Monday, June 2, 2008

Aankhon Main Ek Sapna Bankar Aa Jana

"Aankhon Mein Ek Sapna Bankar Aa Jana"

Maine tumse kahan tha dost,
mujhe is tarah chhodkar mat jana,
mujhe akela chhodkar mat jana,
zindagi se ladna, kabhi bhi zindagi se naraaz mat hona,

jab jana to mujhe neend se jaga jana,
apna haalchal batakar jana.

aacha ab jab tum chali gayi ho to suno rab ke ghar mein khushi-khushi rehna,
jo meri yaad aaye to bas ek aawaz lagana,
aankhon se aansoo kabhi girne nahi dena,
nachana, geet gana, aur mujhe door se niharna.

jab tum rab ke ghar se dekho mujhe tanha,
bas aankhon mein ek sapna bankar aa jana.

#Romil

आंखों में एक सपना बनकर आ जाना... 

मैंने तुमसे कहा था दोस्त 
मुझे इस तरह छोड़कर मत जाना 
मुझे अकेला छोड़कर मत जाना 
जिंदगी से लड़ना, कभी भी जिंदगी से नाराज मत होना... 

जब जाना तो मुझे नींद से जगह जाना 
अपना हाल-चाल बताकर जाना... 

अच्छा अब जब तुम चली गई हो तो सुनो रब के घर में खुशी-खुशी रहना, 
जो मेरी याद आए तो बस एक आवाज लगाना 
आंखों से आंसू कभी गिरने नहीं देना 
नाचना, गीत गाना और मुझे दूर से निहारना... 

जब तुम रब के घर से देखो मुझे तन्हा 
बस आंखों में एक सपना बनकर आ जाना... 

#रोमिल

2 comments:

Anonymous said...

HELLO,

change the pic g, jin aankho me khoobsoorat naaz ho, un aankho me dard hoha chaiye, khoof nahi


marvelous, tremendos n heart priking poetries g

ROMIL ARORA said...

jab tak yeh aankhen gunn ka naazara nahi kar laite, tab tak in aankhon main hamesha dard rahega g.