Friday, February 13, 2009

aalam...




aaj bhi yaad hain woh khamosh mulaqaat ka aalam
chehare par dekhati mohabbat ke jazbaat ka aalam!
~
kapkapate haanton se dena gulab ka aalam
hoonton se jhalakti muskaan ka aalam!
~
woh aankhon hi aankhon main iqraar ka aalam
bina manzil baatein karte-karte chalte jaana
woh chandani raat ka aalam!
[copyright reserved-written by romil arora]

hum dilwalon ki aarthi jayegi!

husn walon ki na koiye baat taali jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
nikalegi jab baddua dil se
na woh khali jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
jab milega tumko koiye bewafa
tab hamari yaad aayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
~
kyon nahi milta is duniya main koiye mohabbat wala
lagta hain yeh aarzoo hamari, hamare saath hi jayegi
hum dilwalon ki aarthi jayegi!
[written by romil arora-copyright reserved]

Thursday, February 12, 2009

rukh se haata ke baalon ko....

aaj kal hamare awadh ka mausam kuch mastana hain...
rukh se haata ke baalon ko
dard-e-dil de diya, hum dilwaalon ko...
~
halki-halki baarish ki boondhon main
jo usne mudh kar dekha hum manchalo ko
durr tak dekhati rahe meri naazare
us jaane wale ko...
~
halke se uske daaman ke ishare ne
ek aur uljhan de gaya mere khawabo ko
mere khayalon ko....
~
pyari se muskurath uski, mujhe yeh to samjha gaye
meri tarafhate naazaron ka kuch to aasar hua hain husnwale ko...
~
rukh se haata ke baalon ko
dard-e-dil de diya, hum dilwaalon ko...

[written by romil arora-copyright reserved]

agar dil phool na hota...

kaantha na chubha hota mujhe
agar dil phool na hota...
~)
kisi ke ghum mein aankhein na baari hoti meri
agar dusare ke ghum ko apna na samjha hota...
~)
intezaar mein aise hi zindagi na kati hoti meri
agar bewafai ka uska pata hota...
~)
aaj hum bhi mohabbat par vishwas karte
agar usne dhokha na diya hota...
[written by romil arora-copyright reserved]

Kis Zamane Ke Aadmi Ho!

Jism Ki Mandi Main Mohabbat Dhundhate Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Dhokebaazo Se Waafa Ki Umeed Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Beemano Ki Duniya Main Imaandaar Talashte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
!*!
Nigal Raha Hain Suraj Ko Andhera
Tum Chirag Se Andhera Mitane Ki Baat Karte Ho
Kis Zamane Ke Aadmi Ho!
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, February 11, 2009

main aur meri tanhaiye!


jaane kitni durr aur jayegi
main aur meri tanhaiye!
~
har rasta, har manzil mujhse begaane hain
kab tak aaise hi dar-badar fhirati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
yeh matlabi chehare
yeh mauka-parasth insaano ki toli
kab tak dhoka khati rahegi
main aur meri tanhaiye!
~
khud ko dhikkarati hue
pal-pal ghutati
mann hi mann jalti
maut ka bhoj kandhe par uthati hue
main aur meri tanhaiya!
[written by romil arora-copyright reserved]

jo mera apna hota...

koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota
meri khushi main khush hota
mere ghum main rota
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!
~~~
jiske saath main apni zindagi beetata
apne khawab
apni baatein karta
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!
~
hoonton par jiske mera naam hota
aankhon main jiske mera chehara hota
hota haath uska mere haanton main
jo mera dost, mera saaya hota
koiye ek aaisa hota
jo mera apna hota!

[copyright reserved-written by romil arora]