Friday, January 1, 2010

JINKO MILTA HAIN KHUDA....


"JINKO MILTA HAIN KHUDA WOH KHUDA KI BAATEIN KARTE HAIN
BAAKI DIL-WALE TO KHAWABON KI BAATEIN KARTE HAIN"
***
"NAHI MILTA FANAA HONE SE KHUDA BHI
JO FANAA HOTE HAIN WOH TO SIRF FANAA HONE KI BAATEIN KARTE HAIN"
***
"KISSE KAROGE YAHAAN WAFA KI BAATEIN
HAR WAFADAR, YAHAAN BEWAFAI KI BAATEIN KARTE HAIN"
***
"JANTA HU TUM BHI SAATH CHOD DOGE MERA
HAR SAATH CHODANE WALA YAHAAN SAATH DENA KA VAADA KARTE HAIN"

#ROMIL

जिनको मिलता है खुदा वो ख़ुदा की बातें करते हैं
बाकी दिलवाले तो ख्वाबों की बातें करते हैं...

नहीं मिलता फना होने से खुदा भी 
जो फना होते हैं वो तो सिर्फ फना होने की बात करते हैं...

किससे करोगे यहां वफा की बातें 
हर वफादार, यहां बेवफाई की बातें करते हैं... 

जानता हूं तुम भी साथ छोड़ दोगे मेरा 
हर साथ छोड़ने वाला यहाँ साथ देने का वादा करते हैं...

#रोमिल

TERE BINA...TERE BINA...

TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA...KAISE JIYA...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA...
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA...KAISE JIYA...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA...
***
RAAT BHAR JAAGA
JUGNU KI TARAH FIRA RE...
ASMAAN MAIN SAPNE KE TAAREIN BUNTA RAHA RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
***
APNA NAHI
NA HI YEH DIL PARAYA HUA RE...
DIL KO TO BAS TOOTANE KA CHASKA LAGA RE...
BHEHATE RAHE AANSOO
KISI SE KUCH NA KAHAN RE...
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
***
BAHUT BAHA CHUKE HUM AANSOO
AA THODA SA ASMAAN KO BHI RULAYE RE...
USSE BARSAAT MAIN HUMTUM
KUCH PAL CHAIN SE SO JAYE RE...
PUCHO NA MUJHSE SAJANA..
TERE BINA...TERE BINA...
KAISE JIYA RE...
[WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Thursday, December 31, 2009

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...

beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main rahaa
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
kehne ko to mujhe ishq hain usse ab bhi
woh ho gaya hain bewafa
zamane ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main to jagata raha intezaar main uske
usne apni neendon ka sauda kar liya
gairon ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
main bunta raha aashiana uski khushiyoon ke liye 
woh meri barbaadi main shaamil raha
mere apno ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
hum angaaron par chalte rahe unka naam lekar 
unhone baaharon ka rukh kar liya
anjaano ki tarah
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
***
dil to kehna hain fanaa ho jaye unke liye
magar woh mere jaanaze par bhi nahi aayega
dushmano ki tarah
naadi main khada hokar
pyaasa main raha...
beeta hain yeh saal bhi par saal ki tarah...
[written by romil arora - copyright reserved]

ishq ke din ajeeb hote hain

ishq ke din ajeeb hote hai
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
aaine se karte hain baatein
raat bhar khawabon mein khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
band kamron mein chup-chup kar ro laite hai
mehfilon se durr rehta hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
jab tak na lage thokar bewafai main
baade naaz se ishq ka naam liye fhirate hai...
ishq ke din ajeeb hote hai
diwane thode paagal hote hai...
***
mehboob ko khuda samajhate hai
khud mein hi khoye-khoye rehte hai...
ishq ke din ajeeb hote hai...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sajdaaaaaaaaaaaaa....

Rom-Rom tera naam pukare
Ek hue din rehen hamare
Hum se hum hi cheen gaye
Jab se dekhe nain diwane
Sajdaaaaaaaaaaaaa....
***
Teri kaali ankhiyoon se jind meri jaage
Dhadkan se tej daudun, sapno se aagey
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun.
Sajda tera sajda, tere rehan taru na chain karoon
Sajda tera sajda, tere vaar taru meri jaan lutt doon.
***
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
***
Ranjhana naino ke teer chal gaye
Sajna saanson se dil sil gaye
Palkon mein chupa loon, tera sajda karoon
Seenay mein samaa loon, din lain karoon
Palkon mein chupa loon, seenay mein samaa loon
Tere ang ang rang mera bole
Ab jaan lutt jaaye, ye jahaan chhut jaaye
Sang pyaar rahe, main rahun na rahun
Sajda tera sajda, tere nain taru na hi pair taru
Sajda tera sajda, main to maan taru, meri jaan hain tu.
Sajdaaaaaaaaa...
[NOT WRITTEN BY ME - LYRICS OF SAJDA SONG]

Wednesday, December 30, 2009

woh mann se sundar thi...

ab aksar chup-chup kar ro laite hain
jinki muskaan phool kheela daite thi...
ab aksar chup-chap rehti hain
jinki baatein sabko haansa daite thi...
***
uska udas chehara to dekho
hooton main thehari haansi to dekho
pass se guzare to haawan bhi nahi udati hain
jiski mehak, gulsan mehka daite thi...
***
aansoo ka jo suru hua hain silsila girane ka thamta nahi hain
woh roote hue ke hoonton par muskaan saaja daite thi...
andheroon main rehti hain roshani main aati nahi hain
jo subah ka suraj hua karti thi...
khuda ka itna sitam kisi par maine dekha nahi hain
ab kya kahe uski baatein
woh mann se sundar thi...
woh mann se sundar thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...


~*~
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
chod aaye apna dil tere pehlu main
teri mehak apne saath le aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
yunh to tha main ek pathar ki bani hue murat
tumne chua to mom ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
humne har baar khuda se yahi manga tha
jab bhi unke kareeb hum jaye
tab barsaat aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye...
~*~
mujhse puche mera zameer
jab nahi tha woh tera, fhir kyon uske kareeb ho aaye.
raat aaye to aankhon main tere khawab chale aaye
hum khawabon main tere kareeb hokar chale aaye...
[written by romil arora - copyright reserved]