Sunday, May 6, 2018

Kisaan Pareshan...

Barsaat adhik ho to Kisaan Pareshan...
Baarish kam ho jaye to Kisaan Pareshan...
Fhasal kam paidavaar ho to Kisaan Pareshan...
Fhasal adhik ho to laagat mulya nahi milta, Kisaan Pareshan...

Waqt pe kheti ke liye kabhi Bijli nahi milti... Kabhi Pani nahi milta...
Kisaan Pareshan...
Motor ka kharcha... Diesel ka ghatata-badata hua daam...
Kisaan Pareshan...
Tractor ka kharcha... Majdoor ki laagat... Udhari pe bota aanaaj... Karz ka badta janjaal... Fhansi pe jhulata Kisaan...
Kisaan Pareshan...

Kabhi kudrati aafatein ujaad jaati hai fhasal...
Kabhi sarkaar bada deti hai beej ke daam...
Kabhi Mandi ke chakaron se...
To Kabhi Cold Storage ki lineoo se hota hairaan...
Kisaan Pareshan...

Subah ki khet mein hazri...
Raat mein khet ki chaukidari...
Gharbhar laga rehta tamam... Subah-Shaam...
Kisaan Pareshan...

Na Bima rashi ka samay pe hota bhugtaan...
Khet pe Sarkaron... Dabango... Sahukaron ki nazarein karti rehti pareshan...
Kisaan Pareshan...

Anaajdaata khud roti ke liye tarasta...
Jiska parivar udd na pata khawaishon ki Udaan...
Kabhi-2 aisa lagta hai is Desh mein Kisaan ka dusara naam hi hai Pareshan...

#Romil

बरसात अधिक हो तो किसान परेशान... 
बारिश कम हो जाए तो किसान परेशान... 
फसल कम पैदावार हो तो किसान परेशान...
फसल अधिक हो तो लागत मूल्य नहीं मिलता... 
किसान परेशान... 

वक्त पे खेती के लिए कभी बिजली नहीं मिलती... कभी पानी नहीं मिलता... 
किसान परेशान... 
मोटर का खर्चा... डीजल का घटता-बढ़ता हुआ दाम... 
किसान परेशान... 
ट्रैक्टर का खर्चा... मजदूर की लागत... 
उधारी पर बोता अनाज... कर्ज का बढ़ता जंजाल... 
फाँसी पर झूलता किसान... 
किसान परेशान... 

कभी कुदरती आफ़तें उजाड़ जाती है फसल 
कभी सरकार बढ़ा देती है बीज के दाम... 
कभी मंडी के चक्करों से... 
तो कभी कोल्ड स्टोरेज की लाइनों से होता हैरान... 
किसान परेशान... 

सुबह की खेत में हाजरी... 
रात में खेत की चौकीदारी... 
घरभर लगा रहता तमाम, सुबह-शाम... 
किसान परेशान... 

ना बीमा राशि का समय पे होता भुगतान... 
खेत पर सरकारों, दबंगों, साहूकारों की नजरे करती रहती परेशान... 
किसान परेशान...

अनाजदाता खुद रोटी के लिए तरसता... 
जिसका परिवार उड़ ना पाता ख्वाहिशों की उड़ान... 
कभी-कभी ऐसा लगता है कि देश में किसान का दूसरा नाम ही है परेशान...

#रोमिल

Saturday, May 5, 2018

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...

Ammi kehti thi...

Thali ke samne kabhi Sekhi nahi dikhani chahiye...
Rukhi-Sukhi jo mile... Rab ka sukrana kar kha leni chahiye...

Rab na jaane kab Mohre idhar se udhar kar de...
Kabhi bhi kisi garib ki garibi ka mazaak nahi udana chahiye...

Na jaane kab badal jaye Taqdeer ke piyade...
Raheesi sar chhadkar nahi bolni chahiye...

aur

Kothiyan kahi ban jaye na khandar...
Khandan ke naam se Inki Pehchaan honi chahiye...

aur

Toot to chuka hai Shehansha-e-Saltanat-Akbar ka bhi Abhimaan...
Pagadi chahe jitni ucchi ho, Sufi-Fakeeron ki Dargah pe jhuk jaani chahiye...

#Romil Raj

Dekhana Khuda Tumhein khud apne saath lene aayega...

Maa kehti thi...
माँ कहती थी...

Imandari se badi koi Jageer nahi hoti...
Kitabon se sacchi koi Saheli nahi hoti...
Lakeeron se nahi jeeti jaati zindagi...
Qismat to unki bhi hoti hai jinki hatheli nahi hoti...

ईमानदारी से बड़ी कोई ज़ागीर नहीं होती...
किताबों से सच्ची कोई सहेली नहीं होती...
लकीरों से नहीं जीती जाती ज़िन्दगी...
किस्मत तो उनकी भी होती है जिनकी हथेली नही होती...

Un kothiyon se chali jaati hai raunake...
Jin mein bujurgon ki izzat nahi hoti...
Gulab ki tarah tamam haseen hai chehre...
Par har kisi ke liye dil-e-ibadat nahi hoti...

उन कोठियों से चली जाती है रौनके...
जिन में बुजुर्गों की इज़्ज़त नही होती...
गुलाब की तरह तमाम हसीन है चेहरे...
पर हर किसी के लिए दिल-ए-इबादत नही होती...

Dhan-Daulat... Shaan-o-Shauqat sab yahi dhara ka dhhara reh jaata hai...
Khuda ke ghar mein inki jarurat nahi hoti...
Aksar Bimari mein kaam aati hai Betiya...
Beton mein itni khidmat-pasandagi nahi hoti...

धन-दौलत... शान-ओ-शौक़त सब यही धरा का धरा रह जाता है...
ख़ुदा के घर में इनकी जरूरत नही होती...
अक्सर बीमारी में काम आती है बेटियां...
बेटों में इतनी ख़िदमत-पसंदगी नही होती...

aur
और

Chhote se Diye ki roshani cheer deti hai milo andheron ko
Burai mein itni taaqat nahi hoti...

छोटे से दीये की रोशनी चीर देती है मिलों अंधेरों को...
बुराई में इतनी ताक़त नहीं होती...

aur
और

Tooti-Fhooti Jhopadi mein bhi Suraj utar aayega...
Chand bhi in aankhon ke dariya mein huzu karne aayega...
Tum namazon ka silsila jaari rakhna...
Dekhna Khuda tumhein khud apne saath lene aayega...

टूटी-फूटी झोपड़ी में भी सूरज उतर आएगा...
चाँद भी इन आँखों के दरिया में हुज़ू करने आएगा...
तुम नमाज़ों का सिलसिला जारी रखना...
देखना खुदा तुम्हें खुद अपने साथ लेने आएगा...

#Romil
#रोमिल

Friday, May 4, 2018

Tum sirf davai nahi rooh-e-hakeem purani ho...

Kagazon pe likhi koi kahani ho...
Tum koi Emarat purani ho...
Rooh mein utarkar elaaz karne ka fann janti ho...
Tum sirf davai nahi, rooh-e-hakeem purani ho...

aur

Rishtee mein itni gehrai to rehne do...
Tumhein dard ho... Aansoo mere nikalne do...

Kahi bhi rho... Khush rho...
Kisi ke saath bhi rho... Khush raho...
Jism na sahi is rooh ko to rooh ka rehne do...

#Romil

कागज़ों पर लिखी कोई कहानी हो... 
तुम कोई इमारत पुरानी हो 
रूह में उतरकर इलाज करने का फ़न जानती हो 
तुम सिर्फ दवाई नहीं, रूह-ए-हकीम पुरानी हो... 

और 

रिश्ते में इतनी गहराई तो रहने दो... 
तुम्हें दर्द हो... आंसू मेरे निकलने दो... 

कहीं भी रहो... खुश रहो... 
किसी के साथ भी रहो... खुश रहो... जिस्म ना सही इस रूह को तो रूह का रहने दो...

#रोमिल

Tum Jawa thi Jawa hi Rahogi...

Tum jawa thi jawa hi rahogi...
Umar ke aangan mein Tulsi ki tarah sadabahar rahogi...

Gudde se khelane ka shauk tumhara abhi tak gaya nahi...
Kab tak is nacheez se dil behlaya karogi...

Deedar ki pyasi kahi in aankhon mein chasma na lag jaye...
Kabhi tasveeron se bahar bhi nikalogi ya tasveer hi bani rahogi...

aur

Humari to jeet tabhi hogi...
Tumhein humse ishq tha...
Ishq hai...
aur
Ta-umar ishq rahega...
Jab yeh baat zamane se chilla-chilla kar kahogi...

#Romil

तुम जवां थी जवां ही रहोगी 
उम्र के आंगन में तुलसी की तरह सदाबहार रहोगी... 

गुड्डे से खेलने का शौक तुम्हारा अभी तक गया नहीं 
कब तक इस नाचीज़ से दिल बहलाया करोगी... 

दीदार की प्यासी कहीं इन आंखों में चश्मा ना लग जाए 
कभी तस्वीरों से बाहर भी निकलोगी या तस्वीर ही बनी रहोगी...

और

हमारी तो जीत तभी होगी...
तुम्हें हमसे इश्क़ था...
इश्क़ है...
और
ताउम्र इश्क़ रहेगा...
जब यह बात ज़माने से चिल्ला-चिल्लाकर कहोगी...

#रोमिल

Thursday, May 3, 2018

Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Planning...

School mein chhutti ho jayegi 15 May se...
Fir hum jayenge Train se Chachi ke yahan...
Chachi ke yahan...

Chachi banayengi Meethe wale Pele Chawal...
Hum khub khayenge...
Chachi ke yahan jayenge...

Wonderland mein karenge khoob masti...
Niku Park mein Jhula jhulenge...
Science city bhi dekhenge... Science park bhi jayenge...
Devi Talab Temple mein Mattha tekenge....
Church mein Candle jalayenge...
Gurudware mein Seesh Nawayenge....
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Chachi ke saath Beas bhi jayenge...
Guru ke darbar mein hazri lagayenge...
Kul Maalik se prathana karenge...
Chachi ke saath Amritsar bhi ghum aayenge...
Darbar Sahib ke darshan kar aayenge...
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

Chachi humko naye-naye kapde khareed ke degi... Khilaune lekar degi...
Khoob shopping karwayegi...
Lassi pilayegi... Badam-Kaju khilayegi...
Chandigarh bhi ghumaane ke jayegi...
Chachi ke yahan ghumane jayenge...

#Romil Arora

Wednesday, May 2, 2018

Hum Kisi Se Kam Nahi...

Yeh kehne mein koi burai to nahi...
Tu parai hai...
Meri sagi to nahi...

Mujhe kardo khud se riha...
Mujhe kardo khud se riha...
Maine Mohabbat ki thi tumse koi gulami to nahi...

aur

Kacchi umar se meri Pakki Saheli hai...
Yeh Kitabein hai tumhari Sautan to nahi...

Maana ki haal fhatichar se hai...
Baal bhi Sar pe thode kam se hai...
Umar ab Jawani ki Dahleez langane pe hai...
Thode ukhde-ukhde khadus se hai...
Par
Dil se abhi tak bacche se hai...
Thode saache se hai...
Tumhare the... Tumhare hai...
Hum Kisi Se Kam Nahi...

#Romil

यह कहने में कोई बुराई तो नहीं 
तू पराई है मेरी सगी तो नहीं... 

मुझे कर दो खुद से रिहा 
मुझे कर दो खुद से रिहा... 
मैंने मोहब्बत की थी तुमसे कोई गुलामी तो नहीं... 

और 

कच्ची उम्र से मेरी पक्की सहेली है 
यह किताबें हैं तुम्हारी सौतन तो नहीं...

मन की हाल फटीचर से हैं 
बाल भी सर पर थोड़े कम से हैं... 
उम्र अब जवानी की दहलीज़ लांगने पे है...
थोड़े उखड़े-उखड़े खड़ूस से है... 
पर 
दिल से अभी तक बच्चे से हैं... 
थोड़े सच्चे से हैं... 
तुम्हारे थे... तुम्हारे हैं... 
हम किसी से काम नहीं...

#रोमिल

Uljhano mein Uljhe...

Uljhano mein Uljhe...

Ajeeb baat hai...
Use meri baaton ka bura lagta bhi nahi hai...
Woh mujhse rishta todata bhi nahi hai...
Mujhe apnata bhi nahi hai...

Kuch puchu...
To bolta bhi nahi hai...
Mere sawalon ka jawab deta bhi nahi hai...

Zindagi hai ya uski koi Khazana...
Chupaye-Chupaye firta rehta hai...
Apni zindagi ki kitab kholta bhi nahi...

Waqt mera barbaad karne se use kya haasil hoga...
Mujhe nakamiyon mein dhakelane se use kya mil jayega...
Kaun si Dushmani hai use mere saath...
Main isi uljhan mein uljha rehta hun...
Woh suljhata bhi nahi hai...

#Romil

उलझनों में उलझे...
अजीब बात है 
उसे मेरी बातों का बुरा लगता भी नहीं है... 
वो मुझसे रिश्ता तोड़ता भी नहीं है... 
मुझे अपनाता भी नहीं है... 

कुछ पूछो 
तो बोलता भी नहीं है 
मेरे सवालों का जवाब देता भी नहीं है...

जिंदगी है या उसकी कोई खजाना 
छुपाए - छुपाए फिरता रहता है 
अपनी जिंदगी की किताब खोलता भी नहीं है... 

वक्त मेरा बर्बाद करने से उसे क्या हासिल होगा 
मुझे नाकामियों में धकेलने से उसे क्या मिल जाएगा 
कौन सी दुश्मनी है उसे मेरे साथ... 
मैं ऐसी उलझन में उलझा रहता हूं 
वो सुलझाता भी नहीं हैं...

#रोमिल

Har rishta Bed-Bistar ka hi to nahi hota...
Woh shayad yeh samajhta hi nahi hai...

#Romil

हर रिश्ता बेड-बिस्तर का ही तो नहीं होता...
वो शायद यह समझता ही नहीं है...

#रोमिल

Tuesday, May 1, 2018

Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Bandishon mein bhi sawarna aana chahiye...
Chand ke liye to Suraj ko bhi chhupana padta hai...

Zindagi se samjhauta nahi karna chahiye...
Apne Usoolon pe chalkar hi insaan Adarshwadi banta hai...

aur

Bandisein do tarah ki hoti hai...

Ik Sher ko pinjare mein qaid karke rakhna...
Aur Dusari Sher ko yeh ehsaas karwa dena ki Jungle ki Paridhi kitni hai... Rekha paar kroge to maar diye jaoge...

- Romil RaJ

Janamdin ki Badhai...

khawab... iN+dU = I & U

Revadi-Mewa Kheer se bhari katori lekar qareeb mere aai...
aur boli...
Aapne pucha nahi... Maine yeh Kheer aaj kyon banai?

Main bola...
Aaj aapka janamdin tha...
Isliye hai Kheer mujhe khilai...

Woh boli...
Yaad tha...
To kyon nahi di mujhe Badhai...

Main bola...
Kya tere-mere rishtee mein bachi hai itni gehrai...
Ki padhu tere liye Dua aur du tujhe Badhai...

Ik chhupa hua ansuljha sa rishta...
Jiski dor sirf mene thaam rakhi thi...
Har pal mene pyar ki bheekh maangi...
Tum to mere dukh mein bhi saath khadi na reh saki thi...
Kyon chahti ho purani baaton ki ladai...

Tumne Kheer banai...
Maine Khai...
Isi ko samjho apne Janamdin ki Badhai...

- RaJ

Uljhane hi Uljhane...

Uljhane hi Uljhane...

Sirf In+dU hi nahi... Aur bhi bahuton se pareshan hun...

Ik rupiya ke chote wale sikke ne pareshan kr rkha hai...
Bikhari ko do... to woh bhi lauta deta hai...

Dus rupiya ka sikka... Samajh hi nhi aata kon sa chal rha hai kon sa nhi chalta...
Roz koi na koi jhik-jhik kr hi leta hai...

Duniya lagi hai Tarah-Tarah ke shadyantra rachane mein... Naye-Naye kaand rachane mein...
Koi gap marta us ladki ko SMS kiya... Koi gappe krta usko prem-patra likha... Koi meri shaadi-bacchon ki gappe hakata...
Na koi ladki Rubaru hokr humse baat krti... Na face-to-face Ilzaam lagati hai...
Pata nahi kya drama chal rha hai...
Poore shehar, poori dunia mein mere naam ka dhindhora-nagada peeta hua hai...

Ik baar pata chal jaye to saale ko patak ke marna hai...