Monday, May 28, 2018

EndU...

Zindagi ke Ped ki akhiri Patti bhi na jhad jaye...
Isse pehle chalo uski tasveeron se dhundali-dhundhali mulaqatein kar aaye...

Aankhon ki palkon pe mene ik nisaan sa dekha hai...
Ik masaa bhi nazron ke pass dekha hai...
Chuhe se hi sahi uske do aage wale daant hai...
Dasheri Aam jaisa uske chehare ka aakar hai...
Chehare pe til, aise malum hote hai jaise aasman mein bikhare taare ho...
Baalon ko usne ghaton jaisa ghumaodaar bana rakha hai...
Ungaliyaan shayd kaam karte-karte kuch gis si gai hai...
Umar bhi uske chehare pe ab jhalakne lagi hai...

aur

Maang ko lal teeke se bhar rakha hai...
Gale mein mangalsutra pehan rakha hai...

aur

Kaash uska ghar pata hota to...
Uska darwaja khatkhatakar kar...
Jo bhi gaali mujhe yaad aati... Woh uspar qurbaan kar deta...
Ik gaali to aaj use jaroor dekar aata...

Pehle use, uske baad apni zindagi ko EndU kehta...

- RaJ

Patangbaazi aur Ishqbaazi mein jyada fark nahi hai Miya...

Patangbaazi aur Ishqbaazi mein jyada fark nahi hai Miya...

Jis tarah kati hui Patang kisi ped ki daal pe atak kar kai dino tak fhadfadati rehti hai...
Usi tarah Aashiq bhi Dil tootane ke baad kai dino tak fhadfadata rehta hai...

Patang ki Dori jyada taano to katne ka darr rehta hai...
Dori ko jyada dheel chhod do to... apni Patang dusare ki chhat pe nazar aati hai...
Isi tarah mashooqa ko jyada tight karo to kisi aur saath bhaag jaane ka darr rehta hai...
Jyada dheel chhod do to, tab bhi kisi aur ke saath nikal jaati hai...

Patang ko sambhal ke udao to aasman mein terati nazar aati hai...
Apni Patang ko dusari Patang se bacha ke bhi rakhna padta hai...
Mehbooba ko bhi bade kayde se ishq ki dori se udana padta hai, tab jakar woh khushi-khushi jeeti hai. Warna jeena haraam kar deti hai...
Dusari uski Saheliyon se bacha ke rakhna padta hai apni Mehbooba ko... Pata nahi kya-kya Kaan bharti rehti hai...

Aur most important...

Apni Patang katne ke baad, agar koi dusara use udata hai to dil dukhata hi hai...
Theek isi tarah break-up ke baad bhi apni Dil-e-Jeenat kisi aur saath dikhe to dard to hota hi hai...

Hahahaha...

NaaZ ne seekhaya hai yeh sab... hehehe...

- Romil RaJ

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Ammi kehti thi...

Sukr karo Rab ne Garibi di hai...
Bhukhmari, Kangaali nahi di hai...

Kabhi bhookha nahi sulaya,
Kabhi kisi ke aage haath fhelane nahi diya...
Izzat kabhi nilaam nahi hone di hai...
Sukr karo Rab ne Garibi di hai...

Garibi bhi uski Rehmat se milti hai...
Kyonki Garibi mein insaan Ahankaari nahi hota hai...
Dusaron pe Krodh, Apshabd kehne se bachata hai...
Roti ka kabhi Anadar nahi karta hai...
Dusare Garib ke dukh-dard ko samajhata hai... Dil mein karuna ka bhaav rakhta hai...
Khuda ki bandagi mein rehta hai, uski dargah mein jholi fhelaye rehta hai...
Cheezon ki kadr karna seekhata hai...
Thode mein hi Sukhi rehta hai...
Santosh se Jeevan jeena seekhata hai...

Badi Naseeb se Fakiri milti hai...
Jo Dherya, Shanti ke saath Garibi ko jee jata hai, woh Safal ho jaata hai...

Kuch le ke to na Sikandar gaya tha is jahan se na Akbar...

#Romil Raj

Sunday, May 27, 2018

Tumne ishq ko kitabon mein padha hai...

Tumne Ishq ko kitabon mein padha hai...
Maine Ishq ko zindagi mein Jiya hai...

Tumhe aadat hai maukaparasti ki...
Yahan aadmi humdardi hi humdardi mein mara hai...

Maharat aur Tazurba haasil hai tumhe ishq mein...
Maana... Maharat aur Tazurba haasil hai tumhe ishq mein...
Aur ik shaqs aaj tak ishq ki nadaniyon mein hi pada hai...

aur

Yeh samjho bas dil-e-tamanna hai Deep se ghar roshan karne ki...
Warna Chand hamare qadmo mein pada hai...

- Romil RaJ

RadhaSoamiJi - Shabad - Kisi Aur Ke Dar Kyon Jau, Kahi Aur Kyon Haath Fhelau, Sab Kuch Mere Sadguru Ke Pass Hai, Inka Ashirwad Mere Saath Hai. Mere Sar Pe Sadguru Da Haath Hai...

Bina neend wali raat aur GuNn ki yaad...

Bina neend wali raat aur GuNn ki yaad...

Purani ik pair se tooti hui mejh pe rakha GuNn ki yaadon sang Gulab ke Phoolon ka Guldasta apni mehak bikher raha tha...
Jiski mehak se RaJ ko beech-beech mein chhek bhi aa jaati thi...

Roz wala Chuhaa, Roz ki tarah RaJ ke bistar pe aakar chehalkadmi kar laut gaya tha...
Macchar aa jaate the RaJ ko tang karne...
Deewar pe chipkali, maccharon ke peeche daud laga rahi thi...
Zameen pe lal rang wali cheentiya qataar banake kahi ja rahi thi...

Gali ke Teen Pille apni Maa-Kutiya sang milkar Sher bane kisi pe bhoke ja rahe the...

Haawan bhi maatam mana rahi thi... Thami padi thi...
Taare bhi aasman mein garmi se kadak rahe the...
Chand zor-shor se apni Chandani bikhere hue tha...
Baba adab zamane ka pankha apni mari hui Nani ko ro raha tha... Dheere-dheere Ghadi ke Kaante ki speed se chal raha tha...

Chehare pe bina koi bhaav liye, aankhein khole, pasine se sarabor hua RaJ, GuNn ki yaadon mein khoya hua beshud sa bistar pe pada hua tha...

Na jaane kaun si Virasat sambhale laita hua tha...

- RaJ

Yateemkhana...

Yateemkhana...

Ik hi ghar mein Ik hi Majhab ke Do Bhai idhar-udhar alag-alag chhat ke neeche rehte hai...

Jabki Yatimkhane mein Chaar Majhab ke Char log ek saath Bhai bankar Ik hi chhat ke neeche rehte hai...

#Romil

यतीमखाना 

एक ही घर में एक ही मज़हब के दो भाई इधर-उधर, अलग-अलग छत के नीचे रहते हैं... 

जबकि यतीमखाने में चार मज़हब के चार लोग एक साथ भाई बनकर एक ही छत के नीचे रहते हैं...

#रोमिल