Tuesday, June 10, 2008

Mujhe Bhulana Nahi.......


Mujhe Bhulana Nahi.......


Tu khushi main na bulaye mujhe yeh teri marzi hai,

magar gum main bulana tu bhulana nahi.

tere hooton par jab haanshi ho tab na mujhe yaad kare
yeh teri marzi hai,

magar aankhon main jab aanshoo aaye tab mujhe bhulana nahi.

koi jab tumhe pyar kare tab na mujhe yaad kare yeh teri marzi hai,

magar jab tumhara koi dil toodh de to mujhe bhulana nahi.

jab koi tumhara sapna pura ho jaye tab na mujhe yaad kare yeh teri marzi hai,

magar jab tumhara koi sapna bikhar jaye to mujhe bhulana nahi.

[written by romil arora - copyright reserved]

dil se alfaaz...


dil se alfaaz...


"Khudha tumse naraz hai,
har apna tumhara dushman hain,
wo sab tumse jalte hain,
kyonki ek aacha ka dil tumhare paas hain"


"Bahut gum hai is zindagi main,
hamesha muskurate raho,
humsafar aur bhi mil jayenge huzur,
bas tum apne kadam barate raho,
jo rukh gaye tum,
to tumhari haal bhi us Jheel ke paani ke tarah hoga,
jo kamal ko khilane ke baad bhi kisi insaan ke kaam na aa saka"


"O bewafa mujhe kehne wale,
jara apne dil main jhak kar dekh,
wafa kab ki the maine jo tune mujhe bewafa samjha"
“Aisa laga ki woh apna haal - e - dil likh rahe hai,
magar jab khat padha to laga wo hamara haal - e - dil bata rahe hai”
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, June 7, 2008

Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!

Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!

Na Rahe Hum,
Magar Yeh Kavitaiyen Jarur Hamara Ehsaas Duniya Ko Karati Rahenge,
Hamare Pyar Ki Kahani Duniya Ko Batlati Rahenge!

Yeh Khamosh Kaagaz Ke Tukade Hai,
Magar Yeh Mohabbat Ka Sehlab Laati Rahengi,
Yeh Ehsaas Kisi Na Kisi Ke Dil Main Jarur Jagati Rahengi,
Fhir Koiye Pyar Ke Liye Jiyega,
Hum Na Rahe,
Yeh Maire Kavitaiyen, Pyar Karna Sikhate Rahenge!

Yeh Maire Kavitaiyen Jarur Hamara Ehsaas Duniya Ko Karati Rahenge,
Tera-Mera Rishte Duniya Ko Batlati Rahenge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Woh Raat Bhi Kya Raat Thi!


Woh Raat Bhi Kya Raat Thi!

Woh Raat Bhi Kya Raat Thi,
Kya Tez Barsaat Thi
Aur Tumhari Yaad Thi!

Zor Se Baarish, Baras Rahi Thi,
Hawaan Bhi Apni Teezi Main Thi,
Us Mausam Main, Main Bheeg Raha Tha,
Aur Tumhari Yaad Thi!

Barsat Aaise Maire Badan Ko Chu Rahi Thi,
Jaise Tum Chu Rahi Ho,
Woh Hooton Se Girata Hua Pani,
Jaise Tum Maire Hooton Ko Chum Rahi Ho,
Woh Barsaat Main, Bhi Jalta Hua Badan Tha,
Aur Tumhari Yaad Thi!

Aaise Laga Raha Tha Ki Milan Ki Ghadiyan Nazdeek Aa Rahi Thi,
Aankhon Main Bas Tumhari Hi Tasveer Thi,
Har Raah, Tumhari Raahon Se Mil Rahi Thi,
Woh Raat Bhi Kya Raat Thi,
Na Hosh Tha, Na Khabar Thi, Saath Tumhari Yaad Thi!
[written by romil arora - copyright reserved]

Roz Ka Safar Aaise Hi Hota Hai!

Roz Ka Safar Aaise Hi Hota Hai!

Na Mandir Main Jata Hu,
Na Mazhid Main Jata Hu,
Na Rabb Ke Darbar Main Ardaas Main Lagata Hu…

Maire Subah Tab Hoti Hai,
Jab Taira Deedar Hota Hai…

Maire Dopahar Tab Hoti Hai,
Jab Tumse Baat Hoti Hai…

Maire Shaam Tab Hoti Hai,
Jab Taire Noor-e-Badan Ka Ehsaas Hota Hai…

Aur Maire Raat Tab Hoti Hai,
Jab Tumko Yaad Kar-Karke Maire Aankhon Main Bhar Aate Aansoo Hai…
Bas Roz Ka Safar Aaise Hi Hota Hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, June 6, 2008

Jeene ke sabke alag alag tarike ho gaye

Jeene ke sabke alag alag tarike ho gaye... 
Dil khol kar jo humse baatein kiya karte the, 
Suna hai woh ab sangdil ho gaye, 
Jeene ke sabke alag-alag tarike ho gaye… 

Dost is tarah dil toodane ko mera lage rahe, 
Ki sabhi dosti ke maane aadhure ho gaye, 
Jeene ke sabke alag-alag tarike ho gaye…. 

Har apna badal raha hai roz chehare naye, 
Saare rishte ab paraye ho gaye,
 Jeene ke sabke alag-alag tarike ho gaye…. 

 Intezaar mein hum unke kuch is tarah sabse bechade, 
Ki duniya se akele ho gaye, 
Jeene ke sabke alag-alag tarike ho gaye….
[written by romil arora - copyright reserved]

Apne Kahan Hai….


Apne Kahan Hai….

Phoolon ki tarah jo khil kar milate the woh apne kahan hai?
Milate hi humko gale laga laite the woh dost kahan hai?

Dil toodane ka silsala maire saath kyon hai laga?
Dekhe the jo mohabbat ke sapne who kahan hai?

Hamari mohabbat ki daulat par jo kurbaan the kabhi,
Woh hamare mehboob kahan hai?

Dard se be-haal ho kar puchata hu,
Jinki yaadon main, main soya nahi,
Jinki khushiyoon ke liye maine kabhi duaoon ka silsila roka nahi,
Woh sab maire apne kahan hai?
[written by romil arora - copyright reserved]