Friday, June 22, 2018

Labon...

Jo maine labon se khamoshi utaar di...
Na jaane kitno ke cheharon se naqaab utar jayenge...

Bolne se khud ko rok rakha hai maine...
Warna tumhare bhi zakhm Hare ho jayenge...

Mere shabr ka imtehaan mat lo...
Lo labon ke baandh toote to na jaane kitne ismein beh jayenge..

aur

Khayal rahe...

Yeh juban ab raat bhar tumhare kaano mein mohabbat ke nagme nahi gaati...
Naye sire se juban ko dhaar di hai maine.

sharafat utaar di hai maine...
mohabbat utaar di hai maine...

- ⛅

Thursday, June 21, 2018

Haawaon ne gunah kiya tha...

Haawaon ne gunah kiya tha...
Garib ka ghar fhuk diya tha...

Log Deep ko ilzaam dene lage...
Us bechare ne to jal kar Ujiyala kiya tha...

aur

Dheere... Dheere...
Dheere... Dheere...
2-4 dino mein...
Aadat pad jaati hai...
Aadat pad hi jaati hai...

Tanhai bhi apni si lagne lagti hai...

- ⛅

Radio... Sheharon ki galiyon mein jab andhera hota hai... Chura hai tumne Dil ko... Thoda hai thode ki jarurat hai...

Oye Bawarchi.... Khamsha...
Coffee nahi pilaoge Kya? Aaj tumhara turn tha...
(tumne kahan tha)

(maine bola tha)
Tumhe coffee ki padi hai... Yahan ghar mein chori ho gai hai...

(tumne jawab diya tha....)
Chori... aisa kya loot-putt gaya... mujhe to sab cheezein barobar nazar aa rahi hai...

(maine zor se kahan tha)
Radio... Tumko dikh nahi raha... Radio chori ho gaya hai...

(tumne turant jawab diya)
Fir yeh kaho Chori nahi Daaka pada hai... Daaka... Daku loot le gaye tumhari amanat ko...

Main coffee bana ke laati hun...
Tum gaana gaate hue kitchen mein ghus gai...

"jab andhera hota hai...
aadhi raat ke baad...
ek chor nikalta hai kaali si sadak pe...
tab yeh aawaz aati hai...
Chor... Chor... Chor...
sheharon ki galiyon mein jab andhera hota hai..."

(main bola tha)
Nahi peeni tumhari coffee... Mujhe to chor ghar ka hi koi lag raha hai...

(tumne jhatak se bola)
Matlab Kya hai tumhara? Yahan hum dono ke siwa teesara rehta kaun hai? Be-matlab ka shaq mat karo... Main us fatichar Radio ka kya karungi...

pehle dhundhoo fir ilzaam lagana...

tum gaana gungunati hui room mein aa gai aur boli aaj to Sunday hai full day aaram se TV dekhungi...

"Chura liya hai tumne jo dil ko...
Nazar nahi churana sanam...
Badal ke meri zindagani...
Kahi badal na jaana sanam..."

(Maine) poore ghar ki talashi le li... Par Radio kahi na Mila... Aakhir mein tumhare samne haath jodne pe (tumne kahan)...

Agar tum evening mein mujhe bahaar le-jakar mere pasandeeda snacks khilaoge to bata sakti hun...

(Maine tumhari Shart maante hue haami bhar di...)

(Tumne kahan...)
Kitchen meim aate ke peepe ke andar rakha hai tumhara Radio...

Fir radio start karte hi ek surila geet nikal pada...

"thoda hai... thode ki jarurat hai...
zindagi fir bhi yahaan khoobsurat hai...

thoda hai... thode ki jarurat hai..."

- raj

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

jiske saath Rab ne bana di Jodi...
Usi ke saath zindagi beeta dete hai...
Zakhm laakh mile...
Na uff karte hai... Na kisi ko kuch batate hai...
Bas labon ko muskaan se sajaye rehte hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

pani matke ka peete hai...
chatai bichakar zameen pe sote hai...

mehlon ki khawaish nahi humko...
jhopadi mein girdhar gopal ko baithate hai...

chidiyon ko dana dalte hai,
cheentiyon ko gur khilate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...

aam ko chhus kar hi khaate hai...
daal-chawal ko haaton se khaate hai...

ram-ram bhajte hai...
ram ki kahani gaate hai...
maut ke intezaar mein zindagi bitate hai...

hum to purani duniya... purane daur ke hai...
Ishq ko saudebaazi nahi, ishq hi samajhate hai...

- raj

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...

Pehle zakhmo ko khud hi kuredate hai...
Fir hum unhi zakhmo ke lahoo se teri tasveerein banate hai...

Jism kar diya katra-katra...channi-channi...
Par rooh uska naam pukarti rahi...
Jaane kaise log hai yeh,
Haawaon ke pairon mein zanzeerein dalte hai...

Main aaj bhi Mohabbat-e-Gultasta banata hun...
Woh log aaj bhi nafratein batate hai...

aur

Kyon badal jaata hai insaan, main samajhane laga hun...
Log har cheez ko aajkal daulat ke tarazu mein taulate hai...

- Romil RaJ

Ishq Di Baajiyaan - Soorma (2018) - Kabhi use NOOR-NOOR kehta hun... Kabhi use hoor-hoor kehta hun... Ishq mein choor-choor rehta hun...


aye meri jaan... tu na ho pareshan...

naaz kehti hai...

Sultan... "aye meri jaan... 
tu na ho paresha,
koi bhi shaitan, tujhe chhoo na payega,
kar dungi katleaam...
macha dungi kohraam...
koi bhi shaitan, tujhe chhoo na payega...

aye meri jaan...
tu na ho pareshan..."

- Sultan...

"jab hum rooh ko jism se dabooch ke kheechate hai, tab bhi Reham nahi karte...
chahe koi jism kitna bhi tadpe, cheekhe, dahaade...
Par na jaane kyon Sultan tere tiye aankhon se aansoo nikal aate hai..."

"Jannat mein tere liye jagah to pehle se hi pakki hai Sultan...
Main to har roz us qaynaat-e-rab se tere liye ek jahaan mangati hun..."

"Sultan... kal parwardigar se boli tere liye...
Ise maut de de mere Shehanshah...
Aawaz aai... Abhi kuch purane hisaab-kitaab baaki hai iske...
baar-baar ise kabr mein dalna, fir jilana waajib na hoga...
ise isi zindagi mein sab aafatein bhugat lene de..."

" 6 dino mein dunia-e-jahan banane wala Rehmaan...
tere liye palak jhapakte hi khusiyon ki jhadi laga sakta hai...
Par yeh ladai... sirf Arsh se Farsh tak ki hi nahi..
Sultan... Rab se Rab banne tak hai...
aur
main dil-e-jaan se tujhe Rab bante dekhna chahti hun..."

"Par aisa na ho jaye...
Rab banne ke chakkar mein tum Insaan hi na raho... Sultan..."

- Sultan