Tuesday, August 14, 2018

Kaash apni andheri-e-raat ka Safar kuch is tarah khatam hota... Hum jaag ke uthate aur Suraj kareeb hota...

Kaash apni andheri-e-raat ka Safar kuch is tarah khatam hota...
Hum jaag ke uthate aur Suraj kareeb hota...

In bulbulon si zindagi ka kya yakeen...
Na jaane kaun si saans ke saath yeh  zindagi-e-safar khatam hota...

-  RaJ

khamoshi ke samundar mein safar karte-karte dekhna ek roz tum khud kisi bhavar mein ja fhasogi...

khamoshi ke samundar mein safar karte-karte dekhna ek roz tum khud kisi bhavar mein ja fhasogi...

Tarjuma

Insaan ki khamoshi khud-ba-khud usse sawal-jawalaat karne lagti hai... aur insaan usi jawalaat ko sahi samaj leta hai... aur khud hi apne banaye banvar mein fhas jaata hai...

Jab ki ek sawaal ke ek se aadhik jawab ho sakte hai... Har jawab dene wala insaan apne andaaz mein jawab deta hai... apne zameer, apne khayalaat, apni parvarish, apni maazi ke hisaab se...

kabhi-kabhi aise jawab mil jaate hai, jo hamari umeedon se bhi upper hote hai...

Isliye khamoshi ko darkinaar rakhkar dil ki baat keh deni chahiye...

Aur rahi meri baat... Hum to Dil kholke usse mohabbat ka izhaar karte hai... Khafa hote hai to bhi keh dete hai... Ishq chahiye to maang lete hai...

#romil arora

Ghadi ke Teen Kaante...

Tumhari zindagi bhi Ghadi ke un Teen Kaanton ki tarah hai...

Ek kaanta ghante ka...
Duja minute ka...
Teeja kaanta second ka...

Maa... NaaZ... GuNn...

Teeno Kaanton ke bina Ghadi jis tarah khoobsurat nahi lagti... Usi tarah tumhari zindagi bhi in teeno ke bina khoobsurat si nahi lagti... 

#Romil

तुम्हारी ज़िन्दगी भी घड़ी के उन तीन काँटो की तरह हैं...

एक कांटा घंटे का...
दूजा मिनट का...
तीजा कांटा सेकंड का...

माँ... नाज़... गुन...

तीनों कांटों के बिना घड़ी जिस तरह खूबसूरत नही लगती... उसी तरह तुम्हारी ज़िन्दगी भी इन तीनों के बिना खूबसूरत सी नहीं लगती...

#रोमिल

Monday, August 13, 2018

Radio... TajMahal...

Radio pe gaana baj raha tha...
"Bom diggy diggy...
Bom... Bom..."

Tumne kahan tha...
"Bhai ne TajMahal gift diya hai, humdono ko..."

Main bol tha...
"Saath-Saath yeh bhi bata deta ki is Makbare mein humdono ko zinda dafan hona hai ya marr ke...

Iska kya karu?

Isse to aacha Banda England ki jagah Punjab se hi aata kam se kam Choley-Kulche hi leete aata, subah ka naasta to ho hi jaata... Ya fir Kashmir se aata to chaar akhrooth, badam ki giriyan hi lete aata...

Is TajMahal ka kya karu...???"

Tumne bola tha...
"Kaun si waali taange tudwana chahte ho aap? Right ya left? 

Nahi mujhe aisa lag raha hai taang todne padegi...

Aur hospital bill ki tension mat lena, main pay kar dungi..."

Maine kahan tha...
"Yeh sach hai main tumse darta hun... Par itna julm-o-sitam mat dahaho is Bande pe...

Waise kamaal ka Banda hai TajMahal gift diya hai .... hahaha..."

Tumne jawab tha...
"Now keep quiet... Listen... Pyar se diya hai pyar ki nishani pyare couples ko..."

Maine kahan tha...
"Ek Aurangzeb to paida nahi hone de raha... 36Age ho gai mujhe to darr hai performance bhi ho payegi ki nahi..."

Tumne kaha tha...
"Sirf tum motorcycle chalane ke baare mein sochana... Aur Rab ne chaha to NaaZ honi hogi to ho jayegi... Itna mat pareshan raho... Nahi to jag mein batheri NaaZ hai jise hum apni NaaZ bana sakte hai...

Tum jao Chai banao aachi wali aur main chali TajMahal ko upper wahan rakhane..."

Radio, TaJMahal movie ke soundtracks ke saath apni performance de raha tha...

"Jo baat tujhmein hai teri tasveer mein nahi...
Jo waada kiya hai woh nibhana padega...
Paaon Chu lene do..."

- RaJ

Jab se tum mili ho raat kam si lagne lagi hai mujhko...

jabse tum mili ho raat kam si lagne lagi hai mujhko...
yeh bistar, yeh chadar, yeh takiya aache lagne lage hai mujhko...

pehle neend hi nahi aati thi...sota to ab bhi nahi hun, jaagne mein dilchaspi badh gai hai mujhko...

suno mere qareeb raho... darta hun... tere jaate hi saansein na jawaab de de mujhko...

#Romil

जबसे तुम मिले हो रात कम सी लगने लगी है मुझको... 
यह बिस्तर, यह चादर, यह तकिया अच्छे लगने लगे हैं मुझको... 

पहले नींद ही नहीं आती थी... सोता तो अब भी नहीं हूँ... जागने में दिलचस्पी बढ़ गई है मुझको... 

सुनो मेरे करीब रहो... डरता हूं... तेरे जाते ही साँसें ना जवाब दे दे मुझको...

#रोमिल

Tumhari khamoshi ne mujhe har pal tadpaya...

Tumhari khamoshi ne mujhe har pal tadpaya...
Maine chaha tum har pal meri mohabbat-e-shaan mein kaseede padho...
Mujh se kaho jab tum muskurate ho, mujhe zindagi mein sab kuch aacha lagne lagta hai...
Maine har pal chaha tum mera haath thamo...
Mera haath thamo aue mujhse kaho tum mujhse mohabbat karti ho...
Lekin har lamha tumne khamoshi mein beeta diya...
Kyon?
Kyon??
Kyon???
Samaj nahi aata tumhe kaun si sazaa dun...

- RaJ

Sunday, August 12, 2018

Radio... Baharon phool barsao...

Main zameen pe baitha chai mein rusk dubo-dubo ke kha raha tha...

Tabhi maine kahan...
"Banda England wapas bhi chala gaya dekho... Yeh nahi aaye the to Behan ka haath de-dakar tab chale jaate...

Tum bhi ek jimmedari se fursat paate, hum bhi ek kaam se free ho jaate... Kuch apni zindagi savarne mein lagte...

Ab haath dene ke liye special aayega kya? Ya fir Skype par drama dikhayenge hum isko... Ya fir photo send karne mein waqt jaaya karenge...

Sone-chandi ka kambal uda dene se khacchar, ghoda thodi na ban jayega... pakka, yeh England mein bailgaadi chalata hoga... Buddhi nahi hai iske pass... Coat-Tie pehankar chala bada angrez banne... Do-chaar shabd angrezi ke kya tipir-tipir kar liye, ban gaye laatsaheb angrez..."

(Tum uthkar kitchen mein chali gai...)

Maine kahan...
One... Two... Three...
Yeh ab girna start hue bartan...

(Tum kitchen se gusse mein boli...
Agar zuban se banda kisi ke baare mein aache shabd nahi nikaal sakta hai to Bande ka chup hi rehna behter rehta hai...)

Yeh gira pateela...
Yeh plate ki awaaz hai...
Yeh wali to glass ki awaaz lag rahi hai...
Yeh shayad katori thi...
Nahi cooker nahi... abe theerha ho jayega, seedha nahi hoga, seeti nahi bajegi...
Yeh gire chammach...

Bandi hosiyaar hai... Kaanch ke cup-plate nahi fhekati hai... hahaha...

Main utha radio on kar diya... Aur chal diya market dinner ke liye do thali pack karwane...

Gaana baj raha tha...

"Baharon phool barsao...
Mera mehboob aaya hai....
Mera Mehboob aaya hai..."

- RaJ