Thursday, June 18, 2009

yaad aa gaya...

jab dekha barsaat ka mausam

woh bedard yaad aa gaya...

~*~

jab hue thodi thandi haawan

uska badan yaad aa gaya...

~*~

jaise hi chua mujhe haawan ne

uska kapkapata makhmal sa haath yaad aa gaya...

~*~

bhegate hue dekha jab panchi ka joda

uska saath yaad aa gaya...

~*~

barsaat rukate hi

bichade jab sab baari-baari

uska tanha chodana yaad aa gaya...

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Wednesday, June 17, 2009

kisi se kya kahe.....

diya hain dil agar kisi bewafa ko

hua hu jab main hi garib, kisi se kya kahe...

~*~

yeh zid thi ki apni mohabbat main tabah ho jaun

jab hua hu tabah, kisi se kya kahe...

~*~

raha na yaad ab mujhe kisi dost ka ghar

thehar jayun do ghadi kisi dushman ke ghar, kisi se kya kahe...

~*~

samaj kar karte the hum mohabbat-e-izhaar

nasamjhi main ab kisi ka haath tham le, kisi se kya kahe...

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Monday, June 15, 2009

zindagi ki dastaan...

yeh hain meri zindagi ki dastaan
har labz main baat uski
nikhaoon main surat uski
saanson main mehak uski
dil main dhadkan uski
akele main yaadein uski
soch main baatein uski
khushi daite muskaan uski
har pal mujhe zindagi daite mohabbat uski
yeh hain meri zindagi ki dastaan...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Saturday, June 13, 2009

kitni khushi hain

kitni khushi hain dil tooth jaane ke baad
pata chala zindagi kya hoti hain
hosh main aane ke baad...
~*~
kya hua jo woh bewafa nikale
dil ko tasalli mili chot khaane ke baad...
~*~
pehle har koiye apna dushman hota tha
aaj sab dost baane hain uske chaale jaane ke baad...
~*~
ab na pucho apni raat ka aalam
parwane ko zindagi mili shaama main jal jaane ke baad...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Wednesday, June 3, 2009

sahara de de...

dhund raha hu ek aaisa shaks jo mujhe sahara de de
bahut tez hain barsaat meri naav ko kinara de de...
~*~
kahin umeed ke paid na gir jaye
koiye yeh toofan ko rook de...
~*~
kahin na dubb jayun is toofan main
koiye zaara tinke ka sahara de de...
~*~
kaash dushmano ki dua sach ho jaye
dost bhi maut ki dua de de...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

jis tarah kaagazo ki siyaahi...

jis tarah kaagazo ki siyaahi baarishoon main dhul jaati hain
usse tarah apna rishta bhi dhul gaya...
~*~
kal jisse kehte the hum apna humsafar
aaj wahi apna dushman ban gaya...
~*~
dekhate-dekhate har chehara badal gaya
apna jo tha woh paraya ban gaya...
~*~
har kisi se mangata hu do pal ki khushi
jo kabhi khuddar tha woh aaj baimaan ban gaya...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Monday, June 1, 2009

terey pehlu par ....

terey pehlu par kabhi rakh kar sar main so jayun
kaash zindagi ke kuch pal main jee jayun.
~*~
dekhane wale dekhate rahe nigaah teri
teri nighaaon main, main bas jayun.
~*~
nahi milega itna chahane wala mujhe koiye
yeh daar chod kar jayun to kahan jayun.
~*~
luuta dun yeh zindagi teri raah main
is kadar prem amar main kar jayun.
~*~
terey pehlu par kabhi rakh kar sar main so jayun.....
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]