Sunday, July 1, 2018

Radio... Baahon ke darmiya... Ankh hai bhari-bhari aur tum... Tera saath hai to mujhe kya kami hai...

Tumne kahan tha...
"Fhulke khaoge ya fir Chawal..."

Maine jawab diya tha...
"Jo easy lage tumko bana lo..."

"Chalo fir appa Fhulke sek lete hai..."
Tumne bola tha...

Radio dheere-dheere mausam ke saath karwatein le raha tha...

"Baahon ke darmiya....
Do pyar mil rahe hai...
Jaane kya bole mann,
Dole sunke badan,
Dhadkan bani jubaan"

Tumne kuch sochate hue bola tha...
"Aaj maine advocate se milkar apni property sab tumhare naam karwa di hai... Kal ko mai nahi rahi to sab tumhara ho jayega Mr..."

Maine pucha...
"Kis khushi mein yeh decision liya tumne...??

Waise aacha hai tumhare jaane ke baad main tumhari friends Sharma, Gill, Maan, Walia ke saath enjoy karunga... hahaha..."

Tumne kahan tha...
I'm serious... Sach keh rahi hun...

Main tab uthkar tumhare pass rasoi mein aaya...
"Chalo... Thoda fresh ho... Bahar Khana khane chalte hai... Yeh sab uthakar main fridge mein rakh deta hun... Tum jao thoda sa fresh ho..."

Paidal hi chalte hai..."

Door kahi se kaano mein radio ki awaaz aa rahi thi...

"Aankh hai bhari-bhari aur tum muskurane ki baat karte ho...
Zindagi khafa-khafa aur tum Dil lagane ki baat karte ho..."

Hum ek purane khandar se Ghar mein pravesh kiya... Thoda seedhi chalne ke baad upper Khane ka intezaam tha...

"Bujurg husband-wife khana banate aur khilate the"

"Humne do Thali order ki... Aur pathar ke sahare tiki hui lakdi ke patre pe baith gaye"

Fir maine tumse kaha...
"In bujurg ke paanch bacche hai, teen bete, do betiyan... Sabki shaadi ho gai... Sab apni-apni life mein busy hai... Kisi ne inki jimmedari nahi uthani chahi... Purana makaan tha purkon ka to isi mein Khane Khilane ka bana liya... Isi se inka guzara basar hota hai..."

"Tum jab South jao to wahan aisa bahut hai ghar mein khana Khilane ka rivaaz... keh sakte ho Dhaba, restaurant in house...

Khana khane... Payment dene ke Baad tumne kahan tha...
"Sach mein khana bahut aacha tha, ek dum ghar jaisa..."

Lautate hue maine tumse kaha...
"Madam... Main tumko sirf wahan khana khilane nahi le gaya tha, Balki dono ka pyar dikhane le gaya tha....

Itni Umar mein bhi dono saath zindagi ko narmata, pyar, vishwas ke saath jee rahe hai... 

Sab property yahi par reh jaani hai... khandar ban kar.... Kuch nahi saath Jaana hai... Apne dimaag se yeh chaalis ke chakkar nikal do...

Na rahe Pandav, Na rahe Kaurav, Na rahe Yaduvansi... Khamkha ho gai Mahabharat..."

Radio fir kaano mein gungunane laga... Hum icecream khate hue ghar wapas laut aaye...

"Tera saath hai to mujhe kya kami hai...
Ki Andheron ko bhi mil rahi Roshani hai..."

raj

Memorable Visit RRSB - Part 2nd

Darshan
Jab main 2nd day Satsang ke liye jaldi pahucha to wahan Pandal mein "Ang Daan" pe film dikhai gai... Film ka concept, message aacha tha... Waise sabko Ang Daan karna chahiye... Last mein film mein aisa hi kuch message tha "Ya to in aankhon ko Aag mein fhuk du ya fir isse kisi ko Roshani de dun"... Aachi baat Kahi...

Radio... Baahon mein chale aao... Raat akeli hai... Aapke qamre mein... Pyar manga hai tumhi se...

"Baahon mein chale aao...
Humse Sanam kya parda...
Oh... Humse Sanam kya parda..."

Radio apne poore sabab pe tha...

Tumne kahan tha...
"Aisa karna adrak aur dhaniya ke chhote-chhote slices kar dena please..."

Maine rasoi se bola tha...
"Tumhare bhi chhote-chhote pieces kar dene hai maine..."

Radio fir gaa utha...
"Aapke kamre mein koi rehta hai,
Hum nahi kehte, zamana kehta hai"

Tum fir bol uthi...
"Suno... Research work karoge? Mere friend ke pass assignment aaya hai... Tumko uska junior banna padega... 20 days hoga... travel karna padega... Report wahi English mein prepare kar lega, uski bhi tension nahi tumko... Payment mein hi lungi... Tum karoge to main baat karu?"

Maine reply diya...
"Bilkul... Karunga...
Yeh lo ready aloo tikki...

Bilkul karunga yaar... Tum Haan keh do...

Radio fir naye geet ke saath baras pada...
"Raat Akeli hai... Bhuj Gaye diye...
Aake mere pass baahon mein mere...
Jo bhi chahe kahiye... Jo bhi chahe kahiye..."

Tum bol uthi thi....
"Woh Tewari Ji Chat Wale ka swad nahi hai... Mazaa nahi aaya..."

Main bola tha...
"Gaadi start karo... Aur jao le aao... Wapas karo meri tikki... Main paseena-paseena ho gaya hun aur tumko swad ki padi hai..."

Finish karne ke baad... Haath dhone ke baad tumne kahan tha...
"Family plan karte hai... Kyon?" 

Maine reply diya...
"Mujhe koi problem nahi... Tumko manage karna padega... pregnany, delivery pain se lekar Dieper badalna, raat mein uthkar chhup karwana... Potty karwana, langoti dhona... Sab tumko hi manage karna padega...

Fir radio bol utha...
"Pyar manga hai tumhi se,
Na inkaar karo...
Pass baitho to Zara...
Aaj to Iqraar karo..."

Tumne jawab diya tha...
"Tum bas aacha Insaan Bana dena bas... Yeh kaam to kar loge... Waise main janti hun tum mujhse aacha care karoge...

Waise tumko to Beti chahiye... NaaZ na...

- raj

Saturday, June 30, 2018

Memorable Visit of RadhaSoami Satsang Beas Dera...


"Kahi jao ya na jao....
Zindagi Mein Kahi Jao Ya Na Jao... 
Par Ek Baari Jarur RadhaSoami Beas Dera Jao..."

Sacchi...

"Dhan-Dhan Bhagya Mere Jo Main Guruo Ki Dharti Pe Gaya"

Starting... In Canteen No. 2
Mahila Sangat aur Pakode wale mein bahut dair se Jubani Jung chal rahi thi... aur Last mein us Mahila Sangat ne kya dialogue maara...

"Apne Baap ke Ghar aai hun, tere ghar nahi, la wapas kar coupon mere"...

Main mann hi mann bola... Romil Babu bahut maza aane wala hai yahan...

hahaha...

Sach mein Sangat ka aisa Vishwas dekhkar main gadgad ho Gaya... Itna confidence hona ki yeh Dera mera ghar hai... Really salute to this lady...

Main gaya tha sirf 2-3 hours ke liye aur ruk gaya 2+1/2 din wahan...

Re-starting...

1. Mobile, Camera deposit...

Sabse aachi baat rahi ki mobile, camera aapke Main Front Gate No. 5 par hi deposit ho jaate hai... 

Friday, June 29, 2018

Real Timepass - Fashion hai...

Romil - Yeh ungaliyon mein Peeli, Neeli, Lal, Hari Nailpolishe kyon laga rakhi hai...?

Nailpolishe khatam ho gayi thi kya?

Kudiya - hehehe... Fashion hai...

Real Timepass - kaali paundi hai...

Romil - Saddi wali bhi bahut chheti kaali paundi hai...

Kulfi wala - Puttar... Saddi Nua bhi nai sundi... Saddi Maa ek sau tee saal di hokar mari... Dengar chalundi, dudh piyoti, khana banati, 8-8 bacche jamiya...

Aajkal di nua... Sarson saag nahi ghot paundi hai... Ek kilo tandoori nahi laga sagdi hai...

Bas apne mard naal chimatana aunda hai... Pata nahi kinna chimatana chaundi hai...

Asi na ase hi nai Dhabe de Malika bane baithe hai... Sab Maa di Mehara hai...

Real Timepass - Adde...

Romil - Adde le chal Veere...

Rickshaw wala - Kaide Adde Bauji...

Romil - Bus Adde aur Kede Adde?

Rickshaw wala - Mai socha savere-savere hi tussi Peena-Peena chauhane aa...

Romil - Na Veere... Asi RadhaSoami wala hai... Pee ke kidro jana...