All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Saturday, July 25, 2009
sochane laga yeh...
Friday, July 24, 2009
uski tarah kya bichadata hai koi?
Thursday, July 23, 2009
waqt ki gehraiyon mein
Wednesday, July 22, 2009
rone do naaaaaaaaaa
rone do naaaaaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
naino ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
~*~
kitne khawab the
sab bikhar chuke hai
raat thi jo mohabbat ki
woh guzar chuke hai
aaj jee bhar kar rone do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
naino ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
~*~
tap tap kar gire aansoo
koi chehara nainon mein basta gaya
udasi basti gayi lamhon mein
sannata basta gaya
fir naya gum palane do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
naino ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
~*~
saanson ka lipata hua libaas hu
na ab koi sunta hai
na ab koi sunata hai
tere khat aate the
do pal baatein ho jaate thi
aaj un baatein khatoon ko jaala laine do
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
naino ko aaj suza laine do naaaaaaa
rone do rone do
rone do naaaaaaaaaa
Tuesday, July 21, 2009
yeh zindagi aapki ho jayegi...
hawa mein pankh fela kar uda kijiye
aankhon mein khawab basa lijiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
yaadon mein jo naam aata hai
dhadkano mein jo bas jaata hai
uska haath tham lijiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
honton par koi geet saaja lo
mushkilo se tum darro nahi
haar mein bhi muskura lijiye
yeh zindagi aapki ho jayegi...
^^^
tadapkar girti hai jab judai ki barsaate
tum meethe palo ki chadar ko odh lo
yeh zindagi aapki ho jayegi...
Monday, July 20, 2009
tera naam lekar...
hum tere shehar main fhir rahe
apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...
kis-kiska darwaza khadkhadaiye
tera naam lekar...
~*~
bhulana tha to yeh ikraar kiya hi kyon tha
dena tha dard to pyar kiya hi kyon tha
na fhair nazare anjaano ki tarah...
hum tere shehar main fhir rahe
apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...
kis-kiska darwaza khadkhadaiye
tera naam lekar...
~*~
shaup kar tujhko hum chale jayenge
fhir na is shehar main kabhi hum aayenge
ek bar to mil le mujhse tu kisi ki amanat ki tarah
hum tere shehar main fhir rahe
apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...
kis-kiska darwaza khadkhadaiye
tera naam lekar...
~*~
yeh aakhiri aarzoo
aakhiri chahat hain meri
taire surat dekho main
kabhi tu dikh ja badalon main chupe chand ki tarah
hum tere shehar main fhir rahe
apni mohabbat ki laash ka bhoj lekar...
kis-kiska darwaza khadkhadaiye
tera naam lekar...
[written by romil arora - copyright reserved]