Saturday, May 31, 2008

Tum nahi aaogi...

"tum nahi aaogi..."

Shaam hote hi sab ghar laut aate hai,
Na jaane tum kab aaogi,

Kab fir wahi pyar ki kahani sunaogi,
Kab tanhai mein mujhe geet sunaogi,
Kab fir apni palko ko meri raahon mein bichaogi,
Kab apni zulfo ko meri baahon mein bichaogi,

Par shayad tum kabhi nahi aaogi,
Na mere sang muskuraogi,
Na jaane fir aise hi kitni shaame tanhai mein beet jayengi,
tum kabhi nahi aaogi,

Main tumhari deed ka payasa hi rahunga,
Sapno mein hamesha apni duniya basaunga,
Shaam hote hi sab ghar laut aate hai,
Magar tum nahi aaogi...

#Romil

"तुम नहीं आओगी"

शाम होते ही सब घर लौट आते हैं, 
ना जाने तुम कब आओगी... 

कब फिर वही प्यार की कहानी सुनाओगी 
कब तन्हाई में मुझे गीत सुनाओगी 
कब फिर अपनी पलकों को मेरी राहों में बिछाओगी 
कब अपनी जुल्फों को मेरी बाहों में बिछाओगी... 

पर शायद तुम कभी नहीं आओगी 
ना मेरे संग मुस्कुराओगे 
न जाने फिर ऐसे ही कितनी शामें तन्हाई में बीत जायेंगी 
तुम कभी नहीं आओगी... 

मैं तुम्हारी दीद का प्यासा ही रहूंगा 
सपनों में हमेशा अपनी दुनिया बसाऊंगा 
शाम होते ही सब घर लौट आते हैं 
मगर तुम नहीं आओगी... 

#रोमिल

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Sangharh ki Anokhi Chetna”

“Zameendaro, thakhuro, shehareyo aur amiroo ne hazar-hazar dukh diye, aashai aur besahara kiya,
jaanvaro, vraksho (paido) aur humse hamare zameen chen le,
yeh batao ab bhi kaha badla hai hamare shoshan ka tarika,
hamare purkhe gaate rahe, dukh se bhare geet,
aur wo dekhate rahe hamare bahu, bateiyo, bhehano, baccho ka naach-gaana”

“Ab mujhse yeh dard nahi shehan hota hai,
amiroo, zameendaro, thakhuro, shehareyo ka aadmi mujhe roz tang karta hai,
main pareshan hu, aur dard se karah utha hu,
Uff aaise hai maire halat,
maire pass ghar nahi hai, maire bacche bhukhe-piyase hai, unke pass pehane ko kapada nahi hai”

“Ab kyon na main chuppi ko todh du?
kyon na main udashi, maun, nirasha ko chodh du?
kyon na main apne haaton main bandukh utha lu,?
kyon na main in zameendaro, thakhuro, amiroo aur shehareyo ki laashe bhicha du
kyon na?.... kyon na......?”

“Mujhe pata hai, mujhe laash beechane ke baad bhi khushi nahi milenge,
magar humko bhi azadi chahiye,
hamare baccho ko bhi pehanne ke liye kapade, khelane ke liye khilone, khane ko khana, peene ko pani, padane ko kitabe, school chahiye, dawa ke liye aaspatal chahiye,
Kya hum insaan nahi hai?”

“Main aaise nahi jeena chahata hu, roz-roz nahi marna chahata hu,
magar yeh zameendaro, thakhuro amiroo aur shehareyo mujhe jeene nahi dete hai,
main pareshan ho!
isliye aapne baccho ko khiloone ke jagah bandukh de raha hu,
jeene se pehle unko marne-maarne ka hausala de raha hu,
apne gharwalon ko baachane ki liye unko taiyaar kar raha hu”

“Uttho baccho aur apna insaaf mango,
apne logon ka haq mango,
baghwan ke barose ab na raho,
uttho aur apna insaaf mango,
apna haath uthao beekh maangane ke liye nahi haq cheenane ke liye”

“Saayad aaj ka tumhara balidaan kal ki peedhe ke liye vardan laye,
Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu”


Isliye main yeh sangharsh ki jwala tumhare aandar jala raha hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

“Widhwa ka dard”

"widhwa ka dard”

Bahut rang dekhe maine, bahut rang maine chahe,
phoolon se lekar, titliyoon ke rang main, maine pankh failaiye,
aasman ke neelen rang main, khub khaile aur mushkuraye,
saawon ke din main rang-birange rangon se gudia ko saajaye,

Par yeh rang mujhe nahi bhata hai,
baar-baar is rang main khud ko dekh kar, dil maira rokar gaata hai,

Utar du is rang ko, jise shanti ka pratik kaha jata hai,
par main to chulbuli hoon,
hamesha mushkurana chahate ho,
taraf-taraf ke rangon main sajana chahte hu,
yeh rang mujh par nahi bhata hai,
maire sunhere aur komal gulabi kaaya ko yeh chupata hai,

Yeh dard maira hai, magar kisise kaha nahi jata hai,
Bas raangon ke sapno ke duniya main jakar,
kuch pal dil ko behlakar,
wapas usse BERANG duniya main aa jaate hu!
[written by romil arora - copyright reserved]

“Sarhad ke abhilasha”


“Sarhad ke abhilasha”

Sarhad kehte hai aaj main bhi khelu Holi,
tirange ke haare, safed aur basanti rang se saajhe maire bhi doli,

dor gagan se aaye pavan suhane,
rang birange phoolon se saajhe maire bhi doli,

himalay ke baadal se mehak uda-uda kar aaye,
safed barf se saajhe maire bhi choli,

bahut saajh chuki main shahedon ke lal khoon se,
vidhawa ke safed saree se,
bhehan ke peele padi mehandi se,
maa ke chekhate kaali aawazo se,
baap ke roote un neele aankhon ke aanshu se,
Ab main is tarah ke Holi nahi khelana chahate hu,


Ab main dosti ke rang main,
bhai chare ke pyaar main,
aapno ke dular main,
aaman ke baazar main,
baadon se samman main,
choton ke aashirwad main,
rangana chahte hu,


Bas yahi maire abhilash hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, May 30, 2008

Mere Shehar Mein Koi Aisa Ho...!!!

Mere Shehar Mein Koi Aisa Ho...!!!

Na Woh Farista Ho, Na Fariste Jaisa Ho,
Mujhey Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho,

Mere Khuloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hai,
Woh Koi Bhi Ho, Kahi Bhi Ho, Kaisa Bhi Ho,

Jo Khawab Dene Ko Taiyaar Ho Meri Aankhon Ko,
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho,

Meri Khatir Marne Ka Hausla Bhi Rakhta Ho,
Agar Kabhi Rooth Jaun Main Usse Toh,
Muskura Ke Manaye, Woh Aisa Ho,

Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhi Sake,
Iradon Mein Woh Apne Chahato Jaisa Ho,
Dukhon Mein Hasne Ka Hunar Janta Ho,

Ek Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehra Ho,
Uske Pyar Ki Thandak Ho Mere Liye Aise,
Ki Woh To Bilkul Aasman Ke Chand Jaisa Ho,
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Mein Haya Rakhta Ho,

Umar Bhar Saath Chale Woh Aisa Ho...!!!
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho......
Kaash mere shaher mein koi mere jaisa ho!!!

#Romil

मेरे शहर में कोई ऐसा हो 

ना वह फरिश्ता हो ना फरिश्ते जैसा हो 
मुझे तलाश है उसकी जो मेरे जैसा हो... 

मेरे ख़ुलूस को पहचानता हो बस काफी है 
वो कोई भी हो, कहीं भी हो, कैसा भी हो... 

जो ख्वाब देने को तैयार हो मेरी आंखों को 
मेरी मोहब्बत को पहचान सके वह ऐसा हो... 

मेरे खातिर मरने का हौसला भी रखता हो 
अगर कभी रूठ जाऊं मैं उससे तो मुस्कुरा के मनाये वो ऐसा हो... 

जो बात करें तो वो निभा भी सके 
इरादों में वो अपने चाहतों जैसा हो... 
दुखों में हंसने का हुनर जानता हो... 

एक ऐसा हमसफर जो समंदर की तरह गहरा हो 
उसके प्यार की ठंडक हो मेरे लिए ऐसे कि वो तो बिल्कुल आसमान के चांद जैसा हो 
वह सिर्फ मेरा हो जो निगाहों में हया रखता हो... 
उम्र भर साथ चले वो ऐसा हो...

मुझे तलाश है उसकी जो मेरे जैसा हो...
क़ाश मेरे शहर में कोई मेरे जैसा हो...

#रोमिल

Mera Mann, Hey Mera Mann

"Mera Mann, Hey Mera Mann"

mera mann, hey mera mann,
kyon tumhe chahe mere sajan,

baarish ki pehli boondein,
suraj ki pehli kirane,
tumko hi dhoondhe mere sajan,
mera mann, hey mera mann,
kyon tumhe chahe mere sajan,

ab aa bhi jao,
na mujhe satao,
chhukar hooton ko koi paigam likh jao,
yeh tann, yeh badan,
tera hai, aakar chhu lo mere sajan,
mera mann, hey mera mann,
kyon tumhe chahe mere sajan,

din-raat yeh naina,
tera rasta nihare,
sapno mein bhi yeh baahein sirf tujhko pukare,
ab mat satao, na intezaar karwao,
ab aa bhi jao mere sajan,
mera mann, hey mera mann,
kyon tumhe chahe mere sajan...

#Romil

मेरा मन, हाय मेरा मन... 

मेरा मन, हाय मेरा मन... 
क्यों तुम्हें चाहे मेरे साजन... 

बारिश की पहली बूँदें
सूरज की पहली किरणें 
तुमको ही ढूंढे मेरे साजन...
मेरा मन, हाय मेरा मन... 
क्यों तुम्हें चाहे मेरे साजन... 

अब आ भी जाओ 
ना मुझे सताओ 
छूकर होंठों को कोई पैगाम लिख जाओ 
यह तन, यह बदन 
तेरा है, आकर छू लो मेरे साजन...
मेरा मन, हाय मेरा मन... 
क्यों तुम्हें चाहे मेरे साजन... 

दिन-रात यह नैना 
तेरा रास्ता निहारे 
सपनों में भी यह बाहें सिर्फ तुझे पुकारे 
अब मत सताओ, ना इंतजार करवाओ
अब आ भी जाओ मेरे साजन...
मेरा मन, हाय मेरा मन... 
क्यों तुम्हें चाहे मेरे साजन...

#रोमिल

Jo kabhi...

"Jo kabhi"

Dil jalane ki baat wo kya jaane,
Jo kabhi kisi se dil laga na sake,

Zehrile-qaatil kehne wale wo kya jaane,
Jo kabhi kisi ko ek guat pani peela na sake,

Wafa-Bewafai ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke mohabbat par naaz kar na sake,

Galiyon main mujhe dhundne wale wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ke ghar ka rastha yaad kar na sake,

Sahara dekar ehsaan jatane wala wo kya jaane,
Jo kabhi khud be-sahara hua karte the,

Soya karte hai jo gair ki baahon main saada, wo kya jaane,
Jo kabhi mehboob ki yaadon main jaag na sake,

Aarzoo ke baat karne wale wo kya jaane,
Jo kabhi be-aarzoo jiya karte the,

Yaar ki baat to bade aaram se kehdi tumne kehne wale,
Jo kabhi apne dost ki yaari samaj na sake,

“Hitler” ko yakeen delate hue rukhsat ho jaunga main is duniya se,
Aur wo hai jo kabhi hum par yakeen kar na sake...

#Romil

जो कभी...

दिल जलाने की बात वो क्या जाने
जो कभी किसी से दिल लगा ना सके...

जहरीले-कातिल कहने वाले वो क्या जाने 
जो कभी किसी को एक घूंट पानी पिला ना सके... 

वफा-बेवफाई की बात करने वाले वो क्या जाने 
जो कभी महबूब के मोहब्बत पर नाज़ कर ना सके... 

गलियों में मुझे ढूंढने वाले वो क्या जाने 
जो कभी महबूब के घर का रास्ता याद कर ना सके... 

सहारा देकर एहसान जताने वाले वो क्या जाने 
जो कभी खुद बेसहारा हुआ करते थे... 

सोया करते हैं जो गैर की बाहों में सदा वो क्या जाने 
जो कभी महबूब की यादों में जाग ना सके... 

आरजू की बात करने वाले वो क्या जाने 
जो कभी बे-आरज़ू जीया करते थे... 

यार की बात तो बड़े आराम से कह दी तुमने कहने वाले 
जो कभी अपने दोस्त की यारी समझ ना सके... 

हिटलर को यकीन दिलाते हुए रुखसत हो जाऊंगा मैं इस दुनिया से
और वो है जो कभी हम पर यक़ीन कर ना सके...

#रोमिल