Thursday, August 2, 2018

Yeh to ishq chadd gaya hai tujhpe....

Bhoot hota to kab ka utaar fhekta...
Yeh to ishq chadd gaya hai tujhpe...

Na duaien...
Na davaein...
Na koi tabeez asar karegi...
Na asar hoga kisi ki baaton ka tujhpe...
Na yeh qayenaat teri koi baat sunegi...

Ja us Khuda... us Rehman se hi madad maang...
Woh hi muqaddar sawarega tera...

Behtha rahe... Dekhata hun kab tak behtha rahega...

- RaJ

Chidiya pinjare se azaad bhale hi ho jaye... Magar Qaid ka manzar nahi bhoolti...

Chidiya pinjare se azaad bhale hi ho jaye...
Magar Qaid ka manzar nahi bhoolti...

#romil arora

Hum bhi dekhe kitne din azaadi ka jashn manati ho...
Qaidkhana suna... 
Jailor suna... 
suni hai dar-o-deewar jail ki...
kitne dil... aur kitne dil... kitne din...
chhup-chhup ke ishq farmaati ho...

hum bhi dekhe...

#romil arora

Waakif to hai hum dunia-e-jahan ke RAG-RAG se bhi... Jo MAULA KE DIL MEIN UTARE to bas wahi ke hoke reh gaye...

Badi hi sacchi baat mujhe ek fakeer ne batai...

Maine pucha...
"Baba Ji... Kyon yunhi pade rehte ho Mazaar pe...
Sehar-e-Roshan hai nazara lo...
Lakhon ki bigadi savari hai aapne...
Khud ki sawarne ki bhi fursat nikaal lo..."

Woh bole...
Beta...  Nazar noor-e-chehare pe hi teeki rahi...
aur husn-e-nazara kya dekhe...
MUJHE USKA DIL SAWARNE SE FURSAT NAHI MILTI...
shehar-e-roshan ko bhala kya dekhe...

"Waakif to hai hum dunia-e-jahan ke RAG-RAG se bhi...
Jo MAULA KE DIL MEIN UTARE to bas wahi ke hoke reh gaye..."

- RaJ

Wednesday, August 1, 2018

Radio... Dil ki aarzoo thi ki koi dilruba mile... Hai apna dil to awara... Kehna hai...

Tumne pucha tha...
"Oye Hero... Kahan ho?

No... Not again... please wahi rata-rataya sa jawaab mat dena..."

Maine jawab diya tha...
"Ghar pe..."

Tumne kaha tha...
"Disgusting yaar... Had kardi Tumne... Tum kaise ek hi jawab baar-baar, har baar de sakte ho?? 

Come on kabhi to Rab ke liye keh diya karo... Ki main Movie hall mein hu... Shopping mall mein hu... Park mein hu... Gaming store mein hun..."

Maine phone rakh diya... Radio On kar diya... Gaana baj raha tha...

"Dil ki aarzoo thi ki koi dilruba mile,
Lo ban gaye naseeb ki tum hum se aa mile..."

Ghar aate hi tum baras padi thi...
"Dekho... All tickets sold out... Is weekend koi ticket available nahi hai prime time pe nearest theatre mein... Ab movie ke liye woh city ke bahar wale mall mein jaana padega...

Yeh sab tumhari wajah se ho raha hai... Jee chah raha hai yeh laptop tumhare sar pe de maaru...

Dunia mein ghadi naam ki ek cheez ezaad hui hai Mr... Kabhi uska bhi istemaal kar liya karo...

Tum apni zindagi ke saath meri zindagi kyon boring banaye hue ho..."

Radio baj rah tha...
"Hai apna dil to awara...
Na jaane kis pe aayega..."

Maine coffee, bread-butter, cookies dete hue kaha tha...
"Maine is weekend plan OldAge Home mein free sewa dene ka banaya tha... 

Next day kuch donation mein material, cloths, items, money collect karne ka banaya tha..."

Tumne bola tha...
"Yaar... Tumhara aisa plan tha to tum bak to sakte the mujhe... 

Chalo koi baat nahi... Next week dekh lenge movie... Is weekend OldAge Home ke liye sewa karte hai..."

Radio pe tarano ka safar chal raha tha...

"Kehna hai... Kehna hai...
Tumse yeh pehle baar...
Ohh Tumhi to lai ho jeevan mein mere Pyar... Pyar... Pyar...

- RaJ

Khuda bhi fakeeron se tauba karta hai.... Na jaane kab kis cheez ko thokar maar de...

Khuda bhi fakeeron se tauba karta hai...
Na jaane kab kis cheez ko thokar maar de...

- RaJ

Dawat-e-mehmaan nawazi ki yunh bezzati na karo...
Bismillah karo...
Numaiesh na karo...

- RaJ

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

khubsurat se haseen haaton ki...
ya fir uspe chhadi hui mehandi ki...

bejaan panchi ko dekh muskurati uski hansi ki...
ya fir tanha chand ko dekhti hui nazron ki...

uski sanson ki jisme main basa hun...
fir bhi soch mein dubi hui tanhai-e-yaad ki...

chhat pe tehalte hue mujhe aagosh mein bharne wali aarzoo ki...
Ya fir mujhse baat karne ko betaab uski khawaishon ki...

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

#Romil Arora

RSSB - Yeh to aapko maloom hai ki aaj Huzur Maharaj Ji ka Janamdin hai...

Yeh to aapko maloom hai ki aaj Huzur Maharaj Ji ka Janamdin hai.

Aise din, jab Mahatma is dunia mein aate hai, hamare liye bade kalyankari hote hai, badi khushi ke mauke hote hai, kyonki unke aane se hazaron-lakhon jeevon ka uddhar hota hai. Veh humein bhakti ka tareeka sikhakar, humse maalik ki bhakti karwakar, humein apne saath le jakar Parmatma ki goad mein pahucha dete hai aur is tarah hamara janam-maran ke chakkaron se chhutkara ho jaata hai.

Mahatma ke janamdin ki khushi keval halwa-poori khakar hi nahi manani hai, balki humein apne andar vichaar karna hai ki jis raste pe unhone humein chalaya hai, jo seekh unhone humein di hai, kya us par hum sacche dil se chal rahe hai? Humein apne dilo mein khozana hai ki jin ucche usoolon par unhone humein khada kiya hai, kya un par hum qayam hai? Agar nahi, to humein chahiye ki un trutiyon aur kamjoriyon ko door karne ka barkas priyatna karein.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...