Friday, June 27, 2008

haal-e-dil

haal-e-dil

Janta hu ek din manzil ko pa jaunga,
magar shayad rishton ki deewaron ko tod jaunga,
ek din tanha main sahil par baitha honga,
aur apni akeli gumsum manzil ko dekh kar muskuraunga!


Jab woh thi nahi apni fir usse mohabbat kyon hai?
Itne dhokhe khaye hai maine uski mohabbat mein,
fir bhi zalim uska intezar kyon hai?

kaash tum meri dhadkan ko sun pati,
mohabbat kya hai yeh pehchan pati,
yeh bad-nasebi to hai hamari,
jo hamari dil todkar tum gair ki baahon mein so jaati!

Mujhse door jaane ki majboori kya thi unki
mujhko bataya to hota,
bewafai kyon ki unhone mujhe kaash yeh samjhaya to hota,
unke liye to hum apni jaan bhi de dete muskurate hue,
yeh unhone dil-e-khawaish batai to hoti!

#Romil

Intezaar-e-mohabbat

Intezaar-e-mohabbat
इंतजार-ए-मोहब्बत

Aankhon mein jala kar intezar-e-shama tera intezar karte hai,
Bhoolkar duniya ko tujhe yaad karte hai,
Bas itna samajh lo jaan hamari aapko apni jaan se bhi jyada pyar karte hai!

आंखों में जलाकर इंतजार-ए-शमा तेरा इंतजार करते हैं, 
भूलकर दुनिया को तुझे याद करते हैं, 
बस इतना समझ लो जान हमारी आपको अपनी जान से भी ज्यादा प्यार करते हैं!

Aankhon mein tera intezar hai,
Ek tanha chand aur aasmaan saath hai,
Aa jao tum bas zindagi mein,
Ek nazar tumko jee bhar kar dekhane ki aas hai!

आंखों में तेरा इंतजार है, 
एक तन्हा चांद और आसमान साथ है, 
आ जाओ तुम बस जिंदगी में, 
एक नजर तुमको जी भरकर देखने की आस है!

Dard itna badh gaya hai ki ab kya sunaye,
Aankhen ho gaye hai pathar, kitna intezar aur hum kar paye,
Marr jane do, bas khuli rahengi aankhen hamari,
Tumhare intezar mein bolo isse jyada aur kya kar jaye!
Bolo! Bolo!

दर्द इतना बढ़ गया है कि अब क्या सुनाएं, 
आंखें हो गई है पत्थर, कितना इंतजार और हम कर पाए, 
मर जाने दो, बस खुली रहेंगी आंखें हमारी, 
तुम्हारे इंतजार में बोलो इससे ज्यादा क्या कर जाए!
बोलो! बोलो!

#Romil
#रोमिल

Udas chehar ko fhir se khila do....


Udas chehar ko fhir se khila do....



Tumse kehta hu main,

mujhe lautha do maire muskurahat,

Udas chehar ko fhir se khila do....



Ab to aaisa lagta hai jaise,

chand main chandani na ho,

mausam main aawaragi na ho,

phoolon main khusboo na ho,

panchiyoon main jaise aawaz na ho.....



Udaas chehar fhir se khila do,

khila do maira udaas chehara fhir se,

ab yeh veeraniya mujhe pasand nahi hai..



Rabb ka wasta hai tumko,

maire fariyad hai tumse,

ab na mujhko aur satao,

khila do maira udaas chehara fhir se,

ek baar mujhse milane tum aa jayo!

ek baar fhir apna chehara mujhe dekha jayo!

ek baar fhir apni aawaz mujhko suna jayo!

Tumse kehta hu main,
mujhe lautha do maire muskurahat,
Udas chehar ko fhir se khila do....

[written by romil arora - copyright reserved]

Us pyar ki kya baat ho!

Us pyar ki kya baat ho!

Saawan ki pehli barsaat ho
aur mere haaton mein tera haath ho
Us pyar ki kya baat ho!

Honth ho tere bheege hue
aur mere honth bhi beqarar ho
Us pyar ki kya baat ho!

Bheega hua badan hum-dono ka
sulag raha ho barsaat mein
baahon mein ek duje ko bharne ko dil machal raha ho
Us pyar ki kya baat ho!

Rab kare aisi roz saawan ki barsaat ho
tu ho meri nazro ke samne aur pyar hi pyar ho
Us pyar ki kya baat ho!

#Romil

उस प्यार की क्या बात हो... 

सावन की पहली बरसात हो 
और मेरे हाथों में तेरा हाथ हो 
उस प्यार की क्या बात हो... 

होंठ हो तेरे भीगे हुए 
और मेरे होंठ भी बेकरार हो 
उस प्यार की क्या बात हो... 

भीगा हुआ बदन हम दोनों का सुलग रहा हो बरसात में 
बाहों में एक दूजे को भरने को दिल मचल रहा हो 
उस प्यार की क्या बात हो...

रब करे ऐसी रोज सावन की बरसात हो 
तू हो मेरी नजरों के सामने और प्यार ही प्यार हो 
उस प्यार की क्या बात हो...

#रोमिल

Thursday, June 26, 2008

Shayari-e-dil

Shayari-e-dil

Socha tha mehfil mein bas unka deedar kar aayenge,
Par yeh nahi socha tha ki mohabbat-e-gum saath layenge!

Agar mere samne aana to sambhal kar jaan,
Dil-e-betab ki aadat hai machal jaane ki!

Ghum ki raaton mein,
uske intezar mein taaron se karta raha uski baatein,
Khushi ki subah aaye to woh rasta badal gaya!

Unka deedar hota, shama-e-roshani, dil mein jala lete,
Nazron ki pyaas bhuj jaati,
Thoda sa hum bhi muskura lete!
[written by romil arora - copyright reserved]

Jo log mohabbat ko jante honge....



Jo log mohabbat ko jante honge....


Jo log mohabbat ko jante honge,
Judai ka dard kya hota hai pehchante honge!


Itni taraf, jisne dekhi hogi maire alfaazo main,
Woh tujhe maira rabb mante honge!


Maire tanha aankhen jab kisine dekhe hongi,
Intezaar ki hadh kya hogi samajhate honge!

Dekh kar shama main jalate hue parwane ko,
Log mohabbat ka naateza jante honge!
[written by romil arora - copyright reserved]

Dil-e-Alfaaz

Dil-E-Alfaaz
दिल-ए-अल्फ़ाज़

Mere haatho ki hatheli ki lakeeron se woh nikal gaya,
meri hatheli fir se woh suna kar gaya!

मेरे हाथों की हथेली की लकीरों से वो निकल गया, 
मेरी हथेली फिर से वो सुना कर गया!

Badi berukhi se usne daaman chuda liya,
daulat se haatho mein mohabbat ki mehandi racha liya!

बड़ी बेरुखी से उसने दामन छुड़ा लिया, 
दौलत से हाथों में मोहब्बत की मेहंदी रचा लिया!

Roz raat ko chand ko dekh kar yahi sochata hu,
Jaise yeh chand ki safed chandani mujh par kafan udha rahi ho!

रोज रात को चांद को देखकर यही सोचता हूं, 
जैसे यह चांद की सफेद चांदनी मुझ पर कफन उड़ा रही हो!

Is kadar durr hokar bhi humne ehsaaso ka diya jalaya tha,
Jaise rabb ke ghar main rooh ki rooh se mohabbat ho rahe ho!

इस कद्र दूर होकर भी हमने एहसासों का दिया जलाया था 
जैसे रब के घर में रूह की रूह से मोहब्बत हो रही हो!

Aaj bhi log jab mujhko zinda dekha karte hai,
teri nazron ko qatil kahan karte hai!

आज भी लोग जब मुझको जिंदा देखा करते हैं, 
तेरी नजरों को कातिल कहा करते हैं...

#Romil
#रोमिल