Wednesday, September 10, 2008

tere duniya se ho ke majboor chala...

Teri Duniya Se Hoke Majboor
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chalaa

~
is kadar door ke fir laut ke bhi aa na sakoo
aaise manjil ke jahaan khud ko bhi main paa na sakoo
aur majabooree hain kya itana bhi batala na sakoo
~
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala
~
aankh bhar aae agar ashkon ko main pee loonga
aah nikale jo kabhi honthon ko main see loonga
tujhse vaada hain kiya isliye main jee loonga
~
tere duniya se ho ke majbor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala
~

khush rahe too hain jahaan, le jaa duawaayen mere
tere raahon se juda ho gaye raahen mere
kuch naheen saath mere, bas hain khataayen mere
~
tere duniya se ho ke majboor chala
main bahut door, bahut door, bahut door chala!
(not written by me)

Dil aisa kisi ne mera toda


Dil aisa kisi ne mera toda

Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko

Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda


Saagar kitna mere paas hai
Mere jeevan mein phir bhi pyaas Hai
Saagar kitna mere paas hai
Mere jeevan mein phir bhi pyaas hai
Hai pyaas badi jeevan thoda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda


Kehte hain ye duniya ke raaste
Koi manzil nahi tere vaaste
Kehte hain ye duniya ke raaste
Koi manzil nahi tere vaaste
Nakaamiyon se naata mera joda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda



Dooba suraj phir se nikle
Rehta nahi hai andera
Mera suraj aisa rootha
Dekha na maine savera
Ujaalon ne saath mera chhoda
Amanush bana ke chhoda
Dil aisa kisi ne mera toda

Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko
Amanush bana ke chhoda


Dil aisa kisi ne mera toda
Barbaadi ki taraf aisa moda
(not written by me)

~*~ Mera Jeevan Kora Kagaz ~*~


~*~ Mera Jeevan Kora Kagaz ~*~
~
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya -2
Jo likha tha
Jo likha tha aansoon sang beh gaya
~

Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
~

Ik hawa jhoonka aaya -2
Tuut dali se phool -2
Na pavan ki na chaman ki
Kiski hai ye bhool -2
Kho gayi kho gayi
Khushboo hawa mein kuch na reh gaya
~

Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
~

Udte panchi ka thikana -2
Mera na koijahan -2
Na dagar hai na khabar hai
Jana hai mujhko kahan -2
Ban ke sapna -2
Humsafar ka saath reh gaya
~

Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
~

Dukh ke andar sukh ki jyoti
Dukh hi sukh ka gyan -2
Dard sah ke janm leta
Har koi insan -2
Vo sukhi hai -2
Jo khushi se dard sah gaya
~

Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
(not written by me)

Zindagi...

Zindagi ...kaisi hai paheli, haaye
Kabhi to hansaaye kabhi ye rulaaye


Zindagi...

Kabhi dekho man nahi jaage
peechhe peechhe sapno ke bhaage
Ek din sapno ka raahi

chalaa jaaye sapno ke aage kaha

Zindagi...

Jinhone sajaaye yaha mele
sukh-dukh sang-sang jhele
Wahi chunkar khaamoshi yu chali jaaye akele kaha


Zindagi...
(not written by me)

Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar

Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar
Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin
Hai Ye Kaisi Dagar Chalte Hain Sab Magar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Zindagi Ko Bahut Pyaar Hamne Kiya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaaenge Ham
Rote Rote Zamaane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamaane Se Jaaenge Ham
Jaaenge Par Kidhar Hai Kise Ye Khabar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Aise Jeevan Bhi Hain Jo Jiye Hi Nahin
Jinko Jeene Se Pehle Hi Maut Aa Gayi
Phool Aise Bhi Hain Jo
Khile Hi Nahin
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha Gai
Hai Pareshaan Nazar Thak Gaye Chaaraagar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

(not written by me)

Mohabbat...

Durr Reh-Reh Kar Kahan Mohabbat Hoti Hai,
Bas Intezaar Main Aansooyon Ki Baarish Hoti Hai!
***********
[written by romil arora - copyright reserved]

Apne...

Mehfil Mein Jakar Apni Beizzati Karwaye Kaun,
Apne Kaafi Hai Khaak-e-Izzat Milane Ko.

#Romil

महफ़िल में जाकर अपनी बेइज्जती करवाये कौन...
अपने काफी है ख़ाक-ए-इज़्ज़त मिलाने को...

#रोमिल