Monday, June 16, 2008

Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?

Agar yeh zindagi hai to fhir maut kya hai?

Yahaan sapne tinke ki tarah bikhar jaate hai, 
Har apne kaanch ki choodiyon ki tarah toot jaate hai, 
Kis-kisko samete apne aanchal mein hum, 
Zindagi ki aandhiyon mein aanchal uda jaate hai…

Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai? 
 Kitna badla-badla insaan ka chehra nazar aata hai, 
Kabhi dost to kabhi dushman yeh chehra nazar aata hai,
Matlab ke riston ki door sabhi ne apne haathon mein tham rakhi hai, 
Mukh main ram to bagal mein chhuri chupa rakhi hai…. 

 Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai? 

Sirf parchaiyon mein yaar nazar aate hai, 
Zindagi ki daud mein dost peeche chute hue nazar aate hai, 
Do kadam ka saath pana to namumkin hai, 
Yahaan log janaze par bhi matlab nibhane se aate hai…

Agar yeh zindagi hai to fir maut kya hai?
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 11, 2008

kuch dil se alfaaz...

kuch dil se alfaaz...

hum to kab ke marr chuke hai unki judai mein,

bas kambakht koi arthi nahi uthata...

doston ki jarurat nahi hai humko kandha dene ke liye,

bahut mil jate hai anjabi safar mein...

hasino ke rumal par marne wale hum nahi,

hame uska dupatta chahiye apne kafan ke liye...

hum to judai ko bhi dil ka sakun bana lete hai,

zakhmo se kuch is tarah khelte hai ki nasur bana lete hai...

faasle jism ko to door kar jaate hai,

par hum yaadon se dilon ka shaher bana lete hai...

aankhon se aankho ka rishta toot jaye magar,

hum to khwabon mein hi ashiyana bana lete hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

maine bhi kissi se pyar kiya hain…

maine bhi kissi se pyar kiya hain…

Agar har chehre mein uska chehra nazar aata hain,

agar har baatoon par uska naam leta hu,

agar isse pyar kehte hain, toh haan,

maine bhi kissi se pyar kiya hain.........


agar kisi ke intezaar karne mein samay nahin dekhate,

agar uske aane par dil jhoom uthata hain,

agar isse pyar kehte hain, toh haan,

maine bhi kissi se pyar kiya hain......



agar kisi ke door jane ke baad unki yaad satati hain,

agar sab ke saat rehte hue bhi akelapan mehsoos kartein hain,

agar isse pyar kehte hain, toh haan,

maine bhi kissi se pyar kiya hain.....



khudse baatein karna,

har pyare se gaane par sirf hum dono ka nazar aana,

agar isse pyar kehte hain, toh haan,

maine bhi kissi se pyar kiya hain…

agar uske dil mein maire pyar ki koi jagah nahin,

phir bhi uske haan ka intezaar karna,

agar isse pyar kehte hain, to haan

maine bhi kissi se pyar kiya hain…

[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, June 10, 2008

kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho.....

kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho.....

“Sapno se shikayat nahi mujhe,
Jab aankhon main neend na ho,
Aapno se shikayat nahi mujhe,
Jab koi aapna na ho,
Tum gair ho kar bhi mujhe aapno ka ehsaas dilati ho,
Yeh pata hai mujhe jhod jayoge wahi chowrahe par,
kyon mujhe sapno ki aadat dalate ho”
[written by romil arora - copyright reserved]

Main Hoon......


Main Hoon......

“Tere daman main phool hai,
tujhe kaantoon ka ehsaas nahi,
mere daman main kaante hai,
mujhe phoolo ka ehsaas nahi,
tujhe haashne se hi fursat nahi milte
aur ek main hoon jisse muskurahat ka bhi ehsaas nahi”


“Shoharat kabhi naseeb nahi hui mujhe,
maira jalalat ne kabhi peecha na choda,
main ek gum hu us saahil ka,
jisse samundar ne bhi pyaasa choda”
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil se alfaaz.....


Dil se alfaaz.....

“Dard ko tum aapne muskurahat bana lo,

Har zakhm ko tum apni pehchan bana lo,

Phir dekho na jhuk jaye yeh aasman,

tum aapni udaan ko aur ucha bana lo”


“Apno ka gum sabhi ko hota hai,

kabhi gairo se bhi mohabbat karke dekho,

zakhm tumhara hum bhar denge kabhi humse bhi izhar karke dekho”



“Main wo naav hu jiska koi saahil nahi,

Main wo panshi hu, jiska koi ghosala nahi,

Mujhe kya koi pyaar karege,

Main wo diya hu, jis diye main tail nahi”


"Naam main kya rakha hai naam to ek din kho jayega,

Majnu koi bhi ho uska naam laila ke baad hi aayega"


"Har khata par wo hamari mushkurate hai,

zalim zamane main aaise bhi dost hote hai"

[written by romil arora - copyright reserved]

dil se alfaaz...


dil se alfaaz...


"Har baar sochata hu ki dost ki daar par na jayu,

magar mera maan tere daar par hi aa kar marna chahata hai,

aur tum bhi zalim hai dost, baar-baar zakhm dekar zinda chod deta hai"



“BAHUT MIL JATE HAI,

PYAR KARNE KO,

MAGAR KOI DOST NAHI MILTA,

DO PAL GUM BATNE KO”



“Mohabbat, Mohabbat Hi Hote Hai,

Khanjar Nahi,

Yeh Alag Baat Hai,

Log Mohabbat Ke Zakhm Ko Nasur Bana Deta Hai”



"Na samajhana humko dost,

taire dil ko dhokha hoga,

main hu us talab ka keechad,

haath daloge to tumhari hi haath ganda hoga"

[written by romil arora - copyright reserved]