Friday, July 27, 2018

HAQ... Apni Pasand... Izzat...

Tumhe apne HAQ, apni pasand se jyada apni Izzat pyari hai...

Mazedaar baat to yeh hai ki yeh Izzat tumhari khud ki nahi hai...

Balki yeh Izzat hai...
Tumhare Maa-Baap ki...
Tumhare Bhai ki...
Tumhare Shauhar ki...
Tumhare Bete ki...
Tumhare rishtedaaro ki...
Samaaj ki...

Aur haqiqat yeh hai unhe tumhare HAQ, tumhari pasand ki koi parwah na thi, na hai...

- RaJ

Betaabi hai... Arora seedha bhi ulta bhi Arora...

NaaZ keh rahi thi...

Yeh court-room hai Janaab, yahan mard ulajhane se darte hai, main to poore mehakame, poore khandaan ko bulane ko betaab baithi hun...

Koi bas chhu ke dekhe to tujhe... 
tujhe Chhedne ki saaza to main deti hi rahungi...

Isi liye kehti hu... 
"jitni jyada degree hongi, 
utni jyada ladai aasan hongi..."

Saawalon ke teer bhi taiyaar hai mere pass...
"Shaadi kyon nahi ki abhi tak...
Koi mard nahi mila
Ya
Ek mard se jee nahi bhara..."

"14 saal naukari ki hai tumhare yahaan mere muwakkil ne,
Suna hai raat ke 10-10 baje, 11-11 baje... Kabhi-Kabhi to poori-poori raat kaam karta tha...
Office ka hi kaam karwati thi ya fir raat mein koi aur sewa leti thi..."

"Suna hai... Tere marad ko marad jyada pasand hai..."

"Mr. Follow-up... Suna hai aapko Follow-up karne ka bahut shauk hai... Ya fir Mr.Technology kahe...
Waise Ghar mein jo CCTV lagwaye hai woh Beti ke liye hai ya fir Naukrani ke liye..."

- Sultan

Thursday, July 26, 2018

Zindagi ke rang...

NaaZ keh rahi thi...

Kaun insaan hoga jo apni zindagi mein khoobsurat-khoobsurat, aache-aache, behtareen rang nahi bharna chahega...

Apni zindagi ko rangeen, khushaseen nahi banana chahega...

Ek baccha chahe jaisi bhi tasveer banaye, chahe usmein jaise bhi rang bhare... Uske liye woh hi sabse khoobsurat chitrakaari hoti hai...

Hum kaun hote hai jo kisi ke zindagi ke rangon ki alochana kare...

Meera, ek bhagwa rang ke chole mein hi Shyam ko pyari thi...

Gandhi Ji ne sirf safed rang ki dhoti pehankar aazadi dila di thi...

Aurangzeb ne takhat pe baith kar bhi kaun si aachi misaal haasil kar li...

Vibhisham ko kutiya mein hi Hanuman mil gaye the... Raavan, Sone ki Lanka ka maalik hokar bhi Sita ko nahi pa saka tha...

Fakeer apni fakeeri ke rang mein mehlo ko thokar maarkar mazaro(n) pe baithe hai...

Sabse Sundar... Sabse pakka Prem ka rang hai... Par yeh har kisi pe nahi chhadata... Bahut hi gine-chune, khushnaseeb bande hote hai jo is rang mein saraboor ho jaate hai...

- Sultan...

tumhari zindagi mein sirf MAIN hai... main nahi hun... kahi nahi hun...

kahi mujhko yeh kehna na pad jaye ki...

"tumhari zindagi mein sirf MAIN hai...
main nahi hun...
kahi nahi hun..."

- RaJ

Galti yeh nahi hai meri ki Maine Pyar Kiya... Haan galti itni jarur hai Tum jaise Aurat se pyar kiya...

Galti yeh nahi hai meri ki
Maine Pyar Kiya...

Haan galti itni jarur hai
Tum jaise aurat se pyar kiya...

- RaJ

House without Roof...

Bina Paise ke
Tu Baap to ban sakta hai...
Par Baap ho nahi sakta...

Baap hone ke liye Pehe chahiye...
Pehe Kaake... Pehe...

House without Roof...

- RaJ

Pyar ki akad chahe jitni bhi badi ho....

Pyar ki akad chahe jitni bhi badi ho...
Rupiye ka thappad use todkar gira hi deta hai...

- raj