Wednesday, September 9, 2009

kahin durr chala gaya...

saaju-sawaru
naaz-o-nakhare uthau main kiske liye
jo shakhs tha dil ke karib
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
din ka haal sunau to kisse sunau
bahut din hue kisi se do baatein kiye hue
jo shakhs tha baatein karne ke liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
ab to shaam bhi be-rang se aati hain chat par
milu-to milu kisse milu
jo shakhs tha milane ke liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
~*~
meri raatein bhi chandani ka saath chod chuki hain
aandheron main is tarah khoyi hu main
jo shakhs tha roshani mere liye
woh meri gali se kahin durr chala gaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 8, 2009

main khush hun use khush dekhkar...

bahut dino baad usse baat hue
guftagu bhi lagi khamoshi ki tarah...

rim-jhim boondon ka aasman mein shumaar tha
aansoo gir rahe the aankhon se baarish ki tarah

bahut dino baad usse baat hue...
***

ruksati ki baat jab hui dil bhar gaya
armaano ka jo mehal tha pal bhar mein deh gaya...

shaam bhi veeran si ho gai
dard tha jo fiza mein bikhar gaya
bahut dino baad usse baat hue...
~*~
apne dil-e-armaan ko saar-e-duniya mein baich kar
main khush hu usse khush dekh kar...

[written by romil arora - copyright reserved]

bAAt-cHEEt

07 magic questions....ladka ladki se kare bAAt-cHEEt-...
1. Gas cylinder laga laite ho?
2. Blood pressure and thermometer check kar laite ho?
3. Handpump se pani bhar kar la sakti ho?
4. Sabji Mandi se ek week ki sabji la sakti ho?
5. Shopping Mall se half hour main purchasing karke wapas aa sakti ho?
6. Electricity Bill/ Telephone Bill/ School Fees deposit kar laite ho?
7. Bank / School / Government Office se deal kar laite ho?
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, September 7, 2009

durr ke rishtoon


durr ke rishtoon ka na silsila rakhana

saahil ke kinare hain, kinara hi rakhana

~*~

giron agar raah-e-safar main

inke sahara ki na umeed rakhana

~*~

honge woh kisi gair ki baahon main

mohabbat ki jhooti baaton par na yakeen rakhana

~*~

zindagi-e-safar par akele hi chala hain tumko

durr ke rishte hain, inse hamesha doorie hi rakhana

[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, September 6, 2009

apni to aadat hai...

apni to aadat hai jo zakhm de

uspar bhi pyar aaye...


kantein bhi bhar lu jo apne aanchal mein

khushboo paye...


intezar to bas andaz hai apna

hum chahe to chand ko zameen par utar laye...


ajab hai apni zindagi jeene ka andaz "$ultan"

khushiya sabke liye, apne liye gum chahe...

[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, September 5, 2009

fir mehka hai yeh shehar kyon

fir mehka hai yeh shehar kyon

shayad kisi husn wale ne aanchal apna udaya hai...

~*~

bejaan sadak, raah-e-ishq ban gai hai kyon

shayad kisi husn wale ne paayal apni jhankai hai...

~*~

chhup-chhup kar dekh rahe hai yeh log kyon

shayad kisi husn wale ne naqab apna hataya hai...

~*~

badh rahe hai ajnabi mere shehar mein kyon

shahad uske husn ka charcha, chand ne phelaya hai...

~*~

dil hi mein reh gaye hai mohabbat-e-izhaar ki umeed meri kyon

shayad apne ghar ka toota hua jhappar yaad mujhe aaya hai...

[written by romil arora - copyright reserved]

Friday, September 4, 2009

ramzan hai...ramzan hai...

ramzan hai...ramzan hai...

allah ki bandagi ko jee chahta hai

uske dar par sar jhukane ko jee chahta hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

usne jo kaha

usne jo likhwaya

uska paigam har bande tak pahuchane ko jee chahata hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

zameen uski

aasmaan uska

yeh saansein uski

usi ki chahat mein jeene ko jee chahta hai

ramzan hai...ramzan hai...

~*~

paak mahina hai

duaon ka mahina hai

chand khushiyon ka paigam lekar aaya hai

qabool ho jaye sabki dua bas yahi jee chahata hai

ramzan hai...ramzan hai...

[written by romil arora - copyright reserved]