Sunday, July 8, 2018

Walid...

Chahe jitna Nalayak hi Sahi...
Par itna to tha...
Mere Sar pe Baap ka Saaya to tha...

aur

Main chahta hu...
Jab bhi meri Beti, mere Walid ko yaad kare...
Fakr se apna Sar uccha kare...

- Sun

Saturday, July 7, 2018

Ya to tumhari duaaon mein asar nahi hai, ya fir Rab ke fariston ko mera aata-pata nahi hai...

Sach se Rubaru...

Umar ke 34ve ya 35ve padaav mein hunga...

Rab Ji... Bhagwan Ji...
Waqt ke saath sab kuch to le liya...
Bigger... Bigger ka lollipop dekar Chhota sa Mitti ka Khilauna tak le liya...
hahaha...

maa, naaz, baap, ghar-dwar, khusiyaan, sukh-shanti sab kuch... GuNn bhi to...

mere pass sirf is jism mein chhupi hui rooh ke siwa kuch bhi nahi hai...

hehehe...

Woh kehti thi tera-mera duaaon ka rishta hai...
Dusari wali jo Kamini hai, kehti hai tumhare liye hamesha Bhagwan Ji se prayer karti hun...

Sach to sirf itna hai...
"Ya to tumhari duaaon mein asar nahi hai,
Ya fir Rab ke fariston ko mera aata-pata nahi hai..."

Ya Yeh bhi ho sakta hai...
"Shayad Kul-Maalik yeh chahta ho ki iska bandhan sirf mere, sirf mere...saath rahe"

Jaisi uski Razaa...
Banda usi mein khush hai...

- raj

RSSB and Darbar Sahib - Learning - 2nd Part

"Maa, pani peene ke liye ek hi glass upyog karti thi... Pani pee liya fir usko dhokar ultakarke rakh diya... Fir jab Pani peena chaha to usi glass mein daalkar pee liya... Jyada bartan jhoote karne ki kya jarurat hai..."

RSSB mein jab Langar khane jao to wahan kai jagah pe bade se mud numa  platforms mein plates, glass, spoon rakhe hue hai... Sangat wahan se baari-baari se uthakar Langar khane jaati hai... aur fir Langar khane ke baad apni plates, glass, spoon dhokar usi jagah pe rakh deti hai..

Mud mein sab bartan bikhare pade the to maine sab kareene se laga diye the... Anyway...

Friday, July 6, 2018

apne rishtee ki haqeeqat kya hai?

kisse puche ki tere dil mein aakhir dabaa kya hai?
mere deewanepan ki aakhir dava kya hai?

tu sach hai ya fir apsaana hai...
tu sach hai ya fir khawab hai...
apne rishtee ki haqeeqat kya hai?

kabhi wafaa... kabhi bewafaai...
kabhi mohabbat... kabhi ladai...
kabhi shor-sharaba... kabhi khamoshi...
aakhir ab in beeti baaton mein rakha kya hai?

ghadi ke kaanton sang kam hoti zindagi apni...
mere intezaar ki aakhir seema kya hai?

aur

tum saare sach kholke rakhti bhi nahi apni zindagi ke uljhano ke...
itna bhi mujhpar vishwas nahi hai...
fir tum hi batao...
aakhir rasta bacha kya hai?

apni mohabbat ka anjaam kya hai?

- tumhara Raj...

khamosiyan aksar gunaah karti hai...

khamosiyan aksar gunaah karti hai...
gunaah karti hai...

sazaa aksar Bolne walo ko milti hai...
Haq mangane walo ko milti hai...

aur

Darwaze agar kas ke bandh kiye gaye ho to...
Dhakka maar ke sitkani todni hi padti hai...

aur

khamosiyan niyota deti hai zulm karne ka...
aawazein aksar zulm ko badne se rok leti hai...

aur

Sammaan dene ka matlab Pag jhukana nahi hota...
Aawazein buland rakho...
Chhote se deep ki roshani bhi milo tak andheron ko cheer deti hai...

#romil arora

Chhup... Khamosh rahi woh...

khamosh... nahi tamashbeen hai woh...
tamasha dekha, taali bajai... Sadabahaar hai woh...
12 saalon se sirf khamosh hi to hai woh...
Umar dhal gai, sar se baal rukshat ho chale, khamosh rahi woh...

tamashbeen hai woh...

maa chal basi... baap nahi raha...
chhup... khamosh rahi woh...

main har raat seene pe jwalamukhi rakhkar jaagta raha...
woh gair ke saath soti rahi...
main na jaane kya ulul-julul, bekaar ki baaton ke saath raat bhar manthan karta raha...
woh gair ko baahon mein bharti rahi...
main sochane mein hadhe paar kar gaya...
chhup... khamosh rahi woh...

jab kabhi mera accident hua...
socha... ab to mera haal puchegi woh...
magar...
chhup... khamosh rahi woh...

saari baatein meri padti rahi...
sab meri khabarein rakhti rahi...
main zindagi mein ek-ek seedhi neeche girta raha...
usne thaamna bhi munasib na samjha...
chhup... khamosh rahi woh...

khamosh rehna... tamashbeen bane rehna aadat hai uski...

- raj

Thursday, July 5, 2018

Darbar Sahib n RSSB - Learning...

Langar

Bahut si Sangat ko maine dekha Langar ke dauraan, Darbar Sahib, Amritsar aur RSSB dono jagah par... Langar ke samay woh apni plate pe lage khane tak ko apni ungaliyon se chhat kar saaf kar dete the... Bahut si Sangat ko aisa karte dekha...

Mujhe Maa ki yaad aa gai, woh bhi hamesha khana khane ke baad apni plate ko ungaliyon se saaf kar deti thi... fir dono haath jodkar shukriya kehti thi...