Monday, June 18, 2018

Pyar ka shahjahan banne ke liye... mumtaz bhi chahiye... TajMahal ke liye...

pyar ka shahjahan banne ke liye...
mumtaz bhi chahiye,
TajMahal ke liye...

aur

angoor ke ras mein kahan nasha dhara hai...
ishq chahiye nashe ke liye...

aur

husn ki dhalaan pe apni jawani ludak gai... ludak gai...
ab ek mohabbat-e-buut chahiye ebadat ke liye....

besharm... begairat... behayaa... 
chahe jo kaho...
humein to tu hi chahiye... tu hi chahiye...
aashiqi ke liye...

- raj

khayal rahe... hamari jeb se qalam na nikalne paaye...

Pavitra Aatma NaaZ kehti hai...

khayal rahe... hamari jeb se qalam na nikalne paaye...
hum jhoote sach ko be-naqab kar dalenge...

tum pankh katarne mein lage rahoge...
hum aasman ko apne rang mein rang dalenge...

- Romil RaJ


Radio... kai baar yunhi dekha hai...na biwi na baccha... qasme vaade pyar waafa... ankhiyon ke jharokon se...sach mere yaar hai...

Aaram se dono pair sofa pe rakhkar tumne kahan tha...
"Matar-Pulao sach mein lajawab the... Magar tumne bahut faltu ki cheezein usme daal rakhi thi...

tamatar...badi-badi hari mirchi, dhaniya patti, adrak ke slices... chhoti-badi laung... 

biryani bana rahe the kya?

jab aloo already matar-pulao mein tha, to tum Aloo ka Raita na banakar Plain Curd hi rehne dete...

waise Italian Sauces hoti to mazaa aa jaata...

Maine bola tha...
"bahar ka Gate kholo, pehle seedhe, fir left, fir right... bahut se restaurant hai, jakar le aao....

Tum boli thi...
Very funny...

Radio mausam ke saath luppa-chippi kar raha tha... apni surili awaaz ka jadoo bikher raha tha...

"kai baar yunhi dekha hai,
yeh jo mann ki seema rekha hai,
mann taudane lagta hai...

anjaani pyas ke peeche,
anjaani aas ke peeche,
mann daudhane lagta hai.."

(Lo Mr... Coffee)

Tum boli thi...
"kya kar rahe ho? mere lappi pe?

Maine kahan tha...
"investment kuch kar raha hun..."

Tum dekhate hi bol uthi thi...
"agar mera ik bhi paisa dooba na... main tumse hi with interest recovery karungi... keh deti ho..."

Radio mere sur ke saath sur milane laga tha...
"na biwi na baccha... 
na baap bada na maiya...
the whole thing is that ki bhaiya sabse bada rupiya..."

Maine kahan tha...
"Theek hai... le lena... main khud ko girvi rakhke la dunga....

Tum bol uthi thi...
"woh to tum mere pass already girvi ho... hehehehe...."

Maine kahan tha...
"heart pe lagi hai yeh baat..."

Radio bol utha tha...
"qasme vaade pyar waafa 
sab baatein hai baaton ka kya
koi kisi na nahi hai Jag mein jhoote naate hai naato ka kya"

Fir tum bistar pe laite book padte hue bol uthi...
'''aaj mandir gai thi akele...
maa aur hum-dono ke naam se prasad chadhaya hai... Kitchen se le aaoge... Bowl mein rakha hai..."

Main utha aur prasad le aaya tha... Aur bola tha...
"Itna kam kaise hai Prasad?...

Tumne jawab diya tha...
"woh bhookh lag rahi thi raste mein to kha liya tha..."

Main bol utha tha....
"Yeh Prasad hai... Koi snacks nahi..."

Main laptop mein laga tha... tum book mein aur radio raat ki kaalika mein gum hota ja raha tha...

"ankhiyon ke jharokon se maine dekha Jo saawre, 
tum door nazar aaye, badi door nazar aaye...
band karke jharokon ko zara baithi jo sochane ,
mann mein tumhi muskaaye"

Book ko apni goad mein rakh kar tumne kahan tha...

"Radio ki voice thodi badaa do Hero...

Gurudware bhi gai thi aaj... Next Sunday ko maa ke naam se Chai-Matthi-Biscuit ka langar rakhwaya hai... Yaad se saat chalna mere...

aur Mr. sone se pehle saare investments ki details Excel file mein bana kar mere desktop mein rakh dena... Radio ki voice thodi low kar do please..."

Radio apna nagma mujhe sunaye ja raha tha...

"sach mere yaar hai, bas wahi pyar hai,
jiske badle mein koi jo pyar de,
Baki bekaar hai yaar mere... Oh yaar mere"

- raj

Sunday, June 17, 2018

Sri Guru Arjan Dev Ji Maharaj ko unke Shaheedi Gurupurab Parv pe Koti-Koti Naman! 17th June '2018 Sunday.

Sri Guru Arjan Dev Ji Maharaj
ko unke
Shaheedi Gurupurab Parv
pe
Koti-Koti Naman!

17th  June '2018
Sunday.

Radio... Maine tere liye hi... jhilmil sitaron ka angan... Dil dhoondhata hai...

"Maine tere liye hi saath rang ke sapne chune...
Sapne surile Sapne...
Kuch hansee ke, kuch gum ke,
Teri aankhon ke saaye churaye rasili yaadon ke..."

madmast hawan aaj ghar ki khidki pe latke pardon se baatein kar rahi thi...

radio angdaiyaan liye baja ja raha tha...

tum rasoi ghar mein radio sang gungunaye ja rahi thi..

main laptop pe apni ungaliyan tod raha tha...

Tabhi tum boli thi...
"Dinner ready... Mr..."

Main bola tha...
"Bas 2 min.."

Radio ne fhir ek aur nagma chhed diya...

"jhilmil sitaron sa angan hoga...
rimjhim barasta sawan hoga...
kitna sundar apne jeevan hoga..."

Tumne kahan...
"Aao na Hero... Bhagwan ji aur Maa ko khana bhog laga diya hai... 

Aaj zameen pe baithkar ek hi thali mein khate hai...
bahut samay ho gaya... Ek hi plate mein khaaye... Yeh kehte hue tumne... zameen pe Chatai bichakar khana laga diya...

Aur main...
"Pani, Salaad, Papad ki sewa mein lag gaya"

Kher ke swaad ke saath hi Radio aur surela ho gaya...

"Dil dhoondhata hai fir wahi
Fursat ke raat-din...
Baithe rahe tasawwar-e-jaana kiye hue"

Wash basin mein haath dhote hue tum bol uthi thi...
"Aaj sach mein khane ka alag swad aa gaya... Lo towel le lo..."

"Mandir ki light off karke, maa ko pranam karke... Gate pe lock laga dena..."

"Main kitchen saaf karke aati hu coffee lekar"

Main fir laptop ke saath lipat gaya...

Radio baj raha tha... 

"Yuhi Kat jayega Safar saath chalne mein...
Ki manzil aayegi nazar saath chalne mein..."

(Oye Mr.... Coffee)

Tum boli thi....
"Kitna kaam finish hua? Please thoda late jaag kar complete kar dena.... Mujhe tomorrow submit karna hai"

Main bola tha...
"Yeh legal nahi hai... Tum office ka kaam mujhse karwati ho... Aur payment bhi nahi deti ho... Illegal hai..."

Tumne kahan tha...
"Ab tum mujhse Paisa loge? Aacha lagega kya? Socha kar gift kar diya... Hahaha...

Aacha main chali sone... Please work finish kar dena jaan... aur desktop pe hi save karke folder daal dena" Good night... Jai Mata di...

"koi hota jisko apna... hum apna keh lete yaaron...
pass nahi to door hi hota....
lekin koi mera apna..."

Radio pe tarana baj utha...

Tum bol uthi thi...
" Emotional mat ho... Is sauten meri... Radio ki voice thodi kam kar do...."

- raj

Saturday, June 16, 2018

Shukran Allah Wallah Alham Dullillah

Shukran Allah
Wallah Alham Dullillah...

Apni noor-e-ibadat rang lai,
Eid aai...
Chand khila, khusboo si mehki haawein,
Aasmano se barsi duayein...
Eid aai...

Khuda ki hui rehmatein,
Mit gai saari parshaniyatein...
Mili dono jahan ki inayatein...
Eid aai...
Eid aai...

aur

Deedar-e-yaar ho gaya...
mohabbat-e-izhaar ho gaya...
mil gai hai manzilen...
Eid aai..
Eid aai...

Shukran Allah
Wallah Alham Dullillah

- raj

Radio... Buddha mil gaya...sanam teri qasam....

"main kya karu ram mujhe Buddha mil gaya...
hey... hey Buddha mil gaya..."

radio ke sang tum bhi gungunaye ja rahi thi...

maine bola tha... meri bhi same feeling hai...
"buddhiya mil gai... hey, hey... buddhiya mil gai"

tumne kahan tha... 
"buddhe hoge tum...main to abhi tak jawan hun... sirf umar se koi Buddha nahi hota... 

kam se kam tumhari tarah buddho ki tarah  pooja-path mein din bhar to nahi lagi rehti... yeh tumhari buddhon wali satsangi, sanskari baatein...uff"

maine kahan tha...
beer, whiskey, cigarettes peene se bhi koi rocking star nahi hota... Na hi yeh restaurant parties se koi hota hai... mexican, italian, chinese khaane se bhi log jawan nahi hote....

Radio bajta rehta tha...

"kitne bhi tu kar le sitam...
hans-hans ke sahenge hum...
yeh pyar na hoga kam...
sanam teri qasam... ho ho... sanam teri qasam..."

tum kehti thi... 
maine to nahi roka tumko aisa karne se... I'm successful working woman... I'm not housewife, I'm housewomen... Karna padta hai yeh sab... I'm deal with many types of peoples..

maine kaha tha...
Accepted... Main to accept karta hun... Tum mujhse bahud jyada qaabil ho, kamyab ho... smart ho... good looking... handsome ho...

tumne kahan tha...
Ab lagta hai shayad hum log topic se behak gaye hai... Topic tha "tum buddhe ho aur main jawan" okkk. It's true...

Radio baj-baj kar hum dono ke darmiya dooriyaan kam karta rehta tha...

"Chal teri baahon mein jaannat ko basayenge...
pyar ke is mandir ko chahat se sajayenge...

humne ghar chhoda hai...
rasmo ko toda hai...
door kahi jayenge hum...
Nai duniya basayenge..."

- raj