teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai
yeh uthe subah chale, ye jhuke shaam dhale
mera jeena, mera marna, inhi palakon ke tale
yeh ho kahin inka saya mere dil se jata nahi
inke siwa ab to kuch bhi nazar mujhko aata nahi
yeh uthe subah chale, ye jhuke shaam dhale
mera jeena, mera marna, inhi palakon ke tale
teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai
thokar jahan maine khai inhone pukara mujhe
ye humsafar hain to kafi hain inka sahara mujhe
thokar jahan maine khayi inhone pukara mujhe