Showing posts with label mera rabb naaz.... Show all posts
Showing posts with label mera rabb naaz.... Show all posts

Sunday, June 6, 2010

mere liye NAAZ tera naam...

jitna pak hai
kisi muslim ke liye ALLAH ka naam
kisi hindu ke liye RAMA ka naam
kisi christian ke liye JESUS ka naam
kisi sikh ke liye GURU NANAK ka naam
utna ki pak hai
mere liye NAAZ tera naam...
*
woh kya samjhe
jo kapdoon ki tarah naam badalte hain
woh kya samjhe
naadan hain saare
naadan beechare
woh kya samjhe...
*
mere maula unko akal dena
unpar apni reham karna...

Saturday, June 5, 2010

NaaZ... yaad hain woh din...

NaaZ... yaad hain woh din...

Jab ghutane, haaton par choot lag jaye to mitti laga liya karte the...
Jab halki-halki hoonton se ghaav par haawan diya karte the...
Jab khoon nikalane lage to bidi ka kaagaz laga liya karte the...
***
Jab hum log aais-paais khela karte the.... - main aao... main aao... mai aao.... aa jaa...
Jab gali ki sadko par kanche khela karte the.... 
Jab chaat par patang-baazi ki karte the... Ek patang lootane ke liye daure chale jaate the..
***
Jab baarish ki rimjhim main pani main chap-chap kiya karte the...
Jab kaagaz ki naav banaya karte the...
***
Jab chaar aane ke 02 parle ki toffee liya karte the... ek tumko khelate the aur ek khud khaya karte the..
Jab pachas paise ki orange wali ice cream liya karte the... thodi-thodi khate the...  
Jab khatti imali, khaata-meetha churan khaya karte the...
Jab chaar-chaar aane gullak main jaama kiya karte the... 
Jab bhel-poori khaya karte the...
***
Jab kachche aam aur imli…bel, jaamun paid se thoda karte the...

baagh se thoda karte the...
Jab doordarshan par nukkad, circus, hi-men, vikram baitaal, chitrahar, mungare lal ke haseen sapne… dekha karte the...
Jab subah-subah mahabharat aur ramayan dekha karte the aur saath-saath break-fast kiya karte the..
Jab sunday movie ke saath chai aur papad khaya karte the...  
***
Jab copy aur kitabon ko akhbaar ke cover se sajaaya karte they…

Natraj ki pencil baar-baar cheel kar uski nook banaya karte they…
Pen se likhane ki koshish kiya karte they…
Sulekha ink ka neela dhabba aaj bhi yaad hain...
***

Jab hum postcard ko kisi ke ghar par lage post-box main galti se daal aate the..
Jab hum kisi ke ghar ki bell chupke se baja kar bhaag jaya karte the...
Jab hum chori se kisi ke paid se phool churaya karte the...
***
Jab hum mela dekhane jaya karte the... aur jhula jhula karte the
Jab cinema haal main popcorn khate khate movie dekha karte the
Jab ghar se poori-sabji bana kar picnic par jaya karte the...
***
Bahut se aise pal hain jisse hum NaaZ bhool nahi sakte..sachi...
[INSPIRED-WRITTEN BY ROMIL ARORA - COPYRIGHT RESERVED]

Wednesday, May 12, 2010

Kaash

NaaZ... Kaash tera deedar ho jaye

Hum bhi madine ho aaye, dil ko yeh yakeen ho jaye...

Tuesday, May 11, 2010

NAAZ...

NAAZ... MERE TOOTE HUE GHAR MAIN AB BHI IMAAN KA SAMAAN HAIN...

TERI QASAM
AB BHI QURAN HAIN...
*
Us rabb ko manana bahut mushkil hain

Na jaane kaun-kaun se jatan karne padate hain...




Par meri NaaZ ko manana bahut aasan hain
"Sajade main sar jhukao
Dil se usko bulao
Bas thoda sa tum muskurao
Aankhon se uske naam ko lagao..."

Wednesday, April 14, 2010

Rab mujhe fir wahi dost, wahi pyar de de...

Rab mujhe fir wahi NaaZ, wahi dost de de,
Meri dubti hui naav ko sahara de de...
***
Raahon mein chalte-chalte qadam thak chuke hai
Ab to mujhe manzil ka pata de de...
***
Beeti hai zindagi luh ke garam thapedo mein
Ab to suhani koi shaam de de...
***
Likhi jaye meri mohabbat bhi duniya ke haseen panno mein
Aisa koi yaar, koi dildar de de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, April 7, 2010

jis naam tu mujhe bachpan...

jis naam se tu mujhe bachpan mein bulaya karti thi
us naam se fir mujhe bula...
aa meri aankhon mein baandh kar patti
tu kahin chup jaa...
pehan kar haanton mein kangan
mere kaanon ke pass tu khankhana...
ai meri tamanna ke sitare
meri andheri zindagi mein prakash fhela...
[written by romil arora - copyright reserved]

Wednesday, March 24, 2010

aaye rabb...

aaye rabb...

mujhe mera yaar wapas chahiye...
jeene ke liye sahara chahiye...
***
uske bina roz til-tilkar marata hu
mujhe bhi to zindagi main thodi si raahat chahiye...
***
kab tak usse kehta rahu bewafa
usse mujhe kuch wafa bhi chahiye...
***
na woh aa sake is jahan main agar
tujhko us jahan main mujhe bula lena chahiye...
[written by romil arora - copyright reserved] 

Tuesday, March 2, 2010

meri idabad bhi nirala hain...

meri idabad bhi nirala hain
jisse rabb kehte hain
usse se yaari hain...
***
bandagi main sab kuch usse de chuka hu
yeh jaan bhi usse par qurbaan karni hain...
***
pujane ka saliqa alag hain mera
usse par zindagi barbaad karni hain
jisse ne zindagi sawari hain...
***
na majhid, na mandir jaana hain
jab chahat hue NAAZ ko yaad kiya
yeh ada apni purani hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, February 27, 2010

Aa NAAZ..mujhe dosti ke rang se nehla de...

Dosti ke rang se saji tasveer ho tum
Meri NAAZ... meri sabse keemati jageer ho tum!
*****
NAAZ...Chota sa gulal ka teeka main tujko lagau
Apne haaton se tujhko gujiya khelau
Karu phoolon ki barkha
Haaton main dosti ki mehandi lagau!
****
NAAZ... Aa mere haanton ka sunapan meta de
Aa mere haanton ko bhi rangon main bheegho de
Sadiya beet gaye hain Holi khele hue
Aa NAAZ..mujhe dosti ke rang se nehla de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Thursday, February 25, 2010

Zinda hoke bhi rishtee nibhate hain log kahan...

Zinda hoke bhi rishtee nibhate hain log kahan
NAAZ, tune to marr kar bhi preet amar kar di!
***
Haazaron janam ke baad bhi kahan milta hain khuda 
NAAZ, tune apne prem se mere sharadda amar kar di!
***
Ab nahi chahiye mujhe kuch bhi is jahaan se
NAAZ, tune apne saath se zindagi amar kar di!
[written by romil arora - copyright reserved]

log kehte hain main devdas bana fhirta hu!

hoonton par haansi
dil main gum liye fhirta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
paaro (NAAZ) ko
har chandramukhi main dhundhata fhirta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
bachpan ki yaadein
paaro (NAAZ) ki baatein yaad kiya karta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
***
hu naashe main,
mujhe hosh nahi
main yaadon ka har pal jaam piya karta hu
log kehte hain main devdas bana fhirta hu!
[written by romil arora - copyright reserved] 

Thursday, February 18, 2010

Ya fhir...

Ya to mujhe apni qaid main band le
Ya fhir mujhe riha kar de NAAZ...
***
Ya to mujhe khud main saama le
Ya fhir mujhe aawara kar de NAAZ...
***
Ya to yeh aankhen band kar de
Yar fhir intezaar ke pal mita de NAAZ...
***
Ya to yeh zindagi le le
Ya fhir zindagi ki dua na de NAAZ...
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, February 15, 2010

Rab-e-Naaz

Rab mere khawabon ki duniya
teri haqiqat ki duniya se kahi aachi hai...
*
Rab meri Rab-e-Naaz
tere mitti ke khilauno se kahi aachi hai...
*
Rab kya seekhayegi teri kitab mujhe zindagi jeena
Mere Rab-e-Naaz ki hidayat teri kitab se kahi aachi hai... 

#Romil

रब मेरे ख्वाबों की दुनिया 
तेरी हकीकत की दुनिया से कई अच्छी है... 

रब मेरी रब-ए-नाज़ 
तेरे मिट्टी के खिलौने से कई अच्छी है... 

रब क्या सिखाएगा तेरी किताब मुझे जिंदगी जीना 
मेरे रब-ए-नाज़ की हिदायत तेरी किताब से कई अच्छी है...

#रोमिल

Thursday, February 4, 2010

tere jaane ke baad...

tere jaane ke baad bhi nahi toota apna rishta dard se Naaz
tu ja chuki hai fir bhi hum yaadon mein rote hai...

#Romil

तेरे जाने के बाद भी नहीं टूटा अपना रिश्ता दर्द से नाज़
तू जा चुकी है फिर भी हम यादों में रोते है...

#रोमिल

Saturday, January 30, 2010

~vaade~

Rona chahu, tab bhi ro nahi pata hu Romil,
Dosti ke vaade bhi kitne ajeeb hote hain.
[written by romil arora - copyright reserved]

Monday, January 25, 2010

yaad aata hain...

woh kitaboon main
tera naam likhana
woh deewaron main
tera naam likhana
abhi bhi yaad aata hain...
***
woh nazare milana
nazare milakar, nazare churana
tere pehlu main masumiyat ke saath so jaana
tere jhoomke ke saath khelana
abhi bhi yaad aata hain... 
***
woh beeta hua pal
jis pal main sirf tum aur hum the
woh pal bahut yaad aata hain...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, January 16, 2010

NAAZ ke ehsaano ke samne...

ek toota hua ghar hain duniya mere samne
rabb bhi kuch nahi hain meri dosti ke samne...
***
kehne ko to sabne chehare par chehare laga rakhe hain
magar saare naqaab utar jaate hain mere samne...
***
kaun khareed sakta hain mujhse meri dosti
yeh qayanat bhi mitti hain mere samne...
***
chahat to itni hain aasmaan main NAAZ ka naam likh du
magar kuch nahi kar paya apni majbooriyoon ke samne...
***
aaise sau zindagi lauta sakta hu NAAZ ke liye
bahut choti si baat hain NAAZ ke ehsaano ke samne...
[written by romil arora - copyright reserved]

Sunday, December 27, 2009

tum mere pass raho...

jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye tum mere pass raho...
***
jab kabhi gire meri aankhon se aansoo
tum mere pass raho.
jab kabhi mere hoonton par muskaan na aaye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab kaate na kate yeh kaali raat
tum mere pass raho.
jab tanhai ki raatein sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab koi bigadi baat na bane
jab koi na de saath mera
tum mere pass raho...
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab uski bewafai mujhe yaad aaye
tum mere pass raho.
jab judai ka dard sataiye
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab intezaar ki bela rulaiye
tum mere pass raho
jab chand bhi naazar na aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab saagar ke kinare tanha nazar aaye
tum mere pass raho
jab barsaat ki boondein pyasi nazar aaye
tum mere pass raho
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
***
jab main rooth jayun
tum mere pass raho.
jab kabhi aaina se karu baatein
tum mere pass raho.
jab kabhi mohabbat-e-dard sataiye
tum mere pass raho...
jab kabhi koi apna rulaiye
tum mere pass raho...
mere dost...tum mere pass raho...
mere rabb...tum mere pass raho...

#Romil

जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी गिरे मेरी आँखों से आँसू
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मेरे होंठों पे मुस्कान न आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब काटे न कटे यह काली रात
तुम मेरे पास रहो...
जब तन्हाई की रातें सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब कभी बिगड़ी बात न बने
जब कोई न दे साथ मेरा
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब उसकी बेवफ़ाई मुझे याद आये
तुम मेरे पास रहो...
जब जुदाई का दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब इंतेज़ार की बेला रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
जब चाँद भी नज़र ना आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब सागर के किनारे तन्हा नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब बरसात की बूँदें प्यासी नज़र आये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...

जब मैं रूठ जाऊँ
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी आईना से करूँ बातें
तुम मेरे पास रहो
जब कभी मुहब्बत-ए-दर्द सताये
तुम मेरे पास रहो...
जब कभी कोई अपना रुलाये
तुम मेरे पास रहो...
मेरे दोस्त... तुम मेरे पास रहो...
मेरे रब... तुम मेरे पास रहो...

#रोमिल

Sunday, December 13, 2009

rabb hoo...naaz hoo...

rabb hoo...naaz hoo
rabb hoo...naaz hoo

{{tere sajade main pada rahu
bas yahi aakhiri aarzoo hain meri
tera darr chod kar, jayun to jayun kahan
tu hi tu hain khuda meri}} 

rabb hoo...naaz hoo
rabb hoo...naaz hoo

Mere maula, meri bigadi hue taqdeer saawar de...
Meri naazaron ko apna deedar de...
~*~
Main na chahu madina dekhana
Main na chahu kashi dekhana
Meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
~*~
Rahi hain hamesha inayat teri mujhpar
Tere hi karam se main jeeta hu
Teri hi bandagi main dhooba rehta hu
Teri hi chokhat par paada rehta hu
Yunhi hamesha kaaram rakhana
Kuch na de mujhe mere khuda
meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
Kuch na de mujhe mere maula
meri naazaron ko bas tu apna deedar de...
[written by romil arora - copyright reserved]

Saturday, December 5, 2009

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan

Dhadkan mein hai tu hi tu
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo
I love you, I love you

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--MALE--
Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--FEMALE--
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo

--MALE--
I love you, I love you

--FEMALE--
Tujhko dekha to yeh jaana
Tu hi meri manzil hai
Saanson ke bin shaayad jee loon
Tujh bin jeena mushkil hai

--MALE--
O, saanson mein sargam, sargam mein nagmein
Nagmon mein hai tu hi tu

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu
Ae meri pehli tamanna, ae meri aakhri aarzoo

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you
Mausam us rang mein dhalta hai
Jis rang mein tu aa jaaye
Meri subhe aur shaame hai
Teri palkon ke saaye

--FEMALE--
O, aankhon mein neendein
Neendon mein sapne
Sapnon mein hai tu hi tu

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you
Seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
Dhadkan mein hai tu hi tu

--MALE--
Ae meri pehli tamanna, haan

--FEMALE--
Ae meri aakhri aarzoo

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you
Tere ek ishaare par hum
Saari duniya bhoola denge

--MALE--
Tu guzre jis raah se us par
Phool hi phool bichha denge

--FEMALE--
O, baagon mein kaliyaan

--MALE--
Kaliyon mein khushboo

--BOTH--
Khushboo mein hai tu hi tu

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

--FEMALE--
I love you

--MALE--
I love you

 --BOTH--
I love you, I love you
[not written by me]