Friday, July 31, 2009

Ek hi khawab...

dil dhoondta hai...

dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar
jaadon ki narm dhoop aur aangan mein let kar
aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye ko
aankhon pe kheench kar tere daaman ke saaye ko
aundhe pade rahe kabhi karwat liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
ya garmiyon ki raat jo purwaayian chale
thandi safed chaadron pe jaagein der tak
thandi safed chaadron pe jaagein der tak
taaron ko dekhte rahein chhat par pade hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par
barfeeli sardiyon mein kisi bhi pahaad par
waadi mein goonjti hui khamoshiyaan sune
waadi mein goonjti hui khamoshiyaan sune
aankhon mein bheege bheege se lamhe liye hue
dil dhoondta hai
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
baithe rahein tasavvur e jaana kiye hue
dil dhoondta hai phir wohi fursat ke raat din
dil dhoondta hai phir wohi

[not written by me]

khawab...

kaanch ke khawab hain,

aankhon main chubh jayenge...

haanton main thamana na inko

zakhm de jayenge...

bhul jayo inko yahi aacha hain

warna hoonton se hansi cheen le jayenge...

[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, July 30, 2009

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...

shaam ke dhalte mausam ko dekhkar
mann mein khayal aane laga...

"jab main bhuddha ho jayunga
aankhon mein chashma lagayunga
chehare par jhurriya pad jayengi
baal sab safeed ho jayenge
haath-pair bhi tezi na dikha payenge
daanth bhi aakhroth na tood payenge"

tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
tab bhi tum itna hi yaad aaogi...
[written by romil - copyright reserved]

शाम के ढलते मौसम को देखकर
मन में ख़्याल आने लगा...

"जब मैं बुड्ढ़ा हो जाऊँगा
आँखों में चश्मा लगाऊँगा
चेहरे पर झुर्रियां पड़ जाएँगी
बाल सब सफ़ेद हो जायेंगे
हाथ-पैर भी तेज़ी न दिखा पायेंगे
दाँत भी अखरोठ न तोड़ पायेंगे"

तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
तब भी तुम इतना ही याद आओगी...
[written by romil - copyright reserved]

Chain nahi mujhko...

Chain nahi mujhko do ghaadi ke liye

kitna tarafta hain yeh dil us bewafa ke liye

~*~

gum ke bandhan se is tarah band gaya hu

ki fursat nahi mujhe do pal ki haansi ke liye

~*~
har taraf apne hain dushman hi dushman

dost kab milenge is choti si zindagi ke liye

~*~

is tarah "$ultan" mujhe duniya ne baigana kiya hain

nafrat si ho gaye hain apno ke liye

[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, July 29, 2009

koiye saacha kissa suna de...

"$ultan" na sunao mujhe mohabbat ki koiye kahani
laila-majnu, tajmahal ki baatein hue purari...
~~~
kuch aaisa sunao
jo dil ko chu jaye
aankhon se jhalake aansoo
dard chahe jitna bhi ho
mann ke kamal khil jaye...
~~~
ho aaisa kissa
jo aam insaan sa lage
sacchai se bhari chandani sa lage
wahi dard...
wahi khoya ehsaas sa lage...
~~~
woh kissa jo fhir sachai sikha de
baache ki tarah hoonton par muskaan khela de
chandani raatein fhir apni si lage
woh roshani ki kiran dekha de
koiye saache insaan se mile de...
koiye saacha kissa suna de...
koiye saacha kissa suna de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, July 28, 2009

main bhi kitna pagal tha....

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab phool khelate the

main tumhara aks dhundha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

tapati doop main

sard haawaon main

baarishoon main

main tere peeche peeche bhagha karta tha...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

jab tum nahi aati thi

teri yaadon main uljha-uljha rehta tha

subah se shaam tak udaas intezaar karta rehta tha

main bhi kitna pagal tha

titliyoon ke naam rakha karta tha...

***

main bhul gaya tha

titliyoon ke to paankh bhi hote hain

khushaboo ki chahat main woh durr uda jaate hain

fhir kabhi laut kar naahi aa paati...

fasle barh jaate hain...

main bhi kitna pagal tha

titliyoon se dosti kiya karta tha...

***

main bhi kitna pagal tha....

[written by romil arora - copyright reserved]