All my posts dedicated to My Rab NaaZ... Bas is tarah mohabbat ki namazein ada kar leta hun, naam NaaZ ka zameen pe likh sajda kar leta hoon... Written By ROMIL.COPYRIGHT RESERVED to http://www.sunny-raj.blogspot.com and writer!
Thursday, July 16, 2009
~~pavitra rishta~~
Wednesday, July 15, 2009
apni dosti ka sahara de de...
Tuesday, July 14, 2009
main duniya bhul gaya...
dekha jo
main duniya bhool gaya...
***
chand ko dekha
sitaron ko dekha
phool ko dekha
kaliyon ko dekha
koi nahi uske jaisa
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
apna pata
apna thikana bhool gaya
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
***
har taraf hai bas charcha uska
koi kehta phool hai
koi kehta chand hai chehara uska
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
***
aisa chehara nahi dekha
aisi masumiyat nahi dekhi
aisa pyar nahi dekha
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
***
aaj main usse door sahi
par dil mein hai armaan uska
uska chehara
dekha jo
main duniya bhool gaya...
tu kahan hain bata...
main fir raha hu yahaan
neend aati nahi
yaadein jaati nahi
raat to kat jaati hai
tu kahan hai bata
***
jahan bhi dekhu bas tu hi tu nazar aati hai
pal bhar mein hawa ke saath fir uda jaati hai
samaj mein aaye na kuch
dard kaise karu mein bayaan
tu kahan hai bata
main fir raha hu yahaan...
***
ek chattari mein jab aadhe-aadhe bheegate the
kabhi pass aate, kabhi door hatate the
kaise karu woh palon ko bayaan
ab to hai faasle darmiyaan
tu kahan hainl bata
main fir raha hu yahaan...
***
saalon beet gaye muskuraye hue
haal-e-dil kisi ko bataye hue
tum chale gaye tab humne yeh socha
humne kya khoya
humne kya paya
tu kahan hai bata
main fir raha hu yahaan...
Monday, July 13, 2009
bade yaad aate hain..
bade yaad aate hain
woh saawan
woh jhule
woh muskaan tumhari...
~*~
bade yaad aate hain
woh baatein
woh raatein
woh chand, sitare...
~~~
kitni durr ho tum
fhir bhi lagti kitni pass ho tum
dekho yeh duri yeh majboori
ab hain saath hamare-tumhare
baade yaad aate hain
woh intezaar ke pal
woh chup-chup kar rona
woh dair se aane ki ada tumhare...
~*~
sabko chod kar chale gaye tum
reh gaye yaade saari
kitna pal-pal rulati hain woh baatein tumhare
baade yaad aate hain
woh pal
woh lamhe
woh shaharate tumhari...
[written by romil arora - copyright reserved]
kabhi kabhi...
ki tu sitaron mein bas rahi hai kahi...
ki tu sitaron mein bas rahi hai kahi...
Saturday, July 11, 2009
tum hoti to...
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
meri goad main tum soya karti
baithe rehti aur baatein karti rehte...
tum is baat par khush hoti
tum us baat par rooth jaya karte...
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
raaton main khawab sajate
teri zulfoon ke saaye main so jaate
deeware jo apne beeche thi sab gira daite
aaye sanam tere sulagate jism ki mehak main kho jate...
ab yeh haalat kisse kahe hum
kab tak khamosh rahe aur jalte rahe hum
kyon na yeh duriya hum mita de
aa saare zamane ko hum bata de
nahi jee sakte ek-dusare ke bina
nahi jee sakte ek-dusare ke bina...
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
khidki main baithe sar jhuka kar tum mera intezaar karti
chup-chap dhalate hue chand ko dekhate
meri aahat pate hi bhaagi hui darwaze par aati
meri nazron mein khud ka chehara pati
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota
jab bhi baithata hu main tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
~*~
chand aankhon hi aankhon mein tumhare labz bayaan kar jata hai
yeh pani ki boondein, jaise tumne mere badan ko chuha ho
main janta hu tum kahin nahi ho
magar yeh dil keh raha hai tum yahi kahi ho
jab bhi baithata hu mein tanha
khud se rubaru hota hu
bas yahi baat sochata hu
tum hoti to kaisa hota
tum hoti to waisa hota...
