#Romil

रोज जलता हूं मोम की तरह 
कोई बता तो दे मेरी खता क्या है 

नजरे कर-करके इंतजार पत्थर हो गई है 
कोई बता तो दे यह इंतजार क्यों है 

ना जाने उसको मुझ पर तरस कब आएगा 
मेरा महबूब मुझसे खफा कब तक है...

#रोमिल

Saturday, February 21, 2009

teri bewafai ki kahani suna-suna kar dil bhi khali ho chala hai...

teri bewafai ki kahani suna-suna kar dil bhi khali ho chala hai
ab to kuch kehne ko shabd hi nahi hai...

तेरी बेवफाई की कहानी सुना-सुनाकर दिल भी खाली हो चला है 
अब तो कुछ कहने को शब्द ही नहीं है...
~*~
rab woh waqt na laye
ki tu meri wafa mein pagal ho jaye
kosne lage teri bewafai tujhe
ki tu bewafa se bhi wafadar ho jaye...
~
gum tujhe lage pyara
khushiyon mein jeena mohaal ho jaye
tanhai tujhe lage apni
mehfil mein rehna dushvaar ho jaye
~
rab woh waqt na laye...

रब वो वक्त ना लाए
की तू मेरी वफा में पागल हो जाए 
कोसने लगे तेरी बेवफाई तुझे 
कि तू बेवफा से भी वफादार हो जाए... 

गम तुझे लगे पराया 
खुशियों में जीना मोहाल हो जाए 
तन्हाई तुझे लगे अपनी 
महफिल में रहना दुश्वार हो जाए...

#Romil
#रोमिल

kuch dil se...


Romil, Tum to haal-e-dil keh daite ho apni shayari-e-aandaz main
magar woh to masoom hain, bhala woh kaise haal-e-dil tumse kahe...
~~~
Tera sukriya jo tune humse hamare khawab chura liya
warna yeh to beekhar hi jaane the..
~~~
Maloom na tha yeh aankh tumse ladegi
meri musibat aur baadegi
ishq ka rog mujhe fhir lagega
gum se fhir dosti baadegi!
~~~
[written by romil arora-copyright reserved]

zarurat...

jaan daine ke aur bhi tarike the romil
kya zarurat thi dil lagane ki...

#Romil

जान देने के और भी तरीके थे रोमिल 
क्या जरूरत थी दिल लगाने की...

# रोमिल

Friday, February 20, 2009

mere dil se...


Zikkar jab bhi chidata hain meri barbadi ka
Baat tere naam par pahuch jaati hain...
~~~
Unki baaton se phool jharate the
dil ki aarzoo hain ki fhir phool jhadane lage...
~~~
raakh beete dino ki mat kuredo
ungaliya jal jayenge
jo aag daabi hain
usse daabe-daabe hi rehne do...
[written by romil arora-copyright reserved]

ibadat

tasveer maine maangi thi
ibadat ke liye...
usne ek khat bhej diya khuda hafiz kehte hue...
----------------
main aur usko bhool jau
kaisi baatein karte ho?
surat to Rab ki bhi nahi dekhi...
ibadat ke liye uska naam hi kaafi hai...

#Romil

तस्वीर मैंने मांगी थी रोमिल
इबादत के लिए...
उसने एक ख़त भेज दिया खुदा हाफ़िज़ कहते हुए...
-----*-----
मैं और उसको भूल जाऊँ
कैसी बातें करते हो?
सूरत तो रब की भी नहीं देखी 
इबादत के लिए उसका नाम ही काफी हैं...

#रोमिल

dialouge

tum aaj bhi jeb main maachis lekar ghumate ho
bastiya jalane ka shauq abhi tak paal rakha hain tumne...
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh boodha pedh...

Woh boodha pedh
jo apni kahani kehta hua
apni beeti hui jawani ki dastaan sunata hua...
***
kitna khush hota tha
jab main uski baahon mein jhula, jhula karta tha
uski goad mein sota tha...
***
kitna khush hota tha
woh mujhe khush dekh kar
jab shararat karte hue, uski daali se main gir jata tha
gusse mein fir usko pathar marta tha
tab bhi woh mujhko dekhte hue muskurata rehta tha...
~
dheere-dheere main uski chaav mein jawan hota gaya
aur woh boodha hota gaya
jaise meri MAA hai...
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 19, 2009

Zinda rehna bhi kaisi aadat hai...

zinda rehna bhi kaisi aadat hai
na subah ka pata
na shaam ki khabar hai...
~~~
be-matlab hi sansein liye ja rahe hai
kadam bebas chale ja rahe hai
na manzil ka pata
na pata kahan jaana hai...
~~~
ek nadi ki tarah bas behte ja rahe hai
na barson ka pata
na sadiyon ka pata hai...
yeh nahi pata safar aur kitna nibhana hai
bas sanson ka bhoj uthate jaana hai...
bas chalte jaana hai...
~~~
zinda rehna bhi kaisi aadat hai
marna bhi mazboori hai...

#Romil

जिंदा रहना भी कैसी आदत है 
ना सुबह का पता 
ना शाम की खबर है... 

बे-मतलब ही साँसें लिए जा रहे हैं 
कदम बेबस चले जा रहे हैं 
अपना मंजिल का पता 
ना पता कहां जाना है...

एक नदी की तरह बस बहते जा रहे हैं 
ना परसों का पता 
ना सदियों का पता है... 
यह नहीं पता सफर और कितना निभाना हैं 
बस सांसों का बोझ उठाते जाना है 
बस चलते जाना है... 

जिंदा रहना भी कैसी आदत है 
मरना भी मजबूरी है...

#रोमिल

Wednesday, February 18, 2009

Tumko aadat thi vaade karne ki...

tumko aadat thi vaade karne ki
aur humko aadat thi aitbaar karne ki...
~
tumko aadat thi bewafai karne ki
aur humko aadat thi wafa karne ki...
~
tumko aadat thi intezar karwane ki
aur humko aadat thi intezar karne ki...
~
dono apni-apni aadat se majboor the..........
[copyright reserved-written by romil arora]