Tuesday, June 30, 2009

zindagi aaj thoda sa muskurate hain...


chal zindagi tujhe aaj apne saath le chale

zamana hua tujhe muskuraye hue...

bahut aansoon ke rang main tujhe nehla chuke

zamana hua tujhe muskuraye hue...

~*~

chehare-e-afsos ke sikano ko durr karte hain

thoda sa phool-e-khushaboo barsate hain

aankhon ko aaram farmate hain

zindagi aaj thoda sa muskurate hain...

~*~

bhul kar sab beete hue baatein

bewafa ristoon-naaton ki mulaqate

ajnabiyoon se rishta banate hain

zindagi aaj thoda sa muskurate hain....

~*~

Jeete hain aaj khud ke liye

khud ke liye nachate-gaate hain

barsaat main aaj thoda sa bheeg jaate hain

zindagi aaj thoda sa muskurate hain...

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Sunday, June 28, 2009

mohabbbat kya kar li...

mohabbbat kya kar li main zindagi-jaan se bhi gaya
na mehboob ka raha, dost se bhi gaya...
~*~
khawish kya mehboob ne mehal ki jagaiye
main kaache maakan se bhi gaya...
~*~
aasman ko chune ki chah main kuch is tarah se udha
main zameen ki chav se bhi gaya...
~*~
mehfiloon ki jhuti muskaan kya chehare par sajaiye
main apni saadagi se bhi gaya...
~*~
daulat-e-jannat ki jagmaghat kya mujhe mehboob ne dekhaiye
main madina ke bandagi se bhi gaya...
[written by romil ($uNny Arora) - copyright reserved]

Saturday, June 27, 2009

kaise usko khushi de payun...

aaj mujhe ek bichara hua saathi mila!
mujhse bola
tum kuch badale-badale se dekhate ho
aankhon main tumhare ab mohabbat ka rang bhi nahi
baathon main woh tehzeeb, sharafat bhi nahi
soch ki anghithi main jale ja rahe ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
ab woh chanchalata bhi nahi
dua ke liye haath tumhare uthate bhi nahi
haasana to jaise tum bhul gaye ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
barsat ki baucharoon main jale ja rahe ho
phool ho kanjhar main piroye ja rahe ho
chup-chup gum sum rehte ho
kya baat hain dost jo tum mann hi mann ghuthe ja rahe ho?
~*~
main bola
pehle to veham tha ki yaar mujhse bichad kar dukhi-dukhi rehta hain
ab haqiqat nazar aa rahe hain to mann ko kaise samjhau...
jahan se bhi mil jaye khushi
main uske liye le aayun
khuda kuch to usko pyar ka toofha de payun
kaise apne mann ko samjhau...
kaise usko khushi de payun...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Friday, June 26, 2009

diwana

raste-raste fhirta hain
apna thikana bhul gaya
lekar aankhon main mehboob ka chehara
diwana apna-paraya sab bhul gaya...
~*~
haste-haste khel khele
rona-dhona sab bhul gaya
khel-khel main aaisa toota
diwana mitti ka khilona bhul gaya...
~*~
jisko chaha usko khoya
kuch yaad raha kuch bhul gaya
ajnabiyoon ke chehare main aaisa uljha
diwana khud ka chehara bhul gaya...
~*~
kya kahe kisko sunaiye "$ultan"
sab gila, shikwa bhul gaya
aaisa roota zamane se
diwana sabse rishta toodh gaya...
[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]

Thursday, June 25, 2009

kyon lagta hain...

rehte ho tum hamesha mera saath
fhir bhi
yeh zindagi ka safar tanha sa kyon lagta hain...
~*~
tum bhi wahi
main bhi wahi
fhir bhi
yeh saath adhura-adhura sa kyon lagta hain....
~*~
hain chaman bhi wahi
hain aashaiyana bhi wahi
fhir bhi
sab kuch bhikhara-bhikhara sa kyon lagta hain...
~*~
kisko maloom tha din yeh bhi aayega
jab apna saaya bhi ajnabhi ho jayega
haath main hain mehboob ka haath
fhir bhi
yeh haath khali-khali sa kyon lagta hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, June 24, 2009

meri aankhen...

kisi ka intezaar karti hue meri aankhen
mere pyar ko muhaafiz rakhati hue meri aankhen...
~*~
bichadane ka manzar taraste hue meri aankhen
yaadon main dubb kar bheeg jaane ko baitab meri aankhen...
~*~
pal-pal har khawab ko sawarati hue meri aankhen
mohabbat ke manzar ko talaste hue meri aankhen...
~*~
mohabbat ke safar main haari hue meri aankhen
mehboob ko mile khushiya yeh fariyad karti hue meri aankhen...
~*~
"$ultan" sochata hu band kar lu meri aankhen
magar bewafa ko dhundati, talaste shehar main bhatakati hue meri aankhen...
[written by romil ($ultan) arora - copyright reserved]

Monday, June 22, 2009

dil karta hain...

saadagi par tumhare marr jane ko dil karta hain

ek baar fhir tere deedar ko dil karta hain...

~*~

dekhate hain is baar taqdeer kya faisala kargi

ek baar fhir yaar ko aajmane ko dil karta hain...

~*~

chahta hu ki aakhiri umeed bhi khaakh ho jaye

ek baar fhir tujhse mohabbat-e-izhaar karne ko dil karta hain...

~*~

dushman to hain allah purana maire ishq ka

ek baar fhir uski panah main sar jhukane ko dil karta hain...

~*~

janta hu ki log pathar se maarange mujhe

ek baar fhir teri gali se guzarane ko dil karta hain...

[written by romil ($uNny) arora - copyright reserved]