Friday, April 16, 2010

NAAZO KI BAATEIN...

NAAZO KI BAATEIN...

VeRy InTeresTing DO CHOTI-CHOTI BAATEIN...

1. $ultan... Aastha jo hoti hain woh ek beejh ki tarah hoti hain... Dheere-dheere apna ek alag roop lekar ek paid ka roop le laite hain... aur bahut vishal ho jaati hain... fhir uspar sundar-sundar phool - fhal nikalane lagate hain aur usse dekh kar sab koiye khush hota hain...

Jab hamare upper dukh ke aandhiyaan aati hain to woh paid us dukh main gir jaata hain... magar fhir jaldi hi naya paid wahaan par ugane lagta hain... aastha ka beejh nahi marta hain...

Jab pathjhad (dukh) ka mausam aata hain to us paid par se saari phool gir jaate hain... fhir jaise hi saawan (khushi) ka mausam aata hain to us paid par fhir phool khelane lag jaate hain...

Jab paid ka roop le laite hain to kitne panchiyoon ka basera usme ho jaata hain... kitne saare logon ko phool-fhal milane lagate hain... issi tarah jab aastha vishal roop le laite hain to kitne log us aastha se anand paate hain... kitne logon ko saahi raah dekhaiye jaati hain... kitne logon ka jeevan safal hota hain...

$ultan... Hain na interesting... Isliye kabhi bhi AASHTA KA BEEJH NA MARANE DO... Aashta ke beejh ko hamesha positive thinking ki khaadh daite raho aur apni swt. swt. swt. very swt. muskaan ka pani daite raho...

RoMiL reply - Humne nahi hoga NaaZ...sachi...

2. RadhaKrishna Ji ko TajMahal ko logon ko samajhana chahiye...

$ultan.. Kabhi-kabhi lagta hain ki LOGON KO SIRF PATHARON SE MOHABBAT KARNE KI AADAT SI HO GAYE HAIN...

$ultan... Ek goan main baada sa RadhaKrishna Ji ka mandir hota hain... Jahan log subah-din-shaam, pooja kiya karte hain... magar us goan main agar koiye ladka ya ladki kisi ladka ya ladki se mohabbat kar le to goan wale mil kar usse hi maar dalate hain... aur pata nahi kaun-kaun se samajik ilzaam us par laga daite hain..kabhi caste, kabhi status, kabhi discrimination etc. etc..etc..etc...
     
$ultan... Bahut se gharon main RadhaKrishna Ji ki pooja hoti hain... ussi ghar main agar koiye ladki ya ladka mohabbat kar le to sabse pehle barrier uske parivar wale hi lagate hain... wajah to bahut si ho sakti hain...

TajMahal ko sirf ek photo studio bana kar rakh diya hain... Koiye TajMahal ki taarif karta hain to koiye Shahjahan aur Mumtaz ke 14 baachon ki baatein karta hain... to Koiye Shahjahan ko Mumtaz ki maut ka ilzaam daita hain...

- Koiye bhi RadhaKrishna ke us chupe hue pyar ko nahi samajhata...
- Koiye bhi Viyoogh ke pyar ko nahi samajhata...
- Koiye bhi Meera ko nahi samajhata... Sacche prem ko samajhana bahut muskil hain...
- Koiye bhi yeh nahi samajhata ki Saathi ka jab saath, saath nahi hota to zindagi kaise ho jaati hain... Chahe kitni hi khushiyaan kyon nahi paas ho... fhir ussi saathi ki yaad main TajMahal banaye jaate hain...   
- Koiye bhi yeh nahi samajhata Jism to kisi se bhi mil kar shant ho jaata hain... magar Rooh, Rooh bina saache pyar ke mile nahi shant hoti...
- Devdas khud Paaron ko apne se durr karta hain... magar fhir ussi Paaron ke liye apni jaan de daita hain... saacha prem bahut alag hota hain $ultan...

Logon ko sirf patharon se mohabbat ki aadat jo ho gaye hain... US PATHAR MAIN CHUPE RABB KO KOIYE NAHI MOHABBAT KARTA...

[RoMiL reply - NaaZoo... Tum sahi bhi keh rahi ho... aur nahi bhi... Tum hi to kehte ho AMMI- ABBA ka faisala sar-aankhon par hona chahiye...]

No comments: