Showing posts with label RadhaSoamiJi. Show all posts
Showing posts with label RadhaSoamiJi. Show all posts

Friday, August 10, 2018

RSSB - Satguru ko pyar karo lekin parivar ka haq bhi chukaao...

Prem ka yeh arth to nahi(n) kee hum apne kartavya na nibhaye(n), duniyavi jimmedariyon ki oar se moonh pher lein. Prem to humein ek adarsh insaan banata hai, auron ke liye ek misaal banata hai. Tumhe dekhkar sambhav hai aur log bhi santmat ki oar aakarshit ho(n). Isliye is bhavana ke saath kee Satguru hamesha tumhare saath hain aur tumhari sahayata kar rahe hain, apne parivar ke prati apne kartavya nibhao. Satguru ko pyar karo, lekin parivar ka haq bhi chukaao.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

Thursday, August 9, 2018

RSSB - Prem to humein adhik sehanseel banata aur dusaron ke sukh-dukh ko samajhane ke adhik yogya banata hai...

Main tumhari bhawnao ko samajhata hun aur apne Satguru ke prati tumhare eknishtha Prem ki kadr karta hun. Lekin dusaron ke prati, tumhare parivar ke prati tumhare kuch kartavya aur uttardaayetva hain. Tumhe chahiye ki unhe prem aur imandari ke saath poora karo. Satguru se prem ka yeh artha nahi hai ki humein apne parivar ki upeksha karne ya unki parwah na karne ki chhut hai. Prem to humein adhik sehanseel banata aur dusaron ke sukh-dukh ko samajhane ke adhik yogya banata hai. Prem ke fhalswaroop to tumhe pehle se aachi patni, aachi mata banna chahiye, har tarah se ek behtar insaan banna chahiye. 

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

Tuesday, August 7, 2018

RSSB - Santon ki deh ke libaas mein Parmatama chhipa hua hai...

Jab Maina ko Manush ki bhasha seekhai jaati hai tab uske saamne ek bada sheesha rakh diya jaata hai, jiske peeche ek aadmi chipkar baithata hai aur bolta hai. Maina sheeshe mein apni akriti dekhkar samajhati hai ki mera hi koi bhai-bandhu saamne baitha hai aur bol raha hai. Is prakaar Maina dheere-dheere Manush ki boli seekh jaati hai. 

Isi prakaar Santon ki deh ke libaas mein Parmatama chhipa hua hai jo unke dwara bolta hai. 

Parmatama to aseem aur nirala hai, lekin use dehdaari jeevon pe prakat hone ke liye deh dharan karni padti hai. 

RadhaSoami Ji

Saturday, August 4, 2018

RSSB - Manush-Janam anmol hai...

Manush-Janam anmol hai tatha yahi Parmatama ki prapti ka avsar hai. Devi-Devta bhi manush-janam ke liye taraste hain. Sant jeete-jee anubhav prapt karne ka updesh dete hai. Ve jeete-jee mukti prapt karne ka marg batate hain, marne ke baad ki mukti ka bharosa nahi(n) dilate.

RadhaSoami Ji...

Friday, August 3, 2018

RSSB - Dere ki neev Pyar aur Sewa pe rakhi hai...

Bade Maharaj Ji aksar kaha karte the ki Baba Ji ne is Dere ki neev 
Pyar aur Sewa 
pe rakhi hai...

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

Wednesday, August 1, 2018

RSSB - Yeh to aapko maloom hai ki aaj Huzur Maharaj Ji ka Janamdin hai...

Yeh to aapko maloom hai ki aaj Huzur Maharaj Ji ka Janamdin hai.

Aise din, jab Mahatma is dunia mein aate hai, hamare liye bade kalyankari hote hai, badi khushi ke mauke hote hai, kyonki unke aane se hazaron-lakhon jeevon ka uddhar hota hai. Veh humein bhakti ka tareeka sikhakar, humse maalik ki bhakti karwakar, humein apne saath le jakar Parmatma ki goad mein pahucha dete hai aur is tarah hamara janam-maran ke chakkaron se chhutkara ho jaata hai.

Mahatma ke janamdin ki khushi keval halwa-poori khakar hi nahi manani hai, balki humein apne andar vichaar karna hai ki jis raste pe unhone humein chalaya hai, jo seekh unhone humein di hai, kya us par hum sacche dil se chal rahe hai? Humein apne dilo mein khozana hai ki jin ucche usoolon par unhone humein khada kiya hai, kya un par hum qayam hai? Agar nahi, to humein chahiye ki un trutiyon aur kamjoriyon ko door karne ka barkas priyatna karein.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

Wednesday, July 25, 2018

RSSB - Saach kahoo sun leh sabhee jin Prem kioo tin hi Prabhu paayo...

Sri Guru Gobind Singh Ji farmaate hai ki Jinhone Prem kiya hai unhone Prabhu ko paaya hai:

"Saach kahoo sun leh sabhee jin Prem kioo tin hi Prabhu paayo"

RadhaSoami Ji...

Monday, July 23, 2018

RSSB - Prem Vash Sewa Kar Rahi Hai...

Sangat us samay gehre khaddo(n) mein, mitti bharne ki sewa kar rahi thi. Dakshin Africa ke ek purane Satsangi Maharaj Ji ke pass baithe the. Kuch mahilao(n) ko apni tokri mein bahut thodi mitti le jaate hue dekhkar us Satsangi ne kaha, "Inki sewa ka kya fayda hai? Yeh to zara-si mitti le ja rahe hai..."

Maharaj Ji ne jawab diya, "koi kitni mitti le jaata hai iska mahatva nahi hai. Mahatva to iska hai ki vah kitne Prem ke saath mitti le ja raha hai. Yeh mahilaye(n) to prem vash sewa kar rahi hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

RSSB - kabir maala manhi(n) ki, aur sansari bhekh. Maala fhere Hari milee(n), to gale rehatt ke dekh...

Kabir Sahib farmaate hai ki mann ki maala sacchi hai, aur malaye(n) to nakli hai(n), sansar ke dikhave hai(n). Yadi bahar ki mala fherne se Hari mil sakta hai to rehatt ko, jiske gale mein din-raat maala firti rehti hai, Hari milna chahiye tha...

"kabir maala manhi(n) ki, aur sansari bhekh.
Maala fhere Hari milee(n), to gale rehatt ke dekh."

radhasoami ji...

Sunday, July 22, 2018

RSSB - Sewa ki keemat aanki ja sakti hai?

Maharaj Ji ne Ek Langade Satsangi ka udaharan dekar is baat ko samjhaya, "vah Langada Satsangi Bhandaro(n) par Himachal Pradesh ke pahadon se aata tha aur bahut garib tha. Vah 75 meel baisakhi ke sahare paidal chalkar aata tha, taki sewa mein dene ke liye rupiya bacha sake. Sewadar Ek din dhan ki sewa ke liye use mere pass laye. Usne ek rupiya sewa mein dena chaha. Uski garibi dekhte hue maine Sewadaron ko uski sewa lene se mana kar diya, is par wah rone laga aur mujhe uski sewa manjoor karni padi."

Maharaj Ji ne pucha, "kya is sewa ki keemat aanki ja sakti hai? Kya yeh dhanwano(n) ke diye hue hazaro(n)-lakho(n) rupiyon se jyada keemati nahi hai? Sewa ka mulya isse nahi aanka ja sakta ki aapne kya diya hai; uski keemat to us prem ki bhavana mein hai jiske saath vah sewa di gai hai".

RadhaSoami Ji...

Saturday, July 21, 2018

RSSB - Learning - Shabd Uccharan...

RSSB - Learning... Shabd Uccharan...

Baba Ji ke gaddi pe viraajmaan hote hi Satsang shuru ho jaata tha (8:30 am). Pehle din ek Behan, Santon ke shabd padh rahi thi aur ek Bhai un shabdon ki vyakhiya kar raha ths...

Dusare din Satsang ke dauraan ek Bhai, Santon ke shabd padh raha tha aur ek Behan un shabdon ki vyakhiya kar rahi thi...

Meri to aankhon se pata nahi kyon aansoo beh rahe the... Maa ki yaad aa rahi thi...

Us Satsang wale Bhai aur Behan ki kya shabdon pe pakad thi... Ek-Ek shabd sahi se Uccharan kar rahe the...

Mujhe maa ki yaad aa gai... Maa ki bhi Japji Sahib, Sukhmani Sahib, Dukhbhanjan Sahib, Gurbani, Durga Shaptasati, Bhajano ke shabdon par ek dum sateek pakad thi... Ek-Ek shabd ka sahi se uccharan...

Main to itni jaldi padta hu ki kuch shabd to aadhe hi mooh se nikalte hai... Kabhi-Kabhi tension mein hota hun to padte-padte shabd bhool bhi jaata hun... Fir kitab haath mein lekar padna padta hai... Ek dum Rattu Toota hun... hahaha...

Kabhi-Kabhi to main pooja-path karke aur jyada krodh mein aa jaata hun, mann aur jyada vichlit ho uthata hai... hahaha...

Learning...

Saaf uccharan ke saath hi Santon ke Shabdon ko padna chahiye... Jisse mann bhi prafullit hota hai... Warna sirf dikhave, khanapurti ke liye pooja-path nahi karna chahiye... Vyartha hi jayega warna...

RSSB - Satsang ko rajneeti mein fhasaane ki koshish na karein...

Satsang se pehle main ek bahut jaruri vinti karna chahta hun, zara gaur se suniye. Hamesha ki tarah main har chunav se pehle arz karta hun ki RadhaSoami Satsang Beas ka chunavo(n) se kisi tarah ka sambhand nahi hai. Satsang hamesha chunavo(n) se alag raha hai. Sab Rajnaitik Partiyan apni hain, sab ke liye mera ek jaisa pyar aur sammaan hai. Parantu mera jo Sangat aur Satsang se rishta hai, vah roohaniyat ka rishta hai, prem aur bhakti ka rishta hai, koi voton ka rishta nahi(n). Vote aapke apne hai jise munasib samjhe khushi se den. 

Satsang ko rajneeti se bahar rakhne ki koshish karein. Koi Satsangi Bhai kisi Neta ko lekar mere pass aane ki koshish na kare, kyonki meri to sada yahi koshish rahi hai ki Satsang rajneeti se hamesha alag rahe. Maharaj ji ki daya-mehar se aaj tak yeh Satsang rajneeti se hamesha bahar raha hai aur main ise rajneeti se bahar hi rakhna chahta hun. Isliye aap jise marzi vote dein, lekin Satsang ko rajneeti mein fhasaane ki koshish na karein.

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji

RSSB - Ek Baar, Santon ki is mahaan parampara ka zikr karte hue...

Ek Baar, Santon ki is mahaan parampara ka zikr karte hue Maharaj Ji ne Satsang mein kaha, 

"Main Sangat se arz karna chahunga ki mere rishtedaaron ya mere parivar ke sadasyon ko kabhi bhi rupiya-paisa ya cheez na de(n), agar ve maange(n) ya unhe(n) jarurat ho to bhi na de(n). Agar main bhi kuch mangu(n) to mujhe bhi inkaar kar den. Bade Maharaj Ji ne hamare liye kaafi chhoda hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

Friday, July 20, 2018

RSSB - Sangat yeh sab sewa kisi puraskaar ya fhal ki umeed se nahi(n) karti...

"Sangat yeh sab sewa kisi puraskaar ya fhal ki umeed se nahi(n) karti. Yeh to Prem se prerit hokar karti hai. Sewa prem hai; sangat badle mein kabhi kuch nahi mangati aur use chahe jo asuvidha ho, vah kabhi koi shikayat nahi karti. Vah hamesha santust rehti hai, hamesha sewa karne mein khush rehti hai."

- Maharaj Ji

RadhaSoami Ji...

RadhaSoami Satsang Beas - Shabd - Beautiful Voice


RSSB - Maala fherate yug beet gaye, par mann ka fher na mita...

Kabir Sahib kehte hai ki maala fherate yug beet gaye, par mann ka fher na mita. Isliye tu haaton ke manke ko chhodkar keval mann ka hi manka fher. Mann ki mala fherane se haath-pair sunn ho jayenge, sharir ki sampoorna chetan satta aankho ke peeche ekatra ho jayegi, aatma aantarik mandalo mein pravesh karegi aur antar mein prakash ho jayega.

RadhaSoamiJi...

Wednesday, July 18, 2018

RSSB - Hum reeti-rivaj ke, karmkaand ke gulaam ho gaye hai...

Hum reeti-rivaj ke, karmkaand ke gulaam ho gaye hai, mandiro(n), masjido(n), gurudwaro(n) ke bhakt ho gaye hai, hum us ek parmatama ke bhakt nahi rahe. Parmatama ke sacche bhakt na keval usse pyar karte hai, balki us prabhu ki sristhi ke har prani se bhi pyaar karte hain. Yahi sab Santon ka sandesh hai.

Guru Amar Das Ji ne kaha hai:

Jeeaa jant sabh tis de sabna ka soi.
Manda kisno aakhiye je duja hoi.

- Maharaj Ji

radhasoami ji...

RSSB - Tum angooro(n) se bhi khush aur santust nahi ho...

"tum angooro(n) se bhi khush aur santust nahi ho, jabki yeh log jungali Ber khakar bhi khush aur santust hai.

Sukh jaydad aur daulat mein nahi(n), Santosh mein hai.

- Bade Maharaj Ji

Maharaj Ji ne kaha, "yeh seedhi-saadhi sacchi baatein Bade Maharaj Ji humein kuch hi shabdon mein keh dete the. Lekin unmein seekhane ke liye bahut badi aur gehri sacchi hoti thi."

radhasoami ji...

Tuesday, July 17, 2018

Learning... Single...

Learning... 

Ek to train 05 hours late pahuchi thi... Upper se suraj ka sitam jaari tha... Sirf Jalandhar mein baarish, mausam rocking tha baaki sab jagah sukha tha... Kisi tarah bus pakadkar Jammu se Katra pahucha... private bus full overloaded thi... Woh local ki savari bhi baithate, utarte chalte hai na...

Ek to main paseene se tar-batar tha... jee chahta tha bas Pani ki balti apne upper udel li jaye... Jaise hi hotel mein pravesh kiya, room dekha... Usko book karne ko bola... 
Manager ne kaha, Sir kya aap single hai?
Maine kahan, Yes...
Manager bola Sorry Sir... Hum single person ko room nahi dete, sirf family ya couples ko dete hai...

Monday, July 16, 2018

RSSB - Zindagi to bahut seedhi-saadhi hai.

Zindagi to bahut seedhi-saadhi hai. Par hum log khud samasyaaye aur uljhane paida kar lete hai aur fir unhe suljhaane mein saari zindagi beeta dete hai. Pata nahi hum seedhi baaton ko seedhi tarah lena kab seekhenge.

- Maharaj Ji.

radhasoami ji...