Saturday, February 28, 2009

Masjid main dekh kar ....

Masjid mein dekh kar tujhe hairat bahut hui romil
kiski khushiyaan ke liye tune fir haath fehlaya
~
yeh duaon ka silsila kyon kar raha hai tu chalu
kaun hai woh anjani jo fir yaad aaya
~
aankhon mein aansoo kiske liye hai
kiski bandagi ka fir khayal aaya
~
shaam hote hi kyon khol deta hai darwaze
woh kaun hai jiska yeh chand salam lekar aaya
[written by romil arora-copyright reserved]

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera...

khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha
roz banata tha naye khawab
fir use tod diya karta tha...
~
chand ko dekh kar
burf ka gol, gola bana liya karta tha,
din mein titliyon se
raat mein jugnu se dosti kiya karta tha,
ek hi fun aata tha mujhe
main dusaron ke dukh mein ro liya karta tha...
~
khilauno ke liye tarsa hai bachpan mera
main apne khawabo se khela karta tha...

[written by romil arora-copyright reserved]

suna hain...

suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
~
zakhame dil ke saath fhir khel rahe ho
mitti ka ghar hain
barsaat ke saath kyon dushmani kar rahe ho...
~
sakuun se soya karte the tum raaton main
kyon meri jaan apni raatein kharab kar rahe ho...
~
tukade-tukade pehle hi ho chuka hain dil tumhara,
kyon isse khaakh main mila rahe hoo...
~
suna hain tum mohabbat kar rahe ho
mere yaar yeh kya qayamat kar rahe ho...
[written by romil arora-copyright reserved]

Friday, February 27, 2009

sach se rubaru

aaj se ek nayi shuruwat..."kuch is tarah" "dil se" "khud se rubaru" ke baad "sach se rubaru"

"jab ghar ki dehleez maine laanghi thi
dil main bas ek yahi aarzoo thi
koiye ghar na chodane ki duhai de
koiye aakar mera rasta rok le
koiye peeche se mujhe aawaz de"
[written by romil arora-copyright reserved]

kuch is tarah

kuch is tarah badal gaye hain mere haalat
zindagi ek sawalat ho gaye hain...
~
puch raha hu khud se ek saawal
tu kyon bewafa ho gaye hain...
~
dil main yaadon ki aag bharakane lagi
aankhon main aansoo ki barsaat ho gaye hain...
~
kisse kare teri bewafai ka charcha is jahan main
teri ishq main saari duniya apni dushman ho gaye hain...
[written by romil arora-copyright reserved]

sab hi...

sab hi apno se milte hain Romil
maaza to tab aata hain jab log ajnabi se milate hain Romil!
[written by romil arora-copyright reserved]

nahi soye

raat bhar tere intezaar main nahi soye
hum zindagi ke saawal main nahi soye
dil yeh puchata raha ki tu pareshan kyon hain
hum muskuraye aur tere khawabo ke khayal main nahi soye...
[written by romil arora-copyright reserved]