Saturday, June 28, 2008

Bewafa kabhi wafa nahi karte.....

Bewafa kabhi wafa nahi karte,
Mohabbat karne wale kisi ko daga nahi karte,
Husn walon ki to aadat hoti hai lootane ki,
Yeh kabhi kisi saache aashiq par reham nahi karte!
[written by romil arora - copyright reserved]

kaise keh do ki tu bewafa hai......

Har apna aaj kal mujhse khafa hai,

Sabki juban par bas mere khata ka silsila hai,

Jab tha nahi main tere kaabil,

Fhir kaise keh do ki tu bewafa hai!

[written by romil arora - copyright reserved]

Wafa kya hoti hai.........

Waafa kya hoti hai yeh us bewafa ko kya pata,
Waafa to aaj kal bas kitabo main naazar aati hai,
Is jahan main marr jaate hai kuch log wafaa main,
badle main unke hisse main sirf bewafai aati hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

Us bewafa ko kya kharab......

Us bewafa ko kya kharab ki maine maut ko kyon gale lagaya,

Zindagi main bas har pal uske intezaar main beetaya,

Woh to sirf daulat main khoye rahe,

Bhul kar mujhko, gairon ki baahon main soye rahe!

[written by romil arora - copyright reserved]

Sanam ka Ehsaas


Sanam ka Ehsaas

Yeh ehsaas kaisa hai,
dil-e-jigar mein tu hi jaan basa hai,
dil ko chain aata nahi,
har tadap mein tu hi jaan basa hai!


Kaash yeh tadap tujhe bhi hui hoti,
meri pyaas tujhe bhi lagi hoti,
tu laut aati baahon mein meri,
tere honton mein tadap hui to hoti!


Mehboob hu tera mujhe ikraar hai,
mere honton ko sirf tere honton ka intezaar hai,
kuch shararat to teri bhi thi qaatil-e-husn,
teri nazron mein dekha to tujhko bhi mera intezaar hai!
[written by romil arora - copyright reserved]

kuch dil ke alfaaz...

kuch dil ke alfaaz...

Mangi thi dua aashiana ki,

magar khandhar bhi naseeb na hua,

Chah thi dil mein mohabbat ki,

magar koi apna bhi naseeb na hua!

Anjaane mein mohabbat kar baithe,

zakhm hazaro dil par kha baithe,

mehboob ko apna banane ke liye is tarah hue deewane,

ki apna naam tak badal baithe,

chaha tha zindagi main jeene ko,

par saari umar gham-e-tanhai men beeta baithe!

[written by romil arora - copyright reserved]

Gum-e-Mohabbat

Gum-e-Mohabbat
Mohabbat khuda hai mera,
aur mera khuda ho tum,
jab tum khafa ho mujhse,
fir kaise khuda hai mere sang!

Mohabbat bas ek baar hi hoti hai,
ek baar jab bewafai kar jaye sanam,
fir na kisi se mohabbat hoti hai,
ab to bas hum yeh kasam khate hai,
dil na fir kisi se lagate hai!

Is duniya mein koi saccha pyar karne wala nahi milta,
husn wale to lakho milte hai magar saccha yaar nahi milta,
sansein ab bhi chalti hai bas issi khuwahish mein,
jab koi apna nahi milta is jahaan mein, to kaash koi begana milta?
[written by romil arora - copyright reserved]