Friday, January 1, 2010

JINKO MILTA HAI KHUDA....

"JINKO MILTA HAI KHUDA WOH KHUDA KI BAATEIN KARTE HAI
BAAKI DIL-WALE TO KHAWABON KI BAATEIN KARTE HAI"
***
"NAHI MILTA FANAA HONE SE KHUDA BHI
JO FANAA HOTE HAI WOH TO SIRF FANAA HONE KI BAATEIN KARTE HAI"
***
"KISSE KAROGE YAHAAN WAFA KI BAATEIN
HAR WAFADAR, YAHAAN BEWAFAI KI BAATEIN KARTE HAI"
***
"JANTA HU TUM BHI SAATH CHOD DOGE MERA
HAR SAATH CHODANE WALA YAHAAN SAATH DENA KA VAADA KARTE HAI"

#ROMIL

जिनको मिलता है खुदा वो ख़ुदा की बातें करते हैं
बाकी दिलवाले तो ख्वाबों की बातें करते हैं...

नहीं मिलता फना होने से खुदा भी 
जो फना होते हैं वो तो सिर्फ फना होने की बात करते हैं...

किससे करोगे यहां वफा की बातें 
हर वफादार, यहां बेवफाई की बातें करते हैं... 

जानता हूं तुम भी साथ छोड़ दोगे मेरा 
हर साथ छोड़ने वाला यहाँ साथ देने का वादा करते हैं...

#रोमिल

TERE BINA...TERE BINA...

TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA...KAISE JIYA...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA...
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA...KAISE JIYA...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA...
***
RAAT BHAR JAAGA
JUGNU KI TARAH FIRA RE...
ASMAAN MAIN SAPNE KE TAAREIN BUNTA RAHA RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
***
APNA NAHI
NA HI YEH DIL PARAYA HUA RE...
DIL KO TO BAS TOOTANE KA CHASKA LAGA RE...
BHEHATE RAHE AANSOO
KISI SE KUCH NA KAHAN RE...
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
***
BAHUT BAHA CHUKE HUM AANSOO
AA THODA SA ASMAAN KO BHI RULAYE RE...
USI BARSAAT MAIN HUMTUM
KUCH PAL CHAIN SE SO JAYE RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...

#ROMIL

तेरे बिना... तेरे बिना... 
कैसे जिया... कैसे जिया... 
पूछो ना मुझसे साजना... 
तेरे बिना... तेरे बिना... 
कैसे जिया... कैसे जिया... 
पूछो ना मुझसे साजना...

रातभर जागा 
जुगनू की तरह फिरा रे... 
आसमान में सपने की तारे बुनता रहा रे...
पूछो ना मुझसे साजना...
तेरे बिना... तेरे बिना... 
कैसे जिया... कैसे जिया... 

अपना नहीं 
ना ही ये दिल पराया हुआ रे... 
दिल को तो बस टूटने का चस्का लगा रे... 
बहते रहे आँसू 
किसी से कुछ ना कहाँ रे...
तेरे बिना... तेरे बिना... 
कैसे जिया... कैसे जिया... 
पूछो ना मुझसे साजना...

बहुत बहा चुके हम आँसू 
आ थोड़ा सा आसमान को भी रुलाए रे 
उसी बरसात में हम-तुम 
कुछ पल चैन से सो जाए रे...
पूछो ना मुझसे साजना...
तेरे बिना... तेरे बिना... 
कैसे जिया... कैसे जिया... 

#रोमिल

Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

ishq ke din ajeeb hote hain

ishq ke din ajeeb hote hai
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
aaine se karte hain baatein
raat bhar khawabon mein khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
band kamron mein chup-chup kar ro laite hai
mehfilon se durr rehta hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
jab tak na lage thokar bewafai main
baade naaz se ishq ka naam liye fhirate hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 30, 2009

woh mann se sundar thi...

ab aksar chup-chup kar ro laite hai
jiski muskaan phool kheela daite thi...
ab aksar chup-chap rehti hai
jiski baatein sabko hansa daite thi...
***
uska udas chehara to dekho
hooton mein thehari haansi to dekho
pass se guzare to hawa bhi nahi udti hai
jiski mehak gulsan mehka daite thi...
***
aansoo ka jo suru hua hai silsila girane ka thamta nahi hai
woh roote hue ke honton par muskaan saaja daite thi...
andheron mein rehti hai roshani mein aati nahi hai
jo subah ka suraj hua karti thi...
khuda ka itna sitam kisi par maine dekha nahi hai
ab kya kahe uski baatein
woh mann se sundar thi...
woh mann se sundar thi...

#Romil

अब अक्सर छुप-छुपकर रो लेती है 
जिसकी मुस्कान फूल खिला देती थी... 

अब अक्सर चुपचाप रहती है 
जिसकी बातें सबको हंसा देती थी... 

उसका उदास चेहरा तो देखो 
होंठो में ठहरी हंसी तो देखो 
पास से गुजरे तो हवा भी नहीं उड़ती है 
जिसकी महक गुलशन महका देती थी... 

आँसू का जो शुरू हुआ है सिलसिला गिरने का 
थमता नहीं है 
वो रोते हुए के होठों पर मुस्कान सजा देती थी 
अंधेरों में रहती है रोशनी में आती नहीं है 
जो सुबह का सूरज हुआ करती थी... 
खुदा का इतना सितम किसी पर मैंने देखा नहीं है... 
अब क्या कहे उसकी बातें 
वो मन से सुंदर थी... 
वो मन से सुंदर थी...

#रोमिल

raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...


~*~
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
chod aaye apna dil tere pehlu main
teri mehak apne saath le aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
yunh to tha main ek pathar ki bani hue murat
tumne chua to mom ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
humne har baar khuda se yahi manga tha
jab bhi unke kareeb hum jaye
tab barsaat aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
mujhse puche mera zameer
jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 29, 2009

yunhi firta rehta hu mausam-e-barsaat mein...

yunhi firta rehta hu mausam-e-barsaat mein
apni yaadon ke jazbaat mein...
sab sunte hai mooh ki baatein
koi na jaane kya beeta hai mere saath mein...
***
yunhi firta rehta hu...
***
raaton ko uth-uthkar darwaze par baith jata hu main
lagta hai jaise chand se utar raha hai woh...
sadiyon-sadiyon yunhi khojta hua
yunhi firta rehta hu mausam-e-barsaat mein
apni yaadon ke jazbaat mein...
***
woh mera aaina uski parchhai hu main
ek hi kamre mein qaid rehte hai dono
kabhi main kehta, sunti hai woh
kabhi woh kehti, sunta hu main...
yunhi firta rehta hu mausam-e-barsaat mein
apni yaadon ke jazbaat mein...
***
ghanton baitha rehta sagar kinare main
logon ko aate-jaate dekhta raha
tum nahi aaye milne mujhse
sadiyon khamosh gumsum sa raha main...
yunhi firta rehta hu mausam-e-barsaat mein
apni yaadon ke jazbaat mein...

#Romil

यूंही फिरता रहता हूं मौसम-ए-बरसात में 
अपनी यादों के जज्बात में... 
सब सुनते हैं मुंह की बातें 
कोई ना जाने क्या बीता मेरे साथ में... 

यूंही फिरता रहता हूं...

रातों को उठ-उठकर दरवाजे पर बैठ जाता हूं मैं 
लगता है जैसे चांद से उतर रहा है वो 
सदियों-सदियों यूंही खोजता हुआ 
यूंही फिरता रहता हूं मौसम-ए-बरसात में 
अपनी यादों के जज्बात में...

वो मेरा आईना उसकी परछाई हूं मैं 
एक ही कमरे में कैद रहते हैं दोनों 
कभी मैं कहता, सुनती है वो 
कभी वो कहती, सुनता हूं मैं...
यूंही फिरता रहता हूं मौसम-ए-बरसात में 
अपनी यादों के जज्बात में...

घंटों बैठा रहता सागर किनारे मैं 
लोगों को आते-जाते देखता रहा
सदियों खामोश गुमसुम सा रहा मैं...
यूंही फिरता रहता हूं मौसम-ए-बरसात में 
अपनी यादों के जज्बात में...

#रोमिल