Monday, March 29, 2010

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं

MANAGEMENT MASTI MAIN!

बचत करके खर्चा करना आसान होता हैं, जबकि वेतन खर्चा करके बचत करना मुश्किल होता हैं! इसलिए पहले बचत करे!

Saving karne ka sabse aasan tarika hain hain... Aapki income chahe jo bhi ho, yeh baat important nahi daite, IMPORTANT DETI HAIN AAPKI SAVING KI AADAT...

Thoda example dekar samjhane ki koshish karunga...

Aapki income Rs. 3000/- per month hain...
Aap decide karlo ki aapko per month kitni saving karni hain... Chalo yeh baat maan laite hain ki aapko 10% saving karni hain... yani Rs. 300/- per month...
Is hisaab se ab aapki income Rs. 2,700/- per month hue...
Rs. 2,700/- ko dhyan main rakh kar apna monthly budget banaye... Aap aur aapka parivar yeh soch le ki monthly income Rs. 2,700/- hain aur isme aapko apna monthly budget banana hain...
Is tarah aap per month Rs. 300/- ki saving kar payenge...

Agar aap full income Rs. 3,000/- expenditure kar doge to fhir kaise saving kar payoge baba???
Ya yeh kahe ki Rs. 3,000/- ka monthly budget banate ho to kisi month main aap Rs. 100/- ki saving kar payoge aur kisi month main Rs. 250/- ki aur kisi month main ZERO ki... Kyunki family budget bahut hi jyada diversified hota hain... Ishthiti har month ki alag-alag hoti hain... Is month main aapko baache ki fees daine hoti hain, kisi month main birthday hota hain, kisi month main festival hota hain to fhir kisi month main koiye relative aapke ghar aa jata hain...

Yaad rakhe...
Pehle bachat kare, fhir expenditure kare...

No comments: