Friday, March 12, 2010

~INTEZAAR~

~INTEZAAR~
____________
Shaam hona aur tera intezaar karna
Tanhaiyoon main baitana aur tere khaton ko padana...
***
Kabhi utha-utha kar chand ko niharana
Kabhi ghar main fhaile sannate ko dekhana...
***
Khud se teri baatein karna
Khud-ba-Khud hasana
Khud-ba-Khud rona
Kabhi aaina main teri tasveer banana...
***
Bas aaise hi zindagi safar bitana
Bas aaise hi maut ka intezaar karna...

~KAASH~

~KAASH~
_______________
Uski jo tasveer mere pass hoti
Jab samne woh aati
Maine woh chupke se chupa li hoti...
***
Kahin jo mil jaati uski payal
Jhuka ke usse nazare maine chupa li hoti...
***
Aaj bhi tanhaiyoon main mehak le raha hota
Uski giri chunari jo maine chupa li hoti...
***
Gungunate hue yunh hi chalta rehta mohabbat-e-safar
Jo uski ghazal koiye chupa li hoti...
***
Aaise na mit jaati sab chitti uski
Jo dushman-e-jahaan se uski chitthi chupa li hoti...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, March 11, 2010

uske jaane ke baad na puchu

uske jaane ke baad na puchu kya-kya sitam hum par ho gaye
har rishtee se begane hum ho gaye...
***
jiske liye hum jaan bhi de-daite the
woh dost, na jaane kahan ho gaye...
***
kehne ko to aaj bhi usse mohabbat hain humko
sharadda ke phool na jaane kahan udha gaye...
***
chalo chalte hain kisi naye raste par Romil
jo humsafar the na jaane kahan bichad gaye...
[written by romil arora - copyright reserved]

abaad hona hai ya barbaad hona hai...

abaad hona hai ya barbaad hona hai
mohabbat mein apna kuch to haal hona hai...
***
aise na tooda karo huzur isko
yeh mera dil hai dil
na koi tera kharida hua khilauna hai...
***
qatil se kaisi reham ki guzarish karna
usi ke haaton marna hai
jisne zindagi ka diya tohfa hai...
***
itna na Rab se maanga karo bheekh Romil
naseeb mein jo likha hai
wahi to hona hai...
[written by Romil Arora - copyright reserved]

Wednesday, March 10, 2010

dil se...

bhari mehfil mein yeh ilzaam khud par leta hu...
sach bolta hu isliye use bewafa kehta hu!

yeh jannat mubarak ho tum farishte logon ko Romil
main to jehannum mein bhi uski ibadat mein rehta hu...
[written by romil arora - copyright reserved]


waqt

Sochata hu ki uska naam waqt rakh du Romil...
Woh bhi guzare hue waqt ki tarah kabhi wapas na aaya...
[written by romil arora - copyright reserved]

Yeh apni-apni aadat hai...

Yeh apni-apni aadat hai...
*
Mohabbat-e-naamaz se waakif nahi tha woh
Use bewafai ki aadat hai...
Humko waafa ki aadat hai...
**
Kya dil-e-lahoo dekhte ho huzur
Use zakhm dene ki aadat hai...
Humko mohabbat ki aadat hai...
***
Yunhi nahi hai dushman zamana mera
Use sitam dhaane ki aadat hai
Humko bagaavat ki aadat hai...
***
Kis-Kis ko sunaiye dard-e-gum apna Romil
Usko zulm karne ki aadat hai...
Humko marham lagane ki aadat hai...
[Written by Romil Arora - copyright reserved]