Thursday, August 9, 2018

Chalo aaj saath baithke aansoo baha lete hai...

chalo aaj saath baithke aansoo baha lete hai...
aaj andaaz-e-guftagu rehne do, khamosh rehte hai...

mere haathon pe haath rakhkar khamoshi ka dilasha hi sahi...
chalo andhere mein dube hue dil mein ek chiraag jala lete hai...

kabhi mere maathe ko chumo...
kabhi mere kandhe pe rakho apna sar...
chalo khamosh pade dariya mein ek chhota ka pathar maar halchal macha hi dete hai...

- raj

09th August - tujhe paane ki koi umeed nahi...

tujhe paane ki koi umeed nahi...
fir bhi duaon ka silsila thamta hi nahi...

tujhe gair ki amanat ke taur pe main dekhu...
dil yeh baat maanta hi nahi...

tujhe kaise haq ke saath apni malkiyat bana lu...
manzil to samne khadi hai mere...
par koi rasta hi nahi...

#Romil

तुझे पाने की कोई उम्मीद नहीं... 
फिर भी दुआओं का सिलसिला थमता ही नहीं... 

तुझे गैर की अमानत के तौर पर मैं देखूं... 
दिल यह बात मानता ही नहीं... 

तुझे कैसे हैक के साथ अपनी मलकियत बना लूं... 
मंजिल तो सामने खड़ी है मेरे... 
पर कोई रास्ता ही नहीं... 

#रोमिल

09th August - Chand...

Chand bhi tumhari tarah hai...
Aasmaan mein akela, tanha fir bhi saare jahan ko roshan karta hua...

Utna hi paak...
Behintiyan mohabbat ki roshni barsaata hua...
Gaur se dekho ise, khule aasman mein kitna tanha, akela hai fir bhi kisi se koi shikwa, koi gila nahi...

- RaJ

09th August - Chiraiya...

Kaash tum bhi is Chiraiya ki tarah hoti...
Fhurr se udd kar mere pass aa jaati...

Na koi sarhadein...
Na koi deewarein...
Bas khula aasman sang tumhari udaan...
Haawaon ko cheerati hui...
Sabse bachti-bachaati... Sabko peeche pachadati...

Meri Chiraiya...
Mere Pass Hoti...

- RaJ

Mehandi...

Yeh mehandi pe sirf mera hi naam kyon likha hai...

Ab Itni na-insaafi kyon apne naam ke saath...

Chalo badao apna haath... 
RaJGuNn ko ek kar de...

Yeh ab hai na perfect...
"GuNnRaj"

#BestAnswers
#Romil

Wednesday, August 8, 2018

Tumne umar ka labada odh rakha hai, Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumne umar ka labada odh rakha hai...
Maine odh rakhi hai tajurbon ki chadar...

Tumhein khudgarzi ne Shehanshah bana diya...
Mujhe Ishq ne bana rakha hai fakeer-e-azam...

Tumne muskurahaton se saja rakha hai chehara...
Maine gumon se roshan kar rakhi hai Dil-e-basti...

Tumhe pasand hai dariyaaon mein gota lagana...
Maine mohabbat-e-sagar se kar rakha hai kinara...

Tumne haq se liya nahi kabhi mera naam...
Maine fark hi nahi samjha Khuda aur Sanam mein...

- RaJ

Mohabbat kya Main to tere Dil mein khud ke liye Humdardi bhi paida na kar saka...

Mohabbat kya 
Main to tere Dil mein khud ke liye
Humdardi bhi paida na kar saka...

मोहब्बत क्या 
मैं तो तेरे दिल में खुद के लिए 
हमदर्दी भी पैदा ना कर सका...

Tarjuma...
Devdas movie ka kai scene yaad aate hai... 
Paro ka Chandramukhi ke Kothe pe jaana...
Dev ke liye Diya jalana...
Aur last scene Dev ki maut ke samay kaise Paro ka bhagate hue jaana...
Ishq mein Humdardi to paida kar hi di thi...

12 barson mein pehli baar phone karke kaha Happy Friendship Day... Woh bhi kiske kehne pe... Chalo rehne do...
Waise kabhi mahine-do mahine mein pucha hi nahi ki zinda ho sirf ya Zindagi bhi jee rahe ho...

Maa hospital mein rahi haal tak nahi pucha... Maa ki ruksati pe bhi baat nahi ki... Baap ke jaane par bhi baat nahi hui...
aur 9 barson baad kehti hai "Worried" thi...

Sach to yeh hai kabhi Mohabbat thi hi nahi...
Sirf Khudgarzi thi...
Khudgarzi...

- Romil

Tuesday, August 7, 2018

Yakeen...

Gunah sirf itna tha ki main yakeen kar baitha...
Tum mujhse mohabbat karti ho...
Sazaa yeh mili ki ... ta-umar kisi ki mohabbat pe yakeen na rakh saka...

#Romil

ग़ुनाह सिर्फ इतना था कि मैं यकीन कर बैठा... 
तुम मुझसे मोहब्बत करती हो... 
सजा यह मिली की... ता-उम्र किसी की मोहब्बत पे यकीन ना रख सका...

#रोमिल

Shareek-e-hayaat banne mein....

shareek-e-hayaat banne mein 
aur 
aitbaar-e-zindagi-e-humsafar banne mein bada fark hota hai...

har roz tere badan se ajnabi si itra ki khushboo aati hai...

- raj

Pinjare sirf Qaid ke liye nahi Hifazat ke liye bhi hote hai...

Pinjare sirf Qaid ke liye nahi
Hifazat ke liye bhi hote hai...

Tarjuma...

Woh UK, Punjab, Mumbai, Pune jahan bhi rahe, jis tarah chahe us tarah ude, 
khoob uchhale, kude, naache...
Pinjara khula hai...
apni azaadi ke saath jiye...

Fir bhi woh meri mohabbat ke pinjare mein Qaid hai Hifazat ke saath... 
Sirf "teri deewani hu" ke saath...

- RaJ

Main har roz...

Main har roz apne Baap ki khushi ki wajah talasta hun...

Par dhund nahi pata hun ki aakhir kaun si khushi Khuda ne usko bakshi thi ki use apne Bete tak yaad nahi aaye... Yaad hi nahi raha ki uske do masoom, phool se Bete the...

Rab hi jaane... GuNn ko Khuda ne kaun si Daulat de di thi ki use RaJ yaad hi nahi raha... Kabhi puchana bhi munasib nahi samjha ki zinda ho sirf ya zindagi bhi jee rahe ho...

09 barson baad Bandi kehti hai... main "Worried" thi... Main sadke jawa tere "Worried" utte... Khudgarz Bandi... Maine kabhi koi Raat nahi beetne di tujhe pyar se sulaye bina... Aur tu sirf "Worried" thi... Jaane kaun si Jagir, Rutba mil gaya tha...

Main bas woh khushi dhundhna chahta hun jo Insaan ko khudgarz bana deti hai...

Pata nahi Khuda ne mujhe kaun si mitti ka banaya hai, mujhse khudgarzi hoti nahi... Kaash Rab mujhe bhi is dunia-e-jahan ke talluk-e-anusaar banata... Meri rooh mein bhi dunia-e-rang-o-hawaa bharta... Aisa banata ki main bhi is dunia ke hisaab-kitaab anuroop chal sakta...

#Romil Arora

Monday, August 6, 2018

Baarish ki boondein...

Mere Mohabbat Ke Saagar ko in Baarish ki Boondon ki jarurat nahi hai...

Fir bhi aacha lagta hai...
Jab tum subah uthkar mera maatha chumati ho...
Pehli chai ke saath jab tum mere haath ki ungaliyon ko apne haath ki ungaliyon se jakarti ho... Kabhi hatheli sehlati ho...
Jab tum jhappi karke ghar se nikalti ho...
Din mein call karke puchati ho khana khaya ya nahi...
Jab thaki hui ghar aake mere kandhe pe apna sar rakh deti ho... To kabhi apna sar meri goad mein rakh deti to... To kabhi-kabhi apni tange fhelakar meri goad mein rakh deti ho...

Baarish ki boondein aachi lagti hai...

#Romil

मेरे मोहब्बत के सागर को इन बारिश की बूंदों की जरूरत नहीं है...

फिर भी अच्छा लगता है... 
जब तुम सुबह उठकर मेरा माथा चूमती हो 
पहली चाय के साथ जब तुम मेरे हाथ की उंगलियों को अपने हाथ की उंगलियों से जकड़ती हो... कभी हथेलियां सहलाती हो... 
जब तुम झप्पी करके घर से निकलती हो... 
दिन में कॉल करके पूछती हो खाना खाया या नहीं... 
जब थकी हुई घर आकर मेरे कंधे पे अपना सर रख देती हो... तो कभी अपना सर मेरी गोद में रख देती हो... तो कभी-कभी अपनी टांगें फैलाकर मेरी गोद में रख देती हो... 

बारिश की बूंदे अच्छी लगती हैं...

#रोमिल

Aitbaar...

Aitbaar karna hai to Mujhpar karo...

Yeh Zameen-Makaan... Daulat-Shohrat... Career-Service-Business 
ka kaisa Aitbaar... 
Aaj hai kya pata kal nahi bhi ho sakte...

Agar mein Dhoka de du tumko...
To kya umar bhar 
rasm-e-mehar-o-wafaa 
ki adayegi ke saath zindagi bitaogi...

Mohabbat mile ya na mile par 
zindagi mein insaan Aitbaar wala milna chahiye...

#Romil

ऐतबार करना है तो मुझपर करो...

यह ज़मीन-मकान...दौलत-शोहरत...
कैरियर-सर्विस-बिज़नेस
का कैसा ऐतबार...
आज हैं क्या पता कल नहीं भी हो सकते...

अगर मैं धोखा दे दूँ तुमको...
तो क्या उम्रभर
रस्म-ए-मेहर-ओ-वफ़ा
की अदायगी के साथ ज़िन्दगी बिताओगी...

मुहब्बत मिले या ना मिले पर
ज़िन्दगी में इंसान ऐतबार वाला मिलना चाहिए...

#रोमिल

Warna log Dalal hi samjhenge...

NaaZ keh rahi thi... Inko samjha do...

Randi ke kehne pe mehakama mat chalaye...
Warna log Dalal hi samjhenge aapko...

- Sultan

Subah ki pehli chai ka pyala...

Subah ki pehli chai ka pyala...
Baarish...
Halki si haawein jo jism ko chuukar guzar jaati hai...
Aur uski yaad...

Chumchum si hai... bengali mithai si meethi...
Bas mooh mein ghulte hi ajeeb si mithas de jaati hai...
aur fir ungaliyon par lage hue ras ko chatana... ajeeb rahatein mil jaati hai...

Haq nahi hai...
Fir bhi rasm-e-mehar ada kar raha hun...
Usne likhwaya tha sirf mere rehna...

Kisi tasveer mein bhi uski Naak cheedi hui nahi dekhi...
Lagta hai usne mere naam ka nahi pehna hai Challa...

mehandi pe mera naam bhi nahi...
Qabool hai ... Qabool hai... Qabool hai ...
Haq se kaho RaJ hai mera...

#Romil

Usko love u bola hi nahi jaata...

Usko love u bola hi nahi jaata....
Darta hun... Haq jo nahi hai...
Kya baatein karu usse... guftugu ke liye lab thehar se jaate hai...
Dil ke andar shabdon ka Toofan macha hota hai par lab khamosh ho jaate hai...
Raat bhar aankhein khuli rehti hai... bistar par na jaane kaisi bechani rehti hai... 
neend ki jagah karvatein hi karvatein hisse mein aati hai...

Dil ki baatein usse kar hi nahi pata hun...

#Romil

उसको लव यू बोला ही नहीं जाता...
डरता हूँ... हक़ जो नही है...
क्या बातें करूँ उससे... गुफ़्तुगू के लिए लब ठहर से जाते है...
दिल के अंदर शब्दों का तूफान मचा होता है पर लब ख़ामोश हो जाते है...
रात भर आँखें खुली रहती है...
बिस्तर पर ना जाने कैसी बेचैनी रहती है...
नींद की जगह करवटें ही करवटें हिस्से में आती है...

दिल की बातें उससे कर ही नहीं पाता हूँ...

#रोमिल

Insaan ko bhudape mein kya chahiye hota hai...

Bas aise hi soch raha tha...

Insaan ko budhape mein kya chahiye hota hai...
Ek sar dhakne ke liye chhat...
Baatein sunane ke liye ek Humsafar...
Walk ke liye saathi... Care ke liye saathi...
Do waqt ka saada sa khana... 
Subah-Shaam ki chai...
Thodi bahut Pooja... Kuch adyamik kitabein...
TV pe khabrein... ya padne ke liye akhbaar...
Thodi bahut si raunakein...

Bas kat gaya budhapa...

Tanhai...
Deewaron se baatein karna...
Baithe-Baithe maut ka intezaar karna...
Bhala kise pasand hoga...

- RaJ

Use khabar nahi ki mujhe sab khabar hai...

Use khabar nahi ki mujhe sab khabar hai...
Tere har ek paitare pe meri nazar hai...

Bana baitha hai bada Huzur-e-Maalik...
Tujhe to itna bhi nahi pata, Cyber C se likha jaata hai ya S se...

Aisa lungi unki...
Ki kehte rahenge...

Logy... Logy... Logy... Logy
No.... No...
Tech...

Technology...
Technology...

#Romil

उसे खबर नहीं कि मुझे सब खबर है... 
तेरे हर एक पैतरे पर मेरी नजर है... 

बना बैठा है बड़ा हुजूर-ए-मालिक 
तुझे तो इतना भी नहीं पता साइबर "सी" से लिखा जाता है "एस" से.. 

ऐसा लूंगी उनकी 
कि कहते रहेंगे...

लोगी... लोगी... लोगी... लोगी...
टेक....

टेक्नोलॉजी
टेक्नोलॉजी

#रोमिल

Sunday, August 5, 2018

Maa aur Begum ki Duaien... Jannat ki Haawein... Sab hawa-hawai baatein hai...

Maa aur Begum ki Duayen...
Jannat ki Hawayein...
Sab hawa-hawai baatein hai...

Tarjuma yeh hai...
Har Maa chahti hai uska Beta... Kamyaab ho... Tarakki karein... Sukh-o-sukun se rahe...
Har Begum chahti hai uska Shauhar... khushmizaaj ho... khayal rakhe... fikrmand ho... Apne bacchon se mohabbat kare...

Par hota wahi hai jo Maalik chahta hai...

#BestAnswers
#Romil

technology-technology khelne do ise...

technology-technology khelne do ise...
hum iske saath khelenge...

Karne do... Jo kar sakta hai...
Jab tak thak-haar nahi jaata...
Tab tak bhagayenge ise...

#Romil

टेक्नोलॉजी-टेक्नोलॉजी खेलने दो इसे...
हम इसके साथ खेलेंगे...

करने दो...जो कर सकता है...
जब तक थक-हार नही जाता...
तब तक भगायेंग इसे...

#रोमिल

kabhi kisi...

kabhi kisi vishal ped ka koi fhal bhi sada-gala, kharab nikal jaata hai...

aur

kabhi kisi chhote se paude ka ek phool bhi apni khushboo se bagiya mehka deta hai....

Rab hi jaane...

#Romil

कभी किसी विशाल पेड़ का कोई फल भी सड़ा-गला, खराब निकल जाता है... 

और 

कभी किसी छोटे से पौधे का एक फूल भी अपनी खुशबू से बगीया महका देता है... 

रब ही जाने...

#रोमिल

Tu rait pe likha naam ho jaise...

Tu rait pe likha naam ho jaise...
Halka sa hawa ka ek jhoka aata hai...
Tu mujhse door ho jaata hai...
***
Sabke bol ki parvah hai tujhe...
Kisi ke kadvahat se, kisi ke meetha bol pasand hai tujhe...
Bas mere hi vaaste khamoshi raas aati hai tujhe...
***
Mohabbat ki kitab si ban gai hai tu...
Jise har koi padna chahta hai...
Koi dilchaspi ke liye...
Koi ibadat ke liye...
Koi seekhane ke liye...
to koi maskarepan ke liye...
Sabhi alag-alag jaruratein ban gai hai tu...
***
Jaana hai to abhi jaa... Chali ja...
Par khel na is Dil se...
Saath Chhodne ka bhi ek saleeka hona chahiye...

#Romil

तू रेत पर लिखा नाम हो जैसे...
हल्का सा हवा का एक झोंका आता है...
तू मुझसे दूर हो जाता है... 

सबके बोल की परवाह है तुझे 
किसी के कड़वाहट से, किसी के मीठे बोल पसंद है तुझे... 
बस मेरे ही वास्ते खामोशी रास आती है तुझे... 

मोहब्बत की किताब सी बन गई है तू 
जिसे हर कोई पढ़ना चाहता है 
कोई दिलचस्पी के लिए 
कोई इबादत के लिए 
कोई सीखने के लिए 
तो कोई मस्करीपन के लिए... 
सबकी अलग-अलग ज़रूरतें बन गई है तू... 

जाना है तो अभी जा... चली जा... 
पर खेल ना इस दिल से... 
साथ छोड़ने का भी एक सलीक़ा होना चाहिए...

#रोमिल

Saturday, August 4, 2018

Radio... Kishore Da Day hai Bangadu...

*Inteha ho gai intezaar ki...
Aai na kuch khabar mere yaar ki...
Yeh humein hai yakeen bewafa woh nahi...
Fir wajah kya hui intezaar ki..."

Main ga raha tha... Woh aaj Kishore Da ka din jo tha Bangadu...

Tumne peeche se kahan tha...
"Chale Hero... Yeh kaam kab se start kar diya gakar mangane ka..."

Maine jawab diya tha...
"Abhi-Abhi socha tumhare office se start karu... Lo pehla grahak mil bhi gaya, boni-batta bhi ho gaya...

Petrol bharwa do..."

Tumne kaha tha...
"Tumse lift lena gunah hai samjho... Chalo full karwa lo tank..."

Petrol bharwane ke baad...

Tumne pucha tha...
"Waise kya kar rahe the itne dair se office ke bahar... Andar aa jaate AC ki hawa hi kha lete..."

Maine jawab diya tha...
"AC na re... Eye_tonic le raha tha..." hahaha....

Tumne kaha tha...
"Dhakka de dungi gaddi par se... Qasam se... Waise office mein bhi batheri hai, wahan baithkar bhi le sakte the..."

Maine kahan tha...
"tumhe koi aur dekhe to jalta hai Dil...
badi mushkilon se fir sabhalta hai Dil...
kya-kya jatan karte hai tumhe kya bataye...
yeh Dil beqarar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina...

Humein tumse pyar kitna yeh hum nahi jante...
Magar jee nahi sakte tumhare bina..."

Tumne peeth pe haath maarte hue kahan tha...
"Yeh roadchhap Romeo banna band karo... Log dekh rahe hai Mr..."

Tabhi traffic police rok leti hai...
"Kahan hai Helmet..."

Maine kaha...
"Dikki mein... aur kahan..."

Traffic police...
"Chalo gaadi ke kaagaz lekar Saab ke pass jeep mein pahucho..."

Maine tumko Ishara karte hue kahan...
"No problem... Main phone karta hu..."

(Phone pe...)
Woh helmet nahi lagaya tha... Rok liya hai isne...

(Udhar se...)
Tu naam dekhkar bas bata de... Main khud call karti hu usko...

Traffic police thodi dair baad...
"Is number ki gaadi tumhari hai..."

Maine kahan...
"Yes Sir... Ji meri hai..."

Traffic police
"Order mila hai humko ki... Iska double challan kaato... Peeche ek Ladki bhi bina helmet ke baithi hogi uska bhi challan katana hai... Aur saath-saath written mein warning likhna next time helmet nahi to direct licence cancel... 

Full panelty thokana dono par..."

Tum haste hue gaana ga rahi thi...
"Golmaal hai sab Golmaal hai...
Seedhe raste ki yeh ulti hi chaal hai...
Golmaal hai bhai sab Golmaal hai...
Golmaal..."

"Chalo garma-garm Bhutta khilati hun... Aur karo phone... Phone karta hun..." hahaha..

Saath-Saath Traffic Police wale bhi hans rahe the...

- RaJ

Mard bewafa hota nahi hai... Aurat use bewafa bana deti hai...

Mard bewafa hota nahi hai...
Aurat use bewafa bana deti hai...

(main sirf apna sach bayaan kar raha hu... 
kisi jaat-beradari pe ilzaam nahi laga raha hu...)

-RaJ

Fir is baar Baarish mein Makaan deh gaya...

Fir is baar Baarish mein makaan deh gaya...

Azan hui Amma fir chal padi Namaz padne...

Maine kahan... Rehan do us be-reham Khuda ke yahan haazri lagane se...

Amma boli...
Bas ise hi Mohabbat kehte hai puttar ji... yahi hoti hai Mohabbat... 
Jo sirf dena janti hai, lena nahi...

Mujhe mere Maalik se mohabbat hai...

Waise Namaz hum khud ke liye padte hai... Farz hai...

#Romil

फिर इस बार मकान ढह गया...

अज़ान हुई, अम्मा चल पड़ी नमाज़ पढ़ने...

मैंने कहाँ... रहन दो उस बेरहम ख़ुदा के यहाँ हाज़री लगाने से...

अम्मा बोली...
बस इसे ही मुहब्बत कहते है पुत्तर जी...
यहीं होती है मुहब्बत...
जो सिर्फ देना जानती है, लेना नही...

मुझे मेरे मालिक से मुहब्बत है...

वैसे नमाज़ हम ख़ुद के लिए पढ़ते है... फर्ज़ है...

#रोमिल

Timepass : What r u missing actually...

What r u missing actually...

Good Question... Very Good Question...
And The Answer is My Begum Sahiba...

"GuNn"...

#Romil

tauba karo ranjishon se...

ama miya... tauba karo ranjishon se...
chai pilake mana lo...
kareeb bithake mohabbat ke kabutar lada lo...
bhej do usko uske naam sang subah-subah gulab...

अमा मियां... तौबा करो रंजिशों से...
चाय पिलाके मना लो...
क़रीब बिठाकर मुहब्बत के कबूतर लड़ा लो...
भेज दो उसको उसके नाम संग सुबह-सुबह गुलाब...

"GuNn... Suno...
Nahi kuch nahi...
Bas naam pukarna aacha lagta hai..."

गुन...सुनो...
नही कुछ नहीं...
बस नाम पुकारना अच्छा लगता है...

"Dekha... Mera sabr jeet gaya na...
Tum meri malkiyat bani baithi ho...
Fakeer ke bhi din fhir gaye..."

देखा... मेरा सब्र जीत गया ना...
तुम मेरी मलकियत बनी बैठी हो...
फ़कीर के भी दिन फिर गये...

"Ammi ka khayal rakho...
Kabhi kareeb baithke pair daba do...
Baalon mein tel laga do...
Purani tasveeron ki album ke saath yaadein taza kar lo..."

अम्मी का ख़्याल रखो...
कभी क़रीब बैठके पैर दबा दो...
बालों में तेल लगा दो...
पुरानी तस्वीर की एल्बम के साथ यादें ताज़ा कर लो...

#Romil
#रोमिल

mohabbat aur khudgarzi...

Tum jaison ke liye...
mohabbat aur khudgarzi 
mein jyada fark nahi hota hai...

sirf apna faida... apni khushi... apna future....
apna... apna... apna... sirf apna sochate ho...

# Romil

तुम जैसों के लिए...
मुहब्बत और खुदगर्जी
में ज्यादा फ़र्क नहीं होता है...

सिर्फ़ अपना फ़ायदा... अपनी ख़ुशी... अपना फ्यूचर...
अपना... अपना... अपना... सिर्फ़ अपना सोचते हो...

#रोमिल

kabhi kabhi to main sochata hun...

kabhi kabhi to main sochata hun...
tu apni maa pe gai hai
ya teri maa tujhpe...

dono mein se harxxzaxx jyada kaun hai...

#Romil

कभी-कभी तो मैं सोचता हूं 
तू अपनी मां पे गई है 
या तेरी मां तुझपे... 

दोनों में से हराxजाx ज्यादा कौन है...

#रोमिल

Friday, August 3, 2018

Dekh... Gussa tera jayaz nahi hai...

Dekh... Gussa tera jayaz nahi hai...
Ek call hi to nahi uthai...
Koi apni ladai nahi hai...

Aise kaise marr sakti ho??
Abhi to apne Milan ki ghadiyan tak aai nahi hai...

Kya kahan... Kabhi baat nahi karungi...
Jhooti ho... Mujhe daante bina tum reh nahi sakti ho...

aur suno...

Maa ka khayal rakho...
Koi help chahiye... Sewa... Attendent... Care... Any... Mujhse bejhijhak bol sakti ho...

(Bas shart itni hai unko pata na chale ki main kaun hu... keh dena servant hire kiya hai...)

#BestAnswers
#Romil

Jo begani hai wahi apne Dil ki Rani hai...

rishton ki badi ajeeb kahani hai...
Jo begani hai wahi apne Dil ki Rani hai...

kabhi sambhaale... kabhi todh diya...
kabhi saath khush... kabhi mooh fhulaye hue...
kabhi sang ladai... kabhi saath khel-khilai...
lagta nahi... apne rishtee kitne bachpan wale hai...

- RaJ

Sukr hai Rab ka... Use hamara Janamdin to yaad hai...

Sukr hai Rab ka... 
use hamara Janamdin to yaad hai...

Rab karein mere hisse mein gar koi khushi ho to woh bhi aapki jholi mein aa gire...
Rab umr-daraaz kare aapko...
Aapki balaein mere naseeb mein likh di jaye...
Aapki zindagi phoolon si khushnuma guzre, koi bhi un phoolon se pal ko raund na paye...

- RaJ

Woh nahi milegi tujhe...

Woh nahi milegi tujhe...

Chal ja... 
Chala ja yahan se...

Jhoot ki neev pe mohabbat ke mehal nahi khade hote... Baaki Maalik ki razaa...

Magar tu uske raste Khuda ko jarur pa jayega...

Chala ja yahan se...

(Par Baba suno... Kab tak.... aakhir kab tak...)

Raheem ne chuna hai tujhe...
Woh hi taye karega teri Disha, teri Dasha...
Ja... Yahan se Ja... Chala Ja...

- RaJ

Haar Ko Haar Hi Likhte Hai...

haar ko haar hi likhte hai...
fir chahe woh
heere jada hua haar ho
ya phoolon ka haar
ya fir zindagi mein haar...

fark sirf itna hai kaun se haar se nawaaze gaye ho...

- romil raj

Kudi Ullu Bana Rahi Hai...

Kudi Ullu Bana Rahi Hai...

Tu fikr mat kar... Udas mat ho...
Is mohabbat-e-shaakh pe bathere Ullu baithe hai...

Tu ek aur sahi...

hahaha

कुड़ी उल्लू बना रही है... 

तू फिक्र मत कर... उदास मत हो... 
इस मोहब्बत-ए-साख पे बथेरे उल्लू बैठे हैं... 

तो एक और सही...

#BestAnswers
#Romil

Khuda, tu har roz itne Bando ko apna pyara karta hai...

Khuda, tu har roz itne Bando ko apna pyara karta hai...

Tujhe main pyara nahi lagta...

Bula le Malik...
Reham kar...

#BestAnswers
#Romil

Thursday, August 2, 2018

Haasil...

Baba Ji mujhe kuch to haasil nahi hua...

Haste hue... Hahahahaha...
Jaake puch Qais se use kya haasil hua...
Puch Ranjhe se... Puch Mahiwal se...
Ja ke puch Heer ki Qabr se...

Beta... Yeh milne ki tadap jo jism ke andar ki qayenaat ke zarre-zarre ko roshan kar deti hai..
Yeh aansoo tujhe pakiziyat denge...
Yeh ishq-e-gum teri rooh se saare gunahon ko dho dalega...

Tujhe us maalik ke darbaar ke qaabil banayenge...

Is deen-duniya mein chand hi malang-mastane hote hai...
Jise woh parwardigaar chunta hai...

Us Shehansha ki raza hai...
Tujhe chuna hai...
Us Badshah ke aage sab beasar... sab bekaar hai...

Chal Jaa... Chal Jaa yahan se...

#BestAnswers
#Romil

Thak chuka hun...

Thak chuka hun mare hue se baat karte-karte...

Yaad rakh...
Hidayat ke liye bheja hai use...
Khuda ne chuna hai tujhe...
Na koi mulla-tulla, na koi maulavi... Koi nahi jakad payega use...

Maalik ke raaz maalik hi jaane...
Rehman ke aage sab beasar hai...
Khuda bahut chahata hai tujhe...

#Romil

थक चुका हूं मरे हुए से बात करते-करते... 

याद रख... 
हिदायत के लिए भेजा है उसे 
खुदा ने चुना है तुझे 
ना कोई मुल्ला-टुल्ला, ना कोई मौलवी... कोई नहीं जकड़ पाएगा उसे... 

मालिक के राज मालिक ही जाने... 
रहमान के आगे सब बेअसर है 
ख़ुदा बहुत चाहता है तुझे...

#रोमिल

Yeh to ishq chadd gaya hai tujhpe....

Bhoot hota to kab ka utaar fhekta...
Yeh to ishq chadd gaya hai tujhpe...

Na duaien...
Na davaein...
Na koi tabeez asar karegi...
Na asar hoga kisi ki baaton ka tujhpe...
Na yeh qayenaat teri koi baat sunegi...

Ja us Khuda... us Rehman se hi madad maang...
Woh hi muqaddar sawarega tera...

Behtha rahe... Dekhata hun kab tak behtha rahega...

- RaJ

Chidiya pinjare se azaad bhale hi ho jaye... Magar Qaid ka manzar nahi bhoolti...

Chidiya pinjare se azaad bhale hi ho jaye...
Magar Qaid ka manzar nahi bhoolti...

चिड़िया पिंजरे से आजाद भले ही हो जाए... 
मगर कैद का मंजर नहीं भूलती....

#Romil
#रोमिल

Hum bhi dekhe kitne din azadi ka jashn manati ho...
Qaid khana suna... 
Jailor suna... 
suni hai dar-o-deewar jail ki...
kitne dil... aur kitne dil... kitne din...
chhup-chhup ke ishq farmati ho...

hum bhi dekhe...

हम भी देखेंगे कितने दिन आज़ादी का जश्न मनाती हो...
 क़ैद खाना सुना... 
जेलर सुना... 
सुनी है दर-ओ-दीवार जेल की... 
कितने दिन... और कितने दिन... कितने दिन...
छुप-छुप के इश्क़ फरमाती हो... 

हम भी देखें...

#Romil
#रोमिल

Waakif to hai hum dunia-e-jahan ke RAG-RAG se bhi... Jo MAULA KE DIL MEIN UTARE to bas wahi ke hoke reh gaye...

Badi hi sacchi baat mujhe ek fakeer ne batai...

Maine pucha...
"Baba Ji... Kyon yunhi pade rehte ho Mazaar pe...
Sehar-e-Roshan hai nazara lo...
Lakhon ki bigadi savari hai aapne...
Khud ki sawarne ki bhi fursat nikaal lo..."

Woh bole...
Beta...  Nazar noor-e-chehare pe hi teeki rahi...
aur husn-e-nazara kya dekhe...
MUJHE USKA DIL SAWARNE SE FURSAT NAHI MILTI...
shehar-e-roshan ko bhala kya dekhe...

"Waakif to hai hum dunia-e-jahan ke RAG-RAG se bhi...
Jo MAULA KE DIL MEIN UTARE to bas wahi ke hoke reh gaye..."

- RaJ

Wednesday, August 1, 2018

Khuda bhi fakeeron se tauba karta hai.... Na jaane kab kis cheez ko thokar maar de...

Khuda bhi fakeeron se tauba karta hai...
Na jaane kab kis cheez ko thokar maar de...

- RaJ

Dawat-e-mehmaan nawazi ki yunh bezzati na karo...
Bismillah karo...
Numaiesh na karo...

- RaJ

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

khubsurat se haseen haaton ki...
ya fir uspe chhadi hui mehandi ki...

bejaan panchi ko dekh muskurati uski hansi ki...
ya fir tanha chand ko dekhti hui nazron ki...

uski sanson ki jisme main basa hun...
fir bhi soch mein dubi hui tanhai-e-yaad ki...

chhat pe tehalte hue mujhe aagosh mein bharne wali aarzoo ki...
Ya fir mujhse baat karne ko betaab uski khawaishon ki...

Samajh nahi aata kis cheez ki tareef karu uski...

#Romil

समझ नहीं आता किस चीज की तारीफ करूं उसकी... 

खूबसूरत से हसीन हाथों की... 
या फिर उसपर चढ़ी हुई मेहंदी की... 

बेज़ान पंछी को देखकर मुस्कुराती उसकी हंसी की 
या फिर तन्हा चांद को देखती हुई नज़रों की... 

उसकी सांसों की जिसमें मैं बसा हूं 
फिर भी सोच में डूबी हुई तन्हाई-ए-याद की... 

छत पर टहलते हुए मुझे आगोश में भरने वाली आरज़ू की 
या फिर मुझसे बात करने को बेताब उसकी ख्वाहिशों की...

#रोमिल

ab in baaton mein rakha kya hai...

ab tum chahe mohabbat nibhao...
ya fir rishta nibhao...
apne naseeb ko koso...
ya fir apni wafaein ginao...

ab in baaton mein rakha kya hai...

bewafai to kar hi li hai tumne...
meri raho ya fir uski,
ek ka to dil todh hi diya hai tumne...

- raj

begum ka jab kirdaar girta hai na...

begum ka jab kirdaar girta hai na
to uski chot uske shauhar ko lagti hai...
aur
begum jab uthati... qamyaab hoti hai na
to uski tareefein bhi uske shauhar ko hi milti hai...

- raj

Tuesday, July 31, 2018

Shabdon ki samaj hone lagi hai... Woh ab siyani hone lagi hai...

Shabdon ki samaj hone lagi hai...
Woh ab siyani hone lagi hai...

Har shabd ka jawaab deti hai...
Magar bolne se pehle sochane lagi hai..
Siyani ho gai hai...

Mardon ki nazron ko pehchanne lagi hai...
Siyani ho gai hai...

Adab, Tehzeeb se pesh aana use aata hai...
Jubaan se mishri ho gai hai..
Siyani ho gai hai...

- RaJ

9th Aug...

Do tarah ke aashiq hote hai...

Ek jinka dil toot jaye to woh Revenge lene lagte hai... Badla... aur nikal padte hai apni qamyaabi se dusare insaan ko chhota dikhane...

aur

Dusare jinka dil toot jaye to woh nikal padte hai kisi aur toote hue insaan ka dil jodne... Uska gum halka karne... Uski zindagi mein khushiyaan bharne...

Hum insaan zara duje qisam ke hai...

- RaJ

Khamoshi tumko behad pasandida hai...

Jab kuch kar nahi sakti ho to...

Aaienda se Khuda ki tarah ek kaam kiya karo...

Khamosh raha karo...

Badi si badi jattie bhi agar uske Bande ke saath ho jaye na tab bhi Khuda khamosh hi rehta hai...

Waise bhi Khamoshi tumko behad pasandida hai...

Sahi hai...

#Romil Arora

Suljhi hui dori mein, chand uljhe hue mere sawaal hai...

suljhi hui dori mein
chand uljhe hue mere sawaal hai...

mujhpe itna pyar kyon aa raha hai...
fir chhod jaane ka kya irada hai...

mujh par taras kha ke mat aao...
jo mohabbat nahi to...
aag mein ghee daalne mat aao...

gusse aur gum mein itna confuse mat raha karo...
main gum mein cheekhta hun... chillata hun...
gum mein sach likhta hun... bolta hun...
tum ise mera gussa mat samjha karo...

Maine to har baat pe teri Ameen kaha hai...
Tumne kaha "swaaha" ho jaye...
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "taken serious action against you"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "sms mat karo"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "khate ho... kaun sa mera khate ho"
Maine Ameen kaha...
Tumne kaha "Galat Kiya"
Maine Ameen kaha...

Jis din tum kahogi "Dori toot jaye"
Main Ameen kahunga...

"Tere mangane pe Talaq kya Apni Jaan bhi de du"

#BestAnswers
#Romil

Sach se RUBARU... Log kehte hai... Chup ho jao...

Log kehte hai
Chup ho jao...
Chup ho jao...
Chup raho...

Par ab main chup rehta hi nahi...
Mujhe to chup karane wali Meri Maa thi...

Jise maar diya gaya...
Tadpa-Tadpa ke aansoo tak saare sokh liye uske...

Qaatil ho Meri Maa ke tum sab...

Ab chup nahi rahunga chahe maut hi kyon na aa jaye...

#Romil Arora