Sunday, March 15, 2009

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine...

kuch is tarah usse mohabbat ki kadiya jodi maine Romil
ki paaon ki zanjeer ban gai...

#Romil

कुछ इस तरह उससे मोहब्बत की कड़िया जोड़ी मैंने रोमिल 
की पांव की जंजीर बन गई... 

#रोमिल

Chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

usko to bahana chahiye tha mujhse khafa hone ka Romil,
chhoti si baat ka tamasha bana gaya...

#Romil

उसको तो बहाना चाहिए था मुझसे ख़फ़ा होने का रोमिल,
छोटी सी बात का तमाशा बना गया...

#रोमिल

dialouge

main aap logon ko bata raha hu ki main isse shaadi karne ja raha hu
aap log hamare rishtee ko sweekaar karenge ya nahi, yeh nahi puch raha hu
sirf bata raha hu
main isse shaadi karne ja raha hu...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, March 14, 2009

sachse rubaru

mere mann aur aankhon mein roz kasmakas hoti hai...

"aankhen kehti hai mann se
tu sochana band kar main sona chahti hoon"
"mann kehta hai aankhon se
tu pehle palke band kar le main fir sochana chod deta hoon"

#Romil

मेरे मन और आंखों में रोज कशमकश होती है... 

"आंखें कहती है मन से तू सोचना बंद कर मैं सोना चाहती हूं...
मन कहता है आंखों से तू पहले पलके बंद कर ले मैं फिर सोचना छोड़ देता हूं..."

#रोमिल

zamana hi badal gaya...

bahut suna tha mohabbat ka naam
ishq ka kalaam
laila-majnu ke kisse
heer-ranjha ka pyar...
hum jawan hue aur zamana hi badal gaya :-) 

#Romil

बहुत सुना था मोहब्बत का नाम 
इश्क़ का क़लाम 
लैला-मजनू के किस्से 
हीर-रांझा का प्यार... 

हम जवान हुए और जमाना ही बदल गया

:-)

#रोमिल

khata to koi yaad nahi mujhe...

khata to koi yaad nahi mujhe
bas bandagi ka gunehgaar hu main...
***
sajde mein sar kya jhuka diya uske
usne to sar qalam hi kar diya...

#Romil

खता तो कोई याद नहीं मुझे 
बस बंदगी का गुनहगार हूं मैं... 

सजदे में सर क्या झुका दिया उसके 
उसने तो सर कलम ही कर दिया... 

#रोमिल

mohabbat bandagi hai...

mohabbat bandagi hai
bande ki khuda se ho jaise...
isme husn ka koi bhi wajood nahi...

#Romil

मोहम्मद बंदगी है 
बंदे की खुदा से हो जैसे 
इसमें हुस्न का कोई भी वजूद नहीं... 

#रोमिल

hum hi nahi...

hum hi nahi bewafai ki chot khaye hue
zamane mein aur bhi hai...
~~~
hum hi nahi firte galiyon mein awara bankar
zamane mein aur bhi hai...
~~~
hum hi nahi, jo ishq mein duniya bhulaye hue
zamane mein aur bhi hai...

#Romil

हम ही नहीं बेवफाई की चोट खाए हुए 
जमाने में और भी हैं... 

हम ही नहीं फिरते गलियों में आवारा बनकर 
जमाने में और भी है... 

हम ही नहीं, जो इश्क में दुनिया भुलाए हुए 
जमाने में और भी है...

#रोमिल

Friday, March 13, 2009

magar dua teri kamyab ho gayi...

tumse durr rehne ka kaam bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
woh mohabbat bhi kya mohabbat thi,
jisme nazdikiyon ke saath deewarein bhi thi,
tumko pass dekh kar, durr rehna bahut mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...
~~~
mohabbat tum thi meri
ibadat tum thi meri
bandagi tum thi meri
tumhare siva kisi aur ki bandagi karna mushkil tha
magar dua teri kamyab ho gayi...

#Romil

तुमसे दूर रहने का काम बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

वो मोहब्बत भी क्या मोहब्बत थी 
जिसमें नज़दीकियों के साथ दीवारें भी थी 
तुमको पास देखकर दूर रहना बहुत मुश्किल था 
मगर दुआ तेरी कामयाब हो गई... 

मोहब्बत तुम थी मेरी 
इबादत तुम थी मेरी 
बंदगी तुम थी मेरी
तुम्हारे सिवा किसी और की बंदगी करना मुश्किल था 
मगर दुआ तुम्हारी कामयाब हो गई... 

#रोमिल

sach se rubaru

jala diye the maine sabhi kamyabi ke parche
nakamiyoon ne mujhe itna dard diya tha...
~*~
mann chahta hain ki noch lu sabhi sitare aasman se
meri waafa ki lau kisi ko nahi dikhaiye di thi...
~*~
pathar ka chota sa tukda bhi mujhe toodh jaata tha
sachai ka main aaina tha...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo...


meri aankhon se jhalak jaate hain teri bewafai ke aansoo
ab inko aankhon main panah nahi de jaati mujhse...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

sitam..

mohabbat-e-gum bahut purana hain
bas haseenao ke sitam dhaane ka andaz badal gaya hain...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

dialouge...

mujhe yeh nahi pata ki meri shaadi kisse hogi
magar main itna jarur janta hu ki mujhe mohabbat kisse karni hain...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki woh meri zindagi main aayegi ki nahi
magar main itna jarur janta hu ki main umar bhar uska intezaar kar sakta hu...
~*~
mujhe yeh nahi pata ki mujhe zindagi main kya chahiye
magar main itna jarur janta hu ki mujhe zindagi main kya nahi chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved]

mohabbat...

mohabbat karne se darte ho TUM,
na jaane fir kyon mohabbat ko talashte ho TUM
~~~~~~~~~
dhoka khaye logo se mohabbat ka zikr na karna,
jab himmat na ho to mohabbat na karna,
dil behlane ke liye bahut milenge tumko yahan
kabhi kisi wafadar se bewafai mat karna.

#Romil

मोहब्बत करने से डरते हो तुम 
ना जाने फिर क्यों मोहब्बत को तलाशते हो तुम... 

धोखा खाए लोगों से मोहब्बत का जिक्र न करना 
जब हिम्मत ना हो तो मोहब्बत ना करना 
दिल बहलाने के लिए बहुत मिलेंगे तुमको यहां 
कभी किसी वफादार से बेवफाई मत करना... 

#रोमिल

Tuesday, March 10, 2009

badkismati...

kitne saal nikal gaye bina holi khele dost,

aa meri haatoon ki badkismati ko to dekh...

[written by Romil Arora-copyright reserved]

holi ke mausam main...

holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...
~~~
pani se jab log, ek-dusare ko bhigoya karte hai
hum aansuon se khud ko bhigo liya karte hai...
~~~
rangon se jab log chehare ko ranga karte hai
hum rangon me
in teri tasveer dhundha karte hai...
~~~
jab shaam hoti hai
chand bhi tanha akela hota hai
hum chupe-chupe chhat par baithe
chand sang holi khela karte hai...
~~~
holi ke mausam mein jab log holi khela karte hai
hum chhat par akele baithe tumko yaad kiya karte hai...

#Romil

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

पानी से जब लोग एक-दूसरे को भिगोया करते हैं 
हम आंसुओं से खुद को भिगो लिया करते हैं... 

रंगों से जब लोग चेहरे को रंगा करते हैं 
हम रंगों में तेरी तस्वीर ढूंढा करते हैं... 

जब शाम होती है 
चांद भी तन्हा अकेला होता है 
हम छुपे-छुपे छत पर बैठे 
चांद संग होली खेला करते हैं... 

होली के मौसम में जब लोग होली खेला करते हैं 
हम छत पर अकेले बैठे तुमको याद किया करते हैं... 

#रोमिल

holi...

"apne shehar main nafrat ki holi theek nahi romil,
aao hum-tum pyar ke rang se holi khele"

#Romil

अपने शहर में नफरत की होली ठीक नहीं रोमिल 
आओ हम-तुम प्यार के रंग से होली खेले... 

#रोमिल

taash ke patte...


taash ke patte ke tarah
khela hain woh meri zindagi se...
jeeta tab bhi mehfil main chod gaya
haara tab bhi mujhko wahi fhek gaya...
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Monday, March 9, 2009

teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai...

"teri kahani mein mujhe apni kahani dikhai deti hai
aaye dost tu kuch jaani-pehchani dikhai deti hai"
~*~
"daulat jaruri nahi hoti, zindagi ke liye
bahut jaruri hota hai sukoon-chain, zinda rehne ke liye"
[written by Romil Arora - copyright reserved]

woh din aayega jarur....

tarap ne do khud ko
intezaar karne do
mohabbat ka pal ek din aayega jarur...
~
do aansoo behane hai
beh jaane do
aansoo jis din moti banege woh din aayega jarur...
~
haawan ke jhoke jitne bhi gira le mohabbat ke phool
pathjad ke mausam mein bhi phool khilenge woh din aayega jarur...
~
chand ko chahe jitni bhi dushmani ho mere aangan se
mere aangan mein bhi sitare palenge woh din aayega jarur.
[written by Romil Arora - copyright reserved]

mujhe apna bana le tu...

mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
~
main tera hu
mujhe khud main saama le tu
~
yeh aankhen pyasi hain deedar ko teri
meri pyas bhujha de tu
~
rehna nahi hain juda hokar
hum dono ko
yeh rabba ko bata de tu
~
mil to aaise mil
mujhe apna bana le tu
[written by romil arora - copyright reserved]

yeh maano ya na maano tum....

udasiya kabhi chehare par lana nahi
main sada tumhara hu
yeh maano ya na maano tum
~*~
tumse bichard kar bikhar jaata hu
ek mala hai humtum
yeh maano ya na maano tum
~*~
in aansuyon ko na bahao aankhon se
tere aansoo meri jaan le lete hai
yeh maano ya na maano tum
~*~
apne sajde mein rehne do
yeh sar jhuka hai ise jhuka hi rehne do
main tumhare bin nahi jee payunga
yeh maano ya na maano tum
yeh maano ya na maano tum
[written by romil arora - copyright reserved]

tehzeeb...


tehzeeb ke shehar se aaya hu
kuch aur nahi bas tehzeeb hi saath laaya hu!
[written by Romil Arora-copyright reserved]

aansoo ka rang ...

abhi rangoon ke na jaane kitne mausam aayenge
haare, gulabi, laal kitne rang sajenge
par yeh dil fhir nahi samaj payega
"aansoo ka rang kaun sa hota hain"
[written by Romil Arora-copyright reserved]

Wednesday, March 4, 2009

ek baar to sanam muskura do...

main ja raha hu

teri yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

~

gila-shikwa chalo sabhi bhula de

pass baithe kuch pal guftagu kare

aankhon mein khawab saja le

chalo sanam ek baar muskura le

main ja raha hu

tere yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

~~

hawaa ke rukh se udh rahi hai zulfein tumhari,

maathe se zara ise hata le

kuch pal saath mein gunguna le

chalo sanam ek baar muskura le

main ja raha hu

tere yaadein saath le ja raha hu

ek baar to sanam muskura do...

[written by romil arora - copyright reserved]

BEWAFAI KARTE HO...

"bahut pyari-pyari baatein karte ho,
lagta hai MOHABBAT KARTE HO"
~
"muskaan mein chupa kar gum ko rakhte ho
lagta hai MOHABBAT KARTE HO"
~
"ajnabiyon ko apna samajhate ho
lagta hai MOHABBAT KARTE HO"
~
"DO KADAM SAATH NAHI CHALTE HO
AUR MANZIL PAANE KI KHAWAISH RAKHTE HO
lagta hai BEWAFAI KARTE HO"

#Romil

बहुत प्यारी-प्यारी बातें करते हो 
लगता है मोहब्बत करते हो... 

मुस्कान में छुपाकर ग़म को रखते हो 
लगता है मोहब्बत करते हो... 

अजनबियों को अपना समझते हो 
लगता है मोहब्बत करते हो... 

दो कदम साथ नहीं चलते हो 
और मंजिल पाने की ख्वाहिश रखते हो 
लगता है बेवफाई करते हो... 

#रोमिल

khuda ki kasam...."

"anjani pata hota ki tu peeche kadam haata lega
khuda ki kasam hum apne kadam nahi badate...
~
agar pata hota ki tera haath kisi aur ki haaton main hoga
khuda ki kasam hum apne haath nahi badate...
~
agar pata hota ki anjaam-e-waafa yeh hogi
khuda ki kasam hum kabhi waafa nahi karte....
~
khuda ki kasam...."
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Tuesday, March 3, 2009

sirf tera sahara...

tooti hain kashti
toofan bhi tej hain
durr hain kinara
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
~
khuda bhi hain dushman
zamana bhi dekh raha naazara
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
~
milkar kashti ko paar lagayenge
behati rahe chahe jitni bhi tej dhara
toofan se ladhkar aagey nikal jayenge
har pal saath nibayenge
sirf tera sahara...
sirf tera sahara...
[written by romil arora - copyright reserved]

dard-e-aawaz

is shehar mein lagta naye aaye ho Romil
jo sun kar meri dard-e-aawaz, haal-chal puchane aa gaye...

#Romil

इस शहर में लगता नये आए हो रोमिल 
जो सुनकर मेरी दर्द-ए-आवाज, हाल-चाल पूछने आ गए...

#रोमिल


aisa bhi kabhi hota hain...

jo bhi milta hai pyasa hi nazar aata hai
saawan ke mahine mein aisa bhi kabhi hota hai...
~*~
sare aansoo beh jaate hai pani bankar
yaadon ke dino mein aisa bhi kabhi hota hai...
~*~
Jalte-Jalte bhuj jati hai shama
tej hawaon mein aisa bhi kabhi hota hai...

hota hai... hota hai...
kuch kuch hota hai...

#Romil

जो भी मिलता है प्यासा ही नजर आता है 
सावन के महीने में ऐसा भी कभी होता है... 

सारे आंसू बह जाते हैं पानी बनकर 
यादों के दिनों में ऐसा भी कभी होता है... 

जलते-जलते बुझ जाती है शमां 
तेज हवाओं में ऐसा भी कभी होता है... 

होता है... होता है... 
कुछ कुछ होता है... 

#रोमिल

dil se...

shaam aane ko hai
teri yaad fir satane ko hai...
*
agar hota waqt mera gulam
main chand ko kabhi aane na deta apne dwaar...

#Romil

शाम आने को है 
तेरी याद सताने को है... 

अगर होता वक्त मेरा गुलाम 
मैं चांद को कभी आने ना देता अपने द्वार...

#रोमिल

Apna Naseeb Bhi Kamal Ka Hai..

Apna Naseeb Bhi Kamaal Ka Hai Romil
Woh humko apna bhi kehte hai
Chot Lagne par haal bhi nahi puchate hai...

#Romil

अपना नसीब कमाल का है रोमिल 
वो हमको अपना भी कहते हैं 
चोट लगने पर हाल भी नहीं पूछते हैं...

#रोमिल

Monday, March 2, 2009

aansoo...

ek aansoo bhi nahi bahaye usne meri judai mein romil,
jiski aankhon ko hum jheel kaha karte they...

#Romil

एक आँसू भी नही बहाये उसने मेरी जुदाई में रोमिल
जिसकी आँखों को हम झील कहाँ करते थे...

#रोमिल

yaad teri aai...

yeh dopahar ka aalam
yeh gum-e-tanhai
yeh behate hue aansoo
yaad teri aai...
~*~
udte hue panchiyon ne jaise koi baat sunai
hawa yeh lehrai
dopahar lekar karwat
yaad teri aai...
~*~
badalon mein ghatayein chhai
chand se chhankar chandani aai
jugnu bhi tim-timaye
yaad teri aai...

#Romil

यह दोपहर का आलम 
यह ग़म-ए-तन्हाई 
यह बहते हुए आंसू 
याद तेरी आई... 

उड़ते हुए पंछियों ने जैसे कोई बात सुनाई 
हवा यह लहराई 
दोपहर लेकर करवट 
याद तेरी आई... 

बादलों में घटाएं छाई 
चाँद से छनकर चांदनी आई 
जुगनू भी टिम-टिमाये 
याद तेरी आई...

#रोमिल

teri yaad

subah-subah yeh shaam kyon ho gayi 
teri yaad ke diye jale aise...
~!~
jal utha yeh dil mera kyon
aansoo ki barsaat ho gayi ho jaise...
~!~
sahil par baitha yeh soch raha hoon
samundar ki gehrai hai kitni
saari umeedon ki kashtiya dub gaye ho jaise...
~!~
udh gaye hai sab khawab mere parinda bankar
teri yaad ki purvaiyaa chali aise...
~!~
subah-subah yeh shaam kyon ho gaye
teri yaad ke diye jaale ho aaise...

#Romil

सुबह-सुबह यह शाम क्यों हो गई 
तेरी याद के दिए जले ऐसे... 

जल उठा यह दिल मेरा क्यों 
आंसू की बरसात हो गई हो जैसे.. 

साहिल पर बैठा यह सोच रहा हूं 
समुंदर की गहराई है कितनी 
सारी उम्मीदों की कश्तियां डूब गई हो जैसे... 

उड़ गए हैं सब ख़्वाब मेरे परिंदा बनकर 
तेरी याद की पुरवईया चली ऐसे...

सुबह-सुबह यह शाम क्यों हो गई 
तेरी याद के दिए जले ऐसे... 

#रोमिल

nazar...

shukr khuda ka itna hai woh aaye nazar to sahi
mere saath nahi, kisi aur ke saath hi sahi!
[written by romil arora-copyright reserved]

Sunday, March 1, 2009

sach se rubaru

"log pagal kehne lage mujhe..."

"anjaan se ishq kar liya
log pagal kehne lage mujhe...
~*~
ajnabi ka intezaar kar liya
log pagal kehne lage mujhe...
~*~
dekha nahi use
fir bhi khuda jaisa hi aitbaar kar liya
log pagal kehne lage mujhe...
~*~
duniya se door ho gaya yeh soch kar
ki gam uska palunga, tohfa samajh kar
log pagal kehne lage mujhe...

#Romil

लोग पागल कहने लगे मुझे... 

अंजान से इश्क कर लिया 
लोग पागल कहने लगे मुझे... 

अजनबी का इंतजार कर लिया 
लोग पागल कहने लगे मुझे... 

देखा नहीं उसे 
फिर भी खुदा जैसा ही ऐतबार कर लिया 
लोग पागल कहने लगे मुझे... 

दुनिया से दूर हो गया यह सोचकर 
कि ग़म उसका पालूंगा तोहफा समझकर 
लोग पागल कहने लगे मुझे...

#रोमिल

tab tum yaad aate ho

jab shaam hote hi sitare tim-timate hai
jab raat ke andhere mein jugnu jagmagate hai
jab suraj ki kiran padte hi phool khilkhilate hai
jab parinde door se hi paigam sunate hai 
tab tum yaad aate ho
tab tum yaad aate ho...

#Romil

जब शाम होते ही सितारे टिमटिमाते है...
जब रात के अँधेरे में जुगनू जगमगाते है...
जब सूरज की किरण पड़ते ही फूल खिलखिलाते है...
जब परिंदे दूर से ही पैग़ाम सुनाते है...
तब तुम याद आते हो...
तब तुम याद आते हो...

#रोमिल

mere hausaloon mein woh udaan hai...

mere hausaloon mein woh udaan hai main apni kismat badal lunga Romil
main haath ki lakeeron ka mohtaaj nahi...

#Romil

मेरे हौसलों में वह उड़ान है 
मैं अपनी किस्मत बदल लूंगा रोमिल 
मैं हाथ की लकीरों का मोहताज नहीं...

#रोमिल

kaash...

kaash waqt par meri hukumat hoti romil
main woh waqt kabhi nahi lata ki woh bewafa ho jaye...

#Romil

क़ाश वक़्त पर मेरी हुक़ूमत होती रोमिल
मैं वो वक़्त कभी नही लाता की वो बेवफ़ा हो जाये...

#रोमिल

Maa ki goad chahiye sone ke liye...

muddat ho gai mujhe chain se soye hue Romil
mujhe bhi Maa ki goad chahiye sone ke liye...

#Romil

मुद्दत हो गई मुझे चैन से सोए हुए रोमिल 
मुझे भी माँ की गोद चाहिए सोने के लिए... 

#रोमिल

aaina tod kar kehte hai...

aaina tod kar kehte hai
ek chehare ke hazar chehre bana lete hai hum
zindagi jeene ka hunar jante hai
gum main bhi muskura lete hai hum..
[written by romil arora-copyright reserved]

chirag

Allah ne mujhe chirag banaya hain, chand nahi
jitne andheron ko bhujane ke liye banaya hain utna hi sahi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, February 28, 2009

Masjid main dekh kar ....

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui romil
kiski khushiyaan ke liye tune fir haath fehlaya
~
yeh duaon ka silsila kyon kar raha hai tu chalu
kaun hai woh anjani jo fir yaad aaya
~
aankhon mein aansoo kiske liye hai
kiski bandagi ka fir khayal aaya
~
shaam hote hi kyon khol deta hai darwaze
woh kaun hai jiska yeh chand salam lekar aaya

#Romil

मस्जिद में देखकर तुझे हैरत बहुत हुई रोमिल
किसकी खुशियों के लिए तूने फिर हाथ फैलाया...

यह दुआओं का सिलसिला क्यों कर रहा हैं तू चालू...
कौन है वो अजनबी जो फिर याद आया...

आँखों में आँसू किसके लिए है...
किसकी बंदगी का फिर ख़्याल आया...

शाम होते ही क्यों खोल देता हैं दरवाजे...
वो कौन है जिसका यह चाँद सलाम लेकर आया...

#रोमिल

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekhkar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

#Romil

खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था
रोज़ बनाता था नए ख़्वाब 
फिर उसे तोड़ दिया करता था...
~
चाँद को देखकर
बर्फ का गोल, गोला बना लिया करता था,
दिन में तितलियों से
रात में जुगनू से दोस्ती किया करता था,
एक ही फन आता था मुझे
मैं दूसरों के दुःख में रो लिया करता था...
~
खिलौनों के लिए तरसा हैं बचपन मेरा
मैं अपने ख़्वाबों से खेला करता था...

#रोमिल

suna hain...

suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
~
zakhame dil ke saath fhir khel rahe ho
mitti ka ghar hain
barsaat ke saath kyon dushmani kar rahe ho...
~
sakuun se soya karte the tum raaton main
kyon meri jaan apni raatein kharab kar rahe ho...
~
tukade-tukade pehle hi ho chuka hain dil tumhara,
kyon isse khaakh main mila rahe hoo...
~
suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 27, 2009

sach se rubaru

"jab ghar ki dahleez maine laanghi thi
dil mein bas ek yahi aarzoo thi
koi ghar na chodane ki duhai de
koi aakar mera rasta rok le
koi peeche se mujhe aawaz de"

#Romil

जब घर की दहलीज मैंने लांघी थी
दिल में बस एक यही आरज़ू थी
कोई घर ना छोड़ने की दुहाई दे
कोई आकर मेरा रास्ता रोक ले
कोई पीछे से मुझे आवाज़ दो...

#रोमिल

kuch is tarah

kuch is tarah badal gaye hain mere haalat
zindagi ek sawalat ho gaye hain...
~
puch raha hu khud se ek saawal
tu kyon bewafa ho gaye hain...
~
dil main yaadon ki aag bharakane lagi
aankhon main aansoo ki barsaat ho gaye hain...
~
kisse kare teri bewafai ka charcha is jahan main
teri ishq main saari duniya apni dushman ho gaye hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

sab hi...

sab hi apno se milte hai Romil
maza to tab aata hai jab log ajnabi se milte hai Romil!

#Romil

सब ही अपनो से मिलते है रोमिल
मज़ा तो तब आता है जब लोग अजनबी से मिलते है रोमिल!

#रोमिल

nahi soye

raat bhar tere intezaar mein nahi soye
hum zindagi ke saawal mein nahi soye
dil yeh puchata raha ki tu pareshan kyon hai
hum muskuraye aur tere khawabo ke khayal mein nahi soye...

#Romil

रात भर तेरे इंतजार में नहीं सोए 
हम जिंदगी के सवाल में नहीं सोए 
दिल यह पूछता रहा कि तू परेशान क्यों है 
हम मुस्कुराये और तेरे ख्वाबों के ख्याल में नहीं सोए... 

#रोमिल