Showing posts with label dil se.... Show all posts
Showing posts with label dil se.... Show all posts

Thursday, February 26, 2009

muqaddar

dil kehta hain ki parinda ban jayun

chod du yeh shehar

kahin durr chala jayun...

fhir khayal aata hain

apni hi mitti main mil jana, parinde ka muqaddar hota hain...

[written by romi arora-copyright reserved]

Goan ke log...


Goan ke log kitne aache hote hain $ultan

Mitti ke ghar, dil sacche hote hain $ultan

Milti hain izzahat, sukh-shanti hoti hain $ultan

Neem ke paidh ki chao main zindagi katati hain $ultan...

[written by romi arora-copyright reserved]

Wednesday, February 25, 2009

~~dil se~~

mehboob ki tasveer banate-banate jawani guzar gaye Romil
jab bani to baazar ki ho gaye...
~~~
Is tarah toota hain dil mera mat pucho
ki kanch ko pathar se thoda gaya ho...
[written by romil arora-copyright reserved]


Tuesday, February 24, 2009

dil ki kalam se...

aaina ka shauq bahut tha mujhko
ab haaton main pathar lekar fhirta hu...
~*~
kasthi main beth kar samundar ko apna samajhata tha
jab toofan aaya tab haqeqat ka pata chala...
~*~
saare mausam mujhe ek se lagate the
meri nigaah main aansoo kuch is tarah se bas gaye the...
[written by romil arora-copyright reserved]

Saturday, February 21, 2009

dil ki kalam se....

teri bewafai ki kahani suna-suna kar dil bhi khali ho chala hain
ab to kuch kehne ko shabad hi nahi hain...
~*~
rabb woh waqt na laye
ki tu meri wafa main pagal ho jaye
kosane lage teri bewafai tujhe
ki tu bewafa se bhi wafadar ho jaye...
~
gum tujhe lage pyara
khushiyoon main jeena mohaal ho jaye
tanhaiyee tujhe lage apni
mefhil main rehna duswaar ho jaye
~
rabb woh waqt na laye....
[written by romil arora-copyright reserved]

kuch dil se...


Romil, Tum to haal-e-dil keh daite ho apni shayari-e-aandaz main
magar woh to masoom hain, bhala woh kaise haal-e-dil tumse kahe...
~~~
Tera sukriya jo tune humse hamare khawab chura liya
warna yeh to beekhar hi jaane the..
~~~
Maloom na tha yeh aankh tumse ladegi
meri musibat aur baadegi
ishq ka rog mujhe fhir lagega
gum se fhir dosti baadegi!
~~~
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 20, 2009

mere dil se...


Zikkar jab bhi chidata hain meri barbadi ka
Baat tere naam par pahuch jaati hain...
~~~
Unki baaton se phool jharate the
dil ki aarzoo hain ki fhir phool jhadane lage...
~~~
raakh beete dino ki mat kuredo
ungaliya jal jayenge
jo aag daabi hain
usse daabe-daabe hi rehne do...
[written by romil arora-copyright reserved]

Tuesday, February 3, 2009

dil se...

meri aashiqhi nahi
isse meri dillagi hi samaj
itna to yakeen hoga tujhe
tere husn ka charcha to hua!
[copyright reserved-written by romil arora]

Sunday, January 25, 2009

dil se shabd....

na mohabbat main dubb saka
na mohabbat main ubhar saka
zindagi bhar pani ka bulbula bana raha...
~
uski aankhen dekhi tab yeh yakeen hua
ki kis tarah aankhon main zakhm chupa rehta hain...
~
khidki ke peeche khadi hue woh
jaise kisi panchi ke paar kaanth diye ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, January 23, 2009

dil se...


woh mujhe rabb kehti hain
aur main usse rabb kehta hu..
na usne mujhe kabhi dekha
na maine usse kabhi dekha..
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, January 22, 2009

kuch shabd...dil se

suraj dekh kar roz yeh irada karta hu ki tumko bhul jaunga
magar jaise hi shaam hoti hai chand ka deedar hota hai
irada, irada nahi rehta...

aankhon mein neend to bahut rehti hai
magar tumhara khayal mujhe sone nahi deta...

chand ko chune ke liye kadam hamare kuch is tarah uthe
ki zameen se rishta hi toot gaya...

#Romil

सूरज देखकर रोज़ यह इरादा करता हूँ कि तुमको भूल जाऊँगा
मगर जैसे ही शाम होती है चाँद का दीदार होता है
इरादा, इरादा नही रहता...

आँखों में नींद तो बहुत रहती है
मगर तुम्हारा ख़्याल मुझे सोने नहीं देता...

चाँद को छूने के लिए क़दम हमारे कुछ इस तरह उठे
की ज़मीन से रिश्ता ही टूट गया...

#रोमिल

Tuesday, January 20, 2009

dil se....

ab to mehfil main bhi nahi aati hoonton par muskaan,
pehle to yaadon main hi muskura liya karte the...
[written by romil arora-copyright reserved]
tere aazad khayalon ke liye na yeh jahaan hain na woh jahaan hain
yahaan koiye kehne nahi deta, wahaan upper woh sunata nahi...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, January 16, 2009

dil ke alfaaz....

"ghar mera mitti ka tha aur mujhe barsaat se mohabbat thi"
~
"hum us husn ki bandagi khuda samaj kar karte rahe,
jo daulat ki duniya mein bik jaate hai"
~
"har koi humse bewafai karta hain,
ab to yeh yakeen ho chala hai ke hum hi bewafa hain"

#Romil

घर मेरा मिट्टी का था और मुझे बरसात से मोहब्बत थी. 
~
हम उस हुस्न की बंदगी खुदा समझकर करते रहे, 
जो दौलत की दुनिया में भी बिक जाते हैं. 
~
हर कोई हमसे बेवफाई करता है, 
अब तो यह यकीन हो चला है कि हम ही बेवफा है.

#रोमिल

Tuesday, January 13, 2009

kuch dil se shabd..


meri zindagi jaise....
"toote hue daali kisi paidh ki"
~
"basant main sukha hua phool"
~
"barsaat ke mausam main bhi jal ko tarasta taalab"
~
"aandhi main gira hua haara-bhara paidh"
~
"samundar ke beech bhatakati hue tanha naav"
[written by romil arora-copyright reserved]

Monday, January 12, 2009

some lines....DIL SE..


mere dil ne tarap ke jab naam uska pukara......
"in aankhon ko kiska intezaar hain
woh chehara hain kahan chupa hua"
*
"yeh kaise badli chahiye hai ki chand ka deedar nahi hota"
*
"yeh barsaat ki boondhen kiska sandesha le kar aaye hain
yeh jaane kaun hain aane wala"
*
"yeh raat kyon dhalti ja rahe hain
yeh chand hain kahan ko jaane wala"
*
"yeh haawan kyon bhehak rahe hain
yeh kaun hain aane wala"
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, December 10, 2008

dil se KUCH...

meri subah, meri shaam tum ho,
meri aarzoo, meri umeed tum ho,
tumko kaise yakeen delaiye,
meri diwali, meri eid tum ho!
!***!
andheron main kabhi baithon to khud se pucha karna,

meri khataiyeen kya thi,
meri bewafai kya thi...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, December 4, 2008

God Bless U...

Maine Usse Kahan...
My Doll!! My Luv!!
I Luv U!! I Need U!!
aur God Bless U!!
~~~
Tum Jana Chahte Ho To Jayo
I M Alone!!
Magar My Doll!! My Luv!!
I Luv U!! I Need U!!
aur God Bless U!!
~~~
Mujhe Maaf Karna Main Tumko Khush Nahi Rakh Paya
I M Sorry!!
I M A Big Loser!!
Magar My Doll!! My Luv!!
I Luv U!! I Need U!!
aur God Bless U!!

~~~
Zindagi Main Kabhi Fursat Mile To...
I Want U!!
I M Waiting For Your Call!
Call..I M Sick,
Call..I M Angry
Call..I M .....
Really My Doll!! My Luv!!
I Luv U!! I Need U!!
aur God Bless U!!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, November 5, 2008

Yeh to rabb ko hi hai pata.....

Kyon do dil milate hai
Kyon do dil tooth jaate hai
Kyon do pyar karne wale juda ho jaate hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
~
Jisko chaho duniya main sabse jyada
woh kyon nahi haasil hota
Mohabbat ka dard yeh kaisa hota hai
ki jeena bhi muskil hota hai
Aansoo hi behate rehte hai aankhon se
aur muskurana namumkin hota hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!

~
Kyon rabb ka banda thokar khata rehta hai
Na jaane kyon garibon ka ghar jaala diya jaata hai
Buukhe baachon ki cheekhe kisi ko nahi sunaiye daite
Toothi hue jhopadi dekhaye nahi daite
Kyon sacchai ko ek maazak bana diya jaata hai
Mazboori par kyon yeh duniya haasati hai
Kyon gunehghar banda khushi ke saath jeeta rehta hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
Yeh to rabb ko hi hai pata!

~
Rishtoon ke jhoote libhas insaan kyon pehne rehta hai,
Juban par meethi boli aur mann main zehar chupaye rehta hai,
Khud ko dharam main baatata rehta hai aur
Insaniyat kyon bhul jaata hai
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata

Wohi sab janta hai!
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata!
~
Kyon zindagi ek khel naazar aati hai,
Geeta, Quran, Bible, Gurughant ki baatein sab jhoot naazar aati hai,
Kyon suraj ke rehte chaaron taraf phela hai andhera ghana,
Kyon daulat ki duniya main mohabbat beek jaati hai.
Mujhe nahi pata
Yeh to rabb ko hi hai pata
Yeh to rabb ko hi hai pata
Yeh to
Rabb ko hi hai pata!
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, September 17, 2008

Mujhe Pata Nahi Chala...


Woh Ho Gaya Gair Ka Mujhe Pata Nahi Chala,
Kis Tarah Khaya Hain Maine Dhoka,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kab Chut Gaye Haanth, Baaton Hi Baaton Main,
Mujhe Pata Nahi Chala...
Kis Tarah Bheeg Gaye Meri Aankhen,
Aansoo Main,
Mujhe Pata Nahi Chala...
[written by romil arora - copyright reserved]

Tuesday, September 9, 2008

"GuNn""rAj"


Shri Krishna Ji!

Aabki Baar Aap Ek Putla Banana.

Jisme Do Rooh Rakhana

Ek "GuNn" Ek "rAj"

Jisse "GuNn""rAj" Ek Rahe,

Ek Saath Muskuraye,

Ek Saath Roye,

Ek Saath Khele,

Ek Dusare Main "GuNn""rAj" Rahe!

^^^^
[written by romil arora - copyright reserved]