Friday, December 18, 2009

aaise bichade woh ki...

aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
jinse kabhi hoti thi
apni sehar
woh raaton ke saathi reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
tinka-tinka toote hain gulab ki pankhudhi ki tarah
unke pehlu main na sahi
unke qadamo main marr kar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
mujhse na pucho meri deewangi ki inteha
unse waafa na mili
to unki bewafai ke qaayal reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye...
***
koiye puche jab humse aansooyoon ki wajah
keh na paye unse kuch
bas muskurakar reh gaye...
aaise bichade woh ki
khawabon ke mehmaan reh gaye..
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 17, 2009

Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain


{chahe jitne bhi sitam kar le tu teri rehmat samjhunga
tu chahe mujhse bewafai kare main fhir bhi waafa karunga}
***
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
***
Yeh aansoo nahi mere lafz hain
Jisse maine sitaraon ki tarah aankhon main baasa rakha hain.
Tu mujhe yaad kare ya na kare mere khuda
Maine to yaadon main sirf tujhko hi baasa rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Aaina toota hain to kya
Haath ghayal hua hain to kya
dil main lahoo beh raha hain to kya
Maine fhir bhi hoonton par muskaan ko saaja rakha hain.
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Tu chahe rahe dusaroon ki baahon main
Khoye rahe shaan-o-shauqat ki raahon main
Maine to tujhe dil ke darbaar main saaja rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain...
***
Main rahu ya na rahu
Saansein rahe ya na rahe
Maine to tujhe rooh main baasa rakha hain
Maine dilbar tujhe ab tak apna maan rakha hain
Teri bewafai ko bhi tera pyar samjha hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Humko jo bhi mila bewafa hi mila...

Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Hain apni mohabbat ki yahi kahani
Hain apni mohabbat ki yahi kahani
tooth kar jisko chahe
woh diwana na mila...
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Kehne ko to bahut sunne wale hain yahaan
Magar dil jisko sunaiye
Woh saathi na mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila
Dil kisse lagate hum...
***
Rehne ko to khula aasman hain yahaan
Jahaan do pal chain-sukoon mile
Woh aasara na mila
Humko jo bhi mila bewafa hi mila

Dil kisse lagate hum...
[written by romil arora-copyright reserved]

Wednesday, December 16, 2009

Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duwaa Rakhna...


~GHAZAL~

Raahon Pe Nazar Rakhana Hoonton Pe Dua Rakhana

Aa Jaaye Koiye Shayad Darwaza Khula Rakhana
Ehsaas Ki Shama Ko Is Tarha Jala Rakhana
Apni Bhi Khabar Rakhana Uska Bhi Pata Rakhana.

Tanhaai Ke Mausam Mein Saayon Ki Huqumat Hain
Yaadon Ke Ujaalon Ko Seene Se Laga Rakhana
Raaton Ko Bhatakane Ki Deta Hain Saza Mujhko
Dushwar Hain Pahlu Mein Dil Tere Bina Rakhana.


Logo Ki Nigaahon Ko Padh Laine Ki Aadat Hain
Haalat Ki Tahreere Chehre Se Bachaa Rakhna
Bhuloun Main Agar Aye Dil To Yaad Dila Dena
Tanhaai Ke Lamhon Ka Har Zakhm Hara Rakhana.


Ek Boond Bhi Ashkon Ki Daman Na Bheegon Paye
Gham Uski Amanat Hain Palkon Pe Saja Rakhana
Iss Tarha “Fakeer” Usse Bartaav Rahein Apna
Wo bhi Na Bura Maane Dil Ka Bhi Kaha Rakhana.


Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhana.....
[NOT WRITTEN BY ME]

kabhi kaash aaisa hota...

kabhi kaash aaisa hota teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aaisa hota...
***
kab tak deewaron ko hum sunate rehte kisse tere
kab tak dil ko bhelate rehte
kabhi kaash aaisa hota
teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aaisa hota...
***
kabhi tum pochate
mere aankhon ke aansoo
kabhi main tumhare aansoo pochata
kabhi tum mujhe hasate
kabhi main tumko hasata
kabhi kaash aaisa hota

teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aaisa hota...
***
hoti na andhera yeh zindagi
roshani ka shaama suhana rehta
yunh na takate hum chand ko tanha raaton main 
woh maire pehlu main sota
kabhi kaash aaisa hota
teri baatein hoti
aur tu samne hota.
kabhi kaash aaisa hota...
[written by romil arora - copyright reserved]

tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hai...

Chand sikkon mein bik jaata hai insaan yahaan
aur tum puchate ho ki mohabbat ki keemat kya hai...
***
Jab bhi chaha maali ne tod liya daali se phool
aur tum puchate ho ki phoolon ki keemat kya hai...
***
Dard ho jab seene mein jhalak aate hi hai aankhon se aansoo
aur tum puchate ho ki aansoo ki keemat kya hai...
***
Unke intezar mein kaati hai humne ro-ro kar raatein
aur tum puchate ho ki intezar ki keemat kya hai...
***
Zindagi kab keh de alvida yeh humko maaloom nahi
aur tum puchate ho ki zindagi ki keemat kya hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, December 15, 2009

kitne aashiq ki hain yeh kahani

kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
***
doobate dekha kitne saahil
saagar ki lehre maar gaye...
toota phool, shaakhao se
haawan mastani maar gaye...
***
kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
***
naye rishte bante dekha
purane bandhan tootate dekha
sukhe patton ki jawani maar gaye...
aansoo bahate
pal-pal tarapte dekha
bin baarish barsaat maar gaye...
***
kitne aashiq ki hain yeh kahani
hasinaao ki bewafai maar gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]