Friday, May 23, 2008

Umeed

"Umeed"

Har Umeed Toot Chuki Hai Meri,
Fir Bhi Main Abhi Tak Thaka Nahi...

Zakhm, Nasur Ban Gaye Hai Mere,
Fir Bhi Zakhmo Ka Silsila Abhi Ruka Nahi...

Khawaisho Ki Na Sehar, Na Meri Shaam Koi,
Meri Khawaisho Ka Silsila,
Kahaan Tak Chalega, Yeh Khabar Nahi...

Har Dar Ne Hamesha Thokare Di Hai Mujhe,
Jahan Do Ghadi Ka Sukoon Mile Mujhe,
Woh Dar Abhi Mila Nahi...

Har Umeed Toot Chuki Hai Meri,
Fir Bhi Main Abhi Tak Thaka Nahi!

#Romil

उम्मीद 

हर उम्मीद टूट चुकी है मेरी 
फिर भी मैं अभी तक थका नहीं... 

जख्म नासूर बन गए हैं मेरे 
फिर भी जख्मों का सिलसिला अभी तक रुका नहीं... 

ख्वाहिशों की ना सहर, ना मेरी शाम कोई 
मेरी ख्वाहिशों का सिलसिला कहां तक चलेगा यह खबर नहीं... 

हर दर ने हमेशा ठोकर दी है मुझे 
जहां दो घड़ी का सुकून मिले मुझे, 
वो दर अभी मिला नहीं... 

हर उम्मीद टूट चुकी है मेरी, 
फिर भी मैं अभी तक थका नहीं...

#रोमिल

Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna

"Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna"

Bhookh Se Marr Raha Hu Main,
Aur Tum Isse Bimari Ka Bahana Daite Ho.
Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Garibi Se Khudkhushi Kar Raha Hai Kissan,
Aur Tum Isse Ghar ka Jhagada Batate Ho.
Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Mera Marna To Log Bhool Jayenge,
Kuch Pal Yeh Samachar Wale Maire Dukhi Haalat Ko Dekhayenge,
Fir Kisi Khushi Mein Yeh Bhi Kho Jayenge.
Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna...

Jab Log Tumse Is Khet Ka Marna Puchenge,
Kya Bataoge?
Kyon Pyasa Hai Yeh?
Kyon Isme Fasal Nahi Khil Rahi?
Kyon Dharti Maa Ro Rahi?
Maire Maut To Chupa Paoge.

Romil, Magar Kaise Chupa Paoge Is Khet Ka Marna...

#Romil

भूख से मर रहा हूँ मैं,
और तुम इसे बीमारी का बहाना देते हो.
मगर कैसे छुपा पाओगे इस खेत का मरना.

गरीबी की वजह से खुदखुशी कर रहा है किसान,
और तुम इसे घर का झगड़ा बताते हो.
मगर कैसे छुपा पाओगे इस खेत का मरना.

मेरा मरना तो लोग भूल जायेंगे,
कुछ पल यह समाचार वाले मेरे दुखी हालातों को दिखायेंगे,
फिर किसी ख़ुशी में यह भी खो जायेंगे.
मगर कैसे छुपा पाओगे इस खेत का मरना.

जब लोग तुमसे इस खेत का मरना पूछेंगे,
क्या बताओगे?
क्यों प्यासा है यह?
क्यों इसमें फसलें नहीं खिल रही?
क्यों धरती माँ रो रही?
मेरी मौत तो छुपा पाओगे.
मगर कैसे छुपा पाओगे इस खेत का मरना.

रोमिल, मगर कैसे छुपा पाओगे इस खेत का मरना.

#रोमिल

"Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi"



"Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi"

Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi,
Khushi ke din main woh khushiya manati hogi,

Apni mehandi ko dekh kar sapno ki laadi woh banati hogi,
apne saajan se milane ke baatein soch-soch kar apni khoobsurat palake woh jhukati hogi,
Aansoo ke beech khushi ka woh pal yaad karti hogi,
Judai ka gum yaad kar-karke dil dhadkate hogi,
Babul ka ghar chut jaane ka darr usko satata hoga,
Bachpan ki yaadein, yaad karke dil bhar aata hoga,

Pal bhar main kaise badal jaate hai rishte,
yeh mehandi usko samjhate hogi,

Bhini-Bhini uski mehandi ki khushboo aati hogi..
[written by romil arora - copyright reserved]

"Haawon se suna hai, bahut Siyani ho gai hai woh"

"Haawon se suna hai bahut Siyani ho gai hai woh"

Zindagi ka har faisala khud kar leti hai woh,
mujhe apna nahi samajhati woh.
mujhse puchate bhi nahi woh.

Pehle choti-choti baaton mein, meri god mein aakar rona chahti thi woh,
Ab khud-ba-khud aansoo pooch leti hai woh.

Mere har gusse par muskurakar jawab deti thi woh,
Ab meri chhoti si baat par bhi khafa ho jaati hai woh.

Pehle har raahon mein, mera intezaar karti thi woh,
Ab mere pass aane se bhi katrati hai woh.

Hamesha mera haath pakadkar, har raahon mein chalna chahti thi woh,
Ab raahon mein mujhe aata dekh khud mud jaati hai woh.

Har roz jo mera haal puchhati thi woh,
Ab mujhe gum dekar, bhool jaati hai woh.
Haawon se suna hai, bahut Siyani ho gai hai woh...
[written by romil arora - copyright reserved]

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Maire Shehar Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Maire Shaam Hote Hai Mehboob Ke Naam Se,

Rabb Ke Bandagi Ke Liye Ab Maire Haath Utate Nahi,

Uski Dargarh Par Main Kabhi Jaata Nahi,

Main Kisi Rabb Ko Ab Janta Bhi Nahi,

Ab To Har Saans Beetati Hai,

Sirf Apne Pyar Ke Intezaar Main,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Gaamo Se Choor Hu,

Uske Mohabbat Main Masgul Hu,

Uske Rang Roop Main Vahashi Hu,

Deewana Hu,

Koiye Shikwa Nahi Hai Mujhe,

Jo Chahe Mujhe Saaza Do,

Haan Main Shaitan Hu Mujhe Pathar Maaro!

Rabb Ka Khauf Ab Mujhme Nahi Hai,

Zindagi Ka Noor Ab Mujhme Nahi Hai,

Madhoosh Hu Main Uske Mohabbat Main,

Uske Husn Ke Bina Ab Kuch Yaad Nahi Hai,

Maira Har Dard Wohi Hai,

Maire Har Daawa Wohi Hai,

Maire Har Khushi Wohi Hai,

Maira Har Shehar Wohi Hai,

Maira Har Shaam Wohi Hai,

Khawab Wohi Hai,

Hosh Wohi Hai,

Badhoshi Wohi Hai,

Maut Wohi Hai,

Zindagani Wohi Hai,

Jaahan Wohi Hai,

Rabb Wohi Hai.

Haan..... Maira Rabb Wohi Hai.

[written by romil arora - copyright reserved]

"Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai"

"Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai"

Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki
Yeh Dekha Nahi Jaata Hai,
Roote - Roote Yuhi Din Kath Jaata Hai,
Yaad Karte-Karte Yuhi Raat Beeth Jaati Hai,
Khudhe Se Shikayat Hai,
Khudhe Se Nafrath Hai,
Khud ko Jalil Kiye Bina Raha Nahi Jaata Hai,
Kaise Usko Bana Lu Apna
Kuch Samaj Nahi Aata Hai,
Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki
Yeh Dekha Nahi Jaata Hai,
Rabb Ne Hamesha Mujhko Sataya Hai,
Apno Ne Hamesha Mujhko Rulaya Hai,
Deh Diya Jab Maire Saaya Ne Mujhe Dokha,
Ab Kisi Aur Se Shikwa Kiya Nahi Jaata Hai.
Woh Ho Rahi Hai Kisi Aur Ki Yeh Dekha Nahi Jaata Hai........
[written by romil arora - copyright reserved]

"Kabhi Dastan-E-Gham Adhuri Nahi Rehti"

"Kabhi Dastan-E-Gham Adhuri Nahi Rehti"

Kabhi Dastan-E-Gham Adhuri Nahi Rehti,
Kabhi Pyar Ki Kahani Adhuri Nahi Rehti,
Hum Tamam Zindagi Apni Sapno Ko Jalate Rehte Hai,
Magar Sapno Ko Aankhon Main Aane Se Rokane Ki Baat Nahi Hoti...
Rabb Sach Hai,
Dekhata Hai Sabko Apni Aankhon Se,
Uske Hisabo Main Kisi Ke Karmo Ki Kahani Aadhuri Nahi Rehti....
[written by romil arora - copyright reserved]